Musalman Ek Ummat! Ek Riyasat! Ek Chand! Ek Ramzan! Ek Eid!

  • Work-from-home

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
JazakAllah khiar...
buhut he mind blowing presentation hain...
ager serf ek shakhs ki gawahe kafi hain ya ek he jagah ki toh phir baki countries mei chand dekhne ki ikhtelaf raye kio hain...
and as we all know pak hamisha chand nazer na ane per saudi se ek den baad ka roza rakta hain so why is this happening? halan k hazrat Mohammad (P.B.U.H) ne irshad fermaya k tamam muslimano k lie ek he shakhs ki gawahe kafi hain...
 
Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
jazakAllah khair ayesha,
but saba ka sawal b to teeek hay,apki kia raye hay?
 
*lucky*

Newbie
Aug 9, 2010
4,386
1,581
0
sweet home
jazakallah

superbb sharing....
ye post mufti muneeb ur rehman ko send krni chahiye jo chaand k nzr aany ya na aany ka elaan krty hain...
 
Bint-e-Aisha

Maria ki Mama
VIP
Jun 16, 2009
9,885
6,437
713
chaand pe
JazakAllah khiar...
buhut he mind blowing presentation hain...
ager serf ek shakhs ki gawahe kafi hain ya ek he jagah ki toh phir baki countries mei chand dekhne ki ikhtelaf raye kio hain...
and as we all know pak hamisha chand nazer na ane per saudi se ek den baad ka roza rakta hain so why is this happening? halan k hazrat Mohammad (P.B.U.H) ne irshad fermaya k tamam muslimano k lie ek he shakhs ki gawahe kafi hain...
humen bikhraya gaya he sis...ap uper lord kurzon ka bayan parhsakti hen jismay usne kaha he k koshsh krni chahye k muslims me kbhi tamadduni or tehzeebi ittehad na paida hosakay...tamdduni ittehad me chand ka masla b aata he...ye sazish he kuffar ki sis...ye kuffar humen majbur krte hen k hum eid k din roza rakhen qk us din shetaan rakhta he..ye humse hr cheez cheentay hen...me kiya jo log ye baat samjtay hen jaantay hen wo roza rakhtay hen jab kisi islami mulk se chand dikhnay ki gawahi ajaye to...ap agr is baat ko samjh gayi hen to ap pe is baat ko practically amal krna farz hojata he agr Huzur S.A.W.W ki hadith pe amal krti hun

last year mufti muneeb ur rehman ne kaha tha k 500 afraad ki gawahi b majmay ki gawahi nhi hoti...wo kehte hen k majma ki gawahi mani jati he..mgr 500 afraad ka majma nhi hota he ziada ka hota he...

humne jab ye presentation mufti muneeb ur rehmaan ko pesh ki to unhone ye keh kr side me krdi k me majbur hun is muamlay me...koi is baat pe yaqeen kre na kre mgr ye haqeeqat he k unhen kiya nahi pata hoga? akhir mufti hen kiya unhone ye hadith nhi parhi hogi k ek musalman ki shahadat kafi he...sorry to say shayad kisi ko bura lgay mgr mufti muneeb ur rehman or ink jese kai ulma ne islam ko bech diya he ...geo k prog 50 min me mufti sahab ne kaha tha k khilafat puranay zamany ki baat he ab aisa nhi hosakta ab to yehi hukumat chalegi or aise hi eid hogi...kiya inse koi ye nhi poochega k ALLAH ne to is deen ko rehti duniya tak k liye qabil e amal banaya he to ye kese usay mehdood krsaktay hen...

end me me sirf e kahungi agr ap is baat ko samjhtay hen to isay phelaen...ALLAH ne ap se apk amal ka jawab lena he k kisi ne nhi bataya mgr mene tumhen ashraful makhlooqaat isiliye banaya tha k ghaur o fikar kro or phr amal kro...

jazakAllah khair ayesha,
but saba ka sawal b to teeek hay,apki kia raye hay?
mene koshsh ki he uper jawab dene ki or is topic pe baat krne ko mazeed tayyar hun...questions will b well entertained..

jazakallah

superbb sharing....
ye post mufti muneeb ur rehman ko send krni chahiye jo chaand k nzr aany ya na aany ka elaan krty hain...
mufti muneeb ur rehman ko dikhayi thi unhone kaha k me is muamaly me majboor hun
 
Ajnabhi

TM Star
Jan 28, 2010
4,027
911
813
Jazak Allah Khair................

very nice question Sabah.......... main bhi yahi puchne wala tha........
Plz kisi ko answer pata hai to please batado with reference .
 
*lucky*

Newbie
Aug 9, 2010
4,386
1,581
0
sweet home
mufti muneeb ur rehman ko dikhayi thi unhone kaha k me is muamaly me majboor hun
wah kia mufti sahab hain jo ahadees or quraan k liye majboor nahi hain...yaani k un k liye ahadees or quraan k frmaan ki koi ahmiyat nahi?unen apni majboori say gharz hai?
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Masha Allah bohot hi umdah sharing aur sab ko ek karne ki bohot achi koshish

lekin isme bohot ikhtelaf hai ham zyada kuch to nahi kahenge bas apke samne ek hadees pehs karenge aur apse iska jawab talab karenge

عَنْ كُرَيْبٍ أَنَّ أُمَّ الْفَضْلِ بِنْتَ الْحَارِثِ بَعَثَتْهُ إِلَى مُعَاوِيَةَ بِالشَّامِ قَالَ فَقَدِمْتُ الشَّامَ فَقَضَيْتُ حَاجَتَهَا وَاسْتُهِلَّ عَلَىَّ رَمَضَانُ وَأَنَا بِالشَّامِ فَرَأَيْتُ الْهِلاَلَ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ ثُمَّ قَدِمْتُ الْمَدِينَةَ فِى آخِرِ الشَّهْرِ فَسَأَلَنِى عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبَّاسٍ - رضى الله عنهما - ثُمَّ ذَكَرَ الْهِلاَلَ فَقَالَ مَتَى رَأَيْتُمُ الْهِلاَلَ فَقُلْتُ رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ. فَقَالَ أَنْتَ رَأَيْتَهُ فَقُلْتُ نَعَمْ وَرَآهُ

kuraib kahte hain ke ummulfazal ne unhanin Muaavia raziayallahoanho ke paas sham bheja to main shaam gaya aur unki zaroorat puri kiya aur wahin par chand nazar aagaya aur maine chand ko juma ki raat main dekha phir main madina wapas aagaya to ibne Abbas r.a ne mujh se pucha ke tumne chand kab dekha to maine kaha ke juma ki raat ko to unhon ne kaha ke tumne khud dekha to maine kaha ke haan aur logon ne bhi dekha aur wo sab roza se rahe aur Muavia r.a bhi roza se rahe to ibn e Abbas r.a ne kaha ke hum logon ne sabt (saturday) ko chand dekha hai aur hum log barabar roza se rahenge yahan tak ke 30 days hojaye ya chand nazar aajae to unhon ne kaha ke Muavia r.a ka chand dekhlena kafi nahi hai to ibn e Abbas r.a ne kaha ke nahi hamen Allah k Rasul sallellahu alaihe wasallam ne aise hi hukum diya hai

sahih Muslim hadees number 2580
 
mtlb jais aooper kaha gya k aik shakhs ki shahadat kaafi hai...to aisa nahi hai?

mtlb saudia or pak aik din aagy peechy rozy b rakhty hain and eid b mnaty hain to wo theek hai?
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

mtlb jais aooper kaha gya k aik shakhs ki shahadat kaafi hai...to aisa nahi hai?

mtlb saudia or pak aik din aagy peechy rozy b rakhty hain and eid b mnaty hain to wo theek hai?
aap khud is hadees par gaur kar sakte hain

sham me jahan Muawia r.a ne chand dekha sare logon ne dekha khud jo rawi hain unhone dekha jumma ki raat ko jab wapas madeena aaye to wahan Ibn e Abbas ne kaha Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne hame kaha chand dekh kar roze rakho aur agar nazar na aaye to mahine ki ginti puri karlo aur unhone jumma k chand ko nahi liya balke hafte ka chand jo unhone dekha wo liya wallahu aalam
 
Top