Musafir to bichartay hain, Rafaqat kab badalti hay

  • Work-from-home

Princess Mahi

Newbie
Dec 19, 2009
6,698
2,761
0
Musafir to bichartay hain, Rafaqat kab badalti hay
Mohabbat zinda rehti hay, Mohabbat kab badalti hai
Tumhi ko chahtay hain, Tumhi say pyaar kartay hain
Yehi barson say adat hai, aur, Adat kab badalti hai

Tumhain jo yaad rakha hay, Yehi apni ibadat hay
Jo pathar pay likhi jaye, Ibarat kab badalti hay
Kali ka phool ban'na, aur, Bikhar jana muqadar hay
Yehi kanoon-e-fitrat hai, aur, Fitrat kab badalti hai

Jo dil pay naqsh kar jaye, aur, aankon mein simatt aaye
Alamat hay ye chahat ki, aur, Chahat kab badalti hay
Ussey chaha, ussey pooja, yehi toqeer hay apni
Hamain gumrah mat samjho, Ibadat kab badalti hay

Puraney zakham ko yaro, bhula dena hi acha hay
Na chahey aap hi koi, to kismat kab badalti hai
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top