Sahih Ahadees Ka Bayaan

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0


Assalam o alaikum dosto.

dosto aajke daur me ek naya fitna janam le raha hai.aur wo hai aahadees ka inkar jo pakistan me parweziyat k naam se jaana jaata hai.jiska baani ghulam ahmed parvez tha.aur ab iske ruh rawan javeed ahmed ghamdi hai.jo khudko islamic scholar kahta hai.jinhe ummat e muslima ne kufr ka fatwa dia hai.

ye us firqe ka baani hai.jo aahadees ka inkari hai.jabke islam ki bunyad quran ko sahih aahadees par mabni hai.laikin hum dekhte hain k chund ek muslim groups bhi inki han me han milate nazar aate hain.aur sahih aahadees me shak o shubhaat paida karke isse ghalat saabit karne ki apni nakaam koshih karte hain.aayyiye aaj main isi taaluq se chund baatein aapke saamne rakhne ki koshih karunga inshaAllah.

Muhaddiseen jaise imam bukhari wa muslim aur dosre aima.jab bhi koi hadees ksi se sunte to chund ek conditions par apni kitab me likhte thei.aur jab kabhi in sharoot me se ksi ek me bhi koi kami nazar aati to isko radd kardete thei yaani apni kitab me nahi likhte thei.iske ilawa aur bhi chund ek inke personally conditions thei jaise k har hadees ko apni kitab me likhne se pahle 2 rakat nafil namaz parhte aur isteqaara karte thei.jab inhe yaqeen hojata tab hi is hadees ko apni kitab me likhte.etc.

aur wo ye hain.

01 .
Adl ( عـدل) : yaani hadees ko riwayat karne wale tamam log sacche aur diyanat daar hon.aur iska faisla unke aas paas rahne walon se maloom karke kia jaata tha.

02 .
Zabt ( ضــبط ) : yaani hadees bayan karne wale tamam log mazboot haafize k maalik hon.masalan ksi hadees me agar 3 raawi hon to zaroori hai k in teeno ka haafiza mazboot ho.

03 .
Ittesaal us sanad ( اتصــال الصــند ) : yaani hadees ko bayan karne wale jitne bhi log hain wo khud us hadees ko us shaqs se sune hon jinse wo bayan kar rahe hon.

04 .
Shaaz ( شــاذ ) : yaani jis riwayat mazkoora bala sharayat to paaye gaye laikin is raawi ne kahin apne se ziada parhezgaar muttaqi shaqs ki mukhalifat ki ho.

05 .
Illat ( علـط ) : yaani jis raawi me mazkoora tamam baala sharayat to paayi gayi hon.laikin us waqt k naamoor jayyad huffaaz ne isse malool qarar dia ho.

Agar ye tamam conditions me se ksi ek me bhi koi kami hoto muhaddis us shaqs se koi hadees manqool nahi karte thei.ab aap batayyiye k itni saqt sharoot k baad agar mohaddis apni sahih me koi hadees bayan karte hain to wo kahan se zayeef ya manghadat hosakti hai.Allah in tamam mohaddiseen par raham ka maamla farmaye aur inhe jannat ul firdose me aala muqam ata farmaye aameen.

Note : agar koi baat samajh na aaye to baraye meherbaani aap mujhse pooch lijiye taake doubt clear hojaye.
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Bohot Informative sharing ki hai aapne Arshad bhai, ALLAH TAALA ham sab ko samajne ki salahiyat de Ameen..

ALLAH TAALA jazae Khair de aapko AMEEN...
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Jazak Allah khair arshad bhai....bohat hi achi sharing ki hai aapne Allah humein samajhne aur amal karne ki taufeeq ata kare Aameen
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
JazakAllah very Informative sharing..!

Allah talah humain aise Fitano aur Fitana Phailanay walay logo se Bachaye Aameen.
 
Top