Talib E Ishq (episode 6) By Rashk-e-hina

  • Work-from-home

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ

Kya haal hai sabka?? After a long break n bhut saba k baad

Talib E Ishq ki sixth episode share kar rahi hun hopefully apko pasand ayegi kindly do give your feedback :)

TALIB E ISHQ

Episode 6

Zaviyar ke jane ke bad samreen bhi khushgawar mood ke sath pc band karti hai .or huriya ko saneha billy sunati hai. Isi tarha zaviyar ki or samreen ki roz hi bat hone lagti hai .or dono ke beech ek achi dosti ka agaz hone lagta hai. Ab Zaviyar or Samreen kafi ghanto ghanto bat karne lagey they. Zaviyar bhi ab apne dost ke ghar zara jaldi ata takey samreen se zada dair bat ho sakey. Waqt guzarta raha or Zaviyar ke imtehan shoro hone waley they. Zaviyar ke ghar walo ki sakhti bhi barhne lagi or us ka ghar se nikalna kam hogaya.computer woh apne ghar mai wese bhi zada istemal nahi kar sakta tha islia woh zada ter apne dost ke ghar hi istemal karta tha.samreen ko zaviyar ki kami ka shiddat se ehsas hone laga or us ko dar bhi tha ke Zaviyar bhi kahin waqt ke sath sath na badal jae,or dono ka phone pe bhi koi rabta nahi tha or na yeh woh waqt tha jab har bachey ke hath mobile hota tha.islia samreen ko zaviyar ke online ane ka intezar tha, imtehan khatam hone ke bad zaviyar jese hi online ata hai tu woh samreen ki bhot zada email or offline msgs dekh kar heeran hojata hai. Us ko andaza nahi hota ke samreen ko us ka itni shiddat se intezar tha.woh kafi dair samreen ka intezar karta hai or samreen online ajati hai .zaviyar samnreen ke sawalo ka jawab us ke aney se pehle hi dey chuka hota hai islia samreen zaviyar zada sawal nahi karti or kehti hai ke tum apna number dey do takey agar kabhi phir aesa ho tu tumhara pooch sakun, zaviyar jo bhot shararti sa larka hota hai lakin us ke apni family ka bhi khof hota hai kyun ke us ke ghar mei larka larki ko itna amm nahi samjha jata, zaviyar samreen ko mana bhi nahi kar pata or apna number bhi nahi dey pata tu akhir kar woh apne dost ka number dey deta hai or kehta hai agar kabhi bhi fone karna ho tu tum mere dost ke number pe fone karlia karna,or khud bhi samreen ka number lay leta hai. Samreen zaviyar ko usi waqt fone karne ka kehti hai, zaviyar apne dost se poochta hai ke call kar saktey hain tu us ka dost batata hai jis kamrey mai fone rakha hai waha sab ghar waley hain abhi call karna mushkil hojaega, zaviyar bahar jata hai or PCO (public call office ) se samreen ko fone karta hai, samreen ki tarha zaviyar ko bhi awaz sunney ki betabi hoti hai. Call miltey hi zaviyar kuch dair sharmata hai or kam kam bolta hai lakin jese jese bat hoti chali jati hai zaviyar apne karnamey sunana shoro kar deta hai, lakin dosri taraf ek dum khamoshi si chaa jati hai. Or kisi ke ansu jazb karne ke ehsas hota hai, zaviyar boltey boltey ek dum chup hojata hai or samreen se sanjeeda andaza mai poochta hai ke kiya tum ro rahi ho?

Samreen kuch dair tak kuch nahi bolti. Zaviyar musalsal pooch raha hota hai ke kiya hua. Kafi waqt guzarne ke bad samreen apne ansu ko roktey hue rone wali awaz mai zaviyar ko apne walid ke barey mai batati hai jin ki wajah se samreen or un ki walda aksar pershan rehte hain. Kuch dino se un ke rawaiya mazeed bura hota ja raha tha jis ko lay kar woh bhot zada pershan thi, samreen ke walid ne do shadian ki hoti hain ek biwi unhi ke sath pakistan se bahar hoti hain or dosri samreen ki ammi hoti hai. Zaviyar pori tafseel sunne ke bad samreen ko khamosh karwata hai or sanjeda andaz mai samjhata hai.

Samreen zaviyar se mazrat karti hai ke us ki wajah se us ka itna time zaya hua. "Bas isi wajah se zaviyar mai tum ko roz msg karti thi ke tum se bat hone ke bad dil thora halka sa hojata hai."

Zaviyar ko ehsas hota hai ke samreen ko us ki kitni zarorat hai, or dil mai irada karta hai ke woh zada se zada samreen ko waqt dey kar us ki zindagi mai khushian lane ki koshish karey ga.zaviyar samreen se ek waqt tey karta hai roz bat karne ka. Or roz us time kahin na kahin se online ho kar samreen se din bhar ki bataein karta hai or apni sharartein us ko sunata hai. Or samreen ka taruf apne sab hi khas dosto se karwa deta hai or us apne dosto mai ek khas muqam dilwata hai .zaviyar ke dost bhi samreen ki bhot izzat karte hain or zaviyar ki pal pal ki khaber samreen ko batate rehte hain .samreen zaviyar ki wajah se khud mai ek khas or behtar tabdeli mehsos karti hai. Or us ke ander kafi had tak khud etemadi barthi jati hai. Jis se woh taleem or dosro mamlat mai kafi bethri ka sath agey barh rahi hoti hai. Isshi doran samreen ki salgirah ati hai ramzano mai. Or samreen zaviyar se milne ka kehti hai. Zaviyar pehle tu razi hojata hai milne ke lia. Lakin jab us ko maloom hota hei ke samreen ki salgirah hai tu thora pershan hota hei q ke us ke pas samreen ko gift dene ke lia itney pese nahi hotey. Or woh ghar walo se is cheez ke lia pese bhee nahi mang sakta tha, jab zaviyar ke dosto ko us ki is majbori ka maloom hota hei tu woh sab zaviyar ko idea dete hein ke cricket tournament jetne ke bad jo bhi pese jama hua hain woh tum lay lo or jab tum nokri wale ban jao gey tu dobara team ke peso mai dal dena. Zaviyar un peso se samreen ke lia gift ley leta hai. Lakin ab masla milne ka hota hei woh kiya keh kar ghar se jae, kyun ke zaviyar pehli dafa samreen se milne ja raha tha us ke lia woh tayar bhi aesa hota jese kisi k valima mai ja raha hai or din mai karachi mai kahin valima nahi hota or itna tayar ho kar kahin jaega zaviyar tu ghar walo ke sawalat ki barish tu honi hai .islia woh apney dost ke ghar per apne kaprey tayar karwata hei or ghar se usi normal halat mai bahar nikalta hai jese woh rozana rehta hai. Or ghar walo ko aese dekhata hai jese match khelne ja raha hai. Or ghar se door ek dost k ghar mei tayar hokar samreen se milne nikal jata hai. Samreen ko dekhte hi park ke darwaze pe gir jata hai. Or samreen ke kareeb atey hi kapro ko jhartey hue uthta hai, samreen us se poochti hai tumhari tabiat theek hai.

Kyun ke us din itni garmi nahi hoti. Sardio ke ramzan hotey hain jis ki wajah se garmi se chakkar ana bhi mumkin nahi hota. Zaviyar pehle uthta hai phir kaprey jharta hai. Or samreen ko kehta hai mere peet jhar dena waha bhi mitti tu nahi lagi. Samreen ek bar phir poochti hai tum bemar they tu bad mai mil lete hum.

Zaviyar kehta hai bad mai bhi miltey tu aese gir jata mai. Tum ek bat batao tum such mai itni khoobsurat ho ya koi cream lagati ho. Mai tu islia gir gaya ke mere koi itni khoobsurat dost bhi ban sakti hai. Islia chakra kar gir gaya. Samreen hanstey hue zaviyar ke bazo pe mukka mar kar kehti hai tum nahi sudharne waley. Huriya jo samreen ke sath ayi thi woh bhi zaviyar ki bataon se lutf andoz ho rahi hoti hai or apna taruf karwati hai. Kafi dair bat hone ke bad zaviyar samreen ko gift deta hai kehta hai baqi mulaqat aftaar ke bad. Samreen pochti hai aftaar ke bad kese mil sakte hain. Zaviyar kehta hai beshak na milna aftaar ke bad lakin khirki se cake phenk dena ab gift lia hai tu cake tu banta hai na. Samreen hanstey hue us ko kehti hai k tum ghar ajana or aram se plate mai kha lena. Zaviyar ki aesi nature dekh kar huriya bhi us ki dost ban jati hai. Mulaqat k bad jab samreen ghar ja kar gift dekhti hai tu woh ek mobile hota hai jis ke sath likha hota hai ke “Nokia Connecting Friends Any time" ab tum pershan na hona samreen ab mai tum ko hamesha available milunga.

Zaviyar jitna bhi mumkin ho sakta tha samreen ko khush karne ke lia kuch na kuch karta rehta tha, ab woh messages ke zariya us ko paal paal ki khabarein dene laga tha .or un ki yeh dosti ab muhabbat mai badalti ja rahi thi. Or zaviyar ek din achanak hi samreen ko keh deta hai ke woh us se muhabbat karne laga hai or us se shadi kar ley tu us ki zindagi mukammal ho jaegi. Samreen jis ko bhi is din ka intezar tha woh bhi apni razamandi zahir kar deti hai. Yeh sab hone ke bad zaviyar ney apna zada ter waqt samreen ke sath hi guzarna shoro kar di tha woh ab dost se bhi kam milne laga tha, zada ter woh internet cafe or agar dosto mai bhi hota tu samreen se hi bataein karta rehta.

Zaviyar ke college ke final year ke paper shoro hoage they, or woh un ki tayario mai lag gaya tha zaviyar parhne mai acha larka tha hamesha achey nataij lata tha. Islia woh dosto ke bech se ek dum gayab hogaya or parhai mai dehan laga shoro kar dia lakin jab samreen ka msg ata tu us ka dehan samreen ki taraf hi lag jata, ek din zaviyar jab paper dene ke lia ghar se ja raha hota hai tu samreen ki misscall dekhta hai, woh samreen ko callback karta hai tu samreen us ko kehti hai ke ghar ke number pe call karo us time samreen ki awaz rone wali hoti hai. Zaviyar raste mai ek PCO jata hai or waha se samreen ke ghar fone karta hai tu maloom chalta hai samreen bhot pershan hai. Or wajah wohi us ke walid ka salook hota hai. Samreen ke walid pakistan a chukey hotey hain or samreen ki ammi ko kafi pershan kar rahey hotey hein jis ko dekh kar samreen bhi kafi pershan hojati hai. Samreen zaviyar ko kehti hai ke mujhe tum apne sath lay jao apne ghar kyun ke mai mazeed or is ghar mai nahi reh sakti. Ek taraf zaviyar ko apne paper ki fikar ho rahi hoti hai or dosri taraf samreen ki halat ki fikar, zaviyar samreen ko yaqeen dilata hai ke woh aj hi ghar ja kar apne ghar walo se bat karta hai, samreen ko tasalli dene ke bad jab woh fone rakhta hai tu maloom hota hei ke paper ka kafi time nikal gaya hota hai woh jab college jata hei tu us ko paper dene ki ijazat nahi dete yeh keh kar ke ap bhot zada dair se aye ho. Zaviyar ek ghanta dair se college ata hai. Zaviyar kafi koshish karta hai ke us ko paper dene dia jae lakin college wale us ki bat sunne se inkar kar dete hain. Zaviyar kafi dair wahin betha rehta hai or paper mai fail hone ki wajah se us ki ankho se ansu khud ba khud nikal rahe hotey hein. Paper ka time khatam hone ke bad woh ghar jata hai tu zaviyar ke ghar wale us ka chehra dekh kar andaza laga lete hein ke zaviyar ka paper acha nahi hua or us ko tasalli dete hein ke fikar nahi karu pass ho jao gey paper kabhi kabhi mushkil bhi ata hai hum ko tum per yaqeen hai tum pass tu ho jawo gey islia is paper ki fikar chor kar baqi dosre paper ki tayari karo.lakin zaviyar haqiqat ka soochte hue kafi pershan hota hei or soochta hai ke agar in sab ko maloom hogaya ke mai late gaya tu sab ka dil toot jae ga or yaqeen bhi .isi sooch ki wajah se woh baki paper ki bhi tayari sahi se nahi kar pata or na hi samreen ko pehle ki tarha entertain kar paata hai. Akhri paper dene ke bad woh himmat kar ke apne ghar mai samreen ke barey mai bat karta hai jis ko sun kar us ke ghar waley gussey mai ajatey hain, q k zaviyar sab se chota hota hei or us ki ummer bhi itni nahi hoti ke woh aesa soochey, yeh bat sunne ke bad zaviyar ke ghar walo ki sakhti or barh jati hai.

Zaviyar apni yeh pershani apne dosto se share karta tha tu sab is ko yeh hi kehte hein ke tum shadi ki bad kese kar saktey ho jab ke tumhare pas koi job nahi agar tum job kar rahey hotey tu tumhare ghar waley shayad razi bhi hojatey, or ab tumhara ek paper bhi ruk gaya hai , us ki wajah se tumhara ek or saal zaya hoga, ya tu tum aesa karo ke kahin job karo or paper pese dey kar pass karwa lo is ka faida yeh hoga tum ko tayaari bhi nahi karni paregi or ghar mai bhi kisi ko pata nahi chalega ke tum fail hue they or jaldi hi tum set bhi ho jao gey. Yeh bat zaviyar ko lagti hai or woh bht si jaga ghar mei batae bagair job ke lia apply kar deta hai. Lakin itni kam education ki wajah se kahin se koi musbit jawab nahi ata. Phir zaviyar ke ek dost ke bhai ki call ati hai zaviyar ke pas or us ko night job ki offer karte hain zaviyar foran haami bhar leta hai lakin jab ghar walo ko batata hai tu woh saf inkar kartey hain. Lakin zaviyar un ko samjhata hai ke night ki job hai or woh subha akar uni ka parh lega.jab ghar walo ko yeh pata chalta hei ke woh sath sath study bhi jari rakhega tu woh phir maan jatey haim, lakin zaviyar jo job karta hai waha us ki tankhwa zada nahi hoti woh zada tankhuwa ke lia subha ek school mai parhana shoro kar deta hai, or apne ap ko ghar walo ki nazar mai set sabit karne ke lia do do job shoro kar deta hai. Dosri taraf samreen ki dost anum or us ke ghar waley ko us ko yeh samjha rahey hotey hein ke zaviyar dosti ki had tak tu theek hai lakin shadi ke lia munasib nahi, kyun ke jin larko ke rishte samreen ke lia a rahey hotey hain woh kafi zada ameer hotey hain zaviyar se, or us ko samjhate hei ke zaviyar abhi sirf itna kamata hai jis se zarorat pori ho sakey, pese ki kami ki wajah se ache ache rishto mai darar ajati hai, tum pehle hi haal dekh chuki ho apne ghar ka or phir usi rastey jane ki koshish kar rahi ho. Tumhari ammi tu phir bhi maan jaein zaviyar ke lia lakin tumhare abbu ek alag hangama khara kar dein gey zaviyar ko lay kar.

Ek taraf zaviyar apne ghar walo ko razi karne ke lia musalsal koshisho mai lagta hota hai or dosri taraf samreen yeh soochti hai ke woh akhir kis taraf jae zaviyar ki taraf jis ko abhi set hona hai ya us taraf jo pehle se hi set hai…...

Regards
Rashk-E-Hina

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
@Don @Pari @Hoorain @RedRose64 @Mahen @STAR24 @*Sarlaa* @Syeda-Hilya @whiteros @namaal @Shiraz-Khan @sweet-c-chori @Abidi @Qu33na @Iceage-TM @Toobi @i love sahabah @Prince-Farry @Babar-Azam @Princess_Nisa @babarnadeem996 @MukarramRana @NamaL @Fa!th @MSC @Armaghankhan @yoursks @nighatnaseem21 @ZarOon @lovely_eyes @Angel_A @Sweeta @Island_Jewel @LaDDan @soul_of_silence @MIS_MaHa @junaid_ak47 @Guriya_Rani @Azeyy @Gul-e-lala @Blue_Sky @Poetry_Lover @crystal_eyez @Naila_Rubab @shzd @p3arl @Fantasy @Atif-adi @Lost Passenger @marzish @Fahad_Awan_Huh @SpectativeSchahzaad @Mano_Doll @Iceage-TM @innocent_jannat @Rubi @Umm-e-ahmad @Tariq Saeed @Mas00m-DeVil @Wafa_Khan @amazingcreator @marib @Zaryaab @Parisa_ @Twinkle Queen @S_ChiragH @Binte_Hawwa @sweet_c_kuri @Masoom_girl @hariya @Seap @Pari_Qrakh @soul_snatcher @Shahzii_1 @SUMAIKA @raji35 @Aayat @italianVirus @saviou @Ziddi_anGel @Princess_E @Asheer @bilal_ishaq_786 @ShehrYaar @Umeed_Ki_Kiran @dur-e-shawar @Rashk-E-Hina @shailina @Haider_Mk @maanu115 @Dua001 @pyaridua @Pari_Qrakh @Menaz @colgatepak @aishagull @gullubat @Rahath @zonii @Noor_Afridi @sweet bhoot @Noorjee @Miss_Tittli @Nadaan_Shazie @seemab_khan @sameer_jan @Shoaib_Nasir @Bela @Silent_tear_hurt @gulfishan @Manxil @Raat ki Rani @jimmyz @genuine @errorsss @raaz the secret @diya. @AshirFrhan @ujalaa @Mantasha_Zawaar @reality @illusionist @huny @Gul-e-Pakiza @mrX @Chief @silent_heart @X_w @Ahmad-Hasan @Afsaan @UHPF @Hudx @Flower_Flora @Zia_Hayderi @minaahil @Nikka_Raja @Aqsh_Arch @Huree @Jahanger @umeedz @amerzish_malik @Ramiz @Amaanali @ujalaa @Fizaali @Marah @Meekaeel @mishahaider @Sabeen_27 @SharieMalik @Danee @Ocean-of-love @Arz0o @nizamuddin @Blue-Black @phys_samar @Sameer_Khan @Dreamy Boy @Akaaaash @sona_monda @wajahat_ahmad @onemanarmy @RaPuNzLe @DevilJin @Faiz4lyf @Charming_Deep @unpredictable2 @REHAN_UK @Muhammad_Rehman_Sabir @sweet_lily @farhat-siddiqa @jal_pari_ @Tanha_Dil @attiya @H0mer @Dard-e-Dil @Mehar_G786 @CuTe_HiNa @shineday11 @MukarramRana @Lightman @Panchii @Arzoomehak @MumS @HWJ @Yuxra @Cheeky @Baarish @Stylo_Princess @Just_Like_Roze @Vasim @chai-mein-biscuit
 
  • Like
Reactions: Shiraz-Khan
Aug 12, 2014
2,157
965
263

BAAD MAIN PARH KAR COMMENTS KARUNGA,EK KAAM KARO TUM HI DAFA "ISHQ E DAASTAAN" LIKH KAR JAAN CHORA SAKTI HO.
 
Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon

Kya haal hai sabka?? After a long break n bhut saba k baad

Talib E Ishq ki sixth episode share kar rahi hun hopefully apko pasand ayegi kindly do give your feedback :)

TALIB E ISHQ

Episode 6

Zaviyar ke jane ke bad samreen bhi khushgawar mood ke sath pc band karti hai .or huriya ko saneha billy sunati hai. Isi tarha zaviyar ki or samreen ki roz hi bat hone lagti hai .or dono ke beech ek achi dosti ka agaz hone lagta hai. Ab Zaviyar or Samreen kafi ghanto ghanto bat karne lagey they. Zaviyar bhi ab apne dost ke ghar zara jaldi ata takey samreen se zada dair bat ho sakey. Waqt guzarta raha or Zaviyar ke imtehan shoro hone waley they. Zaviyar ke ghar walo ki sakhti bhi barhne lagi or us ka ghar se nikalna kam hogaya.computer woh apne ghar mai wese bhi zada istemal nahi kar sakta tha islia woh zada ter apne dost ke ghar hi istemal karta tha.samreen ko zaviyar ki kami ka shiddat se ehsas hone laga or us ko dar bhi tha ke Zaviyar bhi kahin waqt ke sath sath na badal jae,or dono ka phone pe bhi koi rabta nahi tha or na yeh woh waqt tha jab har bachey ke hath mobile hota tha.islia samreen ko zaviyar ke online ane ka intezar tha, imtehan khatam hone ke bad zaviyar jese hi online ata hai tu woh samreen ki bhot zada email or offline msgs dekh kar heeran hojata hai. Us ko andaza nahi hota ke samreen ko us ka itni shiddat se intezar tha.woh kafi dair samreen ka intezar karta hai or samreen online ajati hai .zaviyar samnreen ke sawalo ka jawab us ke aney se pehle hi dey chuka hota hai islia samreen zaviyar zada sawal nahi karti or kehti hai ke tum apna number dey do takey agar kabhi phir aesa ho tu tumhara pooch sakun, zaviyar jo bhot shararti sa larka hota hai lakin us ke apni family ka bhi khof hota hai kyun ke us ke ghar mei larka larki ko itna amm nahi samjha jata, zaviyar samreen ko mana bhi nahi kar pata or apna number bhi nahi dey pata tu akhir kar woh apne dost ka number dey deta hai or kehta hai agar kabhi bhi fone karna ho tu tum mere dost ke number pe fone karlia karna,or khud bhi samreen ka number lay leta hai. Samreen zaviyar ko usi waqt fone karne ka kehti hai, zaviyar apne dost se poochta hai ke call kar saktey hain tu us ka dost batata hai jis kamrey mai fone rakha hai waha sab ghar waley hain abhi call karna mushkil hojaega, zaviyar bahar jata hai or PCO (public call office ) se samreen ko fone karta hai, samreen ki tarha zaviyar ko bhi awaz sunney ki betabi hoti hai. Call miltey hi zaviyar kuch dair sharmata hai or kam kam bolta hai lakin jese jese bat hoti chali jati hai zaviyar apne karnamey sunana shoro kar deta hai, lakin dosri taraf ek dum khamoshi si chaa jati hai. Or kisi ke ansu jazb karne ke ehsas hota hai, zaviyar boltey boltey ek dum chup hojata hai or samreen se sanjeeda andaza mai poochta hai ke kiya tum ro rahi ho?

Samreen kuch dair tak kuch nahi bolti. Zaviyar musalsal pooch raha hota hai ke kiya hua. Kafi waqt guzarne ke bad samreen apne ansu ko roktey hue rone wali awaz mai zaviyar ko apne walid ke barey mai batati hai jin ki wajah se samreen or un ki walda aksar pershan rehte hain. Kuch dino se un ke rawaiya mazeed bura hota ja raha tha jis ko lay kar woh bhot zada pershan thi, samreen ke walid ne do shadian ki hoti hain ek biwi unhi ke sath pakistan se bahar hoti hain or dosri samreen ki ammi hoti hai. Zaviyar pori tafseel sunne ke bad samreen ko khamosh karwata hai or sanjeda andaz mai samjhata hai.

Samreen zaviyar se mazrat karti hai ke us ki wajah se us ka itna time zaya hua. "Bas isi wajah se zaviyar mai tum ko roz msg karti thi ke tum se bat hone ke bad dil thora halka sa hojata hai."

Zaviyar ko ehsas hota hai ke samreen ko us ki kitni zarorat hai, or dil mai irada karta hai ke woh zada se zada samreen ko waqt dey kar us ki zindagi mai khushian lane ki koshish karey ga.zaviyar samreen se ek waqt tey karta hai roz bat karne ka. Or roz us time kahin na kahin se online ho kar samreen se din bhar ki bataein karta hai or apni sharartein us ko sunata hai. Or samreen ka taruf apne sab hi khas dosto se karwa deta hai or us apne dosto mai ek khas muqam dilwata hai .zaviyar ke dost bhi samreen ki bhot izzat karte hain or zaviyar ki pal pal ki khaber samreen ko batate rehte hain .samreen zaviyar ki wajah se khud mai ek khas or behtar tabdeli mehsos karti hai. Or us ke ander kafi had tak khud etemadi barthi jati hai. Jis se woh taleem or dosro mamlat mai kafi bethri ka sath agey barh rahi hoti hai. Isshi doran samreen ki salgirah ati hai ramzano mai. Or samreen zaviyar se milne ka kehti hai. Zaviyar pehle tu razi hojata hai milne ke lia. Lakin jab us ko maloom hota hei ke samreen ki salgirah hai tu thora pershan hota hei q ke us ke pas samreen ko gift dene ke lia itney pese nahi hotey. Or woh ghar walo se is cheez ke lia pese bhee nahi mang sakta tha, jab zaviyar ke dosto ko us ki is majbori ka maloom hota hei tu woh sab zaviyar ko idea dete hein ke cricket tournament jetne ke bad jo bhi pese jama hua hain woh tum lay lo or jab tum nokri wale ban jao gey tu dobara team ke peso mai dal dena. Zaviyar un peso se samreen ke lia gift ley leta hai. Lakin ab masla milne ka hota hei woh kiya keh kar ghar se jae, kyun ke zaviyar pehli dafa samreen se milne ja raha tha us ke lia woh tayar bhi aesa hota jese kisi k valima mai ja raha hai or din mai karachi mai kahin valima nahi hota or itna tayar ho kar kahin jaega zaviyar tu ghar walo ke sawalat ki barish tu honi hai .islia woh apney dost ke ghar per apne kaprey tayar karwata hei or ghar se usi normal halat mai bahar nikalta hai jese woh rozana rehta hai. Or ghar walo ko aese dekhata hai jese match khelne ja raha hai. Or ghar se door ek dost k ghar mei tayar hokar samreen se milne nikal jata hai. Samreen ko dekhte hi park ke darwaze pe gir jata hai. Or samreen ke kareeb atey hi kapro ko jhartey hue uthta hai, samreen us se poochti hai tumhari tabiat theek hai.

Kyun ke us din itni garmi nahi hoti. Sardio ke ramzan hotey hain jis ki wajah se garmi se chakkar ana bhi mumkin nahi hota. Zaviyar pehle uthta hai phir kaprey jharta hai. Or samreen ko kehta hai mere peet jhar dena waha bhi mitti tu nahi lagi. Samreen ek bar phir poochti hai tum bemar they tu bad mai mil lete hum.

Zaviyar kehta hai bad mai bhi miltey tu aese gir jata mai. Tum ek bat batao tum such mai itni khoobsurat ho ya koi cream lagati ho. Mai tu islia gir gaya ke mere koi itni khoobsurat dost bhi ban sakti hai. Islia chakra kar gir gaya. Samreen hanstey hue zaviyar ke bazo pe mukka mar kar kehti hai tum nahi sudharne waley. Huriya jo samreen ke sath ayi thi woh bhi zaviyar ki bataon se lutf andoz ho rahi hoti hai or apna taruf karwati hai. Kafi dair bat hone ke bad zaviyar samreen ko gift deta hai kehta hai baqi mulaqat aftaar ke bad. Samreen pochti hai aftaar ke bad kese mil sakte hain. Zaviyar kehta hai beshak na milna aftaar ke bad lakin khirki se cake phenk dena ab gift lia hai tu cake tu banta hai na. Samreen hanstey hue us ko kehti hai k tum ghar ajana or aram se plate mai kha lena. Zaviyar ki aesi nature dekh kar huriya bhi us ki dost ban jati hai. Mulaqat k bad jab samreen ghar ja kar gift dekhti hai tu woh ek mobile hota hai jis ke sath likha hota hai ke “Nokia Connecting Friends Any time" ab tum pershan na hona samreen ab mai tum ko hamesha available milunga.

Zaviyar jitna bhi mumkin ho sakta tha samreen ko khush karne ke lia kuch na kuch karta rehta tha, ab woh messages ke zariya us ko paal paal ki khabarein dene laga tha .or un ki yeh dosti ab muhabbat mai badalti ja rahi thi. Or zaviyar ek din achanak hi samreen ko keh deta hai ke woh us se muhabbat karne laga hai or us se shadi kar ley tu us ki zindagi mukammal ho jaegi. Samreen jis ko bhi is din ka intezar tha woh bhi apni razamandi zahir kar deti hai. Yeh sab hone ke bad zaviyar ney apna zada ter waqt samreen ke sath hi guzarna shoro kar di tha woh ab dost se bhi kam milne laga tha, zada ter woh internet cafe or agar dosto mai bhi hota tu samreen se hi bataein karta rehta.

Zaviyar ke college ke final year ke paper shoro hoage they, or woh un ki tayario mai lag gaya tha zaviyar parhne mai acha larka tha hamesha achey nataij lata tha. Islia woh dosto ke bech se ek dum gayab hogaya or parhai mai dehan laga shoro kar dia lakin jab samreen ka msg ata tu us ka dehan samreen ki taraf hi lag jata, ek din zaviyar jab paper dene ke lia ghar se ja raha hota hai tu samreen ki misscall dekhta hai, woh samreen ko callback karta hai tu samreen us ko kehti hai ke ghar ke number pe call karo us time samreen ki awaz rone wali hoti hai. Zaviyar raste mai ek PCO jata hai or waha se samreen ke ghar fone karta hai tu maloom chalta hai samreen bhot pershan hai. Or wajah wohi us ke walid ka salook hota hai. Samreen ke walid pakistan a chukey hotey hain or samreen ki ammi ko kafi pershan kar rahey hotey hein jis ko dekh kar samreen bhi kafi pershan hojati hai. Samreen zaviyar ko kehti hai ke mujhe tum apne sath lay jao apne ghar kyun ke mai mazeed or is ghar mai nahi reh sakti. Ek taraf zaviyar ko apne paper ki fikar ho rahi hoti hai or dosri taraf samreen ki halat ki fikar, zaviyar samreen ko yaqeen dilata hai ke woh aj hi ghar ja kar apne ghar walo se bat karta hai, samreen ko tasalli dene ke bad jab woh fone rakhta hai tu maloom hota hei ke paper ka kafi time nikal gaya hota hai woh jab college jata hei tu us ko paper dene ki ijazat nahi dete yeh keh kar ke ap bhot zada dair se aye ho. Zaviyar ek ghanta dair se college ata hai. Zaviyar kafi koshish karta hai ke us ko paper dene dia jae lakin college wale us ki bat sunne se inkar kar dete hain. Zaviyar kafi dair wahin betha rehta hai or paper mai fail hone ki wajah se us ki ankho se ansu khud ba khud nikal rahe hotey hein. Paper ka time khatam hone ke bad woh ghar jata hai tu zaviyar ke ghar wale us ka chehra dekh kar andaza laga lete hein ke zaviyar ka paper acha nahi hua or us ko tasalli dete hein ke fikar nahi karu pass ho jao gey paper kabhi kabhi mushkil bhi ata hai hum ko tum per yaqeen hai tum pass tu ho jawo gey islia is paper ki fikar chor kar baqi dosre paper ki tayari karo.lakin zaviyar haqiqat ka soochte hue kafi pershan hota hei or soochta hai ke agar in sab ko maloom hogaya ke mai late gaya tu sab ka dil toot jae ga or yaqeen bhi .isi sooch ki wajah se woh baki paper ki bhi tayari sahi se nahi kar pata or na hi samreen ko pehle ki tarha entertain kar paata hai. Akhri paper dene ke bad woh himmat kar ke apne ghar mai samreen ke barey mai bat karta hai jis ko sun kar us ke ghar waley gussey mai ajatey hain, q k zaviyar sab se chota hota hei or us ki ummer bhi itni nahi hoti ke woh aesa soochey, yeh bat sunne ke bad zaviyar ke ghar walo ki sakhti or barh jati hai.

Zaviyar apni yeh pershani apne dosto se share karta tha tu sab is ko yeh hi kehte hein ke tum shadi ki bad kese kar saktey ho jab ke tumhare pas koi job nahi agar tum job kar rahey hotey tu tumhare ghar waley shayad razi bhi hojatey, or ab tumhara ek paper bhi ruk gaya hai , us ki wajah se tumhara ek or saal zaya hoga, ya tu tum aesa karo ke kahin job karo or paper pese dey kar pass karwa lo is ka faida yeh hoga tum ko tayaari bhi nahi karni paregi or ghar mai bhi kisi ko pata nahi chalega ke tum fail hue they or jaldi hi tum set bhi ho jao gey. Yeh bat zaviyar ko lagti hai or woh bht si jaga ghar mei batae bagair job ke lia apply kar deta hai. Lakin itni kam education ki wajah se kahin se koi musbit jawab nahi ata. Phir zaviyar ke ek dost ke bhai ki call ati hai zaviyar ke pas or us ko night job ki offer karte hain zaviyar foran haami bhar leta hai lakin jab ghar walo ko batata hai tu woh saf inkar kartey hain. Lakin zaviyar un ko samjhata hai ke night ki job hai or woh subha akar uni ka parh lega.jab ghar walo ko yeh pata chalta hei ke woh sath sath study bhi jari rakhega tu woh phir maan jatey haim, lakin zaviyar jo job karta hai waha us ki tankhwa zada nahi hoti woh zada tankhuwa ke lia subha ek school mai parhana shoro kar deta hai, or apne ap ko ghar walo ki nazar mai set sabit karne ke lia do do job shoro kar deta hai. Dosri taraf samreen ki dost anum or us ke ghar waley ko us ko yeh samjha rahey hotey hein ke zaviyar dosti ki had tak tu theek hai lakin shadi ke lia munasib nahi, kyun ke jin larko ke rishte samreen ke lia a rahey hotey hain woh kafi zada ameer hotey hain zaviyar se, or us ko samjhate hei ke zaviyar abhi sirf itna kamata hai jis se zarorat pori ho sakey, pese ki kami ki wajah se ache ache rishto mai darar ajati hai, tum pehle hi haal dekh chuki ho apne ghar ka or phir usi rastey jane ki koshish kar rahi ho. Tumhari ammi tu phir bhi maan jaein zaviyar ke lia lakin tumhare abbu ek alag hangama khara kar dein gey zaviyar ko lay kar.

Ek taraf zaviyar apne ghar walo ko razi karne ke lia musalsal koshisho mai lagta hota hai or dosri taraf samreen yeh soochti hai ke woh akhir kis taraf jae zaviyar ki taraf jis ko abhi set hona hai ya us taraf jo pehle se hi set hai…...

Regards
Rashk-E-Hina

walaikum assalam ..

ahan nice episode itne din baad .. maza aya parh kr :D
 
  • Like
Reactions: Rashk-E-Hina
Top