Mqsad-e-zindgi

  • Work-from-home

Rana-M-Rehman

Active Member
Dec 19, 2013
283
29
28
34
In your Heart
Aslam o Alaikum
mian ap say ik baat share kerna chaht houn

k insani zindgi ka mqsad kiya hy
agr khana peena hy aur nasal barhana hy
to woh janwar parindy b krty hien

k khaya peeya apni nasal barhie aur mar gye

agr ibadit krta hy
to us k liye to Allah k farshty hi kafi hien

to insaan ko asraf-ul-mkhlooqat kiyo kaha gya
agr Allah kiyo k woh apni maqsad-e-zindgi sochty hien
aur Soch bachar ker Allah ki Zaat ko manty hien

sahi aur galt ka fasla kerty hy
ik dosty k kaam aaty hien

lgo ko sahi raah dekhty hien
aur khud b us pe amal krty hien


mgr ajh kal to insaan k mqsad e zindgi kuch aur hi nazar ata hy

woh hy ik dosry per sabkqat ly jany ka

bus yeh scohty hien mian kya kaam karo k duniyaan mian mera naam ho mari pechan ho
mjhe log many mara hi charcha ho her jaga
jo mjhe bura kahy us ko mian barbad ker doun jo mari hukm bajlye main us ko khushal ker

naouz billah yeh to kufr ho gya
yeh to shirq k aur farouniyat k zumrah mian aa gya

log to ilm b bus is liye hasil kernien lagy ta k duniyaa min woh reh skien english bool skien

halaan k islmic ro say ilm ki bunyaad yeh hy k insaan haqeeqat-e-zingi maqsad-e-zindgi aur Allah ki zaat ko pechan sky
baqi agr rizq ki baat hy woh Allah nien her insaan ka apny zuma liya hy

mgr abh to her baat ulti nazar ati hy
sab yeh sochtien hein k ilm hasil karo aur parh k enginr doctor bano
warna tm barbaad ho jao gay
duniyaan mian
koi akharat ki baat hi nahi kerta
shyeed un ko emaan hi nahi k woh mar k dobra uthy gein aur un say un ki maqsad-e-zindgi posha jye ga k tm nien us pe amal kiya k nahi

abh logh smjhty hi nahi
bus kehty hien yeh karo woh karo

halanke muslim ki zindgi ka to khaas yeh mqsad hy k amar-bilmaroof-nahi-anil-munkir pe amal pera ho
us pe utna hi amal kry jitna btye jitna jaan sky
mgr abh to woh milta hi nahi
her shaks kehta hy us nien aysa kiya mian b aysa karo ga to mer ab naam ho ga
koi nahi dekhta hamry Nabi-S.A.W.W nien kya kiya
aur un As-Haab nien kiya kiya
un ko to bus apni beso mian rakha hy ta k jeet sakein

aur alim kehlwa skiein

koi nahi sochta kya hy us ki zindgi ka mqsid
rizq mout , bemari gum khusiyaan , shadi bevi bachy sab to Allah nien pehly hi likh diya hy
k is ko kis trha mily ga
yeh to phir insaan ka mqsad - zindgi na howa
phir kya hy mqsad e zindgi

agr mjhe pata hy to main us pe amal pera kiyo nahi ho abh tak
kya mjhe marnien k baad uthnuien per emaan nahi raha
ya agr ap ko pata hy to ap ko marnien ka bad uthnien pe emaan nahi raha

ya phir is baat pe emaan nahi k rizq mout bemari shadi bachy sab khuda k zummaan hy
 
Top