Shuker Hei Mera Khalid Salamat (zati afsana

  • Work-from-home

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan


Shuker Hei Mera Khalid Salamat
Raat Gehri aur Tareek thi, her taraf khamoshi chai thi, serdi apne urooj per thi, aik boorha Yousaf apni jughi mein charpai pe leta tha, us ki aankhein nam thi aur jism bejan sa tha, Achnak us ko bahir kisi ki aahat mehsoos hui wo dora aur bahir nikla mager wahan koi nahi tha, ye us ka wehem tha, Yousaf phir se ander aagaya aur aik kone mein pare gerhe se pani le k piya, phir khamoshi se charpai per beth gaya, phir chehre per aik muskurahat ki leher dori aur Yousaf ne khud se “kaha’haye’ haye’ kya din tha jab mera Khalid pehli bar gher mein tankhwah laya aur khushi se jhoom ker bola; abba dekh mein noker hogaya, ab hum is choti aur aibdar jhompri mein nahi rahein ge ab dekhna kuch hi dinon mein hamara apna gher hoga, baba samajh le ab hamare bure din gaye ab tu sirf din gin k konsa aisa din gin sirf din.

Yousaf apni ungliyon pe ginti kerta huwe ghmgeen awaz mein khud se bola “ginti kerte kerte mein thak gaya beta mager, din bhi wohi hein, raat bhi wohi hei, zindagi bhi wesi hi hei, badla to kuch nahi,teri maa bhi ye sochte socte mer gai. Aikash ager tu ye bhi bata deta k kitne din baad,,,, (thori der khamoshi) phir Yousaf ne kaha; (muskurate hue)sahi muddat wo kese bata sakta tha, mein bhi banwla ho gaya hoon, chal so ja yousaf tere din badle na badlein mager Allah ka shuker ada ker k tera beta to khush hei, (ye keh ker yousaf charpai pe dahini kerwat lait gaya aur aankhein band ker k sone ki koshish ki mager thori der mein phir uth betha aur kaha); Haye kambakht mari ye neend kyun nahi aarahi, (bari becheni se idher udher dekhte hue, phir use khayal aya) ; wese bhi neend nahi aati apni baksi mein saman check ker leta hoon kaheen koi chersi na le gaya ho, Ye chersi bhi kya log hote hein aik cigarette k liye sab kuch bechne ko tayar hote hein. (Yousaf ne apni charpai k neeche se dermiyani jisamat ki baksi nikali aur use charpai pe rakh ker khola, to samne hi use aik chota sa bosidah aur purana cup nazer aya jis pe safaid marker se likha tha “Class 1, 1st position holder”, yousaf cup ko haatho mein uthaye apne 20 saal puraane maazi mein chala gala k jab Khalid ne pehli bar 1st position hasil ki aur khushi khushi gher aya)
Khalid: Abba, amma, dekh teacher ne mujhe aap ye cup inam mein diya.
Yousaf: wah re wah mere shair ne to aaj kamal ker diya. 

Raashda: are kese na milta mere ladle ko cup akhir itni mehnat jo ki thi, aur mein apne Khalid ko roz shehed khilati hoon take is ka haafza kamzor na ho.
Yousaf: (Khalid ko pyar se god mein lete hue)Are chal bas kas bari ayi, tujhe shehed la ker kon deta hei, are ye to mein hoon jo apne Khalid ka itna khayal rakhta hoon.
Raashda: Acha g mein sochti hoon apna Khalid bara hoker doctor ban jai to bohot acha hoga, wese bhi burhape mein insan ko bari beemariyan lag jati hein, kam az kam hamara ilaj to kare ga,apna gher ka doctor jo hoga aasani hogi.
Yousaf: chal ni! Mera Khalid tera noker laga hei k her waqt tere sirhane betha rahe arey tu to her waqt pari rehti hei kabhi sir mein derd to kabhi kahan pata nahi burhape mein tera kya hoga arey mein to apne Khalid ko bara afser banaoun ga, tujhe pata hei mein ise us makaam pe pohonchana chahta hoon k ager mein bhi is k office jaoun to ghenta intezar kerna pare k sahib abhi masroof baad mein milein ge.
(Yousaf ne cup ko haath mein ghumate hue ranjeedah andaz mein kaha) meine to aik ghante ka kaha tha mager tu to her maheene ki pehli tareekh aik ghanta k liye aata hei thori der beth ker maheene k kherch k liye thore pese de ker bhag jata hei, sab is ki biwi sofi ki wajah se, naam kesa kutton wala hei sofi, wo ameer gharane ki hei to us pe lattu ho gaya(phir ghusse se) aur wo jo kehti manta gaya,(sofi k bare mein krakht alfaz istemal kerte hue) Kambakht mari kehti hei k abba g ko gher na rakho k logon ko jab pata chale ga khalid k abba yousaf hajjam hein to hamari izzat kharab hogi abba g ko jhugi mein hi rakho aur maheene ka khercha pani de diya karo, hmm(Thori der khamoshi phir Yousaf ne kaha) Yousaf; aaj to, aaj to 9 tareekh hei is maheene khalid nahi aya, na jane kya ker raha hoga, itni masroofiyat, pichle maheene jo pese the wo bhi khatam ho gaye, ye to bhala ho us dukandar ka jo mujh boorhe pe ters kha ker qerz khane ka samaan de deta hei.
(Yousaf ne apni choti baksi ko band kerne laga to achanak use aik khayal aaya aur us ne baksi se sara samaan nikalna shuru kiya aur neeche use aik purani kenchi, 2 Kanghiyan, 1 ustra, aur aik kali takhti jis pe likha tha “Yousaf hajam” aur saath mein likha tha sirf 3 rupe mein, aur sab se aakhir mein dermiyani jisamat ka aik dhundla sheesha para th. Yousaf aik bar phir apne maazi mein lota).
Yousaf; Ari o rashda mere samaan baksi mein daldiya mujhe der ho rahi hei?
Raashda; arey dukan pe jane se pehle apne ladle ko school to chor awo.
Yousaf; arey haan mein to bhool hi gaya tha kahan hei mera ladla?
Raashda; ander hei naashta ker raha hei, (Raashda ne khalid ko awaz di) khalid jaldi karo abba intezar ker rahe hein jaldi karo.
Yousaf; Arey beta aaram se naashta karo koi der nahi hoti khoob aaram se naashta, (phir Raashda se mukhtib ho ker, ghusse se) meri konsi koi dukan kholna mushkil ye gali k nukker mein naale pe phatta laga k beth jata hoon bas, arey aaram se nashta kerne de na use tu bhi na bewakoof, ager wo theek se naashta nahi kare ga to school perhe ga kese.
(Yousaf khalid ko apni cycle pe betha ker roz subha school le jata aur lata tha aur us ki her manmani ko manta tha, Phir Yousaf ne sara saman dobara baksi mein dalte huwe kaha; Yousaf; acha bhala pehle apna kama liya kerta tha bas khalid bhi oonche standerd aur apni izzat ki khatir mujh se wo kam bhi churwa diya, bara aya hmmm, (phir aik lambi saans lete hue) bas biwi ki maane ga us ne apne moo se bak diya k hajamat kerna neech kam hei, (yousaf ghusse se jhalla ker ) beghairat kaheen ki mere zerya maash ko neech samajhti hei afsos to is baat ka hei k mere bete ne mujhe ye baat ki, arey itna bhi na jana k isi kam ki waja se aaj tu is makaam per pohoncha hei werna mera kya tha dal deta tujhe bhi school ki jagah mazdoori per. (raat mazeed gehri hone lagi aur saath hi yousaf k dil ki dherken tez hone lagi wo achanak apni jhugi se nikla aur kaha) Yosaf; hai mein bhi kitna zalim baap hoon ye bhi na socha k mera khalid kisi museebat na phans gaya ho mujhe maloomat ker leni chahiye. (Yousaf k pas jaib aik taka bhi na tha aur khalid ka gher bhi door tha wo bechara pedal pedal, chak qadmon k saath berhta gaya, abhi thora hi aage gaya k aasman garajne laga, bijli chamakne lagi, sansanati hui tez aandhi se darakhton k sookhe patte girne lage, Yousaf k jism per aik kurte ilawa aur kuch na tha aur mosam ki tabdeeli se serdi berh gai thi, Saath hi tez toofani baarish shuru hogayi, yousaf dor k k chapper k neeche khara hogaya us ka kurta mukammal tor per bheeg chuka tha aur thand bhi bohot lag rahi thi us waqt yousaf pe kapkapi tari hogayi aur us ne aaman ki taraf dekh ker ALLAH ko pukara rote hue) Yousaf; Ya Allah mere maula mere khalid ki hifazat kerna mujhe sahi salamat wahan pohoncha dena.(yousaf main road k pas khara tha aur aas pas dukane hi dukane thi kaheen koi nazdeek gher dikhai nahi de raha tha, kisi insan ka namo nishan na tha tha, kuch der mein barish thami to yousaf ne himmat ker k apna safer phir se shuru kiya aur thori der baad wo thutherta, huwa akhir khalid k gher pohonch gaya, aur derwaza khatkhataya, kafi der baad khalid aankhein malta huwa bahir nikla to Yousaf jo bari mushkil se khara tha us k chehre pe muskurahat ki leher dori aur lab se alfaz nikla Shuker hei tera Maula aur gir k behosh hogaya) Khalid; abba g aap theek to hein?
Sofi; kon hei itni raat ko?
Khalid; (bari pareshni k aalam mein) lagta hei abba g ko hospital le ker jana hoga un ki tabiyat theek nahi hei.
Sofi; arey itni raat gai ye yahan kese?
Khalid; tum ye baatein choro aur gari nikalo.
Sofi; arey hospital le jane ki zaroorat nahi hei ye jo pas mein apne doctor sahib hein na in ko bula lo, mamuli sa bukhar hei kyun itna khercha kerte ho, chalo mein phone ker deti hoon.
(Khalid ne yousaf ko ander kamre mein letaya sofi pehle doctor ko phone milati rahi mager us ne na uthaya phir khalid us k gher gaya aur use le ker aya)
Khalid; doctor sahib mere abba barish mein bheegi the aur achanak behosh hogai thora bukhar bhi hei.
Doctor; (Yousaf ko check kerne k baad) arey in ki tabeeyat to bohot sakht kharab hei, its an emergency, aap ne in ko yahan thehraya kese huwa hei jaldi hospital le ker jain in ko.
(hospital le jate huwe Yousaf ne raste mein hi dam tor diya aur akhri alfaz ye the shuker hei mera khalid salamat aur phir kalma tayyeba perhne k baad wo is jahan-e-fani se rukhsat ho gaya.
 
  • Like
Reactions: RedRose64
Top