Sakoon

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
aasman pe phele nele banafshi rang dhere dhere siyah par rahe tha,woh narm bisrat pe leta nend k intazar me dariche se bahir dekh raha tha, kahi dor musafat se aaye thakke mande zakhmon se chor masafir ki tarha woh thakk gya tha,be'sakoon tha.zindgi k guzashta kayi saal us ne sirf apne nafs ki mani thi,dunya rangeenio me doobe kisi mele ki c thi aur woh us me kisi bache ki manid kho gya tha,jo ek k bad har dosri shay pe hath rkhta hai aur kehta hai mujhe yeh b chahiye woh b chahiye,khawaishen use andha'dhund bhagati rahi..aj us ki pas woh sb kuch tha,agr nhi tha to sakoon...
us k zang'alod nafs parst Dil jis ne khaliq ki Aatat ka mafhoom bhola diya tha,,akhir aj barso bad us k andr ka insan jaga tha,Woh khali hath tha aur khali Dil..abla'pa ki tees ki shidad ka ehsas use kisi Pal sakoon nhi lene deta tha,Goya sakoon b Khaliq ki Aatat me hai us k be'garz muhabbat me hai yeh dunya to bari be'etibaar aur be'sakoon shay hai..!
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
ahaaaan bohat hi umda andaz annu, n bohat abardast message aaj ka taqreeban har insan issi tara ablapaa hay sakun ki talash may aur sakun wo shey hay jisse wo apni dolat se dunya k kisi bazar se khareed bhi nhi sakta!
Sakun apne andar paida karna hota hay ALLAH ki raza may raazi reh kar!

Bohat khoobsurat likha putri proud of u :){(hug)}
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ji bilkul..!

shukaria hoor Aapa
 
Top