Some "javed akhtar" collection

  • Work-from-home

CHINTU

Newbie
Mar 24, 2009
349
185
0
37
U.S.A
jab woh kam umr hi tha
usne yeh jan lia tha k agar jeena hai
bari chalaki say jeena hoga
aankh ki aakhri had tak hai basat-e-hasti
aur woh m'amooli sa aik mohra hai
aik ik khana bohat soch k chalna hoga
bazi aasan nahin thi uski
door tak charoN taraf phailay thay mohray
jallas, nayahat saffaak, sakht bay reham , bohat hi chalaak
apne qabzay maiN liye poori basaat
uske hisay maiN faqat mat hi mat
woh jidhar jata usay milta
har naya khana, nai ghaat liye
woh magar bachta raha, chalta raha
aik ghar , doosra ghar, teesra ghar
pas aya kabhi auroN k kabhi door hua
go k m'amooli sa mohra tha magar jeet gaya
yooN woh ik roz bara mohra bana
ab woh mehfooz hai ik khanay maiN
itna mehfooz k dushman to alag
dost bhi pas nahiN aa saktay
uske ik hath maiN hai jeet uski
doosray hath maiN tanhai hai!


---------- Post added at 09:38 PM ---------- Previous post was at 09:37 PM ----------

sham honay ko hai
lal sooraj samandar maiN khonay ko hai
aur uske paray kuch parinday
qataraiN banaye huwe
unhi jangloN ko chalay
jin k pairoN ki shakhoN pe haiN ghonslay
yeh parinday
waheeN lot kar jayeN gay
aur so jayeN gay
hum hi hairan haiN
is makanoN k jangal maiN apna kahiN bhi thikana nahiN
sham honay ko hai
hum kahaN jayeN gay?


---------- Post added at 09:39 PM ---------- Previous post was at 09:38 PM ----------

dard apnata hai paraye kon
kon sunata hai aur sunaye kon

kon dohraye woh purani bat
gham bhi soya hai jagaye kon

ab sukh hai to bhulanay maiN haiN
lekin us shakhs ko bhulaye kon

aaj phir dil hai kuch udas udas
daikhiye aaj yad aaye kon


---------- Post added at 09:40 PM ---------- Previous post was at 09:39 PM ----------


gehra sannata hai
kuch makanoN say khamosh uthta hua gaarha kala dhuwaN
mail dil maiN liye har taraf door tak phailta jata hai
gehra sannata hai
lash ki tarah bay jan hai raasta
aik toota hua thaila ulta para apne pahiye hawa maiN uthaye huwe
aasmanoN ko hairat say takta hai
jaisay jo bhi hua, uska ab tak yaqeeN usko aaya nahiN
aik ujri dukaN, cheekh k b'ad munh khula to khula reh gaya
apne tootay kawaroN say woh
door tak phailay choori k tukroN ko hairat zada nazroN say daikhti hai
k kal tak to yehi sheeshay is poplay munh maiN so rang k dant thay
gehra sannata hai
gehary sannatay ne apne manzar say yooN bat ki
sun lay ujri dukaN
ay sulagtay makaN
tootay thailay, tumhi bas nahiN ho akailay
yahaN aur bhi haiN jo ghaarat huwe
hum unka bhi maatam karaiN gay magar
pehlay unko to ro laiN
k jo lootnay aye aur khud lut gaye
kia luta iski unko khabar hi nahiN
kam nazar haiN k sadiyoN ki tehzeeb par
in baicharoN ki koi nazar hi nahiN!


---------- Post added at 09:42 PM ---------- Previous post was at 09:40 PM ----------

har khushi maiN koi kami si hai
hansti aankhoN maiN bhi nami si hai

din bhi chup chaap sar jhukaye tha
rat ki nabz bhi thami si hai

kis ko samjhayeN kis ki bat nahiN
zehn aur dil maiN phir thani si hai

khab tha ya ghubar tha koi
gard in palkoN pe jami si hai

hasrataiN rakh ho gayeeN lekin
aag ab bhi kahiN dabi si hai

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top