

EID-E-MILAD UN NABI SALLALAHU ALAIHE WASSALAM KA SABOOT QURAN-O-HADITH AUR AQWAL-E-MUHADESEEN SAY









^^ App kay sawal maiN eak Addition kerta chalooN, 12 Rabi-ul-Awal kay dinooN main akser molvi yeh misra buhat duhratay haiN, Manatay haiN sabi milad, magr shaitan nahi manata.
Ab na tu milad key rasomaat Aswa-e-Rasool (SAAW) say sabit haiN aur na'hi App (SAAW) kay Ashaab (RZA) kay dor maiN aisi koy riwayat hay... tu iss misray ka kya matlab howa...??
munkareen-e-milad say sirf ek question aghar answer hai tu do nahi tu kal tak app ki posts delete hon gi.
1. Kya rasool allah ne ya quran ne milad-e-mustafa manane say mana farmaya ?
Aghar mana farmaya tu saboot dein.
Yaar mujhe jiss baat ka shakh tha woh sahi nikli app sab bilkul......... khair chorain!!!ham tu nahi ker saktay , App sirf do kaam karaiN ( Ju kay maiN daway say keh sakta hooN kay app kabhi nahi karaiN gay)
1) uper pochay gay sawalooN kay jawab day daiN
2) Quran, Sahi Hadees and/r sunnat, Aswa-e-Sahaba (RZA) say sabit ker daiN kay Milaad manana ja'iz hay.
Kaash kay app meray daway ko ghalat sabit ker daiN...
Jo Riwayt Wahabi pesh karty hain ke Rasool Allah ki wafaat 12 Rabi-ul-Awal ko hai aur Hazrat Aisha say riwayt hai woh bilkul JHOOTI hai aur uss ki koi asal nahi.Nabi Kareem Sallallahu Alaihai Wasallam ne jo kia Usko karna sunnat hai aur jo nahi kiya usko na karna sunnat hai. Kyonke Nabi Kareem Sallallahu Alaihai Wasallam ne kabhi apni BIRTH DAY nahi manayi isliay milad na manana sunnat hai. Aur manana BIDAT hai.
Bralvi Nabi Kareem Sallallahu Alaihai Wasallam ki wafat ke din JASHAN kyon mantay hain. Aunke iss dunya se chalay janay ki khoshi main?
oho tu Milaad manane say mana kab aur kahan kiya gaya yeh sabit karain naa janab^^ App kay sawal maiN eak Addition kerta chalooN, 12 Rabi-ul-Awal kay dinooN main akser molvi yeh misra buhat duhratay haiN, Manatay haiN sabi milad, magr shaitan nahi manata.
Ab na tu milad key rasomaat Aswa-e-Rasool (SAAW) say sabit haiN aur na'hi App (SAAW) kay Ashaab (RZA) kay dor maiN aisi koy riwayat hay... tu iss misray ka kya matlab howa...??
munkareen-e-milad say sirf ek question aghar answer hai tu do nahi tu kal tak app ki posts delete hon gi.
1. Kya rasool allah ne ya quran ne milad-e-mustafa manane say mana farmaya ?
Aghar mana farmaya tu saboot dein.
Milad ko Mubah kis nay kiya, iss say pehli dafa kis nay manaya, Imam Abu Hanifa ya baqi kay aima iss baray maiN kya mo'qaf rakhtay haiN, kuch roshni DalaiN gay app iss per...Yaar mujhe jiss baat ka shakh tha woh sahi nikli app sab bilkul......... khair chorain!!!
Meine app say pocha na ke bhai hum aik kam karty hai MUBAH SAMAJH kar Mubah woh kam hai jiss ko nah karain tu gunnah nahi milta aur kar lain tu sawab hai.
Tirmadi Shareef ki Hadith mein hai ke Rasool Allah sallalahu alahie wassalam ne farmaya Allah aur Uss ke Rasool ne jo halal kiya woh halal, jo haram woh haram aur jiss ke bary mein koi hukm nahi woh tum per muaf hai.
Abb app say mein yeh pochta hon ke Segrit peena Jaiz hai ya najaiz ? iss ka jawaz Quran-o-Hadith say lain.
Hum yeh nahi kehty ke Jo Milad nahi manata woh kafir hai laikin itna zaror kehty hai ke Gumrah hai ke uss ko Nabi ki aamid ki khushi nhi hoti.
App aisa karain ke Quran o Hadith say MILAAD Shareef ko nah manane ka saboot lai aain.