Us raah pe jaane se pehle asbaab sanbhaal k rakh lena
Kuch ashk firaaq se le lena kuchh phool visaal ke rakh lena
Ek umr ki mahroomi apne seene myn chhupaana mushkil hai
Jab hadd-e-wazaahahat aajaaye , yeh teer nikaal ke rakh lena
Ek hairat dil mein jhankegi, aankhon myn sitaare Taankegi
Jo aansoo tum par bhaari hon daaman myn uchhaal k rakh lena
Ek aisi chup taari karnaa jaise goyaayi se aari ho
Khaamoshi ke gahwaare myn aawaazyn paal k rakh lena
Chehre se khushi saabit karna jaise har dukh se ghaafil ho
Haan baab-e-takhatub aaye to alfaaz malaal ke rakh lena
Woh shaam bahut jald aayegi jo tum ko tum se milaayegi
Us shaam tum apni aahom se kuchh naghme dhaal ke rakh lena
Is kaar-e-jahaan ki wahshat par jab koi dastaawez likho
Sab se aakhir myn kuchh safhe apne ahwaal ke rakh lena
Taa’eed ke sannate se utho, tardeed ke shor myn aajaao
Ek talkh jawaab se behtar hai ilzaam sawaal ke rakh lena