Namkeen Qata

  • Work-from-home

*Nazar

Newbie
Oct 13, 2008
579
271
0
35
Lahore
Ye Mujh Ko Khabar Hai K Nahi.N Mujh Me Koi Gun
Lekar K Yahan Aya Hoon Mein Aaj Nayi Dhunn
Tu Apni Ghazal Parh K Khisakta Hai Kidhar Ko
Mein Ne To Tujh Sun Liya Tu Bhi To Mujh Sun
Sher Achche Hai Fun Achcha Hai Kamaal Achcha Hai
Dekhna Sub Ye Kahein Ge K Khayal Achcha Hai
Doston Tum Ko Sunaoonga Naye Sher Abhi
Wo Alag Baandh K Rakkha Hai Jo Maal Achcha Hai

Kab Se Pardes Me Hain Ghar Ki Nahi Li Sudh Bhi
Ek Bachche Ki Khabar Aaj Bhi Yaar Aayi Hai
Unko Pardes Me Qudrat Ne Ye Baqshi Izzat
Wo Biyaan Baan Me Hai Aur Ghar Me Bahar Aayi Hai

Mehboob Waada Kar K Bhi Aaya Na Doston
Kya Kya Na Dekho Humne Kiya Uske Pyaar Me
Murge Chura K Laaye The Jo Chaar Popular
Do Aarzoo Mein Kat Gaye Do Intezaar Me
 

*Nazar

Newbie
Oct 13, 2008
579
271
0
35
Lahore
Lejiye...........do qitay aur pesh hain:

Is martaba bhi aaye hain number tere to kam
Ruswaiyon ka meri daftar banega too
Bete ke sar pe deke chapat baap ne kaha
Phir fail ho gaya hai minister banega too

Mai.n huu.N jis haal me.n ai mere sanam rahane de
TeG mat de mere haatho.n me.n qalam rahane de
Mai.n to shaayar huu.N meraa dil hai bahot hii naazuk
Mai.n paTaake hii se mar jaa_uu.Ngaa, bam rahane de

 
Top