Some Questions.....

  • Work-from-home

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Assalamoalaikum,

Mera question hai k


Rozay ki halat may hair cutting kerwana kia jaiz hai?
specially larkion k liay..

Mera 2nd question ye hai k

Hum akser koi bhi kam kerne say pehle note book per BISMILLAH ki jagha 786 urdu counting may likhte hein to kis terhan say ye BISMILLAH banta hai?
 
  • Like
Reactions: mujju_sir

unisolutionz

Newbie
Aug 23, 2008
35
14
0
Karachi
Salam to all.

I want to tell one important thing here that please dont ask Islamic questions here because we all are not Islamic Aalim deen and we have very very short knowledge. Islam have depth and some things are like that which we can not understand we have to consult with any Aalim deen.

It is like that if i am feeling pain in my heart i should consult with Heart Specelist , i will not consult with small clinic.

May be my or your answer is wrong but asking person is following our answers then it will be "Gunhaaie Jaareia "

Please understand what i want to say.

Thanks.
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Well unisolutionz ap ki bat bilkul thik hai lakin yahan per jo koi bhi questions pochay jatay hein us kay reply may ager koi user humay answer deta hai to wo prove k sath deta hai or ager apko lagta hai k ap ksi user k reply say satisfy nahe ho to apko koi zaroorat nahe hai uski bat per amal kerne ki jub tuk wo apko prove nahe day deta
 

banan_007

Newbie
Aug 8, 2008
5
1
0
786 likhne ka koi faidah nahin. Poori Bismillah likhnay mein barkat hai aur yeh allah aur us ke rasool ki taaleem hai.
 

unisolutionz

Newbie
Aug 23, 2008
35
14
0
Karachi
Well unisolutionz ap ki bat bilkul thik hai lakin yahan per jo koi bhi questions pochay jatay hein us kay reply may ager koi user humay answer deta hai to wo prove k sath deta hai or ager apko lagta hai k ap ksi user k reply say satisfy nahe ho to apko koi zaroorat nahe hai uski bat per amal kerne ki jub tuk wo apko prove nahe day deta


Well mai nai abhe tuk yahan per kese bhe question ka reply Quran and Hadees k hawalai sai nahi daikha hai... Also like i said in detail agger aap k tabiat kahrab ho to aap apnai kese dost sai poch ker dawa khaa laitai hain kiaa ? ya doctor k pass jatai hain ? Islam and Deen k maamlai mai itnee suste hai hamari k bajai Aalim k pass janai k we are considring replies of general peoples.... great thinking... this is the reason we have not any knowledge about Islam.
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Well mai nai abhe tuk yahan per kese bhe question ka reply Quran and Hadees k hawalai sai nahi daikha hai... Also like i said in detail agger aap k tabiat kahrab ho to aap apnai kese dost sai poch ker dawa khaa laitai hain kiaa ? ya doctor k pass jatai hain ? Islam and Deen k maamlai mai itnee suste hai hamari k bajai Aalim k pass janai k we are considring replies of general peoples.... great thinking... this is the reason we have not any knowledge about Islam.

Well thxz 4 ur suggestion
We will INSHALLAH soon take an action about thiz
 

unisolutionz

Newbie
Aug 23, 2008
35
14
0
Karachi
Well thxz 4 ur suggestion
We will INSHALLAH soon take an action about thiz

Hi, Thanks for accepting this.

Also i want to ad one thing here there are around 30 Islamic websites which are fake and developed by Jews and Christan. They are giving wrong information about Islam and giving wrong FATWA.

I am searching that websites list if you got kindly post it here.

Thanks.
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Hi, Thanks for accepting this.

Also i want to ad one thing here there are around 30 Islamic websites which are fake and developed by Jews and Christan. They are giving wrong information about Islam and giving wrong FATWA.

I am searching that websites list if you got kindly post it here.

Thanks.
well ab tuk mughe aisi koi website ka malom nahe hai but ager mughe pata chali to sure i'll share it wid ya
 

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Salam to all.

I want to tell one important thing here that please dont ask Islamic questions here because we all are not Islamic Aalim deen and we have very very short knowledge. Islam have depth and some things are like that which we can not understand we have to consult with any Aalim deen.

It is like that if i am feeling pain in my heart i should consult with Heart Specelist , i will not consult with small clinic.

May be my or your answer is wrong but asking person is following our answers then it will be "Gunhaaie Jaareia "

Please understand what i want to say.

Thanks.
Mein koi Alim nahi laikin Alhumdulillah meine jitne Questions ka ajj tak jawab diya sabhi ka saboot Quran-o-Hadith say pesh kia.
Abb app check kiye baghair hum per Fatwa laga dain tu yeh ghalat baat ho gi.
 

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Well mai nai abhe tuk yahan per kese bhe question ka reply Quran and Hadees k hawalai sai nahi daikha hai... Also like i said in detail agger aap k tabiat kahrab ho to aap apnai kese dost sai poch ker dawa khaa laitai hain kiaa ? ya doctor k pass jatai hain ? Islam and Deen k maamlai mai itnee suste hai hamari k bajai Aalim k pass janai k we are considring replies of general peoples.... great thinking... this is the reason we have not any knowledge about Islam.
Wah kia baat hai app ki aghar app yeh Fatwa lagane say pehly Questions and Answers section ko check kar laitay tu thekh tha.
Alhumdulillah meine inn threads mein jitne answer diye sab ke sath Ulama ka Fatwa diya.

http://www.tafrehmela.com/islamic-question-answer/14650-qaza-namaz.html

http://www.tafrehmela.com/islamic-question-answer/13751-according-islam-bank-mein-job.html

http://www.tafrehmela.com/islamic-question-answer/13860-non-muslim-cook.html

http://www.tafrehmela.com/islamic-question-answer/13750-qistmat-taqdeer.html
 

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Assalamoalaikum,

Mera question hai k


Rozay ki halat may hair cutting kerwana kia jaiz hai?
specially larkion k liay..
Wa Alaikum Salam,
Sorry mein Khawateen ke masail zyada nahi janta maghar meine aik Alim-e-Deen say pocha hai tu unhon ne farmaya hai ke Khawateen ko Hair Cutting karwana waisy bhi HARAAM hai.
Baqi Khawateen ke masail per meine kafi books post ki thi jo app mery islamic forum ke iss thread mein dekh sakti hain.

Khawateen Ky liye Islamic Books - Irshad-ul-Islam Forum - Presenting Islam | Urdu Islamic Forum
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Assalamoalaikum,

Mera question hai k


Rozay ki halat may hair cutting kerwana kia jaiz hai?
specially larkion k liay..

Mera 2nd question ye hai k

Hum akser koi bhi kam kerne say pehle note book per BISMILLAH ki jagha 786 urdu counting may likhte hein to kis terhan say ye BISMILLAH banta hai?

Baal katwana to kisi haal main bhi mana hai. (Mujhay is ki quran o hadees say maloomaat naheen. Agar kisi ko ho to zaroor hawala dain. Shukria).

Ub jub aik kaam karnay say mana hai to har halat aur her din aur har maheenay main mana hai. To ramzan jaisay muqaddas maheenay main gunah ka karna to 70 guna ziada gunah hai isi tarha naiki karna 70 guna sawab hai.

Mujhay aisay fatwon per hayrat hoti hai jin main Allah aur Rasool ki mana karnay k bawajood uskay saath shik laga kar ijazat di jati hai. Agar aisa hi karna hota to Allah aur Rasool Sallalah o Alaihi Wasaallim nain farma dia hota kay aisi soorat main jaiz hai k mard k mushaba naheen ho aur kandhay tuk aurtain bal katwa sakti hain.


Jub mana hai to mana hain kia kundhay tuk kia thori si trimming. Baaz ulma to kuch shiq laga kar sood pay ghar lenay ko bhi jaiz qarar detay hain. Jub aik baat mana hai to mana hai. Choon aur charaan kaisa.


Sood lena aur dena haram hai to haram hai.

Baal katwana mana hai to mana hai. Khuwah kundhon tuk katwai jaay ya sirf thori si triming karwai jaay ya katwa kar sirf payshani dhak li jaay. Sub mana ho ga.

Main nain to suna hai Islam main kundhon tul mard ko baal rakhna chahyay ya rakh saktay hain. To kia aurton ka kandhon tuk baal rakhana mardon ki mushabihat naheen ho gi?

Aap loag bhi kahain gay main sawal bohat karti hoon kia karoon meri naqis ul aql sochti bohat hai aur her baat ki gahraion main ponhachnay ki koshish karti hai.
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Doosray sawal ka jawab k 786 likhna chahyay k naheen. Iski koi tasdeeq naheen hai kis tarha yay start huwi aur kis nain ki. To aisay kaam say ijtinaab karna chahyay jis ka pata naheen ho k sahi hai k ghalat.


Number k use taweez gunday likhnay walay kartay hain aur quran o hadees say yay wazah hai k Allah nain un k shir say panah mangnay kaha hai.

Quran main Allah nain aik jagah bhi aur aik lufz k liaay bhi number ka use naheen kia. Aisa hi hota to numbers main quran utarta jo bohat chota hota jaisay poori bismillah 3 adaad per mushtamil hai.
Bismillahir Rahmanir Raheem parhnay likhnay ya kahnay say hi sawaab milaay ga na k 786 likhnay say jo sirf number hain jis ka hamain na koi yaqeen hai aur na koi saboot.

Aik bhai nain jo fatway say yay sabit karnay ki koshish ki hai k Muhammad Sallaho Alaihi Wasallim nain yahoodi ko almsuaad say jawab dia to wo unhon nain unki zuban main unko samjhanay k liaay dia ho ga na k yay sabit hota hai k bismillah ki jagah 786 likha jaay.

Yaqeenun alfaaz ko adaad main yahoodi banatay ho gay jabhi to wo is tarha Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallim k samanay number main lufz ko paish kia.

Yahoodion nain to hamaisay na sirf paighambaran ko qatl kia balkay hamaisay hail o hujjat anbiaa say bhi kartay rahay. Yay is baat ka koi saboot naheen k bismillah ki jagah 786 likha jaay.


Agar aap koi kaam karti hain to bismillah parhti hain so likhnay say pahlay bhi bismillah hir rahmanir Raheem parh lia karain aap ko sawab mil jaay ga. Aur kaghaz pay likhnay way bayhurmati ka ahtimaal bhi naheen rahay ga.

Agar jaisa k bhai nain fatway main likha hai k. Bismillah ki bay hurmati hoti hai kaghaz pay likhnay say aur kis bay wazoo k choonay say to Muhammad Sallah O Alaihi Wasallim kioon kafiron ko khat main Bismillah likha kartay thay aur wo khut kafir apnay haath main ya apnay kisi alchi (kafir) kay haath main day kar parha ya parhwaya kartay thay.

Agar aap bayhurmati say bachana chahti hain to Bismillah parh kar khud likhna shuru karain.

Jis baat pay suk ho aur us ka koi authentic jawab quran o sunnat say sabit na ho to ussay chor dain. 786 k baray main mukhtaleef fatway hain so uska chor dena hi bahtar hai.

Allah bahtar janta hai. Meri naqis ul Aqal itna hi mujhay batati hai. Main bhi pahlay use karti thi jub say suna hai ghalat hai chor dia. Jis kaam ka pakka pata na ho aur ulma bhi ikhtilaaf ka shikar hon to uss say parhaiz bahtar hai.
 
Top