Shaitan Insaan Ka Khula Dushman Hai

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
no offense...but apka comment parh ke mujhe hasi agae......{(bye)}..

muslim bro..baad mei parh ke reply karonga inshaAllah
hansi wali kon c baat hai is me:-?
 

Iceage-TM

Tagging Master
Super Star
Sep 23, 2012
5,533
9,461
1,113
Malir Cantt Karachi
Shaitan Insaan Ka Khula Dushman Hai


Himachal Pradesh ki paharion me basa ek chote sa khubsurat gaun jahan charon taraf hariyali hi hariyali unche unche darakht aur rang birange phool nazar aate hain, khusgawar mausam hamesha dekhne ko milta hai, pahari se lage chote chote gharon me se ek ghar hamid ka hai aur pados me hi hamid ki sauteli maa ka ghar hai jahan uski sauteli bahen maham bhi rehti hai,

dono sautele bhai bahen hone ke bawajood ek apnapan tha aur dono ek dusre ka taaun bhi kiya karte aur ek dusre ki khushi aur gham bhi ishteraak karte,

ek din maham ne kaha hamid yaad hai kuch din pehle ham abbu ke sath pahari ke dusri janib gaye the wahan kitne pyare pyare phool the?

Hamid ne kaha haan yaad hai maham

Maham ne kaha mujhe wo phool bohot pasand hain mujhe wo phool chahiye Hamid! tumhe mere saath pahari ki dusri janib phool chunne jana hai Chaloge na?

Hamid ne kaha haan maham zaroor kyun nahi, kab jana hai?

Maham ne kaha abbu kal fajar ke baad shahar jaa rahe hain to abbu ke jaate hi ham nikalte hain,

Dono me ittefaq hua aur fajr ke baad dono pahari ki taraf nikle pahari ki dusri janib jane ke liye pahar ka kuch hissa charna tha phir wahan se rasta tha,

Dono baten karte hue pahari charh rahe the lekin maham baten karte huye ek gehri soch me gum thi ye baat der ke baad hamid ne ghaur ki aur phir dono ka dhyan kahin aur tha aur baten kuch aur ho rahi thin, isi ke chalte thora raasta badal gaya aur raasta taweel ho gaya phir dono ki nazar parhi ke array ham ne raaste ko lamba kar diya hai aur yahan to kante bhi hain sambhal ke chalna parhega aur pair phisalne ka bhi andesha hai yahan,

Hamid ne kaha maham mere khareeb ho ke chalo, lekin maham thori doori me hi hamid ke piche chal rahi thi, hamid murh ke dekha maham dhire chal rahi hai aur wahi gehri soch me hai,

hamid maham ke khareeb hua puchne ke liye itne me usko kanta chubha aur aah nikli, maham ki nazar hamid ke pairon par parhi aur wo aage barhi, hamid ko dard ho raha tha lekin uske chehre pe dard se zyada afsos nazar aa raha tha aur dil hi dil me bol raha tha kya yaar Maine har Mumkin koshish ki ke phatte huye jooton k neeche se khisakte huye talley Maham ko dikhayi na dian...phir bi maham ki nazar parh hi gayi, ye gungunahat sun kar kanta nikalte huye maham ne pucha chehra udhar ghuma ke kya gun guna rahe ho? Hamid ne afsos bhare chehre se kaha ke maham main nahi chahta tha ke tum mere phate huye jooton me mere talley dekho lekin chupa na saka

maham ne kaha Door andaish log joote ke phatte huye talley nhi daikhte balke un phatte huye jooton me wo mazbut qadam daikhte hain jinka rukh baghair kisi dushwari ki parwah kiye hamesha manzil ki janib rehta hai.... hamid ye baat sun kar kaha maham tum ne to aaj tareekhi baat kehdi main isko yaad rakhunga in sha Allah, lekin kaha ye bhi jata hai na ke insaan uske joote se pehchana jaata hai khair maham der ho rahi hai chalo

Maham waise hi kuch gehri soch me doobi huyi thi aur hamid baat karte huye aage tha maham dekhte hi dekhte tezi se hamid ke khareeb barhi aur usko dhakka dena chaha ussi waqt hamid khamoshi ko mehsoos kar maham ki taraf palta aur uska hath maham ko laga, maham khud dono hathon se hamid ko dhakka dene wali thi aur hamid ka hath ussi waqt lagne se wo khud phisal gayi, niche ki janib girne wali thi ke hamid ne us ka hath pakar liya ab wo pahari ke niche ki taraf latak rahi thi aur hamid ba mushkil uska hath thame hua tha, bohot hi bhayanak manzar tha dono darre huye the hamid kisi tarah kheench raha tha maham ka hath, mahan pareshane se hamid mujhe bachao kaise bhi bachao kehte huye ro rahi thi, hamid himmat de raha tha fikar na karo Allah hamari madad karega tumhe kuch nahi hoga in sha Allah, badi mashakat ke baad maham ko upar kheenchne me hamid kamiyab hua aur Alhamdlillah kaha! dono ki sansen phuli huyi thin dono wahin baith gaye

Kuch der halat sambhalne ke baad Maham ne kaha hamid tum ne jaan bujh kar mujh ko dhakela aur kehne lagi tum nahi chahte ke abbu mujse pyar Karen aur sara pyar tumhi ko mile isliye tum ne aise karne ki koshish ki, hamid ko sadma pahuncha meri bahen ye kya keh rahi aur aise kyun keh rahi hai phir bola Khuda ka Khauf karo Maham tum ne muje is qadar saffak aur bereham samajh rakha hai kya? Ye sunte hi maham ek dam se khamosh ho gayi phir wo boli chalo wapas chalte hain mujhe nahi chahiye koi phool, hamid ne kaha bas ham aa hi gaye hain aur phir dono pahari ke dusri janib pahunch gaye

phool torte huye maham rone lagi

hamid ne pucha ab kya hua maham?

Maham bas ro rahi thi phir hamid ne kuch nahi kaha aur wo khud soch raha tha ke maham ne aise kyun kaha ke main usko dhakka dunga aur abbu sirf mujhe pyar Karen main ne to kabhi aise nahi socha tha ye soch hi raha tha ke maham ne kaha bhai mujhe maaf kardo

Hamid baat kya hai maham?

Maham boli main achi nahi hun bhai main jab bhi dekhti abbu tumse pyar karte aur mujhe mujhe lagta ke mujhe itna nahi karte to bohot dukh hota tha aur main bahar se to tumse ache se baat karti lekin dil hi dil me nafrat paal rahi thi, aur aaj shaitan ne mere dil me ye tak daal diya ke ye acha mauqa hai hamid ko raaste se hata de aur abbu ke pyaar ki akeli haqdaar ban jaa, main isi irade se tumhare qareeb tezi se barhi aur tumhe dhakka dena chaha lekin ye Allah ko manzoor nahi tha tum ussi waqt palte aur main phisal gayi lekin tum ne bade bhai hone ka farz nibhaye mujhe girne nahi diya muje bacha liya

Hamid ne maham ke aansu ponche aur kaha Allah ko ye manzoor tha ke shaitan ki shikast ho aur bhai bahen ke pyar ki fateh ho aur Allah ne quran paak me farmaya shaitan insaan ka khula dushman hai to jab bhi aise wasawis hamare dil me ayen us se Allah ki panah talab karni chahiye

abbu ham dono se pyar karte hain na kisi se ko zyada na kisi ko kam tum ne dekha mere joote phate huye hain abbu pichli baar shahar jaate waqt bol rahe the ke maham ne joote mangwaye hain shahar se tere liye bhi laun kya? to main jaanta tha ke abbu badi mushkil se paise kamate hain abhi kya zaroorat naye jooton ki ye to chal rahe hain isliye main ne kaha tha ke abbu maham ko zaroorat hogi aap uske liye le ayen mere abhi chal rahe hain jab zaroorat hogi main khud aap se kahunga. aur aaj subah bhi wo puch rahe the kuch lana hai kya tere liye shahar se? to aaj bhi main ne kaha nahi abbu bas maham ke liye hi kuch le aana

maham ko ahsaas ho gaya tha ke wo galat hi aur shaitan ke behkawe me agayi thi aur wo bohot sharmindagi mehsoos kar rahi thi, ye hamid ne parakh liya aur bola kahin wapsi me to aisa koi irada nahi na tumhara?

maham rote rote hansdi Phir maham ko aise hi hansate huye hamid ne kaha shaitan ne ham dono ko door karna chaha lekin wo nakaam raha aur ham dono aur qareeb agaye, maham ne kaha haan bhai aap sahi keh rahe ho phir dono hanste muskurate ghar ki taraf laute aur sahi salamat apne ghar pahunch gaye
nice
 
  • Like
Reactions: *Muslim*

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Simple but Nice story...! acha likha aak Sada se mager hasas topic per. Hasd waqae naikyon ko kha Jata hay aur Insan bohat bara Gunahgar hota hay Allah ka bhi aur apny muslaman Behan Bhae ka bhi Jis se dil main Keena rakhay.

Laken aise Behan main ne aaj tak nahi dekhi Jo Bhae ko marti phir rahe hay. :s
 
  • Like
Reactions: *Muslim*

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
Simple but Nice story...! acha likha aak Sada se mager hasas topic per. Hasd waqae naikyon ko kha Jata hay aur Insan bohat bara Gunahgar hota hay Allah ka bhi aur apny muslaman Behan Bhae ka bhi Jis se dil main Keena rakhay.

Laken aise Behan main ne aaj tak nahi dekhi Jo Bhae ko marti phir rahe hay. :s
shukria
ye maarti phir nahi rahi thi lekin dil me nafrat thi aur us nafrat ka faida uthake shaitan ne uske dil me waswasa dal dia

apne nahi dekha huga lekin my ne tu apne maa baap ku bhi marne ka mansooba banati aulad dekhi hy
ye dunia hy jahan islam se doori ho jae wahan kch bhi ho sakta hy
 
  • Like
Reactions: ღ*HõOriã*ღ

Fa!th

--> BIRDY ♪♫♩
Hot Shot
Jul 20, 2010
37,229
12,298
1,113
Who Cares....
walikum salam
bht sweet and achi kahani hai
pehle tou hamid maham dekh k hirani hui k sabne same kyun likha hai
phir socha shayad yahi task hoga :p
btw best of luck :-bd
 
  • Like
Reactions: *Muslim*

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
shukria
ye maarti phir nahi rahi thi lekin dil me nafrat thi aur us nafrat ka faida uthake shaitan ne uske dil me waswasa dal dia

apne nahi dekha huga lekin my ne tu apne maa baap ku bhi marne ka mansooba banati aulad dekhi hy
ye dunia hy jahan islam se doori ho jae wahan kch bhi ho sakta hy
Yahe kaha main ne ke main ne aaj Tak aise hi sisters dekhi hain jo apnay Bhiyon pe Jaan deti hain..! is liye mujhay bara ajeeb laga. :)

Sahi kaha Jab Insan pe shaitan Havi ho Jaye tu usay Maa Baap ka Muqam bhi bhOol Jata hay.
 
  • Like
Reactions: *Muslim*

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
mere sath jab @Atif-adi bhai ho tab ap apple ka istemal karna :p[DOUBLEPOST=1348683797][/DOUBLEPOST]
Yahe kaha main ne ke main ne aaj Tak aise hi sisters dekhi hain jo apnay Bhiyon pe Jaan deti hain..! is liye mujhay bara ajeeb laga. :)

Sahi kaha Jab Insan pe shaitan Havi ho Jaye tu usay Maa Baap ka Muqam bhi bhOol Jata hay.
jee is kahani me to sautele bhai bahen hy na tu khaas bhai bahen aur sautele me thura to fark huga hi
aaj kal paisa jaidaad ke lie bhai bhai ka khoon bahata hy aur apne mulkon me to aksar larki ki virasat par larkon ka khabza ho jata hy bht kam hy jinko virasat ka haq milta hy
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
mere sath jab @Atif-adi bhai ho tab ap apple ka istemal karna :p[DOUBLEPOST=1348683797][/DOUBLEPOST]

jee is kahani me to sautele bhai bahen hy na tu khaas bhai bahen aur sautele me thura to fark huga hi
aaj kal paisa jaidaad ke lie bhai bhai ka khoon bahata hy aur apne mulkon me to aksar larki ki virasat par larkon ka khabza ho jata hy bht kam hy jinko virasat ka haq milta hy
rite....!
 
Top