Sada kar chale

  • Work-from-home

Fiza Ahmad

Regular Member
Jun 18, 2009
65
58
18
Kashmir
Faqirana aye sada kar chale
Miyan khush raho ham dua kar chale

Jo tujh bin na jine ko kahte the ham
So is ahd ko ab wafa kar chale

Koi na-ummidana karte nigah
So tum ham se munh bhi chipa kar chale

Bahot arzu thi gali ki teri
So yan se lahu main naha kar chale

Dikhai diye yun ki bekhud kiya
Hamain ap se bhi juda kar chale

Jabin sajda karte hi karte gai
Haq-e-bandagi ham ada kar chale

Parastish ki yan tain ki ay but tujhe
Nazar main sabon ki Khuda kar chale

Gai umr dar band-e-fikr-e-gazal
So is fan ko aisas bara kar chale

Kahen kya jo puche koi ham se "Meer"
Jahan main tum aye the, kya kar chale
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

mandy

Newbie
May 13, 2010
1
1
0
Subhaan allah.

Kya baat hai...bohot bohot shukriya....is ghazal ko "Bazaar" naam ki ek film me bhi liya gaya hai.
Amazing lyrics and sounds very much near to Dakhani urdu.

Thanks.
 
  • Like
Reactions: Fiza Ahmad
Top