~PoOrA ChAnD~

  • Work-from-home

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom

poora cjand mujhe kehte hain
lekin aage dekho jaanan...........!
kis darjah main adhoori hun
har soo gehri tareeki hai
dhund bhari sab raahen hain
safar bhi kitna mushkil hai
aur sooni si yeh tanhai hai
chand si himmat kaise paun
waisa zabt kahan se laun............?
woh tanha hai veerane main
aakash ke bikhre sannate main
patthar zaada hai woh bechara
so gavar se husn ka maara
bhojal karti tareeki main
be manzil hi bhatak raha hai
saddion se yun sulag raha hai
poora chand mujhe kehte ho
per mere andar ek dil hai
main to patthar zaada nahin hun
main to ek zinda larki hun-!
 
Top