samaj nahi araha

  • Work-from-home

Saiyyaah

Newbie
Jan 12, 2008
11
6
0
meri prob ye hai k main bohat jald disheart hojaati hoon phir sochti hoon ainda aisa nahi hoga phir aisa hi hota hai kia karoon aap log batyn 1 to jald aitbaar karna phir hurt hona plzzzzzzzzz give sugetions {}{76yt

Dear aap ka problem koi naya nahi hai aap jo bhi keh rahi hain wo is liye hota hai aap ki khud ki soch main ehsaase kamtri hai mera matlab ye hai ke aap jab bhi kisi per bhrosa karti hain aap ko aaik dar laga hota hai ke kaheen ye bhi mujhsey door na ho jaaye aur isi dar ki waja se aap wo kar baithti hain jis ki waja se aap ko ye dekhne ko milta hai aap sirf ye karo ke jab dosti karo to humesha positive socho and don't be too reserved about your feelings for them let them know everything you feel in advance....
be positive your result will be positive .

Jesa socho gey wesa dekh ne ko mileyga
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Dear aap ka problem koi naya nahi hai aap jo bhi keh rahi hain wo is liye hota hai aap ki khud ki soch main ehsaase kamtri hai mera matlab ye hai ke aap jab bhi kisi per bhrosa karti hain aap ko aaik dar laga hota hai ke kaheen ye bhi mujhsey door na ho jaaye aur isi dar ki waja se aap wo kar baithti hain jis ki waja se aap ko ye dekhne ko milta hai aap sirf ye karo ke jab dosti karo to humesha positive socho and don't be too reserved about your feelings for them let them know everything you feel in advance....
be positive your result will be positive .

Jesa socho gey wesa dekh ne ko mileyga

mujay aap ki batain kuch ajeeb si lagi hain specially

ahsaas-s-kamtari aur koi mujh se door na hojye aur ye k main kuch aisa kar bethti hoon k phir aisa hojaata hai

dear aap ka matlab ye hai k main apni feelings ko shair nahi karti
main ye sochti hoon k ye kahi mujay chor na chaly jye
main positive soch nahi rakhti

totally wrong is ka answer hai meray pass

wo ye hai k
main bohat expressive hoon apni feelings chupa nahi sakti
main kabhi ye nahi sochti k koi mujh se door hojye ga
main positive b sochti hoon

lakin shayad rose ki baat theek thi k kisi se bhi ziada expectation rakhna theek nahi...
aur ye kehna jaisa socho gay waisa milay ga
hamesha aisa nahi hota kuch log sochtay kuch hain milta kuch hai ye kismat ki baat hai aur kuch kuch bhi nahi sochtay lakin un ko har cheez mil jaati hai...
 

Sakina

Newbie
Oct 12, 2007
652
44
0
humm... wasay jis cheez ka yakeen ho wesa hey hota hai ... or jesa souchoo wesa hey milta hai ... yah baat to experienced hai ....
 

Saiyyaah

Newbie
Jan 12, 2008
11
6
0
mujay aap ki batain kuch ajeeb si lagi hain specially

ahsaas-s-kamtari aur koi mujh se door na hojye aur ye k main kuch aisa kar bethti hoon k phir aisa hojaata hai

dear aap ka matlab ye hai k main apni feelings ko shair nahi karti
main ye sochti hoon k ye kahi mujay chor na chaly jye
main positive soch nahi rakhti

totally wrong is ka answer hai meray pass

wo ye hai k
main bohat expressive hoon apni feelings chupa nahi sakti
main kabhi ye nahi sochti k koi mujh se door hojye ga
main positive b sochti hoon

lakin shayad rose ki baat theek thi k kisi se bhi ziada expectation rakhna theek nahi...
aur ye kehna jaisa socho gay waisa milay ga
hamesha aisa nahi hota kuch log sochtay kuch hain milta kuch hai ye kismat ki baat hai aur kuch kuch bhi nahi sochtay lakin un ko har cheez mil jaati hai...

HUM APNE AAP SE HE GILA KIYOUN NAHI KARTEY
KIYON DHOOND TE HAI AUROON KO ILZAAM LAGA NE


Dear what I said may have been little complicated for you to understand our own fear of being deceived causes us to see what we are afraid of. maybe you are way too open for others to accept or maybe you are way too demanding to the people who don't like to be controlled. try to love yourself more and then see what you will get....

never say I hate my life I hate what happens to me why this happens to me only all the time. there are people in this world that have more problems then you always look down not up and be thank full that you are not in their situation.

Thank you...
 

sharukh

Newbie
Jan 11, 2008
95
1
0
waise aisi baat ss tm ne kabi show to nahi ki jesi yehan apni prob batai hai...but sensitive ho true..
 

atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
kya aap dil lagana rok sakti hai? no...it happens autoimatically...some nice amazing person...and u have no control on your heart...ur heart doesnt listen to ur mind...then he goes away...u get disheartened...ur mind says u should not be disheartened....but heart does not listen;;it feels sad ...bcoz heart is more powerful and profound...then mind...but less concious.....and if person learns to become concious then only u can choose not to b disheartened ...otherwise it is all automatic and not depending on u...however u think and decide...and make efforts..it will b of no use.....so accept the life as it is...in ur heart fully. not deceived by mind..and the quality of hurt will change ...it will become grace...
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
hmmm normal larkiyoo k saat iss taraha ki problem hote hai ss sister app ko main yeh kahoo ga k zada sochaa nahi karaa karoo kasey bhi barey main aur umeed jaldi kasey say nahi rakhaa karoo
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
meri prob ye hai k main bohat jald disheart hojaati hoon phir sochti hoon ainda aisa nahi hoga phir aisa hi hota hai kia karoon aap log batyn 1 to jald aitbaar karna phir hurt hona plzzzzzzzzz give sugetions {}{76yt

To phir milain haath.

Aap beech main rah hi naheen sakti ya bilkul border kay is taraf ya bilkul us taraf.

Mujh say seekhain kia karna chahyay is liaay kay main bhi aisi hi hoon.

Kisi pay aitabar naheen karo. Jo jo kahta hai us ko jhoot samjho. Khamoshi say lo dil main kahtay raho jhoot bol raha ho ga mujhay bewaqoof bananay kay liaay.

Main koi baywaqoof hoon jo iski baat ka yaqeen karoon. Jub yaqeen hi na ho ga to hurt kaisay.

Main nain to jis say pyar kia baytahasha uski baat ya mohabbat ka bhi yaqeen naheen kia. Hamaisha yay socha wo jhoot bolta ho ga mujhay baywaqoof bananay kay liaay. Mujhay kia pata uskay dil main kia hai jhoota huwa to. Aaj tuk ussay yayhi shikayat hai kay main uski baat ka yaqeen naheen karti.

Hay na kitni funny baat. Us pay dil o jaan say marti hoon apni taraaf say bohat pyar karti hoon. Per us pay bharosa naheen karti.

Dikha is wajah say wo mujhay dhoka naheen day saka agar wo dhokay baaz tha to aur hamaray rastay alag ho gaay.

Daikha kitni asani say dhoka khanay say buch gai. Sub bhai bahnon ko shikayat hai tum hamain jhoota samajhti hoon her baat ka prove manti ho. Koi ghalat to naheen karti na.

Khud bhi saboot kay saath baat karteen hoon. Ammi say bhi koi cheez rakhana lena karti thi to likhat parhat aur gawah kay signature kay saath. Ammi bohat ghussa karti theen kay maan beti main bhi is tarha hota hai. Main kahti thi haan quran main likha hai kuch lena dain kar to likh lia karo aur aik do gawah bhi bana lo kay agar kisi say bhool chook ho jaay.

Daikha koi main kitni aqal mand hoon. Koi kuch kahain apnay usoolon pay qaim rehti hoon. koi bura manay to mana karay.

Wo gana hai

Dunia bura manay to goli maro
Quran jo kahta hai wohi karo (meri line)
 

m.usman

Newbie
Jul 24, 2009
15
4
0
Assalam o Alaikum

Asal men baat ye he k habits change ho saktay hein.

But nature change nahi hoti.

ye jo aap ka masla hey na jald disheart honay ka.

ye koi itna bara problem nahi he.

is per aap control ker sakte ho. dekho aasan si baat he k agar insaan ko gun shot lag jaye na

or us ko ye maloom na ho k muje bullet hit huwe he to usay kuch nahi hota, but jab wo apne blood behtay

dekhta hey to phir wo baat insaan k brain men shift hoti he or phir wo insaan k dil or dimagh men itna dar or

khouf create kerti hey k insaan apni death tak pohanch jata hey.

ye example dene ka matlab ye nahi hay k har baar aisa he hota hey.

but ye kehne ka matlab ye hay k insaan apni kisi natural kami ko jitna ziyada apne brain men circulate

kerta rahay ga utna he preshan rahay ga.

agar aap ko ye problem hay bhe na to try karo apni is feeling ko ignore kerne ki.

ye sab aik dam nahi ho ga. but slowly slowly, din guzartay jen gey. or wo time bhe aa jae ga

jab ye sab tum bhool jao ge. ye sab time taking hey. but ye masla hal ho sakta hey.

is ka men aap ko yakeen dilata hoon. Kyoun k

ALLAH PAK ne is dunya men her cheez ka hal rakha hey.

Thanks.

Best Regards,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, Usman
 
Top