Tahzeeb

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Tahzeeb Ki Pukhtagi darasal sabit qadmi hai. Rukawatoan ke bawajood mansooba ki taqmeel ke liye apni mehnat jari rakhna. Tahzeeb be-garzi hai. Doosroan ki zaroratoan main un ke kaam aana. Tahzeeb uss iste'aad ka naam hai ke na-khushgawari aur mayuusi ka saamna kisi talkhi ke baghair kiya jaye. Tahzeeb inkasaari hai. EkTahzeeb-Yafta Aur pukhta insaan ye kehne ke qabil hota hai ke main galti par tha. Aur jab woh saheeh sabit hota hai tou woh ye nahi kehta ke ye baat main ne tumhe bata di thi. Tahzeeb Ki Pukhtagi ka matlabh hai qabil-e-etamaad aur emaan-daar hona. Apnewadey ko har haal main poora karna. Pukhtagi us silahiyat ke naam hai ke ham in cheezon ke saath pur-aman toor par reh sakain. Jin ko ham badal nahi saktey. Pukhta insaan woh hai jis main mardana ausaaf paye jayen. Jo haqeeqat wakiya ka aitraaf kare. Jo rad-e-amal se uper uth kar mua'mla kare. Jo apne jazbaat ko qabu main rakh sakey. Kis ke andar khushgawari ko tahamul ke saath abuur karne ki salahiyat hoo. Jo lohey ki tarha qabil-e-etmaad kirdaar ka hamil hoo.
Yehi pukhtagi insaniyat ka kamaal hai. Jis insaan ke ander ye khususiyaat hoon wohi kamil insaan hai. Woh hi insaniyat ke ala darje tak pohancha hua hai. Aise hi ifraad zindagi main kooi haqeeqi karnama anjaam dete hain aur yehi ifraad hai jo k isi qoum ko taraqi aur kamiyabi ki taraf le jate hain.

From:- Kitab-e-Zindagi - Maulana Waheed Ud Din Khan
 
Top