!!....mohsin Naqvi's Poetry Collection....!!

  • Work-from-home

Shallu

Active Member
Oct 17, 2012
264
283
63
mohsin kisi k zarf ko itna na aazmaa....
har shakhs apni zaat main bara laa jawab hai....!!![DOUBLEPOST=1351790257][/DOUBLEPOST]Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha

Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha

Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha

Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha

Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khara Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!!!
[DOUBLEPOST=1351790301][/DOUBLEPOST]Gum’sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha,
Paani main chaand, chaand main chehra kisi ka tha..[DOUBLEPOST=1351790386][/DOUBLEPOST]Aankhon Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta
Ye Dil K Mujhe Chain Se Marne Nahi Deta

Bicharay Tou Ajab Pyaar Jatata Hai Khaton Mein
Mil Jaye Tou Phir Had Se Guzarne Nahi Deta

Wo Shaks Khizan Rut Mein Bhi Mohtaat Rahay Kitna
Sokhay Hoye Phoolon Ko Bikharne Nahi Deta

Ik Roz Teri Pyaas Khariday Ga Wo Ghabro !
Pani Tujhe Panghat Se Jo Bharne Nahi Deta

Wo Dil Mein Tabassam Ki Kiran Gholne Wala
Roothay Tou Ruton Ko Bhi Sanwarne Nahi Deta

Mein Us Ko Manaon K Gham-e-Dehar Se Uljhon ?
“Mohsin” Wo Koi Kaam Bhi Karne Nahi Deta
[DOUBLEPOST=1351790409][/DOUBLEPOST]Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye
Zara Siii Dair Ko Hangama-e-Mahfel Tehar Jaaye

Shab-e-Maqtal Ka Sanaata Gawahi Dey Na Dey Apni
Laho Ki Mouj May Aks-e-Rukh-e-Qaatil Tehar Jaaye

Tabiyat Toot Kar Chahye Talaatum Ashiana Hona
Mager Tashna Labi Ki Zid Ser – e – Saahil Tehar Jaaye

Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra
Woh Ek Lamha k Apni Umr Ka Haasil Tehar Jaaye

Kahin To Saans Lay Thak Kar Hajoom-e-Abla Paa’yiii
Kabhi To Halqa-e-Gard-e-Safer , Manzil Tehar Jaaye

Koi Hurf-e-Malamat Hoo Kar Zanjeer-e-Dua Chankaye
Kisi Awaz Per To Be Sada Saayel Tehar Jaaye

Kahaa K QAIS Tay Hum Bhi Mager Itna Ghanimat Hai
K Dasht-e-Khawab May Akser Tera Mahmal Tehar Jaaye

Bichar Kar Bhi Woh Chehra Aankh Say Hat’ta Nahi MOHSIN
K Jaisay Jheel Main Aks-e-Meh-e-Kaamil Tehar Jaaye
[DOUBLEPOST=1351790805][/DOUBLEPOST]Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo
Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo,

Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain
Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo,

Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho
Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo,

Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hai “Mohsin”
Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Mein Sajaaya Na Karo.
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top