Shaam kinaarey baitha tujhy soch rahaa hoon
Shaam kinaarey baitha tujhy soch rahaa hoon
Main key koi saahil hoon
Aur tu lehron saa aata jaata
Apna aks mujh mein chor jaata
Main geeli reit ka mehal hoon
Tery lams sey bikharta jaata
Phir kitni mushkil se main sambhal paata
Zarrah zarrah jor key apna wajood banaata
"Aur tu lehron saa aata jaata"
Aur har ik baar jo tu aata
Meri beqaraar nigaahon
Khamoosh aahon aur
Machalti saanson ko
Apna muntazir paata
Main tamaam umr tujhy taktaa rehta
Aey kaash!
Tu kuch pal to theher jaata
Main usi ik pal mein
Apni zindagi bitaata
Aur phir jo mauj-e-sabaa aati
Mery badan mein ghul jaati
Mera rom rom jagmagaata
Phir teri khanakti hui sadaa
Meri sama'at mein hulchul karti
Meri rooh ko jal thal karti
Tery bheegy labbon ka saaya
Meri aankhon mein lehraata
Main apni pyaasi nigahon sey
Tery wajood ka samander pee jaata
Phir jab mery seeny sey ghataa uthti
Tery pyaar ka saawan barsaati
Main uski barasti har har boond sey
Apna jism jhulsaata
Phir jab meri zaat ka pyaasa sehraa
Teri barasti khushboo sey sairaab ho jaata
To tu apni zulfon ki chaader sameit ker
Chalta chalaa jaata
Main phir nazar uthaa key dekhtaa
Key shaam kinaara hai
Doobtey sooraj ki naranjee dhoop per
Tery naqsh-e-paa theher gaye hain
Main tery raastey ko palkon se choomta
Aankhon sey sajdaa karta
Aur phir sochtaa ...
'Main key koi saahil hoon
Aur tu lehron saa aata jaata!'
Shaam kinaarey baitha tujhy soch rahaa hoon
Main key koi saahil hoon
Aur tu lehron saa aata jaata
Apna aks mujh mein chor jaata
Main geeli reit ka mehal hoon
Tery lams sey bikharta jaata
Phir kitni mushkil se main sambhal paata
Zarrah zarrah jor key apna wajood banaata
"Aur tu lehron saa aata jaata"
Aur har ik baar jo tu aata
Meri beqaraar nigaahon
Khamoosh aahon aur
Machalti saanson ko
Apna muntazir paata
Main tamaam umr tujhy taktaa rehta
Aey kaash!
Tu kuch pal to theher jaata
Main usi ik pal mein
Apni zindagi bitaata
Aur phir jo mauj-e-sabaa aati
Mery badan mein ghul jaati
Mera rom rom jagmagaata
Phir teri khanakti hui sadaa
Meri sama'at mein hulchul karti
Meri rooh ko jal thal karti
Tery bheegy labbon ka saaya
Meri aankhon mein lehraata
Main apni pyaasi nigahon sey
Tery wajood ka samander pee jaata
Phir jab mery seeny sey ghataa uthti
Tery pyaar ka saawan barsaati
Main uski barasti har har boond sey
Apna jism jhulsaata
Phir jab meri zaat ka pyaasa sehraa
Teri barasti khushboo sey sairaab ho jaata
To tu apni zulfon ki chaader sameit ker
Chalta chalaa jaata
Main phir nazar uthaa key dekhtaa
Key shaam kinaara hai
Doobtey sooraj ki naranjee dhoop per
Tery naqsh-e-paa theher gaye hain
Main tery raastey ko palkon se choomta
Aankhon sey sajdaa karta
Aur phir sochtaa ...
'Main key koi saahil hoon
Aur tu lehron saa aata jaata!'