Sirat e Mustaqeem (Hidayat Ka Rasta)

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)

Is contest me jo topic hai wo sirat e mustaqeem, to ham kuch afsana ya kahani ki bajayen ye soche ki iski tashree iska maqsad aur bani adam ko iske mutalliq kya hukm diya gaya wo likhen

To tafaseer ke mutale ke baad mukhtasar andaz me iska mafhoom likhne ki koshish kiye hain umeed hai ye apke aur hamare liye mufeed sabit hoga inshaAllah

Sirat e mustaqeem yane sidha rasta hiyadat ka rasta

Hidayat ke kayi mafhoom hain, raste ki taraf rehnumai karna, raste par chala dena, manzil maqsood par pahunchadena. Isse arbi me irshad, taufeeq, alhaam aur dalaalat se tabeer kiya jata hai,

yane hamari sirat e mustaqeem ki taraf rehnumai farma, is par chalne ki taufeeq aur ispar istaqamat naseeb farma, taake hame teri raza (manzil maqsood) hasil hojaye.

Ye sirat e mustaqeem mahez aqal aur zahanat se hasil nahi hosakti .

Ye sirat e mustaqeem wohi Islam hai jisse Allah ke Rasul sallellahu alayhiwasallam ne dunia ke samne pesh farmaya aur jo ab Quran aur Ahadees e sahiha me mehfooz hai.

Ab iski aur thori wazahat karenge to baat aur samajh me aayegi sure fateha me ayat no 7 me hai ke unlogon ka rasta jin par tune inaam kiya yane sirat e mustaqeem ka wo rasta jin par tune inaam kiya ab ye kaun loog the kaise loog the, issi me sirat e mustaqeem ki wazahat hai ke ye sidha rasta wo hai jis par wo loog chale, jin par Allah ka inaam hua.

Aur wo loog hain Ambia, shuhada, siddiqeen aur saleheen, jaise iske daleel me quran ki kayi ayaten hain aur ahadees hain

Ek hadees me Quran ko sirat mustaqeem kaha gaya hai kyun ke Quran hi hame sidhe raste ki rehnumayi karta hai aur khud isko amali taur par Allah ke Rasul sallellahu alayhiwasallam ne hame karke dikhaya aur phir unke baad sahaba ne kar dikhaya aur rehti duniya tak issi raste par saleheen chalte rahenge inshaAllah

Hame bhi agar kamiyabi chahiye dunia aur aqirat me to yehi rasta apna na hoga yane Quran aur Hadees ka rasta jis par chalkar hi ham sirat e mustaqeem par honge iske bagair ye mumkin hi nahi ke hamara rasta sidha ho, kamiyabi ki taraf ho,

agar ham isko chorenge aur rasm o riwaj buzurgon ke aise aqwal jo shariat ke khilaf hon aur shirk bidat aur khurafat me mullawis honge to hamara rasta shaitan ka rasta hoga aur wo rasta sidhe jahannum ko leke jayega

kisi ke zahen me ye sawal aasakta hai ke jo momin hain unko to Allah ki taraf se hidayat mil chuki hai to phri namaz me ye parhne aur phir sirat mustaqeem par chalne ki dua kyun mangni chahiye

to iska jawab ye hai ke murad isse hidayat par sabit qadmi aur rusooq aur beniabi aur hamesha ki talab hai, iske liye banda har waqt aur har halat me Allah ka mohtaj hai, wo khud apni jaan ke nafa o nuqsan ka malik nahi balke din raat apne Allah ka mohtaj hai, isliye Allah ne usse sikhaya ke har waqt wo Allah tala se hidayat talab karta rahe aur sabit qadmi aur taufeeq chahta rahe, bhala aur neik bakht insaan wo hai jisse Allah tala apne darka bhikari banale, wo Allah har pukarne wale ki pukar ke qabool karne ka kafeel hai bilkhusoos beqarar mohtaj aur iske samne apni hajat din raat pesh karne wale ki har pukar ko qabool karne ka wo zaamin hai.

Ayen ham azm Karen ke ham apne raste ko wo rukh denge jaise sahaba ne diya jiska hukm Allah ke Rasul sallellahu alayhiwasallam ne diya aur amalan hame karke dikhaya aur wo sari cheezen aaj Quran aur Hadees ki shakal me muajood hain bas is par chal kar hi ham apne manzil maqsood tak pahunch sakte hain

Allah tala hame sirat e mustaqeem par chalne ki taufeeq aata farmaye Aameen
 

sOhNi_

Super Star
Sep 4, 2010
5,507
3,502
1,113
MashALLAH saviou bro..appne bht bht acha likha hai...
Jazak ALLAH khair...
ALLAH hum sab ko seerat-e-mustaqeem per chalne ki toufeeq dien AMEEEN ....
Khush Rahien...
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
JazakAllah Khair Hamisha k terha aapne buhut he khubsurati se Sirat e Mustaqeem k bare mei mei likha
aur InshAllah Allah se Dua bhi hain and Koshish bhi k Hame Deen k sahi Samajh atha kerne k saath saath un Ahkamat pe Amal kerne ki bhi taufeeq atha kare (Aameen)
 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
walikum salam
:)
bht hi umda likha hai bhai
:)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
JazakAllah Khair Hamisha k terha aapne buhut he khubsurati se Sirat e Mustaqeem k bare mei mei likha
aur InshAllah Allah se Dua bhi hain and Koshish bhi k Hame Deen k sahi Samajh atha kerne k saath saath un Ahkamat pe Amal kerne ki bhi taufeeq atha kare (Aameen)
summa Aameen :)
Jazakallah khair
 
Top