Music In Islam

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0
السـلام و عليـكم و رحمـة الله و بركـاته





Dosto hum ye baat bakhubi jante hain k music islam me haram hai laikin hamare paas iska sahih refrence na hone ki wajah se hum dosron ko aisi cheezon se nahi rokte aur naahi khud ispar amal karte hain.hum me se kitne aise musalman hain jo aisi cheezon ko haqeer(choti) jaankar isme mulawwis rahte hain jabke ye koi choti baat nahi hai.

Allah taala quran e majeed me kahta hai.

وَمِنَ النَّاسِ مَن يَشْتَرِي لَهْوَ الْحَدِيثِ لِيُضِلَّ عَن سَبِيلِ اللَّـهِ بِغَيْرِ عِلْمٍ وَيَتَّخِذَهَا هُزُوًا ۚأُولَـٰئِكَ لَهُمْ عَذَابٌ مُّهِينٌ ﴿٦

اور بعض لوگ ایسے بھی ہیں جو لغو باتوں کو مول لیتے ہیں
کہ بےعلمی کے ساتھ لوگوں کو اللہ کی راه سے بہکائیں اور اسے ہنسی بنائیں، یہی وه لوگ ہیں جن کے لئے رسوا کرنے واﻻ عذاب ہے

aur baaz log aise bhi hain jo fazool baton ko khareed te hain.k be ilmi k saath logon ko Allah ki raah se bahkaayen aur isse hansi banayen yahi wo log hain jinke liye ruswa karne wala azaab hai.(Luqman-31-06)

hazrat abdAllah bin masood raziAllahu anhu Allah ki qasm khaa kar farmate hain k is aayath se muraad gaane sunna aur gaana hai.(Tafseer ibn kaseer 333/6).

aur isi tarha Allah k nabi(pbuh) ne farmaya,hazrat abu aamir aur abu maalik ashari raziAllahu anhuma bayan karte hain k rasool (pbuh) ne farmaya"meri ummat me kuch log aise paida honge jo zina,resham,sharaab(alcohol) aur gaane bajaane k cheezon ko jaayez kar lenge.(
sahih bukhari-5590).

aur isi tarha hazrat anas raziAllahu anhu riwayat karte hain k farmaya nabi(pbuh) ne "is ummat me mandarja zail azaab aayenge,zameen me dhans jaana,pattharaon ki baarish,aur shakl o surat ka badal jaana aur ye azaab tak aayenge jab log sharaab(alcohol) piyenge,gaane waali laundiyan rakhenge,aur aalaat e mausiqi(music instruments) play karenge.( tirmizi-2212 ).

music aur gaane sunne par ye thi Allah aur uske nabi(pbuh) ki wayeed isliye hame aisi cheezon se bachna chahiye.kyunke Allah k nabi(pbuh) ne dhool bajane se mana farmaya aur isi tarha baansuri aur bain etc k taaluq se farmaya k wo faajiraana aur ahmaqaana awaaz hai.
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
walakumsalam wrwb ..
jazakaAllah khair itni mufeed sharing ke lie..
gaane to mai bhi bht sunta hon..inshaAllah khoshish karta hon gaane na sunne ki .Allah talah hum sab ko ismei asani ata farmayein.AMEEN
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Walaikum Salam..............
Haan mei bhi sunti hun songs toh...
Koshish rahegi k is haram se bacha jaye
JazakAllah khair Arshad bhayi
 

Jiya.

TM Star
Jan 1, 2011
7,370
4,268
113
•°Karachi
Walykumaslam
Mashallah nyc sharing
Allah hamay is haraam cheezon sy bachye aur ganaa sunny sy bi door rakhy Ameen :)
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
walikumu salaam

JazakAllah very Informative sharing..!

sOngs tu I think sabhe suntay hain..! Main bhi Laken main Kam kam sunti hon Inshallah pori koshish keron ge k Is se Bacha Ja sakay Baqi Allah madad Farmaye hum sab ki Aameen.
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Walykumaslam
Mashallah nyc sharing
Allah hamay is haraam cheezon sy bachye aur ganaa sunny sy bi door rakhy Ameen :)
Allahi baarik feek mohtarma.aameen

walikumu salaam

JazakAllah very Informative sharing..!

sOngs tu I think sabhe suntay hain..! Main bhi Laken main Kam kam sunti hon Inshallah pori koshish keron ge k Is se Bacha Ja sakay Baqi Allah madad Farmaye hum sab ki Aameen.
Allahi baarik feek mohtarma.
Allah aapke is kaam me aasani farmaye aameen.
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
Allah ta'laa hamaen apne ehkamaat pe amal karne or jin ehkamaat se baaz rehne ki talqeen ki hai unse bachne ki taufeeq ataa farmaye, ameen...

jazaakAllah Khair for such a nice sharing....
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Walekum Assalam WRWB
Bohot Hi zabardast article likha hai aapne Arshad Bhai....

ALLAH TAALA hum sab ko ye Haraam kaam se bachae, mai bhi sunta hu lekin bohot hi kam kyun ke tym bhi nahi milta hai ye sunne ke liye, aur behtar hi hai tym na mile aisa raha to waswason me hota hai dimaagh...

ALLAH TAALA hame deen ki sahi samaj ataa farmae AMEEN.
ALLAH TAALA Jazae Khair de aapko AMEEN...
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Qalandar

Active Member
Aug 8, 2011
323
477
63
37
جزاکم اللہ بھائی
اسلام ایک ایسے نظریہ کا نام ہے جو انسان کی تطہیر کرنا چاہتا ہے۔
اس کی سیرت و کردار کو بنانا چاہتا ہے۔
لہذا ایسے تمام امور جو انسان کی سیرت و کردار کو متاثر کرے، برباد کرے اس سے انسان کو روکتا ہے۔
شراب میں کچھ فائدے ضرور ہیں لیکن مجموعی طور پر وہ خباثت اور برائی کا مجموعہ ہے جو انسان کو بہکا دیتا ہے جو انسان کو برائی کی طرف راغب کرتا ہے اس لئے شراب کو حرام کیا گیا۔
اسی طرح خنزیر کا گوشت حرام کیا گیا کیونکہ اس کے گوشت کھانے سے انسان میں جنسی خواہشات امند آتی ہے اور وہ زنا اور بدکاری کی طرف راغب ہوتا ہے۔
اسی طور پر انسان کو ہر اس عمل سے روکا گیا جن سے برائی ، فحاشی کی طرف انسان کو رغبت ملتی ہے۔
موسیقی بھی انسان کو برائی ، بدکاری کی طرف راغب کرتی ہے اس لئے ایسے امور اسلام میں حرام قرار پائے ہیں۔
اللہ تعالی ہمیں دین اسلام کی سمجھ نصیب فرمائے۔
 
  • Like
Reactions: Aara'af
Top