Sab kuch sanbhal gaya

  • Work-from-home

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi


ik hawaa ka babula, uthte hi pighal gaya
ik ummid ka paudha, ugte hi kuchal gaya

ik dariya ki talaash mein, aakhri saans talak
ik hiran tha, jo sehra mein chalta hi chal gaya

ik umra kat gayi uski… haalaat ko badal ne mein
haalaat se bojhal… becharaa khud hi badal gaya

ik cheez suni hai… dosti kehte hai vo jise
thukra diya aakhir, jab matlab nikal gaya

ik bachpan ke khilone sa, dhool jamaa karne ko
rakh diya tha maale pe, jab zara sa dil bahal gaya

ik chot si khudurti hui, jism ke libas tale
ghaav naasoor bane, man aukal-be-kal gaya

ik hasi ka gubbara, kabhi lab par aaya hi nahi
ik khushi ka suraj tha jo saher mein hi dhal gaya

ik guldaste mein sajaa rakkhe the humne kai raaz apne
na chahte hue bhi aaj dil unhe lafzo mein udhel gaya

… ik baar saans ruk jaye, fir samjho sab kuchh sambhal gaya !!

Please care the feeling of others around you.
 
Top