suniye Jin or pari ki Sachi kahani.......!

  • Work-from-home

saddan

Newbie
Sep 12, 2013
6
5
3
aslam u aliakum ..ye sub bilkul such hai ........becoz mere sath ye sub chal raha hai .....lekin thora diffrent hai inse ........aur inse kahin zyada bhayanak bi hai ......mein kuch likhna chahta hu lekin buht zyda lambi story hai aur ALLAH janta hai aj tak abi bi mere sath ye sub chalta hai aur kab band hogga ....mujhe nahi pata .....ALLAH ki zaat pe bharosa hai ...ek din toh sub theek ho jaega ......mein apni story likhna chahta hu kese creat hoggy ye toh post hai na .....me new hu yahan pe.......koi mujhe bataega ???
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

Anokha_Insan

Newbie
Jul 31, 2016
5
1
1
underworld
aslam u aliakum ..ye sub bilkul such hai ........becoz mere sath ye sub chal raha hai .....lekin thora diffrent hai inse ........aur inse kahin zyada bhayanak bi hai ......mein kuch likhna chahta hu lekin buht zyda lambi story hai aur ALLAH janta hai aj tak abi bi mere sath ye sub chalta hai aur kab band hogga ....mujhe nahi pata .....ALLAH ki zaat pe bharosa hai ...ek din toh sub theek ho jaega ......mein apni story likhna chahta hu kese creat hoggy ye toh post hai na .....me new hu yahan pe.......koi mujhe bataega ???
Ap ko chahiye ke facebook pay kahni lakhin ya blogspost bnayain main bhi ap ki traha hun mera ye number ha EDITED aur Allah ke karam sy sub thek hoga muj sy rabta rakhna main 10 sal tak esi cheez ke pichy hun
 
Last edited by a moderator:

Anokha_Insan

Newbie
Jul 31, 2016
5
1
1
underworld
Main wo Insan hun jis sy Eik Paari Yaani Asman ki Jinnat jo paroon waly hoty hain Paari aurt yani jinzadi aur Diyo yni Jinzad. Inhi ko asmani aafaat kaha jata ha.
 

Anokha_Insan

Newbie
Jul 31, 2016
5
1
1
underworld
Jinnat ki kai qismain hain aur inki jismani sakht alag hoti ha Lihaza gharon main zida tr jinnat insanon ke pass rahty hain unko Amir kaha jata ha esky elawa jheel aur paharon pay rahny wallay insan dushman hoty hain aur taqatwar bhi.
 

Anokha_Insan

Newbie
Jul 31, 2016
5
1
1
underworld
{(Sad1)}
Aslam-0-Alaikum


My dear friends of TM,
Aaj may nai aik bhai ka thread para jis may poocha gaya k kia aap nay kabi jin dekha hai???


To meri kahani suniye…


Ye aaj say taqreeban 13 saal pehlay ki baat hai. Jab may class 6th may parta tha. School kay door honay ki waja say may apny uncle kay ghr may rehnay laga or wo b jab meray final exam ho rhay thay.

Meray 4 cousin hain un may sab say bara jiska naam Shahid isi taraha bil tarteeb Ahsan, Shahzad & Saqib.
In may say jo Shahid bhai hain unhon nay pehlay ghar walon k sath baat ki q k wo raat ko der tak study krtay thay or koi na koi raat ko un k sath waqiya pesh aajata tha magr ghr walay uski baton pr yaqeen nai krtay thay..


Acha un may say meri sab say ziada dosti Shahzad say thi aik din raat ko ham log so rhay thay or achanak meri aankh khuli kamray m koi roshni nai thi… m nay kia dekh? K Shahzad bhai jo wo meri taraf dekh rhay hain or muskura rhay hain. Usi lamhay m nay unko kaha k kia baat hai sojao itni raat hai or aap jag rahay ho to unhon nay muje jawab nai dia.

Itnay m muje khayal aya k itnay andhera hai magr vo pr b muje dikhai day raha hai. Bahot ajeeb hai m nay itnay m usko mazaqan thaper day mara to mera haath us k chehray k ander say guzar gaya matlab usko kuch na hua. Or meri nazrain uski aankon m pari to m kia dekhta hoon k uski ankhain bilkul kaali jesay hamari ankhon m sufaidi hoti hai uski ankhoon m nai thi…

Phr m dar gaya k ye Shahzad bhai nahi ye koi or bhai hain or m nay sari raat sonay ki koshish ki magr naa so saka har taraf say wo muje drata tha. Phr m nay saray ghr walon ko jaga dia,, or abi b m nay ye likha hai or meray rongtay uray huay hain…

Is k baad m jab papers khatam kr kay ghr gaya to wohan b unhon nay mera peecha nai chora.

Ghar m wo jin tha ya pari kuch keh nai sakta wo meri ami ki shakal m ati thee. Or jab m dekhta tha to m usko ami kehta tha to ami ki awaz un k room say ati thee or jawab deti theen q beta kia hai. Or itnay m wo jo ami ki shakal m ati thee ghaeb hojati thi. Or m apna moon bistar m dhanp deta tha…mgr jab tak wo khari rehti thi to muje uski roshni dikhai deti thi…

Or aik din garmiyon ka mausam tha or ham sab log apnay ghr may bahir sehan may so rhay thay k achanaq muje nalka (pani wala hand pump) k chalnay ki awaz ai or may nay kaha ami kher to hai to ami apni charpai pr theen kehnay lagain kia hua beta may nay kaha nalka per kon hai? Ami boli koi nahi hai….halan k muje wo dikhai b dee thi…

Is taraha k kai waqiyat pesh aey or dosto yaqeen kro raat meray liye azab ban kr aati har din k baad.

Isi tarah aik din jab meri dadi ki behn hamaray ghar may aien to meray ghar walon nay ye sab un ko bataya….to unka jawab kia tha….?

Beta ye pari hai jo teri ami ki shakal m ati hai or aap say dosti krna chati hai isi waja say ye tumari ami ki shakal m ati hai. agr ab ki baar aey to usko bola ker sath bethnay ko kehna to wo ap k sath beth jaegi ager beth jai to bismillah per ker us say baat krna or usko kehna m teray sath dosti krta hoon agr tum muslim ho to….! Or agr wo javab day k haan may muslim hoon to us say Pehla Kalma sunna. Agr wo muslim hui to aapko suna daygi. Ager kafir hui to chali jaegi…..

Inhi baton k doran meri dadi ki behn yeni dadi nay kaha k wo muje umeed hai ye batain sun rahi hogi….
Or unhuno nay kaha ager wo muslim hai to beta teri baat ban jaegi…
Or aaj tak may dadi say pochta hoon mgr dadi muje javab nahi deti hain k kesay baat ban jaegi…


Or meray dosto muje lgta hai us nay sab batain sun li theen q k us k baad aaj kay din tak may nay kisi jin pari ko nai dekha or na ab darta hoon…

Ye thi jee hamari jino, or pariyon wali kahani…

Or ab may khas kr wo log jo jino or pariyon per yaqeen nahi rkhtay kehna chata hoon k bhai ye sach hai…
Bal k Quran Kareem may bi is ka zikar hai….jo Allah ki akhri kitaab hai or Aap SAW per utaari gai…


Tari
good tmhair dadi ny tm ko gumrah kiya q ke wo tmhari jaan bchatna chahti the. dosra tum ny sub ko bta diya jis ki wja sy wo chali gyai mgr ab bhi bulao gy to aaye gi.
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed
Top