The Dark Girl-(suspence Story)

  • Work-from-home

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Nahi ghar par nahi. Kaafi log hote hain" Vo boli toh mujhe uski baat mein dam laga. Vo ek shaadi shuda aurat thi. Yun kisi police wale ka ghar par aakar usse baat karna utna hi bura mana jata jitna ke uska khud police station jana.

"Ek kaam karte hain" Maine kaha "Na aap police station aaiye aur na main aapke ghar. Kahin bahar mil kar baat kar lete hain. Main aapka zyada waqt nahi loonga"

"Ok. Bataiye kahan aana hai?"

Usne puchha toh maine uske ghar se thoda door ek coffee-house ka address bata diya.

"Ok. Kitni der baad aana hai?"

Is baat ke liye main taiyyar nahi tha. Main ummeed kar raha tha ke vo mujhe kal ya parso milne ka kahegi.

"2 ghante baad?" Maine ghadi ki taraf dekhte hue kaha.

"Sure. I will be there"

Phone rakhne ke baad maine chain ki saans li. Mujhe lag raha tha ke Maya se baat karne mein ya information lene mein shayad khaasi mehnat karni pade. Vaise bhi aaj kal policewalo se aasani se koi baat nahi karta aur main toh vo bhi nahi tha. Jis tarah se maine use munh utha kar phone ghuma diya tha, usse mujhe lag raha tha ke vo shayad baat karte hue bhi sochegi, ulta mujhse sawal karegi par aisa hua nahi. Vo kaafi aasani se maan gayi thi.

Khair, main naha dhokar Lodge se nikla. Daadhi moonchh aur kaan se us key-chain ring ko maine nikal diya tha. Yun asli chehre ke saath khule mein aana khatarnaak tha par mere paas aur koi chara bhi nahi tha.

Ek taxi mein beth kar main us coffee-house pahuncha aur Maya ka intezaar karne laga. Vahan us waqt kaafi chehal pehal thi. Ek table par beth kar maine ek cup coffee mangvayi aur darwaze par nazar gadaye Maya ka intezaar karne laga. 2 ghante takreeban poore ho hi chale the.

Vahan us waqt kaafi log the aur koi na koi darwaze se aa ja raha tha jinmein aadhe se zyada ladkiyan aur auraten thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke use pehchanunga kaise par Thodi hi der baad ek ladki darwaza khol kar andar aayi aur khadi aas paas ki tables ka jaayza lene lagi. Uske kapdon aur haathon ki kalaiyon mein pade choode ko dekh kar koi bhi bata sakta tha ke uski abhi haal filhal mein hi shaadi hui hai. Main fauran samajh gaya ke ho na ho, yahi Maya hai.

Main chair se uth kar khada hua aur haath utha kar usko ishara kiya. Vo fauran muskurati hui meri taraf badhi. Uske saath ek ladka bhi tha.

"Maya ji?" Vo kareeb aayi toh maine apna haath milane ke liye aage badhaya "Inspector Khan"

"Hello" Usne haath milaya aur apne saath aaye aadmi ki taraf palti "My husband Rajesh"

Of course. Koi policewala yun kisi ladki ko phone karke bulaye toh vo akeli toh nahi aane wali thi. Shaadi-shuda thi toh apne husband ko saath laayi.

"Hello Sir" Maine us aadmi se haath milaya aur ham teeno table par beth gaye.

Maya ke bahut hi khobsurat nain-naksh wali ladki thi. Lamba kad, slim body, gora rang, teekhe nain naksh, overall ek pleasant personality. Uske chehre par ek muskurahat jaise har waqt rehti thi. Ek smiling face, jaisa ke kaha jata hai, khuda ne jaise use tohfe mein diya tha.

Usse milte hue sirf ek baat ka mujhe darr tha. Maine chaude mein ye keh toh diya tha ke main Inspector Khan hoon par agar vo mujhse mera ID card dikhane ko bol deti toh mujhe baglen jhaankni padti. Par aisa hua nahi. Maine kaha ke main policewala hoon aur un dono ne maan liya.

"Kya legen aap log?" Maine puchha.

"Regular?" Vo apne pati ki taraf palti aur usne bhi muskurate hue haan mein sar hila diya.

"Ham log yahan aksar aate rehte hain" Vo mujhse mukhaatib hui "Yahan ki cappuccino amazing hai. Aapko bhi try karni chahiye"

"All right then, cappuccino it is" Maine muskurate hue kaha aur ek waiter ko order diya.

"Raghu se baat ki aap logon ne?" Maya ne mujhse sawal kiya.

Main is sawal ka jawab kya doon soch hi raha tha ke usne mera chehra padh liya.

"You guys dont know about him yet?"

"No i am afraid not. Who is he?"

"He was Saanwli's boyfriend. Kaafi serious thi vo uske baare mein"

"Mujhe is baare mein koi information nahi mili hai ab tak" Maine apni jeb se ek chhota sa notepad aur pen nikala "I didnt even know she had a boyfriend. Raghu you said his name was?"

"Yeah Raghu but i think vo uska pet name tha. Uska real name shayad Pratap tha. Raghu vo usko pyaar se bulati thi"
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Mili thi aap kabhi is Raghu se?" Maine sawal kiya.

"Nahi i never met him, Saanwli uske baare mein batati rehti thi aksar. Kayi baar vo agar bathroom vagerah mein hoti thi toh main uska phone receive kar leti thi tab ek aadhi baar usse baat hui thi, isse zyada nahi"

Tabhi ek waiter ek cup mein 3 cappuccino le aaya toh ham kuchh pal ke liye khamosh ho gaye.

"Vaise aapne mujhe pehchana kaise?" Waiter ke jaane ke baad ham teeno ne apna apna coffe ka cup uthaya aur Maya ne mujhse puchha.

"Kind of easy you know. Mujhe bataya gaya tha ke aapki recently shaadi hui hai jiske baad aap Pune mein shift ho gayi thi. Aapke haathon ka chooda aur aapke kapde is baat ki gawahi de rahe hain. Aur jis tarah se aap aur aapke husband andar aakar chaaron taraf dekh rahe the usse saaf pata chalta tha ke aap kisi ko dhoondh rahe hain. Toh bas maine 2 aur 2 milaye aur 4 ho gaye"

"Nice" Vo muskurati hui boli "Mujhe laga ke shayad aapne meri photo vagerah dekhi ho kahin. Hostel records mein i mean"

"Nahi nahi. It was just a lucky guess when you walked in that door" Maine coffee ka sip lete hue kaha.

"Vaise aap na pehchante toh ham pehchan lete" Is baar uska husband bola "You have that police wala look you know"

Ye nayi baat thi. Aaj tak mujhe kisi ne ye nahi kaha tha. Samajh nahi aaya ke compliment samjhun ya comment.

"Really?" Maine maathe par shikan laate hue kaha.

"Yeah specially that shaved head of yours. Gives that cop look you know" Usne mere ganje sar ki taraf ishara kiya.

Chalo ganja sar kahin toh kaam aaya. At least yahan ID card dikhane ki naubat nahi aayi, vo kaam mere ganje sar ne kar diya.

"I didnt mean it in an offensive way though, just making conversation" Usne fauran safai bhi di ke kahin main bura na maan jaoon.

"Arrey nahi there is no need of that. Ham policewale bhi joke samajh lete hain kabhi kabhi" Maine bhi sur mein sur milata hua bola "Aur kya bata sakti hain aap mujhe Saanwli ke baare mein"

"Sirf utna hi jitna ke usne mujhe bataya. Vo kaafi secretive type ki ladki thi you know, apni baatein kisi se share nahi karti thi. Aur yahi vajah thi ke vo hostel mein mere alawa kisi aur ladki se zyada baat nahi karti thi. She was like a closed book you know, you can never know the content without opening it aur aisa vo lakh koshish ke baad bhi karne nahi deti thi. She was very careful about what she is talking to others"

"Even with you?" Maine puchha

"Yeah even with me. Vaise toh ham kaafi frank ho gaye the ek doosre se but apni personnal life mujhse bhi zyada share nahi karti thi vo aur na hi kabhi meri personnal life ke baare mein zyada puchhti thi. Even jab meri shaadi ki baat chali tab bhi usne mujhse is baare mein koi sawal nahi kiya, jitna maine bataya sunkar chup ho gayi which is very weird for a girl you know"

"Yeah i agree" Maine sehmati jatayi.

"I mean baatein karna toh ham ladkiyon ke nature mein hota hai aur shaadi toh ham logon ka favourite topic hota hai but not for her. Vo mere saath baatein bahut karti thi, ham log hasi mazak bhi karte the par sab idhar udhar ki baatein. Nothin personnal about each other. Uske baare mein jitna maine jana vo ya toh uske munh se suna ya uske saath rehkar uske daily routine ko notice karke jana"

"Ok. Why dont you run me through this, whatever you know i mean. Let me see if i can find anything that can be useful to me" Maine sochte hue kaha.

"Yeah sure. Let us see, Vo Mumbai koi ek saal pehle aayi thi. Aane se pehle hi usne is hostel mein booking kara li thi shayad ya phir use yahan ka pata kaise chala i cant tell you that. Usne kabhi bataya nahi. Shuru ke kuchh din tak hamare beech sirf Hi Hello hi thi, isse zyada kuchh nahi. Aur phir dheere dheere ham dono ki aapas mein baatein hone lagi. Vo kaafi din tak job talash karti rahi aur phir maine hi uski help karke apne ek friend ke through ke office mein as receptionist ki job dila di. Thats when we actually became friends, she was kind of thankful to me you know"

"Kahan job karti thi vo?"

"Ek Private office hai, mera ek friend vahan kaam karta tha. They make some hardware stuff i think, Nails and screws you know. Vahan receptionist ki post open thi toh maine use kaha ke try kar le. Kismat se use job mil bhi gayi"

"Is Office ka address de sakti hain aap mujhe?"

"Sure" Kehte hue usne mujhe Bandra ka ek address likhvaya.

"Ok. What after that?"

"Pehle sab theek raha, vo subah office chali jaati thi aur shaam ko aa jaati thi par phir dheere dheere she satarted changing"

"Changing in terms of?"

"In terms of everything. Pehle sidhe saade kapdon mein rehti thi but then she started dressing up a little fancy which i think was quite natural for an independent girl living in Mumbai. But then she started coming late and by late, i mean really late"

"How late?"

"Like 12 or 1 in the night. Subah 8 ya 9 baje tak nikal jaati thi aur phir raat ko 12 baje tak vaapis aati. Maine sawal kiya ke itna late tak kahan rehti hai toh pehle toh taal gayi phir bataya ke kisi friend ke saath bahar ghoomne chali jaati hai"

"Which is also not quite un-natural i think"

"No its not but then ek raat mujhe neend nahi aa rahi thi aur main hostel ki chhat par tehal rahi thi and i can swear ke use ek police ki gaadi drop karke gayi thi"

Mere dimag ki fauran ghanti baji. Us hostel ke guard na bhi mujhe yahi baat batayi thi.

"Police ki gaadi?"

"Yeah, maine usse puchha bhi tha is baare mein par vo hamesha ki tarah taal gayi. Kehne lagi ki police ki gaadi nahi thi aur mujhe dhokha hua hai"

"Phir?"

"Phir achanak se usne phir se time par aana shuru kar diya. Office se sidha ghar aati aur phir 2-3 ghante ke liye ghoomne nikal jaati. Tab mujhe pata chala uske boyfriend ke baare mein"

"Pratap ya Raghu jo bhi naam hai uska?"

"Yes. Ek din kaafi excited thi vo kisi baat ko lekar. Apne cellphone mein kisi ko message par message kar rahi thi. Maine puchha toh khush hote hue usne mujhe bataya ke uska ek boyfriend hai aur vo office se aane ke baad shaam ko usi ke saath ghoomne phirne nikal jaati hai"

"Is Raghu ke baare mein kuchh bataya usne?"
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Nahi kuchh khaas nahi. Main bataya na ke kaafi secretive thi vo. Ek do baar maine jaanna bhi chaha tha. Specially jab vo ye kehti thi that she will get married to that Raghu guy" Maya ne baat jaari rakhi.

"Married? That serious?" Main bola.

"Oh yeah, she was head over heels in love with that guy. Aksar kehti thi ke vo bhi use utna hi chahta hai aur dono shaadi kar lenge. Ek do baar uske yahi kehne par maine puchha ke vo ladka karta kya hai, kahan ka hai vagerah vagerah par vo har baar haskar taal deti thi. Aur tab tak main bhi uska nature samajh gayi thi toh phir main bhi zyada sawal jawab nahi karti thi"

"Kuchh aisa notice kiya ho aapne kabhi uske baare mein which you think was a little weird?"

"You mean related to Raghu?"

"Related to anything"

"Not something particular. Offhand toh mujhe 2 baatein hi yaad aati hain jo mujhe laga tha ke thodi ajeeb thi aur isse kabhi maine uske baare mein puchhna chaha bhi toh nahi puchha. Ek toh vo vaise hi baatein share nahi karti thi and then ye baatein mujhe thoda awkward bhi lagi toh phir main chup hi reh gayi ke kahin vo bura na maan jaaye"

"Kaun si baatein?" Main apne notepad mein saath saath jo baatein mujhe zaroori lag rahi thi likhta bhi ja raha tha.

"Pehli toh ye ke us ladke ka number uske cell mein saved nahi tha" Maya ne bataya.

"Matlab? Raghu ka number?"

"Yep, Raghu ka number"

"Saved nahi tha matlab?"

"Matlab ke kisi naam se saved nahi tha. Call aati thi toh bas number dikhai deta tha, koi naam nahi"

"Hmmm, thats weird" Maine sochte hue kaha.

"Exactly. Uska number ya toh Saanwli ko yaad raha hoga ya phir call list mein se hi nikalkar phone karti hogi."

"Aisa karne ki koi khaas vajah aapko lagi ho kabhi koi?"

"I havent got the faintest clue. And ek baar maine usko ek address message kiya tha kahin se, baad mein mujhe us address ki zaroorat padi. Usne mujhe kaha ke main uske cell se le loon. Jab main uske message box mein gayi toh us ladke ke number se kayi saare messages Saanwli ke cell mein the par naam se nahi the, sirf number hi dikhai de raha tha"

"And how do you know ke ye us ladke ka hi number tha?"

"Ek do baar calls receive ki thi maine toh number dikh gaya tha. Uske number ke last 3 digits 000 the toh isliye vo alag hi dikhai de jata tha"

"Do you remember that number?"

"No i am sorry. Bas itna yaad hai ke last mein teen zeroes the"

"Ok" Maine diary mein note banate hue kaha "Aur doosri baat?"

"Doosri baat ye ke i think vo kuchh galat logon ke saath mix up ho gayi thi beech mein. Its just a hunch you know, i cant say for sure" Vo thoda jhijhakti hui boli.

"What makes you say that?"

"Ek baar main shopping ke liye market mein ghoom rahi thi, akeli and then i saw Saanwli with a few girls"

"Girls from the hostel?"

"No, not from the hostel. Girls that i didnt know and i have no idea that how she knew them. She never mentioned them to me as well"

"Maybe her friends from work?"

"Oh no not at all" Maya ne fauran jawab diya "Pehli baat toh ye ke vo jahan kaam karti thi vahan main gayi hui thi, aur mera ek dost bhi vahan kaam karta tha so i knew that those girls are not from there. Aur doosri baat vo ladkiyan thi bhi nahi aisi kahin office mein kaam karne wali lagen"

'Can you elaborate on that a little?" Maine kaha.

"Ab kaise bataoon" VO sochti hui boli "For example mere husband ko dekhiye"

Usne apne husband ki taraf ishara kiya .

"Suit boot mein well dressed, dekhke lagta hai ke padha likha insaan hai aur achhe ghar se hai. He has that civilized sa well behaved aadmi wala look"

"Oh come on" Uska husband embarass hota hua bola.

"I think she is right" Maine haskar jawab diya.

"Ab sochiye ke aap mere husband ko Mumbai ke kuchh mawali type ladkon ke saath dekhte hain, wouldnt that look a little weird to you?"

"Yes it would. So you saw her with some girls that did not fit the criteria of people she usually would hang out with?"

"Yes you are right. You know us type ki ladkiyan like ....."

"Like Bar Dancers? Mumbai Bar Girls?" Main samajh gaya tha ke use relate karne mein pareshani ho rahi thi isliye baat maine poori kar di.

"Yes" Vo fauran boli "Thats it. Bar Dancer type ladkiyan"

"Hmmm. Thats interesting indeed"

"And this was at the time when she was with Raghu?"

"Nahi ye usse pehle ki baat hai, jab vo office se raat ko 12-1 baje ke kareeb vaapis aati thi. And now since you mentioned Bar Dancer, mujhe ek teesri baat aur yaad aayi"

"And what is that?"

"Uske cell mein maine ek baar ek ladki ka number saved dekha tha jiska naam mujhe thoda offbeat laga, kinda weird?"

"Ok. What was the name?"

"Soch rahi hoon." Vo dimag par zor daalti hui boli "Champa, pushpa, Basanti ...... "

Vo saare purani filmi style naam ginane lagi jo agar aaj ke zamane mein kisi ladki ke hon toh bechari ka mazak ban jaaye. Achanak vo xxxxxki bajate hue boli.

"Bijli"

"Bijli?" Main chaunk pada.

"Yes, thats it. Bijli. Pehle toh mujhe laga ke shayad electricity office vagerah kahin ka number hai par ek baar maine use phone par us ladki se baat karte hue suna and she clearly said, Haan Bijli bol, tu kitne baje tak aa rahi hai. Thats when i knew ke ye Bijli asal mein kisi ladki ka naam hai"#94
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Is Bijli ke baare mein aur kuchh jaanti hain aap?" Maine sochte hue sawal kiya.

"No i am afraid not. I just saw that number once" Vo inkaar mein gardan hilati hui boli.

"And uske baad you said ke Saanwli returned to her usual self?"

"Yes, i think it was sometime after she met that Raghu Guy. Then everything went normal, she was a woman in love wanting to get
married and thats actually when i got married and moved out"

Maya ke paas se mujhe ummeed thi ke kuchh na kuchh toh aisa milega jo is case mein meri madad kar sake aur mujhe mayusi nahi hui.

Saanwli Sharafat Bhai ke Bar mein kaam karti thi ye baat toh mujhe pehle hi pata chal gayi thi. Bijli Saanwli ko jaanti thi ye bhi baat main janta tha, khud Bijli ne hi batayi thi par Maya se milkar pata chala ke shayad kuchh baatein aisi bhi thi jo Bijli mujhse chhipa gayi thi. Ye mumkin tha ke Saanwli ke paas uska phone number hona ek aam si baat ho. Vo dono Sharafat ke liye kaam karti thi, ek hi Bar se related thi toh ho sakta tha ke number yun bina kisi gehri jaan pehchan ke ek doosre ko diya ho par jaane kyun mujhe lag raha tha ke mamla isse kuchh zyada tha. Bijli se ek baar phir milne ki zaroorat aan padi thi.

Aur jo sabse zaroori baat pata chali thi vo thi Saanwli ke us mystery boyfriend ka naam jiska number bhi ek fake ID par registered tha.

"Very well" Maine apne notepad band karte hue kaha "I think i have taken enough of you kind people's time. I wont keep you any further"

"Not a concern at all" Jawab Maya ke pati Rajesh ne diya "Happy to help"

"Can you do me a favor?" Maya mujhse mukhatib hui.

"Sure"

"You have my number already. Can you please just give me a call whenever you find Saanwli. For peace of my mind?"

"Sure why not. Mujhe kuchh bhi pata chalte hi main aapko phone kar doonga" Maine muskurate hue kaha.

"And can i have your number as well? Agar mujhe aur kuchh yaad aata hai toh aapko phone kar doongi"

Ye ek ajeeb situation ho gayi thi. Jo number filhal main use kar raha tha vo main kisi aur ko dena nahi chahta tha. Kuchh sochte hue maine use Nisha ka number diya.

"Actually mere paas filhal koi phone hai nahi. Phone kho gaya tha aur uske baad naya ab tak lene ka time mila nahi. Ek dost ke number se kaam chala raha hoon par aap ye number rakhiye. Ispar call karke agar aap mere baare mein puchhengi toh yahan se aapko mera number mil jaayega"

"All right, thanks" Usne apne cell mein Nisha ka number save karte hue kaha.

"Ek baat aur" Maine uthte uthte sawal kiya "Aakhri baar kab mili thi aap Saanwli se ya aakhri baar baat kab hui thi?"

"Let me think" Maya khadi khadi sochne lagi "Mili toh main aakhri baar usse tab hi thi jab maine apni shaadi se pehle hostel chhoda tha. Uske baad kabhi milne ka mauka mila nahi usse. Aur aakhri baar baat meri shaadi ke agle din hui thi. Usne mujhe congratulate karne ke liye phone kiya tha. Uske baad phir kabhi baat nahi ho paayi"

"Vo aapki shaadi mein nahi aayi? I mean you guys lived together for sometime"

"Actually vo aane wali thi. Meri shaadi se 2 din pehle usne pune aana tha par aayi nahi. Maine phone kiya toh kehne lagi ke kahin kaam mein phasi hui hai, shaadi ke din aayegi par tab bhi nahi aayi. Phir agle din phone karke maafi maang li"

"Aur uske baad itne lambe waqt tak aap dono ki kabhi baat nahi hui? Usne aapko ya aapne use phone nahi kiya?"

"Maine kiya tha par usne apna number badal liya tha shayad. Kabhi call lagi hi nahi. Aur phir meri nayi nayi shaadi hui thi, i had a million things going on in my life toh maine bhi itna koi khaas dhyaan nahi diya"

"I understand" Maine haste hue kaha "Hamare desh mein shaadiyan vaise bhi ek bahut bada hassle hi ban jaati hain"

Un dono se milkar main vaapis hotel aaya. Ye sach tha ke Saanwli ke case ko lekar mere paas kaafi kuchh information ikatthi ho gayi thi par in sabko main aapas mein jod nahi pa raha tha. Kuchh pieces aise ab bhi missing thi jo saari kadiyon ko aapas mein jodkar paheli ko suljha sakte the. Ab tak jo kahani ka tana bana main bun paya tha vo kuchh is prakar tha.

1. Saanwli Mumbai aayi.

2. Ek ladies hostel mein room lekar vahan rehne lagi.

3. Maya ke contacts ke through ek chhoti si company mein job mila.

4. Chhota sa job yaani ke chhoti si salary jisse Mumbai jaise shehar mein guzara na-mumkin hai.

5. Kharche shayad poore nahi hue isliye usne ek part time job aur kar li, ek Bar dancer ki.

6. Vo ek sidhi saadi ladki se Bar dancer banne tak kaise pahunchi, ye filhal ek sawal hi tha.

7. Padhi likhi thi, nain naksh theek thaak the isliye Sharafat ne use ek high class pub mein as waitress laga diya.

8. Information ke hisab se vo Sharafat par dore daal rahi thi. Ye baat galat thi ya sahi, ye doosra sawal tha.

9. Mauke ka fayda utha kar Sharafat ne ek baar usse zabardasti karni chahi. Usne is baat ki mukhalfat ki.

10. Pub mein maujood koi hero Sharafat ki kanpati par bandook tika kar use vahan se bacha laya. Kya vo Raghu ya Pratap tha? Ek aur sawal.

11. Uske baad Saanwli ne Pub ki naukri chhod di and she fell in love with someone. Kya ye vahi insaan tha jo use Pub se nikal kar laya tha? Phir se sawal.

12. Aur iske baad phir kya hua, ye sabse bada aur eham sawal tha.

Aur phir Saanwli ke case ko apne dimag se hata kar maine ye sochna shuru kiya ke kal Mumbai vaapis kaise jaoonga aur filhal jo mere sar par murder case ki talwar latki hui thi, use kaise hataya jaaye.

Vaapis Mumbai main phir vaise hi pahuncha jaise ke Puna gaya tha. Aate hue phir vahi gareeb mazdoor ka bhes dhara, ek truck wale se lift maange aur Mumbai mein daakhil hua. Phir ek auto kiya aur Dharavi pahuncha.

Hairat ki baat thi ke jaate hue mujhe jitni pareshani ka samna karna pada tha, aate hue uske muqable bade aaram se Dharavi tak pahunch gaya. Shayad policewalo ko yahi lag raha tha ke main shehar se bahar nikalne ki koshish hi karunga, vaapis kyun aana chahunga.

Kismet ki baat thi ke main jaise hi lodge mein daakhil hua, mujhe saamne reception par hi Khan khada mil gaya.

"Aa gaya ganja" Mujhe dekhte hi vo mere huliye ke bavajood pal bhar mein pehchan gaya "Kahan mar gaya tha saale?"

Maine uski baat ka jawab dene ke liye munh khola hi tha ke phir khamosh ho gaya aur apne kamre ki taraf chalne ka ishaya kiya.

"Which part of Do not step out was so difficult to understand?" Kamre mein ghuste hi vo mujh par phat pada.

"Arrey yaar ...." Maine bolne ke liye munh khola hi tha ke usne meri baat kaat di.

"Saaf saaf kaha tha maine tujhe ke apne kamre ke bahar jhankna bhi mat. Mumbai police tujhe kutte ki taraf talash karti phir rahi hai aur tu saale sair sapate par nikla hua hai"

"Arrey bhai mujhe bolne ka mauka bhi toh de ....."

"Saale agar nahi jaan pyaari to bata de mujhe, main hi goli maar deta hoon na. Main kyun kutte ki tarah teri jaan bachane ke liye bhaaga phir raha hoon?"

"Mere bhai meri baat sun ....."

"All that you had to do was sit in your room, eat drink and watch TV and let me handle the rest, itna nahi ho raha tujhse?"

"Mujhe bolne dega? Tune kaha tha na ke yahan isi lodge mein mat rehna, badalte rehna chhupne ki jagah toh vahi dekhne gaya tha ke yahan se boriya bistar baandh kar kahan le jakar rakhun" Maine saaf jhooth bol diya.

"Ohhhhh" Meri baat sunkar vo pal ke liye khamosh hua par phir dobara shuru ho gaya "Toh iske liye khud bahar apna noorani chehra lekar nikalne ki kya zaroorat thi. Aur main jo kal se phone par phone mila raha hoon, uthata kyun nahi? Saala mujhe toh fikar ho chali thi ke mar mara toh nahi gaya kahin?"

"Is phone ki halat dekh" Maine apni jeb se vo purana phone nikala jo maine us lodge wale ladke se kharida tha "Marne ki kagar par hai ye. Kal se call receive nahi ho rahi" Maine phir jhooth bola.

"Toh palat kar mujhe call nahi kar sakta tha kya?"

"Do you see another phone in this room?" Maine apne haath phela kar kamre ki taraf ishara kiya "Aur tune kaha tha ke bahar mat jana isliye main bahar gaya nahi. Mujhe lag hi raha tha ke tu aa hi jayega milne agar maine call receive nahi ki toh"

Main pata nahi kyun par jhooth par jhooth bole ja raha tha. Vo shayad uske is tarah ek dam naraz hokar mujhpar chillane lag jaane ki vajah se meri himmat nahi pad rahi thi ke use bata sakun ke main Pune tak ka chakkar laga aaya tha.

Jaane se pehle us lodge wale ladke ko main keh kar gaya tha ke agar Khan aa jaaye toh use na bataye ke main kabse gaya hoon. Bas yahi keh de ke main abhi abhi bahar gaya hoon. Isliye main janta tha ke Khan ko nahi malum ke main kal se gayab tha.

"Hmmmm" Uska gussa thoda thanda pada "Mili koi theharne layak jagah?"

"Nahi yaar. Aas paas kuchh aisa dikha hi nahi jagah ruk sakun 2-3 din" Ye main sach keh raha tha. Dharavo mein badi der tak dhakke khaane ke baad mujhe ye ek lodge dikhai diya tha.

"Koi nahi" Vo table par rakhe jug se ek glass mein pani dalta hua bola "Main karta hoon kuchh intezaam"

"Kuchh pata chala Geetanjali ke case mein?"

"Nahi" Vo pani ke ghoonth bharta hua bola.

"To kya plan hai ab?"

"Plan simple hai bahut. Create an alibi"

"Little more details please" Maine apni jeb mein haath dalkar cigarette ka packet nikala. Khan ne fauran meri taraf ghoor kar dekha.

"Bigger picture please. This is the least of our concern right now" Maine fauran shakal banate hue kaha aur cigarette jala li.

'Yeah i guess you are right" Vo hathyaar se daalte hue bola.

"Plan kya hai?"

"Plan ye hai dost ke 2 alibi create karne hain tere liye. Aur thoda post mortem walo ko paise khilane hain"

"Abhi bhi samajh nahi aa raha"

"Arrey sidhi si baat hai yaar, 2 log taiyyar karne hain. Ek toh jo ye bole ke khoon ke waqt tu uske saath tha aur doosra jo ye bataye ke tu vahan khoon hone ke baad pahuncha tha"

Actually khoon ke waqt main Bijli ke saath tha par is waqt usse mere liye gawahi dene ki ummeed main kar nahi sakta tha.

"Par is saare jhol jhal mein ek problem hai" Khan ne baat jaari rakhi.

"Kya?"

"Dekh khoon hone aur tere vahan jaane ke beech zyada waqt ka fasla nahi hai toh ye saabit karna mushkil ho jaayega ke tu kahan tha aur vahan kab pahuncha. Toh jis kisi ne bhi post morem report likhni hai use thoda bahut khila pila kar sirf ye karvana hai ke maut ka waqt thoda ek do ghante pichhe kar de aur court mein gawahi de de ke maut ya toh uske bataye waqt par hui thi ya usse pehle. That will increase our time window a bit"

"Hmmmm" Maine sochte hue kaha "Ek chhoti si baat ka dhyaan rakhna bas"

"Kya?"

"Marne se pehle Geetanjali ne mujhe phone kiya tha. Toh maut ka waqt itna pichhe mat khiska dena ke un call records se match na ho paaye"

"That doesnt matter. Koi saboot nahi hai is baat ka ke phone tujhe Geetanjali ne kiya tha. Tune phone uthaya hota toh baat alag thi par uske phone se number toh tera koi bhi dial kar sakta hai"
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Main hairat se uski taraf dekhne laga.

"Aise kya dekh raha hai?"

"What happened to that old Khan jise sirf haath chalana aata tha? How did you turn into this?"

"Turn into what?" Use meri baat samajh nahi aayi.

"This man" Maine uski taraf apne dono haathon se ishara kiya "Kal tak mujhe samajh nahi aa raha tha ke is case se niklunga kaise aur yahan tune khade khade is baat ko hawa mein aise uda diya jaise bahut hi fizool si baat ho"

"Aasan hai yaar" Vo taareef sunkar zara jhenpta hua bola "Police mein hoon main, saare jhol jhaal pata hain mere ko. Sab khabar hai ke kaun si chidiya kitna ooncha udti hai aur kis taraf ko jaati hai"

"And who are these 2 alibis?"

"I am working on it par hain do bande meri nazar mein. Khabri hain mere. Ek court mein aakar ye keh dega ke jab khoon hua tab tu uske saath betha daaru pi raha tha aur doosra ye keh dega ke usne tujhe khoon hone ke baad Geetanjali ke ghar mein ghuste dekha tha aur tujhse pehle ek aadmi ghar se nikla tha jiska chehra vo dekh nahi paya"

"Kaun aadmi?" Maine fauran puchha.

"Abe farzi aadmi koi. Asal mein nahi"

"Ohhhh"

"Vaise toh is kahani mein bhi bade jhol jhal hain aur agar vakeel zara sa shana hua toh kapde phaad lega hamare. Isliye zara mujhe filhal har taraf se baat pakki kar lene do so that there is no lose end. Ek baar main saare sire jod doon kahani ke uske baad Sherlock Holmes ki bhi aukaat nahi hogi ke tujhe khooni saabit kar sake. Phir tu surrender kar dena mere police station aakar"

"I owe you man" Maine muskurate hue kaha and i truly meant it. Vo meri jaan ek bahut badi museebat se nikal raha tha.

"You dont owe me shit. Chal nikalta hoon main abhi"

"Theek hai"

"Tere theharne ka intezaam karke phone karunga tujhe aur sun" Kehta kehta vo phir palta.

"Kya?"

"Bahar mat nikalna ab aur apne phone mujhe de"

Maine jeb se phone nikal kar uski taraf badhaya.

"Abe sim nikal kar de" Kehte hue usne apni jeb se apna phone nikal kar apna sim card nikal liya "Ye phone rakh tu taaki dobara kharab na ho aur ye apne wala kachra mujhe de. Filhal ye main rakh leta hoon, baad mein doosra le loonga"

Vo apne phone mujhe dekar chala gaya. Uske jaane ke baad main cigarette ke kash lagata bed par thodi der tak betha raha. Museebat ke jo badal mere sar par mandra rahe the, uski baat sunkar ab chhante hue mehsoos ho rahe the.

Kuchh der tak yun hi bethe rehne ke baad maine Khan ke phone mein apna sim dala aur Chipku ka number dial kiya.

"Kaun hai be?" Call receive hote hi doosri taraf se aawaz aayi.

"Main bol raha hoon" Is taraf se main bola.

"Main kaun?"

"Main tere biwi ka yaar" Main chidte hue bola.

"Ek minute hold kar" Doosri taraf se Chipku ne kaha aur line par khamoshi chha gayi.

"Adi Bhai aap?" Koi 2 minute ke baad uski aawaz aayi.

"Haan. Koi hai toh nahi tere paas?"

"Nahi pehle the par abhi main uthkar idhar akele mein aa gaya. Vo Geetanjali Thakkar ke saath aapka kya rada tha?"

"Koi rada nahi tha yaar" Maine jawab diya.

"Toh kaahe ko maare usko?"

"Arre maine nahi mara. Phasaya ja raha hai mujhe is case mein"

'Tabhi main sochun ke sala vo TV Akhbaar wale kya bakwaas kar rahe hain. Kaun phasa raha hai?"

"Vahi pata karne ki koshish kar raha hoon. Ek kaam karega tu mera?"

"Kuchh bhi Bhai, aap jo bolo" Vo fauran taiyyar ho gaya.

"Vo Bijli ke baare mein tu bola tha ke zyada jaanta nahi, hai na?"

"Abhi ye Bijli ka is mamle se kya lena dena hai?"

"Jitna puchh raha hoon utna bata" Mere paas use poora kissa samjhane ka na waqt tha, na patience aur na hi aisi koi zaroorat thi.

"Haan zyada janta nahi main usko, bas shakal aur naam se"

"Toh pata karne ki koshish kar"

"Kya pata karun?"

"Kuchh bhi aur sab kuchh. Dekh kisse milti julti hai vo, kahan uththi beththi hai, kiske saath rehti hai vagerah vagerah"

Sach kahun toh mujhe khud ko bhi nahi pata tha ke Bijli ka pichha karwake main kya pata karne ki koshish kar raha tha. Bas yun hi andhere mein teer chala raha tha.

"Theek hai Bhai par jahan tak mujhe pata hai uska zyada uthna bethna idhar Sharafat Bhai ke Bar ke logon ke saath hi hai toh jo milega vo idhar ka hi koi milega. Aap agar batao do ke aankh kis cheez ke liye khuli rakhni hai toh thodi madad mil jaave"

"Yaar sach kahun toh mujhe bhi nahi pata ke kya dhoondhna hai. Bas mujhe uske ek do din ka poora programme aakar bata de. Phir main dekhta hoon ke vahan se kuchh kaam ki baat nikalti hai toh"

"Theek hai Bhai"

"Vaise ek baat aur bata. Kisi Pratap ya Raghu ko janta hai tu?" Ye main isliye puchh raha tha ke jis waqt Saanwli ka is ladke se affair shuru hua tha vo Sharafat ke Bar mein kaam karti thi toh bahut mumkin tha ke vo koi yahin ka ho.

"Kaun vo drug dealer?" Doosri taraf se fauran jawab aaya.

"Drug dealer? Matlab jaanta hai tu?" Maine puchha.

"Naam hi suna hai bhai. Aur poore mumbai underworld mein uska naam har kisi ko malum hai aur sirf naam hi malum hai. Pratap Raghuvanshi. Bahar desh se operate karta hai bolte hain. Akkhi Mumbai mein drug business ka maai-baap hai vo"
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Drug Business?" Maine hairani ke saath puchha.

"Haan bole toh sabse faayde ka business. Asal mein dekha jaaye toh aur bhi kayi dhandhe chalata hai vo par main kaam Drugs ka hi hai" Chipku ne bataya.

Ye jaante hue ke vo Saanwli jaisi ek mamuli ladki ka boyfrind tha, main ye ummeed kar raha tha ke vo khud bhi koi ek mamuli sa ladka hoga jisse vo kahin Bar vagerah mein takra gayi hogi aur dono mein pyaar ho gaya hoga. Sach kahun toh main dil hi dil mein ye theory tak bana chuka tha ke shayad vo Pratap Saanwli ke saath yun hi time pass kar raha hoga par jab Saanwli ne shaadi ke liye zor dalna shuru kiya toh usne use raaste se hata diya, jaisa ke aksar hamari purani hindi films mein hota hai.

Par yahan toh kissa hi doosra tha. Jo mujhe Chipku bata raha tha us hisaab se Pratap Raghuvanshi ek achha khaase drug racket ka sargana tha. Toh us jaise aadmi ko Saanwli jaisi ladki mein kya dilchaspi? Jahan main ye ummeed kar raha tha ke is Pratap ke pata chalnse se mujhe mere sawalon ke jawab mil jaayenge, vahan aur na jaane kitne sawal uth khade hue the.

Aur sabse bada sawal filhal ye tha ke kya ham log ek hi aadmi ki baat kar rahe the? Ya main kisi aur Pratap ki baat kar raha tha aur Chipku kisi aur Pratap ke baare mein bata raha tha?

"Aur kya bata sakta hai mujhe is Pratap Raghuvanshi ke baare mein?" Maine puchha.

"Aapko kaahe ku achanak usmein dilchaspi paida ho gayi?" Vo ulta mujhse hi sawal karne laga.

"Hai kuchh mamla. Tu kya janta hai uske baare mein?"

"Khaas kuchh nahi aur main kya koi nahi janta khaas toh uske baare mein. Koi 4-5 saal pehle tak kahin scene mein nahi tha vo aur phir achanak se aisa aaya ke akkha scene hi badal dala. Abhi kya hai pehle idhar drug business ka dealer log bhi alag the aur supplier log bhi alag. Koi saale Roosi log se kharid kar idhar bechta tha toh koi sala French log se toh koi kahin aur se. Aur isi ka maafik idhar bechne wala bhi sab alag alag tha, har koi bahar se kharid kar apne apne ilaake mein bechta tha."

"Matlab Mumbai mein?" Maine puchha.

"Arrey Mumbai toh sirf ek shehar hai, main akkhe India ki baat kar rela hoon"

"Poora India?"

"Haan abhi dekho jaise Mumbai ko India ka, vo kya toh bhi bolte na, kaun sa shehar ....." Vo sochne laga.

"Financial Capital" Maine baat poori ki.

"Haan vahich. Theek usi tarah akkhe India mein jo Illegal kaam hota hai uska aadhe se zyada jad idhar Mumbai mein hi hai. India mein jitna drug supply hota hai uska 70% idhar Mumbai ke through hi dealing hota hai. Toh pehle jitna dealer log tha vo sab India ko aapas mein baant rakha tha, state ke hisaab se. Koi Rajasthan mein maal supply karta tha toh koi Assam mein toh koi Kerala mein. Koi kisi ke kaam mein faaltu chonch nahi maarta tha"

"Ok, phir?"

"Phir kahin 4-5 saal pehle kahin se ek naam utha Pratap Raghuvanshi. Kaun hai koi nahi janta. Kaisa hai kisi ko khabar nahi. Kidhar se operate karta hai kabhi kisi ko pata nahi chala par achanak se ek aisa aadmi aaya jo drugs market rate se kam daam par bechne laga aur maal bhi ekdam khara. Koi 3-4 mahine tak aisa hi chalta raha. Sara kaam phone par hi hota tha uska, kabhi vo khud kisi ke saamne nahi aaya"

"Phir?"

"Phir dheere dheere jitne bhi dealer the sabke dhandhe chaupat hone lage. Koi din dahade police encounter mein mara gaya, kisi ke yahan police ki raid pad gayi, kisi ka maal police ne pakad liya aur koi apne hi ghar mein mara pada mila"

"Aur dheere dheere Mumbai mein drug supplier ke naam par ek hi reh gaya"

"Bilkul, Pratap Raghuvanshi. Par phir bhi vo kabhi khud kisi ke saamne nahi aaya. Balki iske baad agla pasa jo usne phenka vo tha Mumbai ke chhote mote Bhai log ko apni taraf karna jaise ke Sharafat Bhai"

"Sharafat Bhai" Main uski baat sunkar has pada "Usko tu chhota mota kehta hai?"

"Arrey dekho toh chhota gunda hi toh hai. Dekho toh hai kya uske paas, kuchh pubs, kuchh chhote mote galat dhandhe aur bandook liye kuchh aas paas khade kiraye ke gunde?"

"To tu ye kehna chahta hai ke Sharafat us Pratap Raghuvanshi ke liye kaam karta hai?"

"Haan. Pehle nahi karta tha par is jaise log jis taraf pani ka bahav ho apni naav bhi usi taraf ghuma dete hain. Vo aisa time tha jab jo bhi Raghuvanshi ke khilaff ja raha tha vo ya toh police ke haathon maara jata tha ya apne ghar mein hi uski laash padi milti thi. Toh aakhir mein aakar ye hua ke jo koi bhi Drugs ke dhandhe mein tha vo ek tarah se Raghuvanshi ki chhatra chhaya mein aa gaya"

"Interesting" Maine kaha.

"Aur phir dheere dheere usne apne paon phelane shuru kiye. Drugs ke baad gair-kanooni hathyaaron ka dhandha, smuggling aur bhi na jaane kya kya. Aur aaj ki tareekh mein ye aalam hai ke agar vo pichhe se supply band kar de toh Mumbai underworld ki saansen ruk jaayengi"

"Aur ye sab usne bina saamne aaye kiya?"

"Arrey aajkal aisa hi chalta hai Adi Bhai. Ab bade bade bhai log jo bahar desh mein bethe hain vo kaun sa idhar Mumbai mein aakar dhandha chalate hain. Vo bhi toh sara kaam apne aadmiyon ko phone par bula kar hi karvate hain. Aisa hi ye Raghuvanshi bhi hai. Bahar kahin chhupke betha hai aur dheere dheere idhar ka sara kaam apne haath mein leta ja raha hai. Aap saal do saal ruko, idhar ka betaaj baadshah hoyenga vo"

"Ek baat bata. Kabhi Sharafat ke Bar vagerah mein bhi aata jata hai vo?"

"Kaisi baat kar rahe aap Adi Bhai. Abhi kya bola main. Vo sala saamne aata hi nahi"

Chipku ke phone rakhne ke baad main hairat mein pad gaya. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke kya ye Chipku aur Saanwli wala Raghuvanshi ek hi hai ya ham is waqt do alag alag logon ki baat kar rahe hain. Sharafat Raghu ke liye kaam karta hai, Saanwli Sharafat ke Bar mein kaam karti thi aur Sharafat ki kanpati par bandook tika kar ek ladki ko vahan se nikal le jaaye, aisa gurda kisi aam aadmi mein toh nahi ho sakta. Aisa karne ke liye jo himmat chahiye vo kisi Raghuvanshi jaise aadmi mein hi ho sakti hai.


Jo bhi tha, us waqt soch soch kar mere sar mein dard hone laga tha.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Chapter 13 - Pratap Raghuvanshi


Us raat ek bada ajeeb sa sapna dekha maine. Bata nahi sakta ke main sapne mein Saanwli ko dekh raha tha ya Saloni ko par un dono mein se koi ek badi tezi ke saath samundar kinare bhaag rahi thi aur uske pichhe koi bandook liye bhaga aa raha tha. Jaise ke hamari films mein bahut hi natakiye andaaz se dikhaya jata hai, theek usi tarah vo ladki badhawas bhaag rahi thi aur uske pichhe bhaagne waale ka main sirf haath dekh pa raha tha jismein bandook thi.

Bhaagte bhaagte achanak vo ladki ek aadmi se takrayi aur vo main nikla. Main use sambhal hi raha tha ke ek goli chali aur sidha ladki ki peeth par lagi. Vo ladkhadate hue meri baahon mein aa giri aur shareer se khoon beh chala.

"I am so sorry, really i am. I tried" Main uski aankhon mein dekhta hua bola jo dheere dheere band ho gayi.

Uske shareer se khoon ki ek nadi si beh chali thi jo dheere dheere behta hua Samundar ke pani se mil raha tha. Kuchh pal main yun hi us bejaan shareer ko thaame betha raha ke tabhi usne apni dono aankhen khol di aur baahen mere gale mein daal di.

"Oh Honey ! I waited for you for so long. I love you" Kehte hue vo uthkar bethi aur apne honth sidha mere hontho par rakh diye. Aur theek usi waqt hadbada kar meri aankh khul gayi.

Ek pal mujhe laga is baat ko zabt karne mein ke main ek sapna dekh raha tha.

"All right, thats new" Sapne ke aakhri part ko sochta hua main bistar se utha aur muskurata hua apne aap se bola.

Subah ke 8 baj chuke the par aisa lag raha tha jaisa din ke 10 baj rahe hon. Bahar sadak par Mumbai phir jaag uthi thi aur ek baar phir apni poori tezi se bhaag rahi thi. Har taraf jaise aafra tafri thi. Kisi ke paas koi waqt nahi, har koi bas apna bag uthaye jaldi mein kisi taraf chala ja raha tha.

"Pursuit of happiness, har koi bas khushi ke pichhe bhaag raha hai" Maine apne aap se kaha aur bathroom ki taraf badha.

Niche jakar lodge wale ladke ko ek cup chaai ke liye kaha aur phir uper aakar Saloni ka number milaya. Meri usse baat hue kayi din ho gaye the aur mujhe poora yakeen tha ke vo mere number par call kar rahi hogi jo use switched off mil raha hoga. Kahin use ye na lage ke maine case chhod diya hai, ye sochkar maine khud hi use phone kar diya. Sach kahun toh pichhle kuchh din se itna kuchh ho raha tha ke Saloni ka khyaal tak nahi aaya tha mujhe. Vo toh kal raat ke sapne ne mujhe yaad dilaya ke mujhe use bhi bata dena chahiye ke case kahan tak badha hai.

"Thank god you are all right. Maine news mein dekha tha ke kya hua" Vo phone uthate hi boli,

Damn the media, maine dil hi dil mein socha. Privacy naam ki cheez hi nahi bachi aajkal. Saharanpur ek chhota sa shehar hai aur main ummeed kar raha tha ke Mumbai mein hue khoon ki khabar shayad vahan tak na pahunchi ho. Obviously main galat tha.

"Yeah i am all right, dont worry about it" Maine haste hue kaha.

"Aap abhi Mumbai mein hi ho?"

"Haan idhar hi hoon, police se bhagta phir raha hoon"

"Mera dil keh raha tha ke aisa aap nahi kar sakte aur koi phasa raha hai aapko"

"Yes you are right. I am being set up for a murder"

"Iska meri behen se koi lena dena hai?"

"Ho bhi sakta hai aur nahi bhi. I am not really sure right now. Pata karne ki koshish kar raha hoon"

"Main samjhi nahi"

"Filhal bas itna samajhiye ke us aurat ko shayad aapki behen ke baare mein kuchh pata tha. Pakke taur par nahi keh sakta par aisa mumkin zaroor hai"

"Kaun thi vo aurat? News mein keh rahe the ke kaafi badi business-woman thi"

"Nahi" Maine ek pal ke liye socha aur sach hi batane ka faisla kiya "Business-woman hone ka dikhava karti thi par asal mein ek badhut pahunchi hui high class pimp thi"

Aur agle 15 min tak main use poori baat batata raha ke kya hua tha aur ilzaam mujh par kaise aan pada.

"Ironic" Mere baat khatam karne par vo boli.

"What is?" Maine puchha.

"2 baatein. Ek toh ye ke meri behen ke baare mein koi jism-faroshi ka dhandha karne wali jaanti thi aur doosri ye ke agar uske baare mein jaanne wali koi hi maar diya gaya toh meri behen ke zinda hone ke toh chance hi kya honge"

Is sawal ka mere paas koi jawab nahi tha. Dil hi dil mein toh kahin main bhi ye maan chuka tha ke Saanwli ab is duniya mein hai nahi aur main sirf ye pata karne ki koshish kar raha hoon ke aakhir hua kya tha.

"I am so sorry that i bought thi on you" Saanwli maafi maangti hui boli "Maine aapko is case mein involve kiya aur aap par ye museebat aayi. Aap chahen toh case chhod sakte hain"

"Too late for that now. Ab sawal sirf aapki behen ko dhoondhne ka nahi hai, apni jaan bachane ka bhi hai"

Usse baat karne ke baad maine phone rakha hi tha ke vo ladka ek cup chaai le aaya. Maine use kuchh paise dete hue kuchh khaane ke liye laane ko kaha aur TV on kiya. Tabhi phone ki ghanti baji. Call Khan ki thi.

"Ek kaam kar. Ye address de raha hoon Jogeshwari ka, yahan jakar ruk ja"

"Yahan se thoda door nahi ho gaya?"

"Teri kaun sa Dharavi mein sasural hai. Ye lodge safe rahega tere liye. Hafta bhar tak aaram se pad sakta hai yahan jaake"

Usne address bataya aur maine likh liya.

"Ek baat bata, kisi Pratap Raghuvanshi ka naam suna hai tune?" Maine address likhne ke baad sawal kiya.

Line par ek pal ke liye khamoshi chha gayi.

"Hello?" Koi aawaz nahi aayi toh maine kaha.

"Haan yahin hoon, kyun puchh raha hai?"

"Aise hi. Suna hai tune naam?"

"Ab kaun si nayi museebat mein pad raha hai tu? Pehle hi kya kam phasa hua hai?"

"Yaani ke tu janta hai hai kaun hai ye Raghuvanshi?" Maine uski baaton se andaza lagaya.

"Haan janta hoon aur ye bhi janta hoon ke filhal tu apni jaan ki khair mana aur in sab pachdo se door reh"

"Kya bata sakta hai is Raghu ke baare mein" Maine uski baat ko nazar andaaz karte hue puchha. Shayad police ko uske baare mein kuchh aisa pata ho Chipku mujhe nahi bata paya tha.

"Haan janta hoon. Drug lord hai, Mumbai ka almost 80% drug business control karta hai. Sirf naam mash-hoor hai, asal mein kaun hai koi bhi nahi janta" Aur phir Khan ne mujhe kaafi kuchh bataya par kuchh bhi aisa nahi tha jo mujhe already pata na ho.

Usne phir puchha ke main kyun jaanna chahta hoon par maine phir use taal diya. Subah subah uske munh se gaaliyan khane ka mera koi irada nahi tha. Filhal toh main khud bhi samajh nahi pa raha tha ke kya ye Raghu ek hi hai ye 2 alag alag insaan.

Par phir dimag ki batti jali aur mujhe yaad aaya ke ek hi insaan hai jo is baat ko proove kar sakta hai aur vo tha khud Sharafat Bhai.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
The more i thought about it and the more it made sense.

1. Saanwli sharafat ke yahan kaam karti thi.

2. Sharafat Raghuvanshi ke liye kaam karta hai.

3. Raghuvanshi ka Sharafat ke yahan aana jana tha.

4. And the most important of all which i didnt think about until now, Sharafat ne mujhe Saanwli ko dhoondhne se mana kiya tha. Use kya farak padta hai ke vo mile ya na mile, vo uske Bar mein kaam karne wali ek mamuli si ladki thi. Nahi, aisa vo nahi, koi aur chahta hai ke main Saanwli ko talash karna band karun. Mujhe aakar dhamkane ka kaam usne kisi aur ke kehne par kiya tha, Raghuvanshi ke.

Toh in short, ek hi aadmi tha jo ye confirm kar sakta tha ke Saanwli ka Raghu ke saath kuchh toh len den tha. Aur Raghu ko lekar har baat ek hi nateeje par aakar ruk jaati thi ke vo saamne nahi aata aur koi use nahi janta. Bahut mumkin tha ke Sharafat ke paas isse badhkar koi aur information ho, aakhir vo use ke liye toh kaam karta tha.

Ab sawal ye uthta tha ke Billi ki gale mein ghanti baandhi kaisi jaaye? Maine ye toh decide kar liya tha ke kaun si billi ke gale mein ghanti baandhni hai par sochna ab ye tha ke kaise?

Ek aur baat jo mujhe kayi din se parishaan kar rahi thi vo ye ke kis tarah se ye case jaise mere aas paas hi sulajh raha tha. Co-incidence bhi ho sakta hai par uske chance bahut kam the. Mumbai jaise bade shehar mein main ek ladki ko dhoondhne nikla aur us ladki ke nishan mujhe har us jagah mile jisse mera lena dena tha. Aisa malum ho raha tha jaise mere ghar ke pichhe hi kahin dhool mein dabi hua ek kagaz ka tukda tha, maine thodi dhool udaayi toh numaya ho gaya.

Bahar-haal, main apni soch ke dariya se bahar nikla aur is paheli ki kadiyan jodne ki taiyyari mein jut gaya.

First stop, vo office jahan Saanwli kaam karti thi.

Vo ek chhoti si hardware factory thi jahan nails, screws and bolts banaye jaate the. Makeup mere chehre par ab bhi tha. Aakhri baar Maya ne andaza laga kar kaha tha ke main ek policewala hoon. Is baar maine poori koshish ki thi ke main saade kapdo mein ek policewala hi lagun. Chehre par moti moonch jo neeche ke aur aati hui meri thodi tak jaati thi, kaan mein moti si baali, gale mein moti si chain, Tucked out shirt aur ek baar phir se shave kiya gaya poori taraf se saaf sar.

"Can i help you sir?" Reception par bethi ladki ne muksura kar mujhse puchha.

Main plan bana kar aaya tha. Ye ladki mera mouth-piece banne wali thi. Isi ne sabko batana tha ke main ek policewala hoon taaki iske baad koi meri ID ko question na kare.

"Inspector Khan" Maine apna introduction karaya "Mumbai police"

Jaisa ke maine socha tha, reaction vaise hi hua. Vo ek koi mushkil se 22-23 saal ki middle class ladki thi. Policewala sunte hi jaisa ke hamare desh mein aksar kaam karta tha, uske aadhe dimag par darr aur jhijhak ne kabza kar liya. Uper se kuchh mera huliya us waqt aisa tha ke policewala nahi toh gunda toh main zaroor lag raha tha.

"Ji kahiye"

"Factory ke maalik se milna hai" Maine aawaz bhaari karte hue poore rob se kaha.

"Ji vo toh is waqt yahan nahi hain"

"Managar kaun hai yahan ka?" Main chaaron taraf dekhte hue is tarah se puchh raha tha jaise ye jagah mujhe dahej mein mili ho.

"Mr. Rao" Ladki ne bataya.

"Bulake lao" Andaaz aisa tha jaise koi mere ghar ke naukar ko bulana ho.

Mere hukum ko fauran baja laya gaya. Ladki fauran office ke andar daakhil hui aur uske saath mein ek 50-55 saal ka aadmi bahar aaya.

"Inspector Khan" Maine seena chauda karte hue jhooth bola "Baat karni hai kuchh aapse"

"Ji andar aaiye" Usne ek office ki taraf ishara kiya.

Kuchh der baad main uske air conditioned office mein betha Pepsi pi raha tha.

"Kuchh khane ke liye lenge sir?" Manager Rao ne apni chair par bethte hue kaha. Shareef aadmi toh jaise uske poore chehre par bold letter mein likha hua tha, underline karke.

"Nahi thanks. Mujhe ek ladki ke baare mein pata karna hai jo shayad aapne yahan kaam karti thi"

"Ji zaroor" Usne fauran co-operate kiya.

"saanwli Mitra" Maine naam bataya.

"Saanwli Mitraaaaaaa " Vo soch mein pad gaya.

"Aap kabse yahan manager hain?"

"Ji main toh yahan naya hoon, ek mahina hi hua hai" Usne bataya.

"Toh aapko nahi pata hoga. Usse pehle kaam karti thi vo yahan"

"Ek minute" Kehte hue usne apne computer par kuchh check karna shuru kiya.

"Yes she is here" Kehte hue usne apne computer ka monitor meri taraf ghuma diya.

Vo unka employee data-base tha aur screen par Saanwli ka profile khula hua tha. Maine dekhna shuru kiya par vahan sirf vahi details thi jo ek company aam taur par apne employees ke baare mein rakhti hai. Uska naam, phone, pata, educational qualification vagerah vagerah. Zyadatar details aisi thi jo main already janta tha ya jo mere kaam ki nahi thi.

"Ye toh mujhe pata hai" Maine monitor phir uski taraf mod diya "I want to know the details ke jab vo yahan kaam karti thi toh uske dost vagerah kaun the, kiske saath uthna bethna tha, uska behaviour kaisa tha vagerah"

"I am sorry but is mamle mein main aapki koi madad nahi kar paoonga. Main us waqt yahan tha hi nahi"

"Koi purana employee jo pichhle saal dedh saal se yahan kaam karta ho?"

"Bahut hain par actually yahan par staff do hisso mein bata hua hai. Factory ke workers aur hamara staff. Yahan is building mein sirf hamara front staff bethta hai. Factory shehar ke doosre hisse mein hai"

"Matlab yahan jo aate hain unka factory walo se koi lena dena nahi"

"Nahi aur factory mein toh sab labour class log hi aate hain. Jo accouting vagerah dekhte hain vo yahan bethte hain"

"Kitne log hain?"

"Ji sirf 8. Ek employee hai jo pichhle 3 saal se hamare saath hai. Shayad vo kuchh bata paaye.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Bulane par jo aaya vo koi 30 ke aas paas ka dubla patla ladka tha. Aankhon par ek mota sa chashma, itna patla ke tez hawa ke saath ud jaane ka khatra ho, sar par bhaari matra mein tel se chipke baal, bahut saleeke se iron ki hui shirt aur trouser and achhe se chamkaye gaye joote. In short, bilkul us tareeke ka ladka jo school mein kitabon se sar uthake nahi dekhte aur 12 saal tak class ke doosre ladke unki khichai karte hain.

Vo chup-chap aakar sar jhukaye mere saamne khada ho gaya.

"Ye hamare ek kaafi purane employee hain, Mr. Mafat Lal. Actually is office mein sabse purane yahi hain" Rao ne introduction ka round shuru kiya "Mr. Lal ye hain Inspector Khan, crime branch Mumbai Police. Ye aapse ek ladki ke baare mein kuchh sawal karna chahte hain jo yahan pehle kaam karti thi, Saanwli Mitra"

Yahan 2 baaton ka mujhe achambha hua.Pehla toh ye ke office mein ghusne se ab tak maine ek baar bhi nahi kaha tha ke main Crime Branch se hoon, ye apne aap hi jod diya Rao ne par maine bhi kuchh nahi kaha. Doosra, vo ladka ye sunkar ke main ek policewala hoon zara bhi surprised nahi tha, face ke expression zara bhi nahi badle.

Zaahir tha ke bahar bethi us receptionist ne vaisa hi kiya tha jaisa ke maine andaza lagaya tha. Office mein sabko khud hi danke ki chot par bata diya ke main policewala hoon aur mere sar se introduction ka zimma hata diya tha.

"Tum jaante ho ke ham kis ladki ki baat kar rahe hain?" Maine Mafat Lal se puchha.

Jawab mein usne sirf haan mein sar hila diya.

"Kya bata sakte ho tum uske baare mein?"

"Acchi ladki thi" Vo jawab mein bola.

Yahan ek baat aur jiski mujhe hairat hui vo ye thi ke kisi ne ab tak palat kar nahi puchha tha ke main ye sawal jawab kyun kar raha hoon.

"Ok i was actually expecting for a little more than that"

"I dont know anything" Vo sar jhukaye bola.

"Mr. Rao" Main manager ki taraf palta "Would you mind givins us some privacy please?"

"Not at all" Kehte hue vo utha aur darwaze ki taraf badh gaya "If you need anything, i am right outside"

"Thanks" Maine muskura kar jawab diya. Rao gaya toh khushi khushi tha par uske chehre ke haav bhaav se saaf zahir tha ke use yun apne hi office se bahar nikal diye jana bilkul bhi pasand nahi aaya tha.

"Betho" Rao ke jaane ke baad maine Mafat Lal se kaha.

"Kuchh hua hai na use?" Vo fauran hi kursi par betha aur meri taraf dekhta hua bola "Mujhe pata hai ke kuchh hua hai. Main ek mahine se phone kar raha hoon, number nahi lagta. Uske hostel gaya toh mujhe bole ke vo Saharanpur chali gayi vaapis par mujhe pata hai ke kuchh hua hai. Bina bataye aise kyun chali jaati bhala"

Vo ek hi saans mein bahut kuchh bol gaya aur takreeban sab kuchh hi mere matlab ka tha.

"Tum kyun phone kar rahe the use?" Maine ek baar phir apna notepad aur pen nikal liya.

"Dost thi meri. Ek saal se janta tha main use" Usne jawab diya.

"You mean jabse vo yahan kaam karti thi tabse?"

Usne haan mein sar hila diya.

"Yahan se job kab chhodi usne?"

"Koi 2 mahine pehle"

"Kyun chhodi thi?"

"Uske us boyfriend ke chakkar mein. Kehta tha ke shaadi karega usse isliye job chhod do. Mujhe pata tha ke vo uska bevakoof bana raha hai aur kuchh gadbad hogi. Ab ho gayi na. Pata tha mujhe"

Maine use gaur se dekha. Ek tarfa pyaar uske aankhon aur chehre se saaf jhalak raha tha.

"You know what, walk me through the details, ever since you knew her. Kab aayi, kya hua, kab gayi, kyun gayi, sab kuchh. Walk me through" Maine use kahani shuru se shuru karne ke liye kaha.

"Taqreeban saal bhar pehle aayi thi, receptionist thi. Bahut seedhi saadi ladki thi, kisi se zyada bolti nahi thi"

"Sivaay tumhare?"

Mere sawal par vo ek pal ke liye jhijhka.

"Nahi pehle toh mujhse bhi baat nahi karti thi par phir dheere dheere baat shuru ho gayi"

"Kisi cheez ki pareshani thi use yahan?"

"Yahan office mein?"

"Office mein aur yahan Mumbai mein"

"Bas ek hi cheez ki pareshani thi jiski Mumbai mein shayad sabko hai, Paisa. Uski salary bahut kam thi aur Mumbai mein thode se paiso mein guzara karna na-mumkin jaisa hi hai. Usi ko lekar aksar pareshan rehti thi. Din mein sirf ek baar khati thi. Agar dopahar ko kha liye toh raat ka khana nahi khaati thi aur agar raat ko khana hota tha toh lunch skip karti thi"

"Aur isi liye vo Sharafat Bar ja pahunchi?"

Maine sidha sawal kar diya. Vo Saanwli se pyaar karta tha isliye main janta tha ke khud is baare mein shayad na bata paaye aur agar bataya toh baat ghuma phirake bataya isliye maine hi teer nishane par chala diya. Nateeja vahi nikla jiski mujhe ummeed thi, vo ekdam baukhla utha.

"Vo nahi gayi thi, usko phasa kar le jaya gaya tha vahan par, behla phusla ke"

"Aur behlane phuslane ke kaam kisne kiya tha?"

"Aur kaun karega, vahi saali Bar wali ladki"

"Kaun ladki?"

"Bijli" Usne gusse mein kaha.

Ek baar phir ek jana pehchana naam mere saamne aaya. Bijli, Bijli, Bijli.

"Bar wali ladki ka naam tum kaise jaante ho?"

"Saanwli ne bataya tha"

"Aur ye Bijli yahan kya karti thi?"

"Is tarah ki ladkiyan kya kaam kar sakti hain? Ek hi toh kaam aata hai unhen"

"Yahan office mein?" Maine hairat se puchha.

Usne haan mein sar hila diya.

"Kiske liye?"

Usne jawab mein jis offce mein ham bethe the usmein chaaro taraf nazar daudayi.

"Mr. Rao ke liye?"

"Nahi inse pehle jo manager the unke liye. Bhatia Sir. Vo bulate the uske yahan kabhi kabhi, zyadatar saturday ko lunch ke baad jab sab apne ghar nikal jaate the"

"Ok, phir?"

"Bas yahin par us Bijli ne jaan pehchan bana li Saanwli se aur behla phusla kar use Bar mein le gayi"

"Tum jaante ho vo Bar mein kya karti thi?"

"Waitress thi, Genie in a bottle mein"

"Ok, phir?"

"Phir vahan use vo kambakht Raghu mila aur usne aur us bechari masoom ladki ko behlana shuru kar diya. Main bolta tha Saanwli ko ke vo uska shaadi ke naam par fayda utha raha hai par vo sunti hi nahi thi"

"Kaafi achhi dosti thi tumhari usse, nahi?"

"Thodi bol chal thi. Vo Raghu ke milne ke baad usne Bar mein toh kaam band kar diya par vo ladka mujhe theek nahi lagta tha"

"Tum mile the kabhi usse?"

"Nahi"

"Toh tumhein kaise pata ke vo theek nahi tha?"

"Jis hisaab se Saanwli batati thi usse andaza lagaya, itna toh pata chal hi jata hai logon ke baare mein. Ek number ka charsi tha sala"

"Charsi? Bole toh drugs?"

"Nahi main cigarette ki baat kar raha hoon par kaun jaane, drugs bhi karta hi hoga. Jo cigarette pita ho vo achha insaan kaise ho sakta hai bhala, pehle cigarette phir drugs"

Mera dhyaan apni jeb mein rakhe cigarette packet ki taraf gaya pare use nazar andaaz karke maine phir apne dhyaan Mafat ki taraf ghumaya.

"Tumhein kaise pata ke vo cigarette pita tha?"

"Phone pe aksar sunta tha Saanwli ko. Vo har waqt tokti rehti thi use ke cigarette na piya karo. Aur ek baar jab maine dekha use us waqt bhi vo cigarette hi jala raha tha.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Tumne dekha tha Raghu ko?" Meri ummeed ki chidiya ne ekdam oonchi udaan bhari.

"Haan ek baar main office se nikla toh vo bahar bus stand ke paas khadi hui thi. Main uske paas gaya toh usne bataya ke vo Raghu ka wait kar rahi hai"

"Toh tum ruke uske saath phir?"

"Nahi, i didnt want to meet or see that guy. I hated him"

"Toh abhi toh tumne kaha ke tumne use dekha tha?"

"Actually vo already aa gaya tha par Bus stand ke paas hi ek panvadi ki dukaan hai, vahan se cigarette kharid raha tha. Saanwli uska wait kar rahi thi ke vo cigarette lekar aaye toh vo jaayen"

Maine uski taraf gaur se dekha. Vo ab bhi thoda ghabraya hua lag raha tha aur jis tarike se kahani bata raha tha, koi bhi yahi kehta ke vo jhooth bol raha hai. Mere chehre ke haav-bhaav dekh kar vo pehchan gaya ke mujhe uski baat par yakeen nahi ho raha.

"I can proove it to you" Vo bola.

"Really? How?"

"I have a pic"

"A pic?"

"Yeah us din vo saari pehen kar aayi thi, bahut khoobsurat lag rahi thi toh maine uski ek photo li thi. Us photo mein vo Raghu bhi hai"

"Kahan hai ye photo?"

"Mere cell mein"

Kehte hue usne apna mobile nikala, menu mein jakar ek pic kholi aur cell meri taraf badhaya.

"Here, ye pic dekhiye"

Maine cell uske haath se lekar ek nazar daali aur mujhe aisa laga jaise meri ummeed ki chidiya ke kisi ne pankh kaat diye hon. Mujhe laga tha ke shayad vo Saanwli ki koi pic hogi jismein Raghu uske saath hoga par vo asal mein ek bahut door se li hui photo thi. Photo usne sadak ke apni taraf ke hisse se shayad chhup kar li thi jismein doosri taraf Bus stand ke paas saari pehne Saanwli khadi hui thi. Aas pas aur bhi bahut saare log, sadak ka traffic, agar usne mujhe bataya na hota ke ham log Saanwli ko dekh rahe hain toh shayad vo meri nazar se bach hi jaati.

"Tumne chhup kar li thi ye photo, use bina bataya?"

"Haan vo asal mein door se li thi maine par phir use bata bhi diya tha. Use dikhayi bhi thi ye photo maine. Use pata tha ke ye photo li hai maine" Usne fauran jawab diya par main janta tha ke vo jhooth bol raha hai.

"Ismein Raghu kahan hai? Ye toh akeli khadi hai"

"Ek min" kehte hue usne camera apne haath mein liya aur photo saanwli se zara door ek panvadi ki dukaan par zoom kiya "Ye khada Raghu"

Phir jo pic usne mujhe dikhayi vo aur bhi zyada barbad thi. Ek saste se mobile se li gayi photo ko agar poori taraf zoom kar diya jaaye toh uska kya haal hoga aap andaza laga sakte hain. Aisa hi kuchh mere saamne tha. Usne ek insaan par poori taraf zoom kar diya tha jo dukaan par khada cigarette jala raha tha. Zoom karne ke baad photo is taraf bikhari gayi thi ke batana mushkil ho jaaye ke kahan naak hai aur kahan kaan. Uper se cigarette ka dhuan alag photo mein aa gaya tha jiske pichhe us insaan ka chehra poori tarah chhip gaya tha. Ek tarah se vo photo poori tarah bekaar thi.

"Ye send karo mujhe" Maine phir bhi usse kaha "Bluetooth on karta hoon"

Maine apne cell ka bluetooh on kiya aur usne vo pic mujhe bhej di.

"Toh us din vo vahan khadi Raghu ka wait kar rahi thi ke vo cigarette lekar aa jaaye jab tum usse milne pahunche. Tumhein kaise pata chala ke yahi aadmi Raghu hai?"

"Usne ishare se bataya tha mujhe" Mafat bola "Jaise hi usne bataya main vahan se chala gaya"

"Kyun chale gaye?"

"Pasand nahi karta tha main use"

"Kyun?"

"Theek nahi lagta tha mujhe vo"

"Tumhein kaise pata ke vo theek nahi tha jabki tum usse kabhi mile tak nahi, kabhi baat tak nahi ki?"

Mere is sawal par vo bagalein jhaankne laga. Sawal ka jawab main khud bhi janta tha ke vo kyun Raghu se itna chid raha tha isliye maine aage is baare mein koi sawal nahi kiya.

"Theek hai, aage badho. Vo Raghu se mili, phir?"

"Uske baad usne Sharafat Bar mein job chhod diya. Uske baad kaafi khush rehne lagi thi. She was in love with him you know, hamesha uske baare mein hi baat karti rehti thi"

"Kya bataya usne Raghu ke baare mein? Kya kaam karta tha vo?"

"Aisa koi personnal detail kabhi uske baare mein batati nahi thi vo. Maine puchha toh taal jaati thi isliye bhi mujhe laga ke ladka theek nahi hai shayad"

"Toh kya batati thi uske baare mein?"

"Yahi ke how great he is, kitna khyaal rakhta hai uska, kaise khush rakhta hai usko. All the usual bullshit you know, sab dikhava" Vo munh banata hua bola.

"Phir?"

"Phir ek din vo mujhe boli ke shift kar rahi hai vo Raghu ke saath, live in relation you know aur boli ke kuchh din baad shaadi karne wali hai"

"Kabki baat hai ye?"

"Takreeban 2 mahine pehle ki"

"Phir?"

"Phir phone karna band kar diya maine use"

"Kyun?"

"Mujhe achha nahi laga"

"Aur usne bhi kabhi palat kar phone nahi kiya?"

"Nahi" Usne inkaar mein gardan hila di.

"Isse pehle bhi tum hi phone karte the ya vo karti thi tumhein?"

"Main karta tha"

"Aakhri baar mile kab the usse?"

"Jab usne yahan se job chhodi"

"Tumhein aisa kyun lagta hai ke Saanwli ke saath kuchh hua hai?"

"Maine koi mahina bhar phone nahi kiya usko phir ek din aise hi kar diya toh uska number off mila. Main kuchh din tak phone try karta raha par har baar off hi aata tha. Phir main usse milne hostel gaya toh pata chala ke vo Saharanpur chali gayi hai"

"Haan toh ismein galat lagne jaisi kya baat hai. Ho sakta hai ke vo chali gayi ho"

"Bina aise mujhe bataya?"

"Tum kaun sa uske best-friend the. Abhi toh tumne bataya ke tum hi use phone karte the, vo nahi karti thi?"

Meri is baat ne fauran asar dikhaya. Uske chehre par aakrosh aur dukh, dono bhaav ek saath pradarshit hue.

"Apna phone number batao. Mujhe aur kuchh puchhna hua toh phone karunga"

Uska number lekar maine use vaapis bhej diya aur thodi der baad Rao se milkar office se bahar nikal aaya. Jaate hue maine dekha ke vo reception ke paas khada mujhe jaate hue ghoor raha tha. Ek nazar maine uspar daali aur bina kuchh kahe bahar nikal aaya.

Maar khaya hua aashiq, ladki ne kabhi bhaav nahi diya, chhup chhup kar uski photo khinchta tha, uske boyfriend se jalta tha, khud hi usko phone karta tha aur vo palat kar phone tak nahi karti thi, vo shaadi karne wali thi is baat se dukhi tha, aise jaane kitne khyaal mere dimag mein chal rahe the jab maine apni gaadi ka darwaza khola. Palat kar office ke gate ki taraf dekha toh vo gate ke paas khada tab bhi meri taraf hi dekh raha tha.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Chatpter 14 - The Unexpected


"Main abhi bhi keh raha hoon ke mujhe ye kuchh theek nahi lag raha" Khan ne meri taraf mudte hue kaha.

"Would you just relax?" Maine jeb se ek cigarette nikal kar jalayi "Sirf baat karni hai usse"

"Nahi, tune baat karni hoti toh phone par karta, yahan na aata aur apne saath mujhe bhi na ghasit-ta"

Ham dono Mumbai port ke paas ek sunsan si jetty par bethe hue the. Raat ke 9 baj rahe the isliye hamare aas paas us jagah par koi nahi tha. Hamse thodi door hi port par ek ship mein kuchh load kiya ja raha tha aur kaafi chehal pehal thi. Roshni se poora ilaaka nahaya hua tha aur har 5 min mein kisi ship ke horn se ham dono ke kaan baj uthte the. Jis jagah ham dono intezaar kar rahe the yahan bhi din mein kaafi logon ka aana jana rehta hoga par shayad shaam hote hote sab nikal jaate the isliye us waqt vahan sirf ham 2 hi maujood the. Main vahin ek taraf rakhe lakdi ke box par betha hua tha aur Khan mere saamne pareshaan sa chehal kadmi kar raha tha.

"Yaar phir cigarette?" Maine cigarette jalayi toh usne phir mujhe ghoorte hue puchha.

"Chhod na yaar" Maine uski baat ansuni kar di "Mujhe samajh nahi aa raha ke tu itna pareshaan kyun hai? Teri kabse itni jaldi hawa khisakne lagi?"

"Nahi khisakti" Vo ruka aur mere paas aakar beth gaya "Par jabse tune mujhe apna ye plan bataya hai tabse jaane kyun ek anjaan sa darr sa dil mein betha hua hai, khaas taur se abhi jab main ghar se nikal raha tha. Jaane kyun dil hi dil mein aisa lag raha tha ke mujhe nahi jana chahiye"

"Abe chal phattu" Maine haste hue kaha "Chinta na kar, i wont let them rape you"

"Yeah right" Vo meri hasi se kheejta hua bola "Aur ye cigarette band kar, munh pe dhuan chhod raha hai mere. Saans lena mushkil kar raha hai"

"Abe kya kar raha hai" Usne mere haath par apne haath se thappad mara aur cigarette chhut kar neeche giri.

"Bujha de ise" Vo dhuen ki vajah se khaansta hua bola "Aur ye sala Sharafat hai kahan?"

Kya Saloni wala Pratap ya Raghu aur Pratap Raghuvanshi ek hi aadmi the ya alag alag, is baat ki gawahi sirf ek hi aadmi de sakta tha aur vo tha Sharafat Bhai. Maine kaafi socha par is baat ko saabit karne ka aur koi tarika mere dimag mein nahi aaya. Is waqt meri halat kuchh aisi thi ke Saanwli ko dhoondhne ke saath saath mujhe apni bhi jaan bachani thi, apne sar se ek murder case talna tha. Agar zara bhi is baat mein sachchai thi ke Geetanjali isliye mari kyunki vo Saanwli ke baare mein kuchh jaanti thi toh iska sidha sidha matlab ye tha ke khud meri bhi jaan khatre mein thi. Vo toh sirf Saanwli ke baare mein mujhe kuchh batane ki koshish kar rahi thi jabki main toh khud use dhoondhta phir raha tha. Is sabke pichhe jo koi bhi tha, agar usne Geetanjali jaisi pahunchi hui hasti ko maarne mein koi hichkichahat nahi dikhayi toh meri toh aukaat hi kya tha.

Kaafi soch vichar ke baad maine Sharafat ko phone ghumaya aur usse kaha ke main kuchh baat karna chahta hoon. Vo fauran samajh gaya ke main ho na ho, Saanwli ko lekar hi kuchh puchhna chaunga. Jab maine dekha ke vo samajh gaya hai toh maine bhi baat ko chhupane ki koi zaroorat nahi samjhi aur sach bol diya.

Main ummeed kar raha tha ke shayad vo mujhe apne Bar ya kahin aur kisi adde par bulana chahega par usne mujhe yahan port ke paas ek jetty par bulaya. Pehle toh main akela hi aa raha tha par phir Khan ko bhi phone karke bula liya.

"Itni takleef hai toh aaya hi kyun tha?" Main chidta hua bola. Vo meri aakhri cigarette thi jo usne bujha di thi.

"Kyunki bulaya tha tune isliye, varna mujhe koi shauk nahi hai kisi aur ke pachdon mein taang adata phirun"

"Kaisa policewala hai tu?"

"Sharafat se apni zindagi jeene aur maze karne wala. Mujhe koi bukhar nahi chadha hua samaj se gandgi hatane ya achhe kaam karne ka. Apne ko bas thoda idhar udhar raub dikhane ka, rishwat ki kamai par aish karne ka aur ghar aake so jaane ka, itna hi chahiye police ki naukri se"

"Darpok sala" Maine cigarette ka khaali packet hawa mein uchhalte hue kaha.

"Haan tere toh pichhwade mein bada bahaduri ka piston laga hua hai na. Aa jata akele, mujhe kyun bulaya?"

"Bada ehsaan qureshi maar diya tune yahan aake mere pe. Ja chala ja"

"Zyda na bol, chala bhi jaoonga. Phir vo Sharafat banayega tera tandoori murga"

"Haan toh ja chala ja na, tere hone se bada usne darke pajama geela kar dena hai"

Usne ek baar meri taraf ghoor kar dekha aur uthkar ek taraf chal diya.

"Aur sun, jaate jaate ek cigarette ka packet pakdata jana" Maine pichhe se aawaz lagayi.

Vo uthkar chand kadam hi gaya tha ke ek boat ke horn se ham dono ke kaan khade ho gaye. Meri nazar saamne samundar ki taraf uth gayi aur Khan bhi ruk kar usi aur dekhne laga jahan se ek boat hamari taraf aa rahi thi. Horn ke kuchh pal baad hi ek flash light jali aur ham dono par focus ho gayi. Khan ulte kadam meri taraf badha aur mere saath aakar khada ho gaya.

Jaise jaise boat nazdeek aayi mujhe uske deck par khada Sharafat dikhai diya aur uske aas paas khade kam se kam 6-7 aadmi. Ye ek vaisi hi boat thi jaisi ke hamare desh ke local machhuare istemaal karte hain aur jaisi ke purani Amitabh Bachchan ki filmon mein bhi dikhai dete the. Scene bhi kuchh aisa hi tha, purani Don type films jaisa. Kinare par khada hero, door se raat ko dheere dheere nazadeek aa rahi boat aur uski flash light ki chamchamati roshni.

"Ab toh mujhe bhi kuchh theek nahi lag raha" Maine kaha "Chal nikalte hain yahan se"

"Too late for that" Khan ne bina meri taraf gardan ghumaye kaha "Ab okhli mein sar de diya toh moosal se kya darna"

Thodi der baad Boat Jetty se aa lagi. Deck par Sharafat khada tha aur uske saath uske kuchh aadmi.

"Aa jaiye" Usne hamein boat par aane ka ishara kiya.

"Ham yahan bhi toh baat kar sakte hain" Maine jhijhak dikhlayi.

"Mausam achha hai, aaiye raat ke waqt aapko samundar ki sair bhi kara laayenge. Main aksar raat ka khana apni boat par hi khata hoon, samundar ke beech"

"Kya bolta hai?" Maine dheere se Khan se puchha.

"Chal" Vo bola aur boat ki taraf badh chala.

Thodi hi der baad Boat ham dono ko liye ek baar phir ghoom kar Samundar mein badh chali.

"Aapke yahan hone ki ummeed nahi thi mujhe Khan Sahab" Sharafat Khan se bola "Assalam Alaikum"

"Matlab pata hai?" Khan use ghoorte hue bola.

"Ji?" Sharafat na samajhte hue bola.

"Assalam Alaikun, Is line ka matlab pata hai?"

"Hmmmmm" Sharafat ne pal bhar ke liye socha aur phir inkaar mein gardan hilayi "Nahi"

"Toh bol kyun raha hai jab matlab nahi pata toh?"

"Kamal hain" Sharafat muskurate hue bola "Main tameez ka tokra apne sar par uthaye khada hoon aur aap sidha tu tadak par aa gaye"

"Tune meri bad-tameezi abhi dekhi kahan hai" Khan ne tewar dikhate hue kaha "Kabhi fursat mein milna, achhe se sample deke dikhaoonga"

"Khana taiyyar hai" Sharafat ab bhi vahi sharafat ka chola pehne khada tha "Aaiye"

Boat ke ek hisse par khule mein ek table aur kuchh chairs lagi hui thi jispar uske aadmi khana laga rahe the. Vo ek kursi par ja betha aur ham dono uske saamne lagi 2 kursiyon par ja bethe.

"Aaj mutton banaya hai. Aap non-veg toh khaate hain na Sharma ji"

Usne puchha toh main haan mein sar hila diya.

"Aap kuchh baat karna chahte the?"

"Ji haan"

"Kariye"

"Saanwli mein aapki kya dilchaspi hai?" Main sidha matlab ki baat par aa gaya.

"Isi liye aap Khan Sahab ko saath laaye hain?" Vo apni plate mein khana nikalte hue bola "Taaki aap mere munh se baat nikalva saken?"

"Main kisi ke munh se kuchh nahi nikalvana chahta" Maine bhi khana apni plate mein dalna shuru kiya "Main sirf itna jaanna chahta hoon ke aap mujhe Saanwli ko dhoondhne se rok kyun rahe the?"

"Ye baat aapne mujhse us din toh nahi puchhi jab main aapke ghar aaya tha" Vo daant dikhata hua bola "Us din toh aap bas meri haan mein haan mila rahe the"

"Main puchhta toh aap bata dete?"

"Kise pata, shayad bata bhi deta"

"Toh ab bata dijiye"

"Arrey aap Khana lijiye na Khan Sahab" Vo meri baat nazar andaaz karta hua Khan se bola.

"Bhookh nahi hai mujhe" Khan ne inkaar mein sar hila diya.

"Khane ko kabhi mana nahi karta, rizq hai, le lijiye. Thoda chakh hi lijiye. Varna jisne 2 waqt ki roti ata ki hai vo bura maan jaayega"

Uski baat Khan ne maan li aur apni plate mein khana daalne laga.

"Toh ab bata dijiye ke kyun rok rahe the mujhe?" Maine sawal phir dohraya.

"Akele mujhse milne aane mein dar lag raha tha aapko isliye policewale ka raub dikhane ke liye inhen saath le aaye?" Usne phir meri baat ansuni kar di.

"Aapne meri baat ka jawab nahi diya" Maine kaha.

"Mood nahi hai mera" Vo kandhe uchkata hua bola.

"Khud rokne aaye the ya kisi ke kehne par?"

"Kya matlab?"

"Raghuvanshi ke kehne par dhamkane aaye the na mujhe?" Mere andar jaane kahan se ek ajeeb si himmat paida ho gayi thi "Vo khud saamne nahi aaya, aapko bhej diya"

"Kaun Raghuvanshi?"

"Pratap Raghuvanshi" Khan ne khana khaate khaate beech mein bola.

"Vo kaun hai?" Sharafat uski taraf mudte hue bola.

"Tera baap. Usi ki najayaz aulad hai na tu? Usi ke liye kaam karta hai?"

"Aap mere mehmaan hain, mere yahan meri table par khana kha rahe hain, is baat ka galat fayda na uthayen"

"Pratap Raghuvanshi ka kya interest hai Saanwli mein?" Is baar sawal maine kiya.

"Mujhe kaise pata hoga. Ye aap Pratap Raghuvanshi se hi puchhiye"

"Kahan milega vo?"

"Ye aap khud pata kijiye. Main uske baare mein kuchh nahi janta"

"Kamal hain. Jiske kehne par aap kutte ki tarah dum hilate ghoomte hain usi ka pata nahi jaante?" Main tana maarte hue bola.

AUr iske baad jo hua uska maine bilkul andaza nahi lagaya tha. Vo Sharafat jise maine ab tak sirf muskura kar aap aap se baat karte hue suna achanak gusse mein bhadak utha. Vo ek kaafi lamba chauda insaan tha, achanak utha, ham teeno ke beech rakhi table ko utha kar ek taraf uchhala aur meri gardan pakad li.

"Apni aukaat mat bhool saale"

Uske lambe chaude haath mein meri gardan poori sama gayi. Maine Khan ki taraf dekha. Vo Sharafat ke is achanak hue hamle se chaunk kar pichhe ko ja gira tha par fauran uth khada hua aur apne shirt ke andar se apni service revolver nikal kar Sharafat ki taraf uthayi.

Tabhi kahin se ek goli ki aawaz goonji, nishana Khan tha. Goli uski kanpati par lagi aur aur uska chehra pal bhar mein khoon se san gaya. Uske haath se gun chhot kar niche gir padi, shareer ladkhada kar boat ke chaaro tarf bani lakdi ki deewar se takraya aur neeche aa gira.

Mere sar par pichhe se kisi ne ek bhaari cheez se vaar kiya aur main bhi apne hosh khota neeche gir pada. Aakhri kuchh lamhon mein mujhe boat ke doosri taraf se Sharafat ke aadmi bhaag kar aate hue dikhayi diye. Khan ke jism se jaan nikal chuki thi aur sar se bhaari matra mein khoon beh kar nikal raha tha.

"Ye laash pani mein uthake phenko" Mujhe Sharafat ki aawaz sunai di aur main hosh kho betha
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Mujhe hosh aaya toh main ek chhote se kamre mein bed par pada tha. Mera sar dard ke maare phata ja raha tha. Main aankhen malta hua bed par uth betha aur apne sar par haath phera. Jis jagah par mere sar pe kisi cheez se vaar kiya gaya tha, vahan soojkar ek gola sa ban gaya tha aur haath lagane bhar se hi ehsaas bhi ho gaya ke us jagah khoon sookh kar jam chuka hai. Maine ek nazar apne aas paas ghumayi aur phir jhatke ke saath ek ek karke saari baatein yaad aane lagin, vo sab jo mere behosh hone se pehle hua tha.

Mumbai port, Jetty, Boat, sharafat, table, khana, jhagda, Goli ki aawaz, Khan .....

"Khan" Jaise mere dimag ne zor se chilla kar kaha.

Main fauran bistar se uth khada hua par ekdam se chakkar aaye aur main phir bed ke kinare par beth gaya.

"Khan ko goli lagi thi, kahan hai vo" Mere dimag mein sirf yahi ek khyaal chal raha tha. Maine phir bistar se uthne ki koshish ki ke tabhi darwaza khula aur sharafat apne 2 aadmiyon ke saath kamre mein daakhil hua.

"Assalam Alaikum" Usne apne vahi purane andaaz mein muskurate hue poori sharafat ke saath salam kiya "Hosh aa gaya janab ko?"

"Khan Kahan hai?" Maine sidha sawal kiya.

"Is baat ke 2 jawab hain" Kehta hua vo kamre mein rakhi ek kursi par beth gaya aur uske dono aadmi darwaze ke paas khade ho gaye "Agar aapka matlab Khan ke jism se hai toh vosamundar ki gehraiyon mein hai aur agar aapka matlab uski rooh se hai toh vo toh Allah Miyan ke paas hai"

Mera khoon khol utha. Aisa laga jaise kisi ne mere halaq mein haath daal kar mera dil bahar khinch liya ho. Dimag kundh sa padne laga aur mera dil chaha ke aage badhkar Sharafat ka girebaan pakad loon. Par main janta tha ke iska nateeja ya toh ye hoga ke mujhe phir pakad kar bistar par betha diya jaayega, ya Sharafat aur uske aadmi milkar meri thukai karenge aur ye bhi mumkin hai ke saari takleef ganwara na karte hue vo sidha mujhe bhi goli hi maar de.

"Nahi koi baat nahi" Sharafat mera chehra padhte hue bola "Dil hi dil mein gaali dekar kyun zehar apne andar zabt kar rahe hain? Main samajh sakta hoon. Gussa nikal lijiye par khyaal rahe ke istemaal sirf zubaan ka ho, haath paon ka nahi"

"Kyun?" Main sirf itna hi keh paya.

"Pata nahi?" Sharafat ka jawab tha.

"Kya matlab?"

"Matlab ke mujhe nahi pata"

"Tune mere Bhai ko maar diya meri aankhon ke saamne aur tujhe pata nahi ke kyun?"

"Bhai?" Usne maathe par shikan padi "Oh aapka matlab aapke Bhai jaisa dost. Dekhiye janab maine toh aapki gardan pakdi thi. Khan Sahab ko ticket toh kisi aur ne kata"

"Kisne?" Maine fauran sawal kiya.

Iske jawab mein Sharafat sirf halke se haste hua apni jagah se utha aur mere paas aakar mera gaal aise thapthapane laga jaise main koi chhota bachcha hoon.

"Aap sawal bahut puchhte hain Sharma ji par koi baat nahi, sawal puchhna achhi baat hai aur phir ye toh aapka pesha bhi hai. Par aapko pata hona chahiye ke kaun sa sawal, kis waqt aur kisse puchhna chahiye"

"Ye meri baat ka jawab nahi tha"

"Main aapki baat ka jawab de bhi nahi raha sirf kuchh samjhane ki koshish kar raha hoon. Afsos ki baat hai ke hamein bachpan se ye taaleem di jaati hai, sikhaya padhaya jata hai ke kab bolna hai, kya bolna hai, kaise bolna hai par ye nahi sikhaya jata ke kab chup ho jana hai. Yahi aapko seekhna hai. Sawal puchhiye par is baat ko dimag mein rakh kar ke waqt padne par apna munh band karke chuppi saadh leni chahiye. Seekhiye ke kab ghoor kar dekhna hai aur kab nazar pher leni hai. Isi mein aapki bhalai hai"

"Kisne mara use?" Maine phir apna sawal dohraya.

"Ziddi ho bhai, bahut ziddi" Kehkar vo darwaze ki taraf badh chala "Aap jaane ke liye aazad hain. Jab chahen uthkar ja sakte hain"

"Bach nahi paoge, ek policewale ko mara hai tumne"

"Nahi" Vo phir palta "Maine kisi ko nahi mara aur jo mara uski maut ko saabit bhi kaise karenge aap? Kaun sunega aapki, aap toh khud ek khoon ke ilzaam mein bachte phir rahe hain. Aur meri maaniye toh munh na hi kholiyega varna kahin aisa na ho ke ye bhi aapke hi sar pad jaaye. Phir 2 murder cases se bhaagte phirenge"

"Mujhe kyun chhod diya?"

"Ek baar phir, na maine kisi ko mara aur na main kisi ko chhod raha hoon" Kehte hue usne darwaza khola.

"Mere saamne tumne ek policewale ko mara hai, main chashm-deed gawah hoon"

vo sirf meri taraf dekh kar hasa aur phir apni aadmiyon ki taraf muda.

"Jaane dena ise" Kehkar vo darwaza khol kar bahar nikal gaya.

Mujhe ek pal ke liye samajh nahi aaya ke kya karun. Bachpan se main Khan ko janta tha, saath saath pale badhe the, ek doosre ke har dukh dard mein shareeq the. Kareebi dost ki naam par ek vahi tha bas meri zindagi mein. Jab bhi koi museebat hoti, koi zaroorat padti ya koi khushi ka waqt hota toh mujhe sabse pehle usi ki yaad aati thi.

Is waqt bhi shayad main use hi phoon ghuma raha hota par aur ab vo nahi tha, ja chuka tha meri vajah se.

"Yaar mujhe kuchh theek nahi lag raha. Aaj ghar se nikalte hue mera dil keh raha tha ke mujhe nahi jana chahiye" Mujhe uski kal raat ki kahi baat yaad aayi. Kitna sach keh raha tha vo. Uski gut feeling theek thi. Agar vo ghar se na nikalta toh aaj zinda hota.

Mera sar ka dard kam hone ka naam nahi le raha tha. Main uthkar khada hua aur apne kapde sahi kiye toh ehsaas hua ke sar se khoon behkar pichhe se meri shirt ko bhi bhigo chuka tha. Kismet se maine kaale rang ki shirt pehni hui thi isliye khoon ka rang nazar nahi aa raha tha.

Ladkhadata hua main dheere dheere kamre se bahar nikla toh ehsaas hua ke main Sharafat Bar mein hoon Ye neeche basement mein bane vo kamre the jahan jism-faroshi ka dhandha hota tha. Mujhe kamre se bahar aaya dekh Sharafat ke aadmi meri taraf ek pal ke liye ghoome par phir mujhe andekha karke apni baaton mein lag gaye.

Sidhiyan chadhkar main Bar mein aaya. Bar poori tarah bhara hua tha aur tab mujhe waqt ka andaza hua. Confirm karne ke liye apna cell nikal kar time dekha toh sach mein raat ke 8 baj rahe the isi liye Bar poori tarah sharabiyon se bhara hua tha aur dance floor par Bar girls dance karne ka natak karti hui apna jism halke halke hila rahi thi.

Yaani main aaaj poora din hi behosh raha tha.

Dheere dheere chalta hua main Bar se bahar nikla, ek auto ko haath dikha kar roka aur Dharavi ki taraf chalne ko kaha.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Dharavi main phir usi lodge pahuncha jahan main pichhle ek hafta se ruka hua tha. Neeche betha ladka meri halat dekh kar hi samajh gaya ke kuchh gadbad hai.

"Kidhar lafda karke aaye kya?" Vo mujhe dekh kar mere kareeb aata hua bola.

Uski baat ka koi jawab diye bina main sidhiyan chadh kar apne kamre mein pahuncha.

"Ye pichhe sar pe kaun mara? Bahut khoon nikla lagta hai, poori kameez par khoon laga hai" Vo mere pichhe pichhe mere kamre tak aa gaya.

"Aap theek ho?" Maine koi jawab nahi diya toh usne phir puchha "Main doctor ko leke aaoon?"

"Nahi. Aur sun, mujhe ab bilkul disturb nahi karna" Kehte hue maine darwaza band kar diya aur bistar par ja gira.

Mujhe aisa lag raha tha jaise meri duniya khatam ho rahi ho. Dimag sunn ho gaya tha, sochne samajhne ki taqat khatam ho chuki thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke kya karun aur kya na karun. Yahin reh kar is kahani ko aakhir tak le jaoon ya sab chhod kar Mumbai se niklun aur kahin aur ja basun. Is sabse bahut door. Jo asal mein ek ladki ki sidhi saadi talash honi thi vo khud mere hi ji ka janjal ban gayi thi.

Khan ka khyaal mere dimag se ja hi nahi raha tha. Baar baar uski shakal meri aankhon ke saamne ghoom rahi thi. Vo pal jab use goli lagi thi, chehre par vo takleef ke nishan jo ek pal mein hi jaan nikalne ke saath saath gayab ho gaye the, boat par vo murda pada uska jism, sar se behta hoon, uski bejaan ho chuki aankhen jinhen main apne haath se band tak nahi kar paya.

"Oh god what have i done?" Maine be-ikhtiyaar hokar uth betha aur pehli baar meri aankhon se aansoon beh chale.

"I am sorry yaar" Maine Khan se aise baat karne laga jaise vo mere saath betha ho "Mujhe nahi pata tha ke aisa hoga, pata hota toh tujhe kabhi na bulata"

Koi ghante bar main yun hi kamre mein betha raha. Kabhi aankhon se aansoo nikal padte, kabhi bethkar sochne lagta ke ab kya karun aur kabhi kamre mein yun hi bechain chehal-kadmi karne laga. Thodi der baad pareshan hokar main bathroom mein ghusa, shirt utaar kar phenki aur apne shareer se khoon dhoya. Bahar aakar maine vo baaqi bachi cough-syrup ki bottle uthayi aur poori ki poori ek hi baat mein gatak gaya.

Nateeja, maine aadhe ghante ke andar andar gehri neend mein ja chuka tha.

Phone ki ghanti se meri neend khuli. Maine phone utha kar time dekha, subah ke 10 baj rahe the. Call Nisha ki thi.

"Hello" Maine call receive ki.

"TV hai kamre mein? Hai toh on karo" Doosri taraf se uski baukhlayi hui aawaz aayi.

Main uthkar TV ka remote dhoondhne laga.

"Tere paas ye number kahan se aaya?"

"Baad mein bataoongi par aap TV on karo filhal"

"Haan kar raha hoon"

Remote dhoondhkar maine TV on kiya.

"Kya dikha rahi hai?"

"On ho gaya?"

"Haan"

"Star News par jao"

Main channel badalata hua Star News par pahuncha aur pal mein samajh aa gaya ke vo kyun aise baukhlayi hui thi. TV par ek news reader Khan ki maut ki news suna rahi thi aur uski left side mein Khan ki ek photo dikhayi ja rahi thi.

"Ye kaise hua?" Nisha ne sawal kiya par main jawab diye bina chup chap TV ki aur dekhne laga.

Vo news reader bata rahi thi ke Khan parson se lapata tha aur aaj subah Mumbai ke ek beach par uski laash paayi gayi. Aur iske saath hi beach ki ek footage dikhayi ja rahi thi. Samundar kinare bahut saare policewale khade the jo Khan ki body ko ek ambulance mein daal rahte the.

Vo news reader bata rahi thi ke Khan ke sar mein goli maari gayi thi aur ye mumkin tha ke uski laash ko samundar ke beech kahin phenka gaya tha jo ab 2 din baad behkar kinare par aa gayi.

Mujhse aur bardasht nahi hua aur maine TV off kar diya.

"Kaise hua ye?" Doosri taraf se phir Nisha ki aawaz aayi.

"Meri galti thi yaar" Kehte hue mera gala bhar aaya aur maine use 2 din pehle ki saari kahani suna di.

"Oh god" Maine baat khatam ki toh vo boli "Ab kya karoge?"

"Nahi janta. Tujhe mera ye number kahan se mila?"

"Arrey aap hi ne toh diya tha, bool gaye kya?"

"Tu ghar se phone kar rahi hai?"

"Haan par number mera nahi hai. Mera ek cousin aaya hua hai London se meri shaadi ke silsile mein, uska cell hai. Policewale agar mere ghar ke phone track kar bhi rahe hon toh ye number nahi ho sakta unke paas. London ka number hai ye"

"Okay"

"Main toh kal se soch rahi thi ke number milaoon par ghar se phone kar nahi sakti thi aur ghar se bahar nikalne ka mauka mil nahi pa raha tha. Aaj subah hi ye cousin aaya mera toh phone kiya"

"Ye news kal se TV par aa rahi hai?"

"Nahi ye toh abhi aayi hai. Subah hi body mili hai policewalo ko par mujhe toh kal se pata tha ke Khan Bhai gayab hain"

Vo Khan ko hamesha Khan Bhai kehkar bulaya karti thi.

"Tujhe kaise pata?"

"Unke Mom Dad ki call aayi thi mere paas. Khan Bhai ghar nahi pahunche, unka phone bhi nahi mil raha tha toh unke Mom Dad ne aapka phone milaya. Jab aapka number bhi nahi mila toh unki call mere paas aa gayi"

"Tera number kahan se aa gaya unke paas?"

"Mera number nahi office ka number. Agar office ke number par phone na uthaye koi toh call forward ho jaati hai mere paas, bhool gaye kya?"

"Accha haan" Mujhe yaad aaya.

"TV ki taraf dekho phir se" Vo phir boli toh maine TV on kiya.

News reader vahi thi par is baar Khan ke photo ki jagah uske left side mein meri ek photo thi. Vo news reader keh rahi thi ke Khan mera gehra dost tha, yaani Aditya Sharma ka jo khud Geetanjali Thakkar ki maut ke silsile mein suspect hai aur filhal farar hai. Aur jaisa ke aajkal hamare news channel wale karte hain, vo tukke lagate hue Khan ki maut ko mere case se juda hone ke chances ginva rahi thi.

"Man this is getting uglier day by day" Nisha boli.

"I know"

"Achha listen main filhal zyada baat nahi kar sakti. Shaadi ki taiyyari full zoron par chal rahi hain"

"Shaadi? I thought tu keh rahi thi ke pehle teri engagement honi hai?"

"Arrey haan right, ye toh maine aapko bataya hi nahi na. Ladkewalon ko shaadi ki jaldi hai, keh rahe hain ke ladka engagement ke chakakr mein na padke sidha shaadi karna chahta hai. Uske paas bahar ka koi job offer hai, Canada se aur vo sidha shaadi karke mere saath Canada mein settle hona chahta hai"

"Kab hai shaadi?"

"10 din baad"

"Itni jaldi? Wow. Congrats yaar?"

"Meri chhodo. Aap theek ho? Kuchh le aaoon main aapke liye? Vo fikar bhar andaaz mein boli.

"Nahi i am fine. Kuchh hoga toh bata doonga"

"Achha ab main rakhti hoon. Baad mein phone karungi"

Uske phone rakhne ke baad mujhe laga ke mujhe Khan ke Mom Dad ko phone karna chahiye par phir irada badal diya. Ye waqt sahi nahi tha. Unka eklauta jawab beta abhi abhi mara hai aur uski maut ko mere saath joda ja raha tha. Ye mumkin tha ke vo mujhe hi uski maut ke liye zimmedar maan rahe hon.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Chapter 15 - Bijli


Main poore 2 din waste kar chuka tha. Khan ki maut ke baad ek din toh poora Sharafat Bar mein behosh pada raha aur vahan se aakar bhi yahan hotel ke kamre se ab tak nikla nahi tha. Maine ghadi par nazar daali. Subah ke 11 baj rahe the. Sidhiyan utar kar main neeche Lodge ke reception par aaya. Mujhe dekh vo ladka uth khada hua.

"Kaisa hai abhi aap?" Usne muskurate hue puchha.

"Theek hoon" Kehte hue maine apne sar ke pichhe hisse par haath phera. Jis jagah mere sar par vaar kiya gaya tha vahan ab bhi gol ubhaar tha aur dard kar raha tha. Sar phatne ki vajah se zakhm bhi ban gaya tha.

"Ek kaam kar, kuchh khaane ko la de mere kamre mein"

"Aap chalo, main leke aata hoon"

Main vaapis apne kamre mein aaya aur sheeshe mein apne aapko dekha. Mere chehre par hi manhoosiyat baras rahi thi. Ajeeb baat hai ke jab insaan khush hota hai toh chehre par apne aap hi ek raunak aa jaati hai aur jab pareshan hota hai, toh chehra apne aap is baat ki gawahi de deta hai. Shayad isi liye kehte hain ke aapka chehra hi aapki rooh ka aaina hota hai.

Ghoom kar maine apne sar ke pichhe ki taraf dekha. Zakhm ka nishan saaf zahir tha. Ek pal ke liye maine socha ke sar par patti baandh loon par aisa karna shayad khatarnaak hota. Kisi ke sar par safed patti bandhi ho toh har kisi ka dhyaan apne aap hi uski taraf jata. Is tarah ganje sar par patti bandh kar ghoomna bekaar har kisi ki tavajjoh apni taraf khinchne jaisa tha.

Sharafat ke mutaabik Khan ko usne nahi mara tha, iska matlab hazar baar sochne ke baad bhi main sirf ek hi nikal paya ke Khan ko goli kisi aur ke kehne par maari gayi thi ya khud kisi aur ne maari thi. Maine aankhen band karke ek baar phir Boat wala vo scene yaad karne ki koshish ki jab Khan goli kha kar neeche gira tha aur mere sar par vaar kiya gaya tha. Mujhe achhi tarah se yaad tha ke dinner table par khana lagane ke baad Sharafat ke saare aadmi Boat ke doosre hisse ki taraf chale gaye the aur jab goli chali toh behosh hone se pehle maine sabko bhaag kar aate hue dekha tha. Iska matlab goli unmein se kisi ne nahi chalayi thi aur Boat par koi aur bhi maujood tha jisse hamarai tab tak mulaqat nahi hui thi.

Ek hi naam ghoom phir kar mere dimag mein aaya, Raghuvanshi. Koi aur ho bhi nahi sakta tha. Sharafat uske liye kaam karta tha aur khud Sharfat ka hi kehna tha ke Khan ko usne nahi mara. Sahi bhi tha, goli kisi aur ne chalayi thi, Raghuvanshi ne.

Par sawal ab bhi ek baaqi tha ke mujhe zinda kyun chhoda gaya. Khatra toh use mujhse tha, Saanwli ki talash main karta phir raha tha, Raghuvanshi naam ke pichhe chhipe chehre ko main dhoondh raha tha toh phir Khan kyun? Us bechare ka toh is sabse koi lena dena hi nahi tha.

Aur phir jis tarah se dimag ek hi sawal baar baar dohra raha tha, jawab bhi dimag ne apne aap hi dhoondh liya. Mujhe subah ki news yaad aayi jismein vo news reader Khan aur meri dosti ka zikr karte hue uski maut ko mere aur Geentanjali ke case se jod rahi thi. Yahi toh maqsad bhi tha mujhe zinda chhodne ka. I was the scape-goat, bali ka bakra.

Khan ek policewala tha aur policewale ko maarne ka matlab poore Mumbai Police Department se panga lena, har policewale ko apne pichhe aane ka nyota dena. Ye baat toh poora Mumbai underworld janta hai aur jaise ek kanoon bhi hai ke koi kisi policewale ko nahi thokega. Kyunki iska matlab vo bakhoobi jaante the. Ek Policewale ki maut matlab poore involved gang ka safaya.

Aur yahi yahan kiya bhi ja raha tha. Mujhe poora yakeen tha ke agle kuchh dino mein hi police ke haath kuchh aisa lagne wala tha jisse is murder ke liye bhi zimmedar mujhe hi thehraya jaane wala tha. Kahani jahan tha mera khyaal tha yahi hone wali thi ke Geetanjali ke case mein Khan ne mujhe samjhane aur arrest karne ki koshish ki aur maine gusse mein use maar diya.

Mere gale par museebat ka phanda kasta ja raha tha aur mujhe agar apni jaan bachani thi toh kuchh na kuchh aur jaldi hi karna tha.

Darwaze par knock kiya gaya aur vo ladka khana lekar aa gaya.

"Hua kya tha?" Usne phir mujhse sawal kiya "Policewalo ne pakad liya tha kya?"

"Vo chhod" Maine ek baar phie uska sawal nazar-andaaz kiya "Mera ek kaam karega?"

"Haan bolo" Usne fauran haan mein sar hilaya.

"Ek toh mujhe ek muffler ya scarf lakar de?"

"Garmi mein?" Usne munh banate hue puchha.

"Haan sar par baandhne ke liye" Maine zakhm ki taraf ishara kiya.

"Patti bandhoge toh sab aapki taraf dekhenge isliye?" Vo fauran mera ishara samajh gaya. "Theek hai. Idhar neeche hi ek dukaan hai kapde ka, vahan se kuchh le aaoonga"

"Doosra " Maine apni jeb se pen nikal kar ek paper par apna address likha "Ye mere ghar ka pata hai, tujhe yahan jana hai"

"Police nahi hoyenga idhar?" Vo darte hue bola.

"Nahi ab koi nahi hoga" Maine andaze se kaha "Ghar ke 2 darwaze hain, main door policewalo ne tod diya hoga aur shayad vahan ka lock bhi badal diya hoga par ghar ke pichhe ki taraf se sidhi chadhke jaayega toh udhar bhi ek chhota darwaza pichhe ko khulta hai, ye uski chaabi hai"

"Udhar ka bhi lock badla hue hoyenga toh?" Usne chaabhi mujhse lete hue puchha.

"Toh chup chap vaapis aa jana"

"Karna kya hai udar jaake?"

"Mere kitchen mein jana. Udhar uper ke slab par ek kaale rang ka dabba rakha hoga plastic ka. Usmein vinegar hoga. vinegar samajhta hai na?"

Usne inkaar mein sar hilaya.

"Sirka, sirka samajhta hai?"

"Vo jismein achar banate hain?"

"Haan vahi"

"Sirka leke aana hai? Vo toh idhar hi mil jaayega"

"Arrey nahi. Us Sirke ke andar haath daalega toh ek polythene mein wrapped pistol hogi, ghoda. Vo le aana"

"Sirke mein ghoda, sahi hai" Vo muskurate hue bola.

Main jaante tha ke main use ek bahut khatarnaak kaam karne ko de raha tha par is waqt mere paas aur koi chara bhi nahi tha. Mere paas 2 guns thi, ek mera licensed revolver jo mujhe poora yakeen tha ke ab tak policewalon ne meri almari se nikal kar zabt kar liya hoga. Aur ek doosri non-licensed small sized pocket-pistol jo maine ek case ke dauran kharidi thi. Pistol smuggled thi aur mujhse saste daam mein mil gayi thi. Non-licensed hone ki vajah se use main chhupa kar rakhta tha aur is waqt ummeed kar raha tha ke vo policewalo ke haath nahi lagi hogi.

"Ye le" Jeb se maine use 500 ke 2 note nikal kar diye "Abhi nikal ja, aur jaldi lekar aa"

Uske jaane ke baad main Chipku ko phone milaya.
 
Top