Teri dunya mein yaa Rub

  • Work-from-home

Princess Mahi

Newbie
Dec 19, 2009
6,698
2,761
0
Teri dunya mein yaa Rub zeest kay saman jaltay hen
faraib e zindagi ki aag mein insan jaltay hen

Dilon mein azmat e taoheed kay deepak fasurda hen
jabinon par riya o kibr kay saman jaltay hen

Hawis ki baryabi hay khurd mandon ki mehfil mein
ropehli kamliyon ki out mein emaan jaltay hen

Hawadis raqs farma hen, qayamat muskurati hay
suna hay nakhuda kay naam say toofan chaltay hen

Shagofay jhooltay hen is chaman mein bhook kay jhoolay
baharon mein nashiman to behr unwan jaltay hen

Kahin pazaib ki chhan chhan mein majboori tardapti hay
riya dam tord deti hay sunehray daan jaltay hen

Manaao jashn e may noshi bakhero zulf e may khana
ebadat say to SAGHAR deher kay shaitan jaltay hen
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top