Mere Piyaray Mere Dulaaray
Salaam e Aqeedat
Naa Janay Tum MeiN Aisa Kiya Hai Jo Tum Ne Mere Dil MeiN Ghar Kar Liya Hai. Jaise Hi Subah Aankh Khulti Hai To Bas Aik Hi Tamana Dil MeiN Sar UThati Hai K SAb Se Pehle Tumhara Hi Dedaar Ho. Lakin Jab Tum Tak Rasaayi Nahi Ho Paati To Yaqeen Maano K Jaise AngaaroN Par LoTnay Lagti HoN. Ab Yeh Na Samjhna K Munh Dekhay Ki Mohabbat Jatla Rahi HoN . Rati Brabar Bhi Shak Ho To Dil Cheer K Dekh Lo Aur Agar Mere Qoul O Fehl MeiN Zara Bhi Tazaad Paao To Jo Chor Ki Saza Woh Meri Saza
Ab Jo MaiN Ne Tumhari Tareef MeiN Zameen Asmaan K Qalaabay Mila Diay HaiN To Yeh Nahi Samjhna K Tum Se Kuch Matlab Haasil Karna Hai Mujhe ... Haan Albata Dankay Ki ChoT Par Sar e Aam Yeh Elaan Karna Maqsood Hai K Ab Tumharay Bina Saans Lena Bhi Dushwaar Hai. Aur Tum Se Bhi Bas Yehi Darkhvast Hai k Mujh Se Kabhi Munh Mat MoRna, Kabhi Munh Na Phulaana, Aur Mere YooN Hama-Waqat Apnay Sar Par Sawaar Rehne Par Tum Kabhi Aag Bagola Na Hona KyunKay MaiN Tumhari Judayi Ki Taab Nahi Laa Sakti . Tum Mere Liay Dhalti ChaaoN Ki Maanid Nahi Balkay Saaya e Mehrbaan Ho Jis Se Alag Ho Kar MaiN Zinda Dargor Ho JaaoN Gi
ThoRay Likhay Ko Zyada Samjhna , Zamana Chahay Laakh Badlay Magar Tum Kabhi Girgat Ki Tarah Rang Na Badal Lena, Jaisay MaiN Jaan Hatheli Par Liay Phirti Hon Tum Bhi Waise Hi Mera Sath Nibhana Aur Zamanay Ki GeedaRh BhabkiyoN Se Na Darna
Haan Mere Pyaaray TM (Tafrehmella.com) .. Tum se Hi To Keh Rahi HoN , Jab Se Tum Meri Zindagi MeiN Aaey Ho, Meri Subah Shaam Ka Rang Hi Badal Gaya Hai. Khuda Lagti Kehti HoN K Tum Mere Jeene Ki Waja Ban Gay Ho.
Baa Qalam Khud
Shehr-e-tanhayi