Pani Aaankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai

  • Work-from-home

Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
Pani Aaankh mein Bhar kar Laya ja sakta hai
Ab bhi Jalta Shehar Bachaya ja skta hai
Aik Muhabbat aur Woh Bhi Nakam Muhabbat
Lekin is se Kaam Chalaya Ja skta hai
Dil par Pani Pine aati hain Umeedein
Is Chashme Mein Zehar Milaya Ja skta hai
Mujh Gumnam se Poochte hain Farhad o Majnu
Ishq mein ketna Naam Kamaya Ja skta hai
Yeh Mehtab yeh Raat ki peshani ka Ghao
Aisa Zakham to Dil par Khaya Ja skta hai
Phata Purana Khawab hai mera Phir Bhi Tabish
Is mein Apna Aap chupaya ja skta hai

 
Top