Tahajud Namaz ka Tareeka

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Assalam o alykum

mughe yahan Tahajud parhne ka tareeka pochna ha.. like koch logo se suna k 2 nafil parhtay or koch log 4 parhtay hain.. or aik jagha se search karne pay mughe koch is type ka answer mila jis ne mughe or confuse kar dia:

---------------
1. tahajjud ki naamaaz ka masnoon waqt: raat ishaa ki namaaz paRh kar so jaa naa aur aur fajir ki azaan say pahlay pahlay kissi waqt bhi oth kar nafli namaaz paRhnaa... tahajjud ki namaaz kahlati hai.... ramazan main bil.amoom sehri khanay say pahlay easily parhi jasakti hai..... agar poori raat shab bedaari ki ho tab bhi azaanay fajir say qabal paRhi jasakti hai
2. tahajjud ki rekaat: tahajjud namaaz aik nafil namaaz hai. iski koi tadaad fixed nahi. albattah 4 rekaat tahajjud paRhna masnoon hai... zeyadah bhi paRhi jasakti hai.... chaar chaar rekaat karkay....... yani aik waqt maiN aik niyyat k saath 4 rekaat aam namazouN ki tarah paRhnaa.
3. tahajjud namaaz ka tareeqah: yeh aik nafil namaaz hai... issay aam nafil namaaz ki tarah paRhaiN... doosri rekaat maiN aakhir tak sab kuch paRhna hai (at.tahyyat+darood shareef+dua) aur salaam phernay say qabal khaRay hokar baqya 2 rekaat poori karni hai aur 4 rekaat par salaam phernaa hai.
4. salaam phernay ka tareeqah: wohi hai jo aam namaazoun ka hai. magar salaam phernay main log 'amooman' ghalati kar jatay haiN. hum tashahud main qiblah rukh baithay hotay haiN... aur assalamo alaukim wa rahmatullah kahtay howay right side tak chehra pherletay haiN. (yaani 90 degree right side tak chehrah phertay haiN) ...... aur phir right side say hi dobarah assalamo alaukim wa rahmatullah 'kahtay howay right --> left side ko chehraa 180 deg tak pher letay haiN.... yeh taraeqah ghalat hai....
har salam main chehray ko sirf aur sirf 90 degree tak pherna hai.
a) right-salam= qiblah rukh taa right side end (i.e. 90 deg)... chehrah phertay howay saath saath salaam kahnaa
b) no salam = chehray kaa right side taa qiblah rukh wapsi.... kuch nahi kahnaa hai / salaam nahi parhna hai
c) left-salam= qiblah rukh taa left-ide end (i.e. 90 deg)... chehrah phertay howay saath saath salaam kahnaa


---------------------

kindly isay details may explain kijyega

Shukriya
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
walikum asalam
ye to teek hay k tahajud nafal nimaz hay
or ye kum say kum 2 rakat,or ziada say ziada 12 rakat tak parhe jasakte hay
baqe wallAllaho alam..
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
ya actually main b 2 rakat he apnay parents se or khud b ada karti aye hoon.. per net per search karne k baad above info jo mili us ne mughhe confuse kar dia.. is lie mughe is k baray may details chaiye
 
  • Like
Reactions: Tooba Khan

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
jazakAllah zeeshan..

rr ap 2 rakat b agar tahjjud parho but us k bad dowa kum say kum 10,15 mint tak zaror karay...apko kud lagay ga k ap Allah k samnay bethe ho or apnay rub say daierect batay karahe ho...
sach may bht sakoon milta hay tahajjud ki nimaz may..

i wish may ramzan k ilawa amm dino may b tahjud ki nimaz parho,kuda toffeq day mujy,ameen
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
exactly tooba may b just ramzan may he parhti hoon coz us k baad direct sehri karni hoti ha..
i wish ALLAH ham sab ko tahajjud ka adi bana dien..
 
  • Like
Reactions: Tooba Khan
Top