~ quran father of sciences ~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0



Assalam o alaikum dosto :)

aaj main(Arshad) fir se ek naye thrd aur naye silsile k saath hazir hon.aur inshaAllah isse continue rakhne ki poori koshish karunga.

dosto quran ek dunya ki aisi wahed kitab hai jisme 1400 yrs pahle is dunya ki haqeeqat ko bade wazeh andaz me bayan kia gaya.jo aaj science kahti hai.subhanAllah aur main usi ko yahan aapke saath share karunga inshaAllah.

pahadaon ki meeqen zameen me : dosto dunya ki famouse aur bari bari universities me geology section me ek kitab(earth) bahot mashhor(famouse) hai aur ye aksar universities me parhayi jaati hai.iske 2 writers hain jisme se ek prefessor emeritus frank hain.wo 12 yrs tak national academy of sciences washington dc k president bhi rahe.

ye apni kitab me likhte hain k pahadon k neeche inki jaren(roots) pooshida hoti hain.aur ye jaren(roots) zameen ki gahrayi me utri hui hoti hain.aur pahadon(mountains) keliye inki haisiyat aisi hai jaise khonte(pegs) zameen me dhanse hon.jo inhe zameen par mazbooti se qayam rahne me madad karte hain.

inhone
mountain ellipse par tahqeeq ki aur bataya k iski jaden(roots) 60km se ziada zameen me dhansi hui hain.laikin holy book quran is taaluq se 1400 yrs before ye bade wazeh andaz me kah raha hai.k

الـم نجعـل الارض مهـدا 0 والجبـال اوتـادا
"kia humne zameen ko farsh nahi banaya?aur pahadon(mountains) ko khoonte(pegs) nahi banaya?"

subhanAllah kitne wazeh andaz me is baat ko yahan bataya jaaraha hai k zameen par jo mountains hai usko Allah ne zameen k tawazun keliye gaarh diya hai.aur isi k saath isse dunya ki khoobsurati me bhi izafa hota hai.

aur science ki taareeq hamey ye batati hai k ye inkeshaaf sirf 150 yrs before 1865 me britain k shahi falkiat (estra nomor royal) sir joerge eryne kia tha.aur isi tarha surah e nahal 15-16me Allah taala farma raha hai.

والقـى في الارض رواسـي ان تميـد بكـم
"aur isne zameen me pahaad(mountain) ko garh diya hai taake wo maqlooq ko hala nasaken"(nahl 15-16)

aur isi tarha zameeni plates (plate tectonis) ka naya nazarya kahta hai k pahaad zameen keliye stabilizers hain.yaani isse istehkaam aur tawazun baqashte hain.aur is baat ka ilm 1960 me hua.iske mutabeq agar pahaad na hon to zameen ki satah me itni tezi se changes aayenge k barr e aazam(continents) ek se dosri jagah chale jaayenge.

ab aap anadaza lagayyie k kia nabi(pbuh) k zamane me iske taaluq se itna ilm maojood tha k wo usse parh kar hamey batayen?

 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
walikum salam
:)
jazakAllah bakhair bhai​
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

subhan Allah
bohot hi umdah sharing janab
jazakallah khair

itne haqaiq itne dalail dekhlene ke baad bhi aksariat islam se door hai
Allah hame haq ko janne samajhne aur haqeeqi mabood ki ibadat karne ki taufeeq de Aameen
 

Habeel

Active Member
Nov 28, 2010
272
132
943
ma sha Allah Arshad bhai ap nay bohat hi ache post ki khas kar aj k dor main log is bat ko ache tarha samaj pain k islam hi sacha ur haq k sath nazil kiya gay deen hai jisay hamray pyray rab nay hamray lea pasand farmaya

ap nay bohat hi pyaray andaz main daleel k sath apne moaqaf wazay kiya

ham ap k leay dua go han Allah ap ko islam k baray ur baseerat Ata farmay ameen

ur is qisam ki ur tahraid k muntzir han

bohat shukria & jazak Allah Arshad bhai
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
JAZAK ALLAH KEHR BRO , QURAN me 1400 saal pehle jo batein likhi thi aj science us per bat ker rai hai, jab k wo to 1400 saal pehle hi bayan ker chuki hain batein, Allah sab ko quran ko sahee samjhne perne or us per chalne or is ilm ko agey batne ki taufeek ata farmae.ameen
 
  • Like
Reactions: Habeel

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Bht khoob Qasim bhai ...

" Beshak yeh Kitab humne utari or humhi Eski hifazat karain gay ".....

no doubt jin Chezoon ka zikar 1400 saaal pehlay Quran majeed men kia Gia , Science par unka inkeshaaf aj ho raha hai , Insaani Akal hairaan hai or Iqrar karti hai k Yeh Qalaam hi sacha hai ,
Allah Pak sab ko amal karne ki taufeeq day ..
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
jazakAllah..
boht behtareen sharing..
beshak islam deen-e-kamil or quran mukamal zabta hayat hai..
science jo baat aj keh rhi hai Quran me Allah ne use 1400 saal pehle hi waziya kar diya..
subhanAllah..
Allah hume Quran ki talimat pe amal ki tufeeq dy
Ameen
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Walaikum Salam Wrwb!
JazakAllah Khair for All such informative posts of yours...
and Wakiye mei es mei koi shuk nahin k aaj zyadater jho baate scientist estimate ker rahe hain specially GEOLOGY se related voh already Quran mei 1400 saal pahle likhe hue the and zyadater Mamlo mei Non Muslims (Scientist) jho Islam k against hote hain and Islam ko Hamisha media mei ghalat introduce kerne mei lage hue hote hain to yeh loug khud aapni zyadater Research Quran k verses k bases pe kerte hain and Informations collect kerne mei help lete hain...
Jaise k Saviou ne kaha itne haqaiq itne dalail dekhlene ke baad bhi aksariat islam se door hai..
So Allah Hidayat Dene wala hain and voh hum sub ko Deen Aur Quran ko sahi se samjhne kitaufeeq atha kare ((Aameen))
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
aap tamam ka bahot bahot shukriya :)
javeriya ye zaroori nahi k aapke qayalat mere qayalat se milte julte hon main inhe pasand karta hon.shukriya for ur nice comment Allah aapko khush rakhe aameen.:)
 
Top