Samayaton Mein Ghanay Jangalon Ki Sansein Hain

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Kamal zabt ko khood bhI to aazmayon gi
Mein apnay hath say us ki dulhan sajaon gi

Supard kar kay usay chandni kay hathon mein
Mein apnay ghar kay andheron ko lot aaongi

Badan kay karb ko woh bhi samajh na paye ga
Mein dil mein royungi, aankhon mein muskuraon gi

Woh kia gia keh rafaqat kay saray lutf gaye
Mein kis say rooth sakon gi, kisay manayon gi

Ab us ka fun to kisi aur say hua mansoob
Mein kis ki nazam akelay mein gun'gunayon di

Woh aik rishtah be naam bhi nahi lekin
Mein ab bhi us kay isharon peh sar jhukayon gi

Bicha dia tha gulabon kay sath apna wajood
Woh so kay uthe to khawabon ki Raakh uthaon gi

Samayaton mein ghanay jangalon ki sansein hain
Mein ab kabhi teri aawaz sun na payon gi

Jawaz dhoond raha tha nayi muhabbat ka
Woh keh raha tha keh mein us ko bhool jayon gi.

*****************************
 
Top