Related to Work

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Assalamoalaikum...
mai aj yeh pochna chahta ho ke...yeh jo telemarketing jobs hoti hai...selling karna....over da fone...to kuch aisi jobs hoti ahi...jidhar ap customer ko product to present kardoge..magar customer kabhi nai leta..and pher sales representative ko lie karna hota hai....or in other words..trick karna...like kuch customer ko aisa kehna parta hai..jisse customer haan karde....
to mera bas yahi question hai ke..agar sales representative trick kare..ya pher jhoot bole customers ko..to woh jo salary earn karte hein..woh kia unke lie haram hogi..ya pher woh halal ki hi kamaye hogi..
jitna mujhe lagta hai..agar ap even customer ko trick hi kyon na karo...aur customer baad mei pashtata hai ..to woh kamaye halal nai..apke lie haram hojati hai...
please leave ur replies in detail...thanks
 

kareem

Newbie
Jan 26, 2009
275
45
0
makkah
mere khayal say woh aese wards istamal kartay hein jis say coustamar sahi say nahii samjhta
kabhi yahan saudi arabia mein mobile k zariye kuch nahii hota isi liye mein kuch ziada nahii keh sakta
 

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
Yeh hadith
Bukhari ki hei. Chapter 21 hadith number 980. itni saaf alfaz mein hei k kuch tashreeh ki zaroorat hi nahi. lakin khersahed jhoot bol ker costumers ko cheez bach saktay hu lakin woh pesay yaqeenan haram ki kamai hei. yaqeen na hu tu Qasim angaar saheb se pooch lena.

 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
thanks ahmed..mera shak door karne ke lie..
magar agar ap customer ko trick karo..to pher?...and pher baad mei customer ko na pasand aye yeh product..to pher kia kahoge?...
 

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
thanks ahmed..mera shak door karne ke lie..
magar agar ap customer ko trick karo..to pher?...and pher baad mei customer ko na pasand aye yeh product..to pher kia kahoge?...
dhoka dena tu yaar sahi nahi hei. bagher jhoot boley aap kesay trick kar saktay hu?
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
trick se matlba...kuch words na bolna script se...jisse customer ko ilm na hoo iske bare mei..and representative woh batata nai ho....and jab baad mei product ghar chale jaye..and customer khush na ho ke mujhe to ilm bhi nai tha is cheez ka..den?...
 

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
trick se matlba...kuch words na bolna script se...jisse customer ko ilm na hoo iske bare mei..and representative woh batata nai ho....and jab baad mei product ghar chale jaye..and customer khush na ho ke mujhe to ilm bhi nai tha is cheez ka..den?...
agar us product k andar woh cheez maujood thi aur tum ne costumer ko achi tarah bata diya tha tu sahi hei koi galat nahi ab costumer ko pasand nahi aaya yeh us ka masla hei tum ne tu apni taraf se koi galat tu nahi batai naa. aur agar woh cheez aesi thi jis ki wajah se product mein nuqsan hota hei aur tumhare kiheal se woh cheez galat hei aur tum ne costumer se chupaya tu galat kaam kiya. haan agar tumhe bhi nahi maaloom sirf tumhare representative ko maloom tha aaur us ne tumhe nahi bata tu phir gunah us per huga tum per nahi.
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb
Ahmed ne to apko hadees ki dalail k sath baat ko wazhe kardiye hain

ye jhoot dhoke bazi me shamil hota hai aur ye bilkul haram hai
hamare paas khud Mohammad S.A.W ka tijarti tajrube maujood hain unhone kis tarah buisiness kiya
agar maal me kuch bhi kharabi hoti to bol dete is wajhe se cusomer unke paas bharose se aate k yahan maal sahi milge

Allah hame apne pyare Habeeb S.A.W k naqshe kadam par chalne ki taufeeq aata farmaye Aameen


Assalamoalaikum...
mai aj yeh pochna chahta ho ke...yeh jo telemarketing jobs hoti hai...selling karna....over da fone...to kuch aisi jobs hoti ahi...jidhar ap customer ko product to present kardoge..magar customer kabhi nai leta..and pher sales representative ko lie karna hota hai....or in other words..trick karna...like kuch customer ko aisa kehna parta hai..jisse customer haan karde....
to mera bas yahi question hai ke..agar sales representative trick kare..ya pher jhoot bole customers ko..to woh jo salary earn karte hein..woh kia unke lie haram hogi..ya pher woh halal ki hi kamaye hogi..
jitna mujhe lagta hai..agar ap even customer ko trick hi kyon na karo...aur customer baad mei pashtata hai ..to woh kamaye halal nai..apke lie haram hojati hai...
please leave ur replies in detail...thanks
 

Black Rose

Senior Member
Aug 28, 2009
1,001
372
783
Watn He Sara Jahan Hmara
.
magar agar ap customer ko trick karo..to pher?...and pher baad mei customer ko na pasand aye yeh product..to pher kia kahoge?...
Quraan me Irshad hey,,
" Aye Iman Walo Allah Se Daro Or Seedhi Or Khari Baat Kia Karo,"

trick krne me agar sales man kuch jhoot bolta hey ,,
koi aisi khoobian btata hey jo product me nahi
Ya koi aisi kharabi jo product me he usey chupa leta hey to ghalat hey,,
to ye ghalat hey,,
agar aap sab sach sach bata rahey ho to theek hey ,,, aap ki convincing power matter krti hey,,

or ye concept ghalat hey k aap sach bolo gey to customer attract nahi hoga,,
balkeh wo hamaisha aap k paas hi aaye ga,,
lekin agar aap ghalat biani karo ya koi cheez chupao to wo 1 martaba to product shaid khareed ley, dobara kabhi aap k paaas nahi aaye ga,,
na hi kisi friend ko recommend karey ga
 
Top