Muslim ghair muslim aur bad mazhab

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Assalam o alaikum doston is umeed ke sath ke aap sub theek hongein insha'ALLAH
hum aaj eik ehem mouzu pe baat karengein aur uspe bila shuba wazahat aur ilm
ki roshni ke saath baat karengein

Muslim...

Har woh shaqhs jo ba dil qalma e taiyaba ko qubool kare 5 waqt ka namazi ho Qur'an e pak parhe
bure kaamon se guraiz kare yaa kar le to un pe nadamat mehsoos karke bakhshish talab kare
woh shaqhs sahi maanon mein musalmaan aur ALLAH ka neik banda hai khua phir woh shia woh
yaani phir bhale hi
(woh moharram mein apne ghum ka izhaar baaqi musalmaanon se zyada karte
huwe maatam kare)
use aap daira e islam se bahir nahin keh sakte

aur phir bhale hi woh sunni ho yaani
(woh mazaaron pe jaa ker chaadar charhata ho wahan du'aon maangta ho
Apni marzi se kisi bhi raat mein nawafal parhta ho aur Huzoor saww ke is dunya me aane ke din pe jashn manata ho)
(note i said wahan du'aon i was nt said un se du'on mujhe mushriq ka fatwa na de daalna :p)
agar islam ke arkaanon pe mukammal yaqeen rakha aur poora karne mein bhi laga raha to use bhi daaira e islam
se bahir nahin keh sakte

aur kyun hi na woh Deoband ehl e hadees yaa wahabi ho inme se bhi jis firqe wale ne islam ko dil se qubool kiya
aur Huzoor saww ke sunnaton pe chalne ka sache dil se sadaq kiya aur chalne ki koshish sada ki woh musalmaan hai
phir bhale hi
(woh walion ke mazaraat pe na jaye niyaz na khaye namaz ke tareeqon mein baaqion se tabadil rakhta ho)
use bhi aap daaira e islam se bahir nahin keh sakte

in baaton pe se har firqe wala musalmaan yaa phir firqon ke jaal mein na aane wala musalmaan bhi iteffaaq karega
kyunke islam namaz rouza zakaat hajj ka dars deta hai neiki aur bhalaiy ka dars deta bas itna karne se hi woh sacha
pakka musalmaan ban jaata hai

to ab aate hain ghair muslims ki janib

Ghair muslim.....

Jo pehla qalma qalma taiyaba parh bhi lein per sadq e dil se nahin woh musalmaan nahin jo ALLAH ke walion ki buraiy kare
Huzoor saww ke sahaba ki touheen kare Madeena e munawwara ko shaheed karna wajib o sawaab samjhe
ALLAH ke ilawa aur bina kisi aur se shifa rizq khairiyat aur rehmat ki umeed rakhe aur talab kare sirf apne tola ya jamaat
ko musalmaan samjhe aur baaqi Ehl e islam ko kafir yaa mushriq samjhe apne musalmaan bhaion ko loote gunah e qabeera kare
touba karke phir baar baar us hi gunah ki janib jaye

to woh hargiz musalmaan nahin bhale hi woh namazein parhe mazaraat pe jaye ya niyaz na khaye ya khud ko hazrat e Ali r.a
ka mohib maane woh musalmaan nahin aur kisi shart pe nahin

ab aate hain bad mazhab ki jaanib

Bad mazhab......

doston hum Musalmaan hain aur Hindu sikh eesaiy aur baqi saare mazhab wale to ghair mazhab huwe bad mazhab kya hai.?
bad mazhab use kehte hain jo apne mazhab ki pariwi kare na kare per aap ke mazhab yani Islam ka dushman ho aur Islam
ke khilaf sazish kar raha ho aur humare harkaton aur gunahon ki wajeh se aaj hum hi mein se bad tareen loug sirf naam ke
musalmaan humare yaani muslim world ke hukmuraan hain aur isse badi buraiy humare liye yeh ke humare aala darje ke
ulma bhi Yahood o nasaar ke sath mil kar bad mazhab ho chuke masalan

in bad mazhab kam bakht ulma ne aaj humein is qadar bhatka diya hai eik doosre se door kar diya hai ke musalmaan
musalmaan se itna nafrat karta hai jitna ghair mazhab balke yahood o nasaar se karni chahiye T.V dekhne Games khelne
gaane sunne se zyada humara dhiyan is taraf laate hain ke aur firqe ehl e kufr hain aur humare khilaf hain aap dekh lein
ke aaj be namazi Qur'an ki zabar zair na jaanne wala sunni zakaat sadqa khairaat na karne wala sunni bhi sirf aur sirf
mazaraat pe chadar charhane aur 11 11 rupey ki niyaz baantta dikhega

aur aaj ka be namazi deobandi Qur'an e pak ki zabar zair na jaanne wala aur bhale hi be wazoo shaqhsiyat hi
aapko uper paanche wala aur is hi ka dars deta nazar aayega

baaqi ke firqe walon ka bhi yehi haal hai doston firqon se larte jhagarte humein larwane wale bad mazhab apne
maqsad mein kamyab ho rahe hain doston jo hum mein deen ki raah per nahin use to sache imaan se door rakha
hi hai baaqi jo deen ki raah per hain unhein bhi yeh bad mazhab ulti ulti patiyan para rahe hain doston
qasam khaa kar kehta hoon koi fard kisi bhi firqe mein jaane ke sabab mushriq o kafir nahin ban jaata humein
ab to hos sanbhaal lena chahiye kab tak nadaan bache bane rahengein 30-30 40-40 baras ke umeron ke bawajood

zara sochiye ke aapke masjid ke imam jitna bhi us fard mein ilm nahin to phir woh itna bada aalim kaise ke raat din
T.V pe betha ho aur aap use dekh rahe hon woh to aapko kehna hi bhool gaya ke mera T.V pe aane ka bhi islam ijazat
nahin deta balke mein itni dafa T.V pe dikh chuka hoon ke shayad mujh se kam gunah tumhare masjid ke us imam ke hain
jisse mein yahan bethe bethe bina uske naam bhi jaane bina uske zahir o batin jaane sirf maslaq ki wajeh se kafir
keh raha hoon mujh se to kaiin feesad achha hai

doston T.V dekhna haraam hai to hai phir chaahe Q.tv ho Peace.tv ho yaa phir aur koi bhi channel aur woh shaqhs
mazaar pe jaane se niyaz na khaane yaa khane se aur maatam se zyada bura kaam kar raha hai jo T.V pe aa ke
aapko bata raha ke islam kya hai.??? kyunke use pehli baat to uska chehra dikh raha hai as photo tasveer jo
ke hai hi haraam aur phir jitne loug use dekh rahe hain unke gunah ka hissa bhi us shaqhs per aata hi hai yeh inke
apne hi eik zamane mein fatwe the jab yeh loug khud T.V pe nahin aate the

khair plz plz plz plz hosh ka daaman pakrein aur sach ko jaanein aap kisi bhi maslaq se hain namaz parhein islam ke arkaan
poore karein kaafi hai us hi maslaq mein hi rahein kisi ko khud kufr karta shirq karta dekhein to use kafi ya mushriq maan lein
magar kabhi kisi poore ke poore maslaq ko kaafir nahin kehte Insaniyat musalmaniyat yehi kehti hai magar bad mazhab loug
humein bhadkaana chaahte hain..............

agar mene kahbn bhi kuch bhi ghalat kaha ho to uske liye muazrat aur zaroor kahiyega ke ghalti kahan huwi

Thats all

du'aon ka talib

S_ChiragH
 
~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
W salam Bro.....Bahut hadd tak umdagi se apne Musalman ki aur Islam ki tashreeh ki hai...Aapne ek ahem shaks ki taraf ishara nahi kiya jo k Islam ko sabse zyada nukhsan pahunchane me pesh pesh raha hai...Bad mazhab se bhi zyada tabahi Islam ki MUNAFIQ ne ki hai.Badmazhab to islam ka khula hua dushman hai magar Munafiq ne to dayeray e Islam me rahkarWo karnamay anjam diye hain,jiski tareekh to gawah hai hi,islam k mannewalon ka sar bhi isi MUNAFIQ ki wajhe se jhuka..Rasool swww ka kalmago to ahi MUNAFIQ magar srf zaban se,andar se ye islam ki jaden kat'ta hai,Ahadees e Rasool me raddo badal karta hai aur baz ahadees to sire se manta hi nahi..apne Fatwe jari karta hai...Ye hai to Musalman aur lafzi Rasool swww se mohabat ka dawedar bhi hai,Usi Rasool swww ke ahkamat ko neest o nabood kardiya,apni marzi se Rivayeten Rasool swww ki taraf mansoob ki aur masoom logon ne aise hi kayi MuNAFIQON ki pairwi ki..Logon ko sach aur jhoot ka pata bhi na chala aur Rivayeten aur Raavi dono bhi zamanay k sath sath badalte rahe......,
Kya yeh Wahi Islam hai jo aj hum Follow karahe hain?Kya isi Islam ko Paighambar e Khuda SWW ne hum tak pahunchaya tha?
Aur kya hum roze hisab bach jaynge ye kahkar k humne to wahi amal kiya jo humtak pahuncha ya pahunchaya gaya...Ji nahi Allah Wo baat qubool hi kaise karega jo Paighambar e Islam ne pahunchayi na ho ya jo Islami ahkamat me shamil na ho...Toh pata yeh chala k humko rivayat bhi usi se leni chahiye jo Rasool swww ki tarha saccha,Rasool k nakhshe qadam apni zindagi guzari ho,Jisne Rasool sww k ahkamat par poora amal kare,Jisko Rasool ki tarha ilm ho,Jo Rasool swww hi ki tarha Masoom ho....
Parwardigar e aalam ne kisi zamanay me bhi apne bandon ko baghair Raah e Numa k nahi chora..Apne bandon ki hidayat k liye humare zamane me bhi Haadi maujood hain...Dhundne ki aur samjhne ki zarurat hai...
Beshak Allah ne Deen ko mukamil kiya H.Mohamad Mustafa Swww k zariye,Beshak Rasool swww k zariye hi ahkamat Khuda ne humtak pahunchaye par Rasool swww k baad Kya wahi Islam humtak pahuncha?Saccha Islam,Sahi ahadees sahi logon k hathon hi pahunch sakte hain jo k khud Sadiq hon jo k khud unpar amal paira hon,Jinki zindagi tamam Aalam k liye mashal e raah ban jaye.....
Soch o fikar ki manzil hai????????????????????????????????????????
 
Thanks osum comment well said behna
 
Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
jazakallah bhai chirag ..aur bht roshni b dali hy aap ne topic pe,,, bht khoobsurat sharing hy keep sharing..:)
 
Top