Woh jo khud pairvi-e-ehal-e-wafa karta tha
Mujh se milta tha to talqeen-e-wafa karta tha
Us ke daaman main koi phool nahi mere liye
Jo meri tangi-e-daaman ka gila karta tha
Aaj jo us ko bulaya to woh gumsum hi raha
Dil dharakne ki jo aawaz tak sun lia karta tha
Aaj woh meri har baat ke maainay poochta hai
Jo kabhi meri soch ki tafseer likha karta tha
Us ko ehsaas dilaya to woh milta hi nahi
Ajnabi tha to mujh se roz mila karta tha