Moashra

  • Work-from-home

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Assalam o alaikum
MOASHRA

Aaj kal k dor mein ager hamare moashre ki baat ki jai to
ye kehna ghalat na hoga k humara moashra kisi aur ki
wajah se nahi balke humare apne aamal ki wajah se kharab
hein.
Yahan pe log yoon to bohot moo mulahize kerte hein,
apne bhai chare ki misalein dete hain mager in k jism
ka ik tukra in ki zahiri halat k bilkul khilaf chalta hei
jee haan ye baat sach k hum jo bhi kerte hein kabhi
dil se nahi kerte ager kisi ki madad ker bhi dein to
sirf is bina per k kal ko ye hamare kaam aye ga, Na
ALLAH tala ki raza k liye.
ager hum se koi aisa shakhs madad mange jis se humain
kisi kism k faide ki umeed na ho to us ki misal aisi k
kutta bhonk raha hei aur bhonk bhonk ker thak har
ker chup ker gaya.

Kya humain apni islah nahi kerni chahiye ya phir jo
ho raha hei use hone dein k ye hamare moashre mein
aam hei.
Ye kahan ka insaf hei?
Abhi kuch din pehle meri behen Bahaar
ne bhi aik thread lagaya tha
""Bahaar k qalam se""
us mein kafi had tak in logo ki baat thi.

Mere dil mein jo tha wo meine bayan kiya,
Kya aap samajhte hein ye gandagi moashre
se door hogi? Ager haan to kese?
 
  • Like
Reactions: yoursks and ~Zeest~

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
bilkul sahi kaha janab apne

aur ye siasatdaan to matlab parast hi hote hain aksar jahan inko faidah dikhe unke geet gate hain lekin jab matlab nikal jaye to wo bhi pura nahi karte

muashre ki islah me kayi cheezen aati hain usme rasm o riwaj bhi hain bachpan se bachon ki tarbiat bhi aur sabse pehle ham khud ki islah karen

aur is muashre ka hal uska tareeqa ek hi hai ham sab islam se chimat jayen

mazeed hamne ek thread issi se milte jhulte mauzu par lagayi thi is par bhi nazar dalen :)
http://www.tafrehmela.com/baat-cheet/141264-muashre-ki-islah-kaise-ki-jaye.html
 
  • Like
Reactions: waqas naseer
Top