Namaz Kia Hai

  • Work-from-home

tittli

Newbie
Jan 21, 2008
168
16
0
Namaz aik bohat ehaam ibaadat hai,
Namaz ruh ki taskeen hai
Namaz Aik esi ebadat or aik esa amal hai jo humain na sirf borayayoon se pak karta hai balke Panch waqt ki namaz perhnay se hum har dam pak saaf rehtay hain, humain apni booraiyan khood nazar anay lagti hain, humain akhraat ki fikar hojati hai.
 
  • Like
Reactions: Amo

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Namaz Kia Hai


Ap k khayal mein namaz kia hai???

Please try to be more Specific
Namaz Jannat ki Kunji hai.
Namaz Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ki eyes ki thandak hai.
Namaz burai say rookti hai.
Namaz Jahanum main jane say bachati hai.
Namaz parne say dil ko sakon milta hai.
Namazi ko Qayamat waly din Allah ki ziarat hoo gi.
Namaz say Rizaq main barkat hoti hai.
Namaz ke itne faidy hain ke main bayaan nahi kar sakta per app sab say request hai ke Hamesha namaz party raho.
 
  • Like
Reactions: adnanasghar

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Namaz sab say bari bat to ye k namaz Kurb-e-Ilahi hasil kerne ka behtareen zariya hai is k sath sath namaz perhne say insan may tam tar buraiyan dore ho jaty hein or namaz naiki ki taraf aik pull (bridge) bana dety hai jo insan ko buraiyon say dor ker dety hai
Namaz say insan ka emaan mazboot tar ho jata hai as well as insan na paki say bhi dor rehta hai
as Midtown has said k namaz kay bay inteha fazail hein jinko hum biyan nahe ker sakte or mein bhi sab ko yehi mess dongi k atleast apnay din k zyada nahe to 20 minz Namaz k liay wakf ker dein
ager ap koch weeks namaz k paband ban gay to apki sari zindagi asaan ho jay gi or ALLAH or uska Rasul (S.A.W) bhi ap se khush hon gay
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
namaz k liya aap (S.A.W.W) nay irashaad farmaya k

"jab tum namaz k liya kharay ho to is tarha k tum Allah ko dekh rahay ho
agr tum us ko nahi dekhtay to wo tum ko dekhta hi hai"

namazi ka Allah k samnay kharay honay ka tassavur karna hi namaz hai k wo Allah k samnay mojood hai auir us ki barai biyaan karraha hai...is tarha namaz main namazi ka jism hi nahi rooh bhi involve hogai aur jis ibaadat main roohani tawajja hasil hojye wo sonay par suhaaga hai isi tarha hamain namaz ki barkatain hasil hongi...

kyn k is ummat k liya ye sharf hasil hai k namaz hamaray liya Allah nay mairaaj kar di yani hum namaz main kharay hon aur hamari roohani ibaadat hojye gi jis se momin arsh par apnay aap ko mehsoos karta hai
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
Namaz Allah n Humare Pyare nabi k taraf se 1 tofa hai.. jo humhe in k qareeb lata...
Namaz 1 bht bari ebadat hai jo hur buraie hur takleef or pareshanioon ka hal hai...
Namaz se insaan Allah or humhare Nabi k qareeb ata...
or baqi sub ne likhdia hai.. jo mai bhi likhna chati thi :)...

 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Namaz Kia Hai



Ap k khayal mein namaz kia hai???

Please try to be more Specific

Namaz hum par farz yani Islam ka pehla rukn hai aur Allah ka hum per sub say ziada aur pehla huq hai k hum ussay ada karain.

Namaz Allah ki takhleeq ka sub say barh kar aur uski naimaton ka shukr ada karnay ka zariaya hai.


Namaaz hamaray ghuroor, takkabur, ana aur tamaam buraion ko hum say juda kar kay aur sub kuch hum say bhula kar Allah k samanay hamain uski wahdaniat, qadir e mutliq aur takhleeqkar honay ka aitaraf hai uskay qadmon main sajda rezi k zariaay.

Is k ilawa nazam hamain pak os saaf, chaq o chauband aur gunahon say door rakhnay aur Allah ki yaad ka zaria hai.

Namaz Allah say qareeb rakhnay ka zaria hai. Allah say qareeb rahain gay to uski batain bhi yaad rahain gi uski batain yaad rahain gi to hum amal bhi achchay karain gay amal achchay karain gay to na sirf Allah khush ho ga balkay us kay banday bhi aur mashra bhi hamari achchion say mustafeed hoga aur aik sayhatmand mashra ho ga kum uz kum hamari janib say.


Admin aap bohat zabardast sawal kartay hain jawab denay main maza ata hai.
 

Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
namaz.... namaz wo wahid cheez hy jo insaan ka ta'luq dunia se tor ker Khuda ki tarf le jati hy namaz her lehaaz se humari amali zindagi mai ehmiat ki hamil hy sirf religious hi nahi dunyavi life mai bhi hum time k paband hojaty hyn humary kaprey paak rehty hyn hum paak rehty hyn jhoot kaafi hd tak choot jata hy agr sacchy dil se namaz parhen to... namaz Allah ki barai batany ka ik tareeqa hy uske hukum ko manney ka ik zaria hy k wo hukum kerta hy to hum jhuk jaty hyn uske samne uska aagey sir basajood hojaty hyn uskey aagy khud ko surrender ker dety hyn jis ka Islam mafhoom hy mtlb aap ne namaz paa li to goya deen pa lia Huzur paak(s.a.w) ka irshad hy "namaz deen ka sutoon hy jis ne isey qaim kia us ne deen ko qaim kia or jis ne isey dha dia us ne goya deen ko dha dia" namaz raaht o taskeen ka zaria hy aap practical ker k dekh lo agr aap boht bechain ho boht pareshan ho to usi waqt wuzu ker k poory dil se 2 nafil namaz adaa kijiye aapki beqarai jati rahy gi to Khuda ne humey ik zaria dia hy dunia o akhrat mai surkhuru honey ka or boht hi aasan tareeqa hy Namaz
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
NAMAZ janat ki kunji hai

islam ka 5 rokkan main say aik rokkan hai

jiss k bagair imaan complete nahi hota

namaz ALLAH aur insaan k rabtai ka zariyaa hai
 

Amo

Newbie
Jan 2, 2015
1
1
1
Namaz Kia Hai


Ap k khayal mein namaz kia hai???

Please try to be more Specific

ہم سے عبیداللہ بن موسیٰ نے یہ حدیث بیان کی۔ انھوں نے کہا کہ ہمیں اس کی بابت حنظلہ بن ابی سفیان نے خبر دی۔ انھوں نے عکرمہ بن خالد سے روایت کی انھوں نے حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے روایت کی کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اسلام کی بنیاد پانچ چیزوں پر قائم کی گئی ہے۔ اول گواہی دینا کہ اللہ کے سوا کوئی معبود نہیں اور بیشک حضرت محمد صلی اللہ علیہ وسلم اللہ کے سچے رسول ہیں اور نماز قائم کرنا اور زکوٰۃ ادا کرنا اور حج کرنا اور رمضان کے روزے رکھنا ۔ sahee bukhree 8
 
  • Like
Reactions: Don
Top