Sardar G

  • Work-from-home

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
aik dafa ek sardar jee aur ek musalman ek daftar mein interview denay k liye aye...pehlay musalman ki baari thi....

interview lenay wala: America k sadar ka naam batayein ?
musalman: waisay tou badalta rehta hai per aaj kal bush hai

interview lenay wala: Pakistan kab bana ?
musalman: koshish tou sadiyon se jari thi per 1947 mein ban gaya tha

interview lenay wala: Mareekh per abaadi hai ya nahi ?
musalman: sciencedaan kaafi arsay se koshish kar rahay hein per saabit nahi kar sakay

musalman bahir aya tou sardar jee ne us se poocha k unhon ne kiya kiya sawal kiye aur tumne kiya kiya jawab diye...musalman ne sardar jee ko sab jawabaat bata diye...

ab sardar jee ander gaye...

interview lenay wala: sardar jee apka naam kiya hai ?
sardar jee: waisay tou badalta rehta hai magar aj kal bush hai

interview lenay wala (heran ho kar): sardar jee ap peda kab huway ?
sardar jee: koshish tou sadiyon se jari thi per 1947 mein ho hi gaya tha

interview lenay wala (gussay se): sardar jee ap pagal tou nahi hein ?
sardar jee: sciencedaan kaafi arsay se koshish kar rahay hein magar saabit nahi kar sakay... :lol:
 
Top