Qistmat/Taqdeer

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
Assalam-o-Alykum


log kehte hian k insaan k peda hone say pehle us ki qismat/taqdeer likh di jati hai ... so agar yeh scah hai k

to jo log buray kaam karte hain to kia wo apni taqdeer par blame kar sakte hain .. k hamari taqdeer mein yeh likha tha so hum nay yeh kaaam kia...

wayse Allah nay sab ko do rastay diye hain neki or badi ... per kon say rastay par jana hai yeh faysla hum ko karna hai ..... per agar koi bura rasta choose karta hai or phir us say koi baad mein yeh kehta hai k aap nay badi ka rasta kiun choose kia to kia wo yeh keh sakta hai k bass jo qismat mein likha tha wo hi howa... ya phir yeh k meri qismat mein hi yeh rasta apnanay ka likha howa tha.....


Agar aap ko yeh sawal smjhnay k lie or explanation chaiye to please post it here

Shukriya
 

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Actually bhai app ne jo likha app ki apni soch hai per jo kuch Taqdeer main likha jaa chuka hai woh likha jaa chuka hai koi insaan yeh nahi keh sakta ke woh kisi ko Qatal kar dai tu uss ki taqdeer main likha howa tha main QTV per Mufti Akmal Qadri sahib ka Programme sun raha tha unn say bhi kisi ne yahi Question kia unhon ne bataya ke Taqdeer 3 Qisam ki hoti hai aik woh jiss ko hum change nahi kar sakty jo Looh-e-Mehfoz per likha jaa chuka hai woh hoo kar hee rehna hai balky Allah ke Nabi bhi uss ke khilaf dua nahi karty ke Ya Allah uss ko badal dai uss per jo likha jaa chuka hai woh lazmi lazmi hona hai aur dosri yeh ke woh Taqdeer hai jiss ko Dua change kar sakti hai aghar Allah cahay tu aur teesri yeh ke Insaan uss ko khudh choose karta hai yani Acha ya bura rastaa...
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
aha... good answer... it doest make sense...

agar koi or achi explanation dena cahta hai to please....
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Bohat zabardast baat hai.

Kuch salon pehlay main bhi yay sawal parh kar chakra gai thi k jub Allah nain likh dia hai to hum kaisay qusoor waar. Main bilkul confuse ho gai thi k phir jub yay sawal zahan main aya k Allah kisi pay ziadti naheen karta. Kisi ko bilawajah saza naheen deta to khud hi hamari buri taqdeer likh kar hamain kioon day ga.

Ub is baat ki kafi achchi tarha samajh aa gai hai.

Meri naqis ul aqal nain issay samjha hai wo is tarha hai k Allah nain bayshuk likh dia hai laikin choonkay us nain hamain banaya hai wo hamari rug rug say waqif hai k hum kia kar saktay hain aur kia naheen. Jis mitti say us nain hamain banaya hai wo uski khusoosiat say bhi waqif hai aur hum ainda kia kar saktay hain aur kia naheen.

Allah nain hum ko paida kar kay Aqal di, samajh dia, ilm dia quran k zariay, amal ka tareeqa seekhaya Muhammad Sallah o Alaihi Wassalim k zariay, shaitan ko khula chora hamari azmaish k liaay aur hamain ikhtiar day dia, dua k zariaay aur amal k zariaay apni taqdeer badalna k is liaay yay hamaray upper munhasir hai k hum Allah k bataay huway rastay par quran o sunnat k mutabiq chaltnay hain gunah ka khauf kar k ya gunah ki lazzat hasil karna chahtay hain shaitan k kahnay pay chal kar. Is liaay hum apni taqeer ko badalnay ka ikhtiar rakhtay hain aik khaas dairay main rah kar. Is liaay gunah karnay per hum gunah ki saza k huqdar hon gay aur sawab ka kaam karnay per sawab k huqdar hon gay k hum nain agar taqdeer main bura likha gia tha aur ussay apni aql, nashimandi aur quran o sunna t say badal lia to yay hamara karnama hai to hum jaza pain gay. Agar hum nain Shaitan k bahkaway main aa kar apnay nusf k kahnay pay chal kar aql, quran o hadees ko chor kar gunah k irtakaab kia to hum gunahgar hon gay.


Shaitan bhi itna qusoorwar naheen hoga jitna hamara nufs hum gunah jubhi kartay hain jub hamara apna nafs gunah par amada hota hai tub hi shaitan hamain apnay bakaway k zariaay bahka leta hai. Warna uski bhi majal naheen. Warna Sirf shaitan hi qusoorwar hota. Agar hamara nufs amada naheen hota gunah par to. Laikin saza shaitan bhi paay ga hamain bahkanay par k us nain hamain bahkaya hamaray nufs ki buri rah par chalnay ko.


Hum aksar jaantay boojhtay bhi gunah ka irtakab kartay hain. Quran o hadees say mana hota hai, hamain bata dia gia hai k nufs gunah pay amada karta hai aur shatan ka bhi bata dia gia hai k wo bahkaay ga ub jub sub kuch pata hai to phir bhi gunah karain gay to hum hi gunahgar hon gay. AGar yay sub kuch pata naheen hota to phir aur baat thi.

Jub hamain koi kaam gunah ka naheen karna hota hai to shaitan us pay hamain naheen bahka sakta halankay uski ki to her lamahay pur zor koshish hoti hai is liaay k hamara nufs us pay amada naheen hota.

Choonk hamara nufs hi her baat ka zimmaydar hai is liaay hum gunahgar.

Aik aur baat jub hum gunah k kaam kar rahain hotain hain to hamara zameer hamain malamat karta aur rokta hai aur hamara dil bhi gawahi deta hai k bura kaam hai na karo phir bhi hum dheet bun kar kartay hain jaan boojh kar.

Isi liaay taqdeer naheen hum saza war hain.

Taqdeer wohi hai jo Allah janta hai k hum kia karain gay agay mukhalif situation main is liaay Allah nain likh dia hai.

Hutta k hum dauzakhi hain k naheen yay bhi hamari taqdeer main likha jaa chuka hai. Ub hum pay munhasir hai k hum ussay apnay amal ya dua aur aqal say badaltay hain k naheen.

Jaisay parents apnay buchchon main samajh saktain hain jubkay wo goad main hotay hain ya bohat chotay k kon sa bachcha kis tarha ka hai aur kia kar sakta hai baray ho kar. To Allah to her cheez ki qudrat rakhta hai is liaay wo hamari taqdeer say waqif hai aur us nain likh dia hai.


Bohat Ala tareeqay say Alim sahab baat samjhai hai masha Allah. Jazak Allah khair jinhon nain post kia.
 
Status
Not open for further replies.
Top