Parhti hun usay roz, kitabon ki tarah hay

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
34
Parhti hun usay roz, kitabon ki tarah hay
Gum-gashta mohabbat k, khwabo`N ki tarah haii
wo rooh k sehra mein sarabo`N ki tarah haii

wo zeest k maktab mein nisabo`N ki tarah haii
parhti hoon usse roz, kitabo`N ki tarah haii

ab un se khiyalo`N mein hii ho jatii hien baatien
gou beech mein parda sa hijabo`N ki tarah haii

us shaks k lehjay mein sheeshay ki khanak haii
rug rug mein uterta hai, sharabo`N ki tarah haii

us shaks k paikar mein haii shaakho`N ki lachak sii
us shaks ka chehra bhee gulabo`N ki tarah haii

jo vasal ki raato`N mein hai ik mah-e-munaver
furqat mein wohii shaks azabo`N ki tarah haii
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top