Silsila

  • Work-from-home

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Kehte hain ke 2 cheezen insaan chahe jitni koshish kare, kabhi chhupa nahi sakta. Pehli cheez hai waste, shit, crap aur doosri cheez hoti hai jhooth. Aur vajah dono ke pichhe ek hi hai, dono cheezen badbu maarti hain. Koi bhi is badbu ko zyada waqt tak chhupa kar nahi rakh sakta aur agar aisa karne ki koshish kare, toh vo badbu ek lambe arse tak khud hi soonghni padti hai. Insaan ek jhooth bolta hai, phir use chhupane ke liye doosra jhooth, phir teesra aur jhooth bolne ka aisa silsila shuru ho jata hai jisse nijaat sirf sach bolkar hi paayi ja sakti hai, par kabhi kabhi aisa karne ke liye bhi bahut der ho chuki hoti hai.

Ek aisa hi khel kismat ne mere saath bhi khela. 10 saal pehle ek manhoos raat ko maine ek galti ki aur sabki nazar se usko chhupa toh liya par phir meri apni kartoot mere saamne is tarike se aa khadi hui ke main chah kar bhi kuchh kar nahi sakta tha. Us raat ki meri galti ne ek aisa atoot silsila shuru kar diya tha jise main lakh koshishon ke baad bhi rok nahi pa raha tha.
Kya karun, kya na karun, sar pakde aankhen band kiye betha yahi soch raha tha ke deewar par tangi purane zamane ki ghadi ne gyarah bajaye aur ghante ki aawaz poore ghar mein goonjne lagi.

"Waqt ho chuka hai" Maine dil hi dil mein socha

"Itne dhyaan se kya soch rahe ho?" Uski meethi surili aawaz mere kaan mein padi

Sar uthakar maine apni aankhen kholi aur uski taraf dekha. Vo mere saamne bethi muskura rahi thi.

"Sar mein dard hai? Daba doon?" Apne usi fikar karne wale andaz mein usne pyaar se puchha. Maine muskurate hue inkaar mein gardan hila di.

Ham dono mere Manali ke paas hi ek chhote se hill station mein bane ghar mein bethe the. Ye bungalow maine 12 saal pehle kharida tha aur aksar yahan aata rehta tha. Aasman mein chand poore noor par tha aur ham dono badi si balcony mein lagi hui dinner table par bethe the.

"Khana thanda ho raha hai jaan" Usne plate meri taraf badhate hue kaha "Kha lo. Kheer phir se thandi ho gayi hai, main garam kar laoon"

"Nahi rehne do" Maine kaha "Mujhe thandi hi pasand hai"

Kheer, dil hi dil mein main soch raha tha, hamesha ki tarah.

Pichhle 10 saal mein waqt ne usko zara bhi nahi badla tha. Vo aaj bhi vaisi thi. Lambe ghane kaale baal, teekhe nain naksh, gora rang, bhari bhari chhatiyan, labma kad. Aaj bhi kisi 20-22 saal ki ladki ki tarah pyaar lafz mein kitna bharosa rakhti thi. Vo sab kuchh thi jo ek mard ko chahiye hota hai par pata nahi mujhe usse zyada aur kya chahiye tha.

Maine ek haath se apne coat ki pocket check ki. Ummeed ke mutaabik hi meri .45 revolver meri jeb mein thi. Loaded.

Khana khatam karke usne plates hatayi aur andar kitchen mein rakh kar aa gayi. Aate aate usne music system par ek slow romantic tune laga di aur volume itna kar diya ke hamen bahar tak aawaz aaye.

"Come dance with me" Aate hue usne apna haath meri taraf badhaya.

"But we just ate" Maine muskura kar jawab diya

"So? Come on" Mera haath pakad kar usne khincha. Main janta tha ke vo aisa karegi isliye uske koshish karne se pehle hi uth kar khada ho gaya.

"Have you really, loved a woman ......" Bryan Adams ki aawaz aa rahi thi aur ham dono ke jism ek doosre se sate hue, bahut kareeb, dheere dheere music ke saath hil rahe the. Uske dono haath mere kandhe par the aur mere uski kamar par. Mere kandhe par rakhe uske chehre ki saans ki garmi main apni gardan par mehsoos kar raha tha, aur har saans ke saath uper neeche hoti uski chhatiyon ko apne seene par mehsoos kar raha tha.

Ghar ke andar ghadi ne 12 bajaye. Main janta tha ke ab vo kya kahegi.

"Lets go to the bedroom. Make love to me. I want to celebrate our anniversary with you inside me" Kehte hue vo halki si uper ko uthi aur apne honth mere hontho par rakh diye.

Kuchh pal baad ham dono bedroom mein khade ek doosre se lipte hue the.

"Tumhare baal safed ho rahe hain" Dheere se usne mere kaan mein kaha "Jawani mein buddhe ho rahe ho. I hope ke bed par ab bhi perform kar sakte ho"

Kehkar vo dheere se hasi, vahi pyaari si hasi ki aawaz.

Ek mard ko aur kya chahiye ho sakta hai jo ismein nahi, maine dil hi dil mein socha.

"Have you really loved a woman" Bryan Adams ke gaane ki aawaz phir aayi aur main sochne par majboor ho gaya ke Did i really love her?
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....

"Kuchh sunaoon? " Dheere se vo mere kaano mein boli. Matlab main samjhta tha. Uski taraf dekh kar muskuraya aur uske honth choom liye.

"Sunao" Maine kaha aur vo ek ghazal sunane lagi.



Yun na mil hamse, khafa ho jaise,
Saath chal, mauj-e-saba ho jaise.


Log yun dekh kar has dete hain,
Tune mujhe bhula diya ho jaise,


Ishq ko shirk ki hadh tak na badha,
Yun na mil hamse, khuda ho jaise.


Maut aayi bhi toh is naaz ke saath,
Mujhe koi ehsaan kiya ho jaise.


Hichkiyan raat bhar aati rahi,
Tumne mujhe yaad kiya ho jaise.


Zindagi guzar rahi hai is tarah,
Bina jurm koi saza ho jaise.



Bahar ghadi 5 baja rahi thi.

"You wanna see the sun rise?" Maine usse puchha toh kisi chhoti bachchi ki tarah usne fauran haan mein sar hila diya.
"Come" Keh kar main bistar se utha aur vo bhi mere pichhe pichhe hi uth gayi.
Taiyyar hokar ham dono ghar se nikle aur thodi der chal kar ek pahad ki aakhri chhor par pahunche. Mera ghar jahan bana hua tha vahan door door tak koi aur ghar nahi tha. Bas sunsan sadak ke kinare ek pahad ke uper bana chhota sa cottage.
Uska haath pakde main pahad ki kinare par aakar khada ho gaya. Ham dono ke aage ab ek gehri khaayi thi par uski taraf na dhyaan uska tha, na mera. Saamne aasman par chand ab bhi poora tha aur halki halki sooraj ki laali bhi phelni shuru ho gayi thi. Ye ek aisa nazara tha jab aasman par raat ka chand aur subah ka sooraj, dono ek saath dekhe ja sakte the.
Vo muskurate hue poori duniya se bekhabar saamne aasman ki aur dekh rahi thi. Main 2 kadam pichhe ko hua aur apni jeb par haath rakha. Revolver ab bhi maujood thi.
Main jeb mein haath dala aur revolver bahar nikali.
"Waqt ho chuka hai" Aasman mein ugte sooraj ki taraf dekhte hue maine socha.
"Sorry Jaan" Ek nazar uspar daalte hue main zor se bola.
Vo meri taraf palti.
Meri anguli ne revolver ka lever khincha.
Hawa mein goli ki aawaz goonji.
Revolver se nikli goli uska maathe par lagi aur uska khoobsurat chehra bigad gaya.
Pichhe ko jhatka khaate hue vo ladkhadayi aur khaayi mein ja giri.
Kuchh der tak vahin khada main lambi saans lekar apne aapko shaant karta raha. Jab dhadkan kaabu mein aa gayi toh maine aage badhkar khaayi mein jhaanka.
Neeche patthar toh nazar aa rahe the par uski laash ka kahin naam-o-nishan nahi tha. Vo toh jaise girte hue kahin hawa mein hi gayab ho gayi thi.
Maine apne haath ki taraf dekha. Revolver bhi mere haath se gayab ho chuki thi.



"Maut aayi bhi toh is naaz ke saath,
Mujhpse koi ehsaan kiya ho jaise"



Mujhe uske kahe bol yaad aaye aur main palat kar vaapis cottage ki taraf chal pada jahan pahunch kar mujhe har cheez phir vaise hi karni thi jaise ki vo 10 saal pehle us raat thi jab maine uska khoon kiya tha.

Par kya sach mein main use maar paya tha? Vo har saal isi raat phir jaane kahan se laut aati thi, jaane kaise laut aati thi aur ye raat theek usi tarah chalti thi jaise ki 10 saal pehle chali thi.

Vo khana banati thi, ham khaate the, ek doosre ko pyaar karte the, sunrise dekhne aate the aur main har subah uska khoon karta tha. Har saal isi raat vo jaise apni maut ki kahani dohrane phir chali aati thi. Ek aisa silsila jo khatam hone ka naam hi nahi le raha tha. Ek aisi galti jo ki toh maine 10 saal pehle thi par ab har saal karni pad rahi thi.


"Zindagi guzar rahi hai is tarah
Bina jurm koi saza ho jaise."
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
@@Don @@RedRose64 @@saviou @@Pari @@Seap @@STAR24 @@Shiraz-Khan @@ZarOon @@AnadiL @@Rashk-E-Hina @@Parisa_ @Huree@@Guriya_Rani
@@Abidi @@Ahmad-Hasan @@Aayat @@aishagull @@Akaaaash@Afsaan @@Arzoo-E-Dil @@Armaghankhan @@Angel_A @@Amaanali@amazingcreator
@@amerzish_malik @@Arz0o @@Arzoomehak @@Aqsh_Arch@Asheer @@attiya @@Atif-adi @@Awadiya @@Aaylaaaaa @@Ayesha-Ali @@Barkat_ @@Babar-Azam
@@Blue_Sky @@Blue-Black @@Bela @@Baarish @@Binte_Hawwa@babarnadeem996 @@bilal_ishaq_786 @@Chief @@chai-mein-biscuit @@CuTe_HiNa
@@Cheeky @@Charming_Deep @@colgatepak @@Danee @@Dard-e-Dil@Dua001 @@DevilJin @@Dua_ @@Dreamy Boy @@dur-e-shawar@diya . @@errorsss
@@Fahad_Awan_Huh @@Faiz4lyf @@Flower_Flora @@Fizaali@fahadhassan @@genuine @@gullubat @@Gul-e-lala @@isra_@gulfishan @@huny @@H0mer
@@Hoorain @@hania7012 @@Hoorainn @@HWJ @@hariya@Haider_Mk @@Iceage-TM @@i love sahabah @@italianVirus@illusionist @@Island_Jewel @@ijazamin
@@junaid_ak47 @@Jahanger @@Just_Like_Roze @@jimmyz@lovely_eyes @@LaDDan @@Lost Passenger @@Lightman@Mano_Doll @@Mahen @@Meerab_
@@maanu115 @@Mantasha_Zawaar @@Manxil @@Marah@Mas00m-DeVil @@marib @@Menaz @@minaahil @@Mehar_G786@Meekaeel @@MSC
@@Minal @@mrX @@MukarramRana @@MumS@Muhammad_Rehman_Sabir @@Nadaan_Shazie @@Naila_Rubab@namaal @@NamaL
@@Nikka_Raja @@nighatnaseem21 @@Noor_Afridi @@Noorjee@nizamuddin @@Ocean-of-love @@onemanarmy @@p3arl@Panchii @@Pari_Qrakh
@@Poetry_Lover @@Prince-Farry @@Princess_Nisa @@Princess_E@pyaridua @@Rashk-E-Hina @@Raat ki Rani @@raaz the secret@Rahath
@@raji35 @@Ramiz @@RaPuNzLe @@reality @@Rubi @@REHAN_UK@*Sarlaa* @@seemab_khan @@Sameer_Khan @@Syeda-Hilya@S_ChiragH
@@SharieMalik @@sweet-c-chori @@ShehrYaar @@shailina@Shahzii_1 @@Shoaib_Nasir @@shineday11 @@Sabeen_27 @@shzd@Shampak_ShooOO
@@Silent_tear_hurt @@sweet bhoot @@sona_monda @@silent_heart@SpectativeSchahzaad @@soul_of_silence @@Stylo_Princess@Shona619 @@SUMAIKA
@@soul_snatcher @@sweet_lily @@sweet_c_kuri @@Sweeta @@Toobi@Twinkle Queen @@Tanha_Dil @@Tariq Saeed @@ujalaa @@UHPF
@@Umeed_Ki_Kiran @@Umm-e-ahmad @@umeedz@unpredictable2 @@Vasim @@Wafa_Khan @@wajahat_ahmad@X_w @@yoursks @@Yuxra
@@Zia_Hayderi @@Zaryaab @@Ziddi_anGel @@zonii @Umerp@@Shampak_ShooOO
 
Top