Sar-E-Bazam

  • Work-from-home

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tah, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa~
~Mery Ankh Keyse Chalakh Pary, Mujhe Ranj Hai Ye Bora Hoa~


~Mery Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Nahi Naeya~
~Kabhi Roshni Kabhi Tergi, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa~




~Mujhe Aap Kuen Na Samjh Saky, Ye Apny Dil Sey Hi Pocheye~
~Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa~




~Abhi Abhi Mery Pass Sey, Jo Nazar Bacha Key Guzerh Gaye~
~Ye Mery Seher Key Loog Han, Mery Ghar Sey Ghar Mila Hoa~




~Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kar-E-Jafa Mila~
~Na Kisi Ke Chot Ghalat Pary, Na Kisi Ka War Kahta Hoa~




~Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Mery Tarha Hi Luta Hoa~
~Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi Qafiloon Sey Luta Hoa~




~Mujhe Ik Gali Men Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila~
~Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa~




~Hameen To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Kohlos Hon~
~Na Cehry Pey Apny Naqab Hai, Na Kuch Asteen Men Chupha Hoa~




~Hameen Apny Gharh Sey Chaly Hoye, Sar Rah Umer Guzerr Gaye~
~Na Safar Ka Haq Ada Hoa, Na Justajo Ka Sila Mila~
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top