My Fav Shair and poetry

  • Work-from-home

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
Wo jalte huey haroof

Sheh-rug mein ab bhi hein

Wo kaante adey huey



Aik baar such kaha tha

Magar uss ki aag se

Ab tak meri zubaan par hein

Chaale padey huey
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
Tu kahein bhi rahe

sar pe tere ilzaam tuo hai

Tere haathon kee lakeeron main

meraa naam tuo hai



Mujh ko tu apna bana ya na bana

teri khushi…

Tu zamaney mein merey naam se

badnaam tuo hai…



Merey hissey mein koi

jaam na aya, na sahi

Teri mehfil mein merey naam

koi shaam tuo hai…



Dekh kar laug mujhe

naam teraa lete hain

Iss pe mein khush hoon

muhabbat ka ye anjam tuo hai
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
tere sabhi ghamon ko samet lon mein tujhe itna pyar don
teri udasion ko mita k her sham nikhar don
teri aankhon main chupi khizan mere dil pe asar ker gai
tere wajood ko mehka day jo tere laboon ko wo bahar don
teri ik muskrahat ka badal kuch ho nahi sakta magar
jo milay tujhe khushi mein apni jaan bhi waar don
aa gaya ha jo hijer ka dor tere mere darmian
jo milain mujhe fursten ye waqt ka qarz utar don

tere dil ki ronaqain murjha gai hain jo iss tarah
laga k apnay seenay se tere dharkanon ko qrar don
tanhiyon k toofan se jo bikhar gai hain sabhi
jo kahay tu agar aa ker teri her zulf ko sanvar don
meri nigah bhi ha tere ik nazar ki muntazir
jo kray tu idher nazar tujhe duain be-shumar don
nah dhan se,nah dolat se na dunya se koi mera wasta
milay jo bas tu agar tere sang zindagi guzar don
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
chaloo ab faisla karlo

chaloo ab faisla ker lo
k jo apni mohabat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to yeh jana
mohabat youn nahi hoti
jo mein nay khuwab dekhay thay
ab in ki kirchiyan hi hain
or zakhmi paon hain meray
tumhara hum qadam rehna
mujhay mumkin nahi lagta
tumharay or meray darmiyan
koi dewar ha shayd
YEH hargiz gir nahi sakti
tumhain woh log pyary hain
jo mujh ko zahar samjhtay hain
mujhay tum ab bhi pyaray ho
mager ab moor aisa ha
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata ho ga
mukhaluf simt chlnay say
kabhi manzil nahi milti
to phir kiyon waqt khootay ho
chaloo ab faisla karlo

 
Top