Muhabbaton ka pata chalega....

  • Work-from-home

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Wafa ka pauda shajar hua to
muhabbaton ka pata chaley ga...
Naseeb us ka samar hua to
muhabbaton ka pata chaley ga..!

Abhi to phirtey ho doston mein
azeez koii juda nahin hai...
Koii "idhar se udhar" hua to
muhabbaton ka pata chaley ga..!

Yeh khush nasibi hai sheher bhar mein
tumhara dushman koii nahin hai...
Kabhi kisi ka jo darr hua to
muhabbaton ka pata chaley ga

Yeh kia bicharna ke sham hote hi
apne pyaron mein lot jana...
Kabhi jo lamba safar hua to
muhabbaton ka pata chaley ga

 
Top