NAMAZ ki Paabandi

  • Work-from-home

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Assalam u alaikum Doston is section me apna pehla thread laga raha hu, hope kisi ko pasand aaye aur kisi ko na bhi pasand aaye...

Is thread me aapko karna ye hai ki aapko apni har namaaz ki attendance deni hai..
Har namaz ke baad nahi deni hai balke din bhar me kabhi bi de sakte ho jaise ki...
Fajar
Zohar
Asar
Maghrib
Isha
saari Namaze aapne adaa karli ho to aapko likhna hai ki saari adaa ki gai hai aur koi miss hogai ho to kehna hai ki aapki koi namaz adaa nahi ki gai hai..
Isme koi sharm waali baat nahi hai ke koi kam namaaze parhta hai..
Lekin isse ye hoga ki koi apni namaaz ki paabandi to kar sakega ke is post me hame kehna hai ye sonch kar aur agar kisi ko acha na lage ke mai agar koi namaaz adaa karta ho to kaise is thread me kahu, isme jhijhak kaisi isse aapki namaazen to hote rahegi....

Aur ye na samjhe koi bhi ke ye thread maine koi dikhawe ke liye lagaai hai...
Is thread ke zariye koi Namazi to bund sakta hai agar ALLAH TAALA ne chaha ho to.....



 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
walakumsalam wrwb..nice thread bro...jazakaAllah..
isha ki namaz baqi hai..baqi sari parh lien..Alhamdulilah
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Walaikum assalam wasif bhai.
jazakAllah khair bahot acchi thrd lagayi hai aapne.
ispar mujhe ek waqiya yaad aata hai.ek martaba mere ek dost ne bhi aisa sisila hamare group me bhi start karne ko kaha.laikin mere ameer sahab ne kaha k isse kia faayeda hoga bus ye zaheri faayeda dikhega.jo parhna hai wo to aise bhi parhlega isse logon me batane ki kia zaroorat hai.aur Allah to janta hi hai.har khuli chupi baat ko.

to unke dost ne kaha k han main janta hon k ye programme tumhe sahih na lage laikin.aur jaisa k aapne kaha k Allah to janta hai har khuli chupi baat ko.laikin usne hame qayamat me gawahi k taur par do farishtaon ko laga dia hai hamari har neki aur buraayi ko likhne keliye.

isliye hame aisa programme start karne me koi harj nahi.

Alhamdulillah aajki saari namazein waqt par huin.
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Arshad Bhai aapki baat bilkul durust hai, mai aapki baat se sehmat hu..
Maine bohot socha is thread ko lagane se pehle mujhe bhi laga ki dikhawa zyada hoga is thread me, phir socha ki ye baat alag hai lekin agar kisi ko ALLAH TAALA ne hidayat dedi is thread ke zarae se to isse achi baat kya hogi, aur ALLAH TAALA sabke dilon ko jaanne waala hai beshak....
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Arshad Bhai aapki baat bilkul durust hai, mai aapki baat se sehmat hu..
Maine bohot socha is thread ko lagane se pehle mujhe bhi laga ki dikhawa zyada hoga is thread me, phir socha ki ye baat alag hai lekin agar kisi ko ALLAH TAALA ne hidayat dedi is thread ke zarae se to isse achi baat kya hogi, aur ALLAH TAALA sabke dilon ko jaanne waala hai beshak....
ji han aapne meri baat ko nahi samjha main bhi yahi kah raha hon k aisa hona chahiye.aur ek baat aapko bataun aisa silsila hum log taqreeban 3 months pahle hi start bhi karchuke hain.
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
saari namazein waqt par ada hogae thi kal Alhamdulilah..
abhi fajar ka intezar kar raha hon
 
Top