The Dark Girl-(suspence Story)

  • Work-from-home

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Adi Bhai" Chipku phone uthate hi shuru ho gaya "Ye Khan Bhai ke baare mein news suna, kaise? Kaun kiya?"

Vo janta tha ke Khan aur main achhe dost the.

"Lambi kahani hai, baad mein bataoonga kabhi" Maine baat taalni chahi.

"Bahut afsos hua sunke" Usne sahanubhuti jatayi.

"Thanks yaar"

"Jis tarah se ye news wale baatein bana rahe hain, ye Khan Bhai wala murder bhi aapke sar pe daalenge" Jo vo keh raha tha ye baat main khud bhi janta tha.

"Haan janta hoon , achha ek baat bata, jo kaam main bola tha tere ko uska kuchh hua?"

"Vo Bijli wala?"

"Haan"

"Haan kiya na Bhai. Uspe nazar rakha apun pan aisa kuchh alag dikhaich nahi apun ko. Vo vahich Bar ya apne ghar ke aas paas ich rehti hai aur jin logon ke saath uska zyada uthna bethna hai vo bhi idhar Bar ke log hi hain. Ye maanke chalo ke uski duniya yahin Bar ke aas paas hi hai"

Main isse zyada ummeed kar bhi nahi raha tha. Sach toh ye tha ke jab maine use Bijli ke pichhe jaane ko kaha toh main khud bhi nahi janta tha ke exactly dekhna kya hai toh Chipku se kya ummeed karta.

"Koi nahi yaar. Thanks for help anyway. Tera paisa main baad mein milke deta hoon"

"Kaisi baat kar rahe hain aap Adi Bhai. Paise ke liye thode kiya ye apun, aapke vaaste kiya. Aur koi mere layak kaam ho toh batao. Aapke liye jaan hazir hai"

"Thanks yaar. Kaam pada kuchh toh phone karunga"

"Theek hai Bhai. Vaise socha hai kuchh ke is sab pachde se nikalna kaise hai?"

"Nahi yaar, koshish kar raha hoon. Haath paon maar raha hoon."

"Meri maano toh aap nikal jao idhar se"

"Matlab?"

"Matlab kahin bahar gaon chale jao, apun kar dega intezaam. Aapko Dubai nikalne ka bandobast main kar dega, vahan pe farji identity ka kaam bhi ho jaayega. Phir vahan tikna ho toh vahin tik jana nahi toh aage kahin nikal jana"

"Nahi yaar, filhal bhaagne wala option maine sabse aakhir mein rakha hai. Aise kab tak bhaagta phirunga. Haan agar kuchh aur scene nahi ban paya toh phir yahi karna padega"

"Dekh lo Bhai. Aapka jab mood bane aap bol dena, apun 2 din mein jugaad kar dega aapka idhar se kalti hone ka"

"Theek hai. Kuchh zaroorat padi toh phone karta hoon main tujhe"

"Theek hai Bhai"

"Vaise ek minute ruk, ek kaam hai filhal abhi bhi"

"Haan batao"

"Ghoda hai tere paas?"

"Haan hai, aapko mangta hai?"

"Nahi. Kal raat kya kar raha hai?"

"Kuchh khaas nahi"

"Vo Geetanjali Thakkar ka ghar pata hai tere ko?"

"Vo jiske murder case mein aapko phasa rele hain?"

"Haan"

"Malum hai ke kidhar rehti thi par sahi ghar kahan hai ye nahi pata"

"Theek hai, address likh"

Maine use Geetanjali ke ghar ka address bataya aur kaise pahunchna hai directions diye.

"Karna kya hai?" Usne puchha.

"Raat ko mil mere ko idhar"

"Iske ghar pe?"

"Ghar ke aas paas kahin"

"Aaj raat?"

"Nahi aaj nahi, kal"

"Kitne baje?"

"1 se 2 ke beech"

"Plan kya hai? Andar ghusne ka soch rahe ho?"

"Haan"

"Khatarnaak nahi hoga aisa karna?"

"Kya kar sakte hain. Majboori hai"

"Theek hai. Milta hoon main aapko. Ghoda leke aana hai?"

"Haan lete hi aana safety ke liye. Vaise bhi aajkal mera time kharab hi chal raha hai toh keh nahi sakta ke kuchh gadbad nahi hogi"

"Theek hai bhai"

Geetanjali ke ghar jana ek aur andhere mein teer chalane jaisa kaam tha. Uska bahut bada ghar tha aur mujhe pata tak nahi tha ka vahan jakar dekhna kya hai. Bas dimag mein ye tha ke vo agar Saanwli ke baare mein kuchh jaanti thi toh shayad vahan kuchh aisa mile jo is poore jhamele main kahin fit ho jaaye, andhe kuen mein thodi roshni jalaye.

Maine phone dobara uthaya. Kuchh baatein mujhe Bijli ke saath bhi saaf karni thi. Maine uska number dial kar hi raha tha ke mera phone khud hi baj utha. Call ek baar phir Nisha ki thi.

"Haan bol"

"Mere paas abhi Saloni ka phone aaya tha"

"Ok. Tera number kahan se aaya uske paas?"

"Arrey vahi office call kiya hoga toh call mere number pe route ho gayi"

"Achha haan. Kya boli?"

"Keh rahi thi ke Saanwli ke hostel walo ne use call kiya tha. Uski kuchh mails vagerah aayi hui hai, kuchh bank statements aur credit card bills vagerah toh vo forward karne ke liye aur shayad uska kuchh aur saman bhi tha hostel mein jo ham bhool aaye the"

"I thought saman tum log saara utha laaye the"

"Haan apparently vo pehle kisi aur room mein rehti thi aur baad mein usne room change kiya tha toh uske purane wale kamre mein unhein uska kuchh saman mil gaya"

"Ok"

"Saanwli keh rahi thi ke agar aap vo saman lana chaho aur jakar dekhna chaho toh shayad case ke silsile mein koi information mil jaaye"

"Main kaise ja sakta hoon vahan"

"Main chali jaati hoon"

"Tu?"

"Haan aur koi problem bhi nahi hogi. Last time bhi jab saman lana tha toh maine Saloni ke saath gayi thi toh uske hostel walon ne mujhe dekha hua bhi hai. Aaram se jakar la sakti hoon"

"Time hoga tere paas itna?"

"Haan aaj shaam ko vaise bhi hone wale patidev ne chori chupke bahar milne ko kaha hai dinner ke liye. Toh unko saath liye chali jaoongi, saman leti aaoongi"

"Tera hone wala patidev janta hai mere baare mein?"

"Haan"

"Use problem nahi hai koi?"

"Nahi he is fine. He is a nice guy. Maine sab bata rakha hai use"

"All right, dekh le jaise banta hai but make sure tu khud kisi museebat mein na pade"

"Theek hai"

Usse baat karke maine ek baar phir Bijli ka number milaya.

"Baat karni hai tumse kuchh. Mil sakti ho?" Usne phone uthaya toh maine kaha.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Kis baare mein?" Doosri taraf se Bijli ki aawaz aayi.

"Mil kar baat karen?" Maine puchha

"Nahi filhal nahi mil sakti, busy chal rahi hoon thoda"

Uska jawab sunkar main chaunk pada. Vo Bijli jo kabhi mere aage pichhe chakkar kaata karti thi, aashiq-mizaj baatein karti thi, aaj mere kehne par hi mujhse milne se inkaar kar rahi thi.

"Aaj nahi toh kal mil lo" Maine kaha.

"Baat kya karni hai? Phone par hi kar lo"

"Kya baat hai, itna karta kyun rahi ho?"

"Ye bhi main bataoon? 2 murders ka ilzaam hai tumhare uper jis mein se ek policewala hai. Kisi ne dekh bhi liya mujhe tumhare saath toh main museebat mein pad jaoongi"

"Bijli kabse museebat se darne lagi?"

"Insaan hi hoon main bhi. Koi faltu ka lafda nahi mangta hai mere ko"

"Toh matlab nahi milogi?"

"Bilkul nahi"

"Toh theek hai, phone par hi puchh leta hoon. Saanwli ko aisa kya kaha ke vo tumhare saath Bar mein aake nachne ko taiyyar ho gayi?"

Meri baat sunkar vo ek pal ke liye khamosh ho gayi. Maine bhi kuchh nahi kaha aur usne jawab ka intezaar karne laga.

"Kya matlab?" Thodi der baad uski aawaz aayi.

"Tum achhi tarah se janti ho mera matlab. Tumne mujhe bataya tha ke tum Saanwli ko itni achhi tarah se nahi janti thi jabki sach ye hai ke vo tum hi toh jo use is daldal mein khinch laayi thi"

"Ye jhooth hai"

"Dekho Bijli mujhe sab pata hai. Tum uske office mein us buddhe manager ke saath kya karne jaati thi ye bhi pata hai. Office mein vo tumse mili aur phir tumhare kehne par Sharafat Bar ke darwaze tak aa pahunchi"

Phir se ek pal ke liye khamoshi chha gayi. Thodi der baad Bijli ke ek lambhi saans chhodne ki aawaz aayi, jaise vo hathyaar daal rahi ho.

"Maine use kuchh nahi kaha tha. Paise ki zaroorat thi use, mujhse baat ki aur khud hi taiyyar hokar Sharafat Bar mein aa gayi"

"Jhooth. Vo ek achhe ghar se thi, use agar paise ki itni zabardast zaroorat hoti toh ghar phone karti, Bar mein nachne nahi jaati"

"Nachne ki baat nahi hui thi aur vo vahan nachi bhi nahi thi kabhi. Baat sirf waiter banne ke hui thi. Sharafat Bhai ka doosra wala pub tha, main jaanti thi ke vo udhar ke liye koi padhi likhi ladki dhoondh rahe the. Main aksar udhar office mein us manager ke paas jaati thi. Ek din aise hi baat shuru ho gayi usse kyunki us waqt office mein sirf vo akeli hi hoti thi reception par. Vaise toh main ye dikhate hue aati thi ke main us buddhe se koi business ke baare mein milne aati hoon par Jaanti to vo bhi thi ke main vahan office mein aksar yun sabke jaane ke baad kyun aati hoon, ek din mujhse puchh liya ke main kyun karti hoon ye kaam. Bas yahan se vahi purana kissa shuru hua, paise ki kami wala. Main apni majbooriyan ginvayi toh Vo bhi boli ke Mumbai mein paise ki use bhi bahut tangi hai, tankhwah mein guzara nahi hota. Phir ek din maine kaha ke ek jagah waiter banne ka kaam hai, shaam ko vo 3-4 ghante ke liye vahan ja sakti hai, paisa achha tha"

"Aur vo maan gayi?"

"Bilkul nahi maani. Mujh jaisi dhandha karne wali koi kaam batayegi toh koi bhi shak karega, usne fauran inkaar kar diya. Phir ek din khud hi puchh bethi ke kaam kaisa hai, kya karna hai"

"Phir?"

"Phir maine samjhaya ke jo kaam main karti hoon aisa koi kaam nahi hai, sirf waiter banna hai. 2-3 din baad usne sochkar haan kar di"

"Aur tum use Sharfat Bar le gayi?"

"Nahi vo Sharafat Bhai ka doosra wala pub"

"Oh, phir?"

"Phir kuchh waqt tak sab theek thaak chalta raha. Vo yahan se shaam ko sidha vahi pub chali jaati thi, waitressing karti thi par use ye sab pasand nahi aa raha tha"

"Kyun?"

"Kyunki use laga tha ke vo kisi hotel ya restaurant mein waiter banegi, par vo toh sharabkhana tha. Uper se jin kapdo mein vahan ladkiyon se kaam karate hain unmein aadhe se zyada jism dikhai deta hai. Aur phir aate jaate vahan bethe sharabi chhedte hai, gandi harkaten karte the. Vo ek achhi ladki thi, bardasht nahi hua usse"

"Tum jaanti thi ke vo ek achhi ladki thi, tum jaanti thi ke vahan Bar mein kis tarah ka kaam hota hai phir bhi tum use vahan le gayi?"

"Mumbai ki sadkon par aankhen kholkar dekho Aditya Sharma. Vahan toh ladkiyan kaam karne ke liye aise kapde pehenti thi, par kisi night club mein jao, kisi disco mein jao. Bade bade ghar ki sharif-zadiyan aadhi nangi nachti hui milti hain. Daaru pikar kahan padi hoti hain aur kaun kahan haath laga raha hota hai hosh tak nahi hota. Is hisaab se agar dekho toh vahan Bar mein ladkiyan jo kapde pehenti hai vo Mumbai mein ek aam baat banti ja rahi hai. Achhi achhi maan baap ki laadliyan vo majboori mein nahi, shauk se pehenti hain"

Vo sahi keh rahi thi. Mere paas uski baat ka koi jawab nahi tha.

"Baaki rahi sharabiyon ke chhedne wali baat toh vahan par Sharafat Bhai ke bouncers hote the, koi customer kisi ladki ke saath bad-tameezi kare toh utha kar bahar phenk diya jata tha. Sirf ye sochkar ke koi ulta kaam nahi karna hai, 3-4 ghante ke liye waiter banna hai aur raat ko ghar chale jana hai maine use vahan naukri dilva di thi"

"Aakhri baar tum mujhse mili toh tumne kaha tha ke Saanwli bahut pahunchi hui cheez thi, bade sapne the, Sharafat Bhai par dore daal rahi thi vagerah vagera. Kyun?"

"Kyunki mujhe nahi pata tha ke tum us ladki ke baare mein kyun puchh rahe ho?"

"Bataya toh tha maine ke vo lapata hai aur main dhoondh raha hoon use"

"Phir bhi. Jaanti kitna hoon main tumhein. Tum yun hi kuchh puchhne beth jao toh zaroori toh nahi ke main sachi hi bata doon sab. Maine jhooth bol diya. Vaise bhi un dino jab vo vahan kaam karti thi toh meri dosti ho gayi thi uske saath. Yun hi kisi ke puchhne par main uske baare mein sab toh nahi bata sakti"

Uski ye baat mere gale se utri nahi par maine is par zyada zor bhi nahi diya.

"Ok, phir?"

"Phir usne kuchh din vahan kaam kiya, pasand nahi aaya aur vo chhod gayi"

"Bas?"

"Haan bas"

"Kuchh bhool nahi rahi tum?"

"Kya?"

"Vo vahan se khud gayi thi ya koi le gaya tha?"

"Achha vo"

"Haan vo. Kya kissa tha vo?"

"Vo chhodna toh chahti hi thi. Ek din Sharafat Bhai vahin Bar mein bethe the toh vo unse jaakar bol padi ke use chhodna hai. Bhai bole ke baad mein baat karna. Usi waqt Bhai ke saath unka koi dost betha tha. Jab Saanwli Bhai se baat kar rahi thi, us aadmi ne uske saath koi chhed chhad kar di. Saanwli ne use thappad maar diya."

"Ok, phir?"

"Vaise toh us jagah par ladkiyon ke saath chhed chhad karne wale ko bahar phenk diya jata hai par vo aadmi Bhai ka dost tha, uper se Saanwli ne use sabke saamne thappad maar diya. Ab Bhai ka dost koi shariff aadmi toh hoga nahi, usne uthkar Saanwli ka haath pakad liya."

"Toh haath Sharafat ne nahi, uske dost ne pakda tha"

"Ab pata nahi kisne pakda tha, kisne chhoda tha par kaafi hungama ho gaya tha. Vo nashe mein uske saath vahin zor zabardasti karne lage toh vo haath paon maarne lagi. Ab is haatha paayi mein kisne haath pakda tha aur kisne chhoda tha kise pata"

"Ok"

"Phir jaane kahan se ek aadmi uth kar aaya aur bandook nikal kar Sharafat Bhai ki kanpati se laga di."

"Hmmm"

"Phir sabke hosh ud gaye. Sharafat Bhai jaise aadmi ko bandook dikhana badi baat hai. Jab us aadmi ko laga ke sirf bandook dikhane se baat nahi banegi toh usne sharafat Bhai ke kaan ke paas se goli chalayi, ye dikhane ke liye vo goli maar bhi sakta hai. Aur shayad ek do goliyan hawa mein bhi chalayi thi"

"Ok"

"Uske baad vo use vahan se lekar chala gaya aur uske baad maine kabhi Saanwli ko nahi dekha"

"Kyun phir tum uske office nahi gayi manager ke paas? Kaam toh vo tab bhi vahin karti thi"

"Haan matlab reception par khade dekha tha par kabhi baat hui nahi. Vo mujhe dekh kar munh mod leti thi aur maine bhi kabh baat karne ki koshish nahi ki"

"Tum toh achhi dost thi uski" Maine mazak sa banate hue kaha.

"Toh kya uske kadmon mein gir jaati? Usne mujhe dekh kar andekha kar diya, maine baat karne ki koshish ki toh palat kar chali gayi toh maine bhi keh diya ke bhaad mein ja. Ehsaan manna chahiye tha use toh mera"

"Ehsaan?"

"Haan. Tumhein kya lagta hai ke Sharafat Bhai ne us aadmi ko dhoondhne ki koshish nahi ki thi jisne unki kanpati par bandook lagayi thi? Vo puchhte phir rahe the ke vo ladki kaun thi, kahan se aayi aur ye baat sirf main jaanti thi par chup rahi. Agar main unke aage bol deti ke Saanwli kahan milegi toh utha ke le jaate use vahin se"

"Kyun nahi bataya tumne?"

"Ek toh taras aa gaya tha uske uper, doosra mere ko aur zyada khud bhi is pachde mein nahi phasne ka tha"

"Sharafat ne tumse puchha nahi ke tum hi toh laayi thi us ladki ko?"

"Puchha tha. Maine keh diya ke ek din yun hi Bus mein mili thi aur maine idhar job kar le keh diya"

"Tum vahin thi us waqt Bar mein jab ye sab hungama hua tha?"

"Haan"

Tumne dekhi us aadmi ki shakal jo le gaya tha Saanwli ko ?"

"Nahi, koi customer tha shayad. Uper se itna bhag-daud aur hungama ho gaya tha, goli chali toh main bhaag kar chhup gayi."

"Pratap Raghuvanshi ka naam suna hai?"

Ek pal ke liye phir se line par khamoshi chha gayi.

"Kiska?"

"Pratap Raghuvanshi"

"Nahi"

"sure?

"Nahi main nahi jaanti vo kaun hai" Usne kaha par jis tarh se vo ghabra kar jawab de rahi thi, main janta tha ke jhooth bol rahi hai.

"Kya vo Pratap Raghuvanshi tha jo Saanwli ko vahan se lekar gaya tha?"

"Dekho main nahi janti thi vo aadmi kaun tha ya kaun hai ye Pratap Raghuvanshi. Jitna main janti thi bata diya"

"Sab bata diya ya kuchh ab bhi chhupa rahi ho?"

Meri is baat ka koi jawab nahi aaya aur line kat gayi. Mujhe laga ke shayad network problem hogi, maine phir number dial kiya par call disconnect kar di gayi. Maine ek do baar aur koshish ki par har baar vo call kaat deti thi.

Is baat se main ye toh samajh gaya tha ke vo jaanti thi Pratap kaun tha aur shayad us raat Pub se Saanwli ko bacha le jaane wala bhi khud Pratap hi tha. Aur ab maine yun sidha sawal kar diya toh ghabra kar phone kaat rahi thi.

Main kuchh der tak betha Bijli ki baat par gaur karta raha aur uski batayi baaton ko is poore maamle mein fit karne ki koshish karta raha. Main apni soch mein gum betha tha ke thodi der baad phone ki ghanti baji aur jaisa ke aksar hota hai, maine call utha kar number dekha, unknown tha aur bina kuchh soche call receive kar li. Bhool gaya tha ke mujhe calls is waqt bahut soch samajh kar uthani thi kyunki mera phone track ho sakta tha.

"Raghuvanshi bol raha hoon, Pratap Raghuvanshi" Maine phone apne kaan par lagaya hi tha ke mere hello bolne se pehle doosri taraf se aawaz aayi.
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Mujhe laga ke mujhe shayad sunne mein galti hui hai.

"Kaun?" Maine puchha.

"Raghuvanshi" Usne phir naam bataya "Vahi jise tu dhoondhta phir raha hai"

Mujhe sunne mein galti nahi hui thi. Naam vahi tha jo usne pehle bhi bataya tha. Main fauran uthkar khada ho gaya.

"Number kahan se mila?" Mera pehla sawal.

"Kamal hain" Vo thoda haste hue bola "Is number se tu duniya jahan mein phone ghuma raha hai, mere baare mein puchhta phir raha hai aur phir kehta hai ke number kahan se mila"

Bijli of course, maine dil hi dil mein socha. Mujhse baat karte hi usne pehla phone Raghuvanshi ko milaya.

"Bijli ne diya?" Maine phir bhi apni tasalli ke liye puchha.

"Tu sawal bahut karta hai yaar " Vo phir haste hue bola aur jaane kyun mujhe laga ke maine uski aawaz kahin suni thi pehle "Jin sawalon ka jawab pata hai, vo bhi puchhta hai"

"Khan ko kyun maara?" Main sidha matlab ki baat par aaya.

"Galti se. Nishana tu tha, vo beech mein aa gaya"

"Jhooth" Mere andar ek ajeeb sa gussa bharta ja raha tha, lag raha tha jaise khoon khaul utha ho "Agar tune mujhe marna hota toh baad mein maar deta, yun chale nahi jaane deta"

"Maine kahan jaane diya" Doosri taraf se machis jalane ki aawaz aayi aur phir is tarah se saans liya gaya jaise kisi ne abhi abhi cigarette jalayi ho "Sharafat ne jaane diya. Maine toh saaf kaha tha use ke khatam kar de tujhe, par usne chhod diya"

Mujhe Mafatlal ki baat yaad aayi ke Raghuvanshi cigarette bahut peeta tha.

"Nahi. Sharafat ke paas mujhe zinda jaane dene ki koi vajah nahi thi. Agar tune kaha hota ke mujhe maar de vo toh maar deta, chhodta nahi"

"Arrey yaar" Doosri taraf se cigarette ka lamba khash khinchne ki aawaz aayi "Kya sunna chahta hai?"

"Sach. Kyun maara use?"

"Taish mein aake mara. Purana raada tha mera uske saath aur us din vo kuchh zyada hi hero giri dikha raha tha. Mera matha ghooma aur bina soche samjhe goli chala di. Baad mein socha ke policewale ko thokna khatarnaak saabit ho sakta tha isliye halali ka bakra tujhe banaya"

Vo vahi keh raha tha jo ke maine socha tha.

"Tera Khan ke saath kya rada ho sakta hai, tu toh kabhi saamne aata hi nahi. Aur Khan vaise bhi un policewalo mein se tha nahi jo tujh jaiso ke saath bhidte hain. Vo ek be-imaan poliecwala tha, corrupt cop. Vo toh tere jaise logon ke saath kandhe se kandha milake chalta tha apne faayde ke liye"

"Kabhi tasalli se bethke bataoonga, bahut pareshan kiya tha us saale ne ek waqt pe"

"Saanwli kahan hai?"

"Yahi vajah hai ke maine tujhe phone kiya, asal mein toh mujhe bahut pehle kar dena chahiye tha, tera thoda waqt bach jata par kya hai ke mujhe kaafi der se pata chala ke tu use talash kar raha hai"

"Kahan hai vo?"

"Maine kaha na tu bahut sawal karta hai. Is sawal ka jawab tu bhi janta hai ke vo kahan hai ab" Doosri taraf se uski serious aawaz aayi.

"Mar chuki hai?"

"Phir se ek aur sawal" Vo phir se hasa.

"Kyun mara?"

"Aur ek sawal" Vo hasta raha.

"Mujhe phone kyun kiya?"

"Haan" Vo ekdam se hasna rok kar bola "Ab kiya tune sahi sawal. Dekh bhai, mera tere saath koi rada nahi hai. Aur Saanwli ko dhoondhna ab bekaar hai, gayi vo gayi doosri duniya mein. Toh ab tu ek kaam kar, uske gharwalo ko bol ke tu dhoondhne mein nakam raha aur chup chap apni zindagi mein aage badh ja. Kyun ulajh raha hai mujhse"

"To tu chahta hai ke main sab kuchh bhool kar case chhod doon aur shaant hokar beth jaoon?"

"Haan" Vo bola "Maze mein apni zindagi ji na yaar, kyun galat jagah taang phasa raha hai?"

"Maze mein?" Maine tana sa maarte hue kaha "Ek murder ka ilzaam hai mere sar par aur doosra tu bahut jaldi intezaam karke mere matthe madh dega"

"Bhai ab vo teri personnal problem hai, usmein main kya kar sakta hoon. Jaisi karni vaisi bharni. Galat jagah tu khud uljha, ab bhugatna toh padega"

"Geetanjali ko tune mara tha?"

"Arrey yaar jinke jawab tujhe already pata hain, vo sawal kyun kar raha hai. Bhool ja ye sara qissa"

"Aur bhool jaoon ke tune mere bhai jaise dost ko mere saamne maar diya? Bhool jaoon ke teri vajah se main ek kutte ki tarah gali gali bhaaga phir raha hoon?" Main daant piste hue bola.

"Achha?" Use meri aawaz mein mere badalte tevar ka andaza ho gaya "Kya ukhaad lega?"

"Sab kuchh. Tu bas dekhta ja. Teri toh main duniya palat doonga" Maine gusse mein lagbhag chilla hi utha aur phone kaat diya.

Agle kuchh pal main bistar par apne gusse pe kaabu karne ki koshish karne laga. Kuchh der baad hi phone phir baja, call Raghuvanshi wale number se hi thi.

"Achha sun" Maine phone uthaya toh vo haste hue bola "Mujhe laga ke tera kaam thoda sa aasan kar doon, is number ko trace karne ki koshish na kariyo. Farji hai"

"Yahi batane ke liye phone kiya?"

"Haan mujhe laga ke tu phir bhaag daud karega is number ke pichhe toh mujhe taras aa gaya"

Maine ek baar phir phone kaat diya aur sar pakad kar beth gaya. Mera dimag chilla chilla kar is baat ki gawahi de raha tha ke ye aawaz maine pehle bhi kahin suni hui hai, ye hasi ka andaaz pehli bhi mere kaano mein pad chuka hai par samajh nahi aa raha tha ke kahan.

Mere paas filhal karne ko kuchh nahi tha. Pehle maine socha tha ke ladke ke mere ghar se laut aane ke baad usse gun lekar Bijli se milne jaoonga par usne saaf mana kar diya tha. Ek baar saare raaste band se hote nazar aa rahe the.

Maine josh mein aakar Raghuvanshi ko keh toh diya tha ke main uski duniya palat doonga par kaise ye nahi pata tha. Filhal toh itna bhi samajh nahi aa raha tha ke uski duniya toh door, apni palat rahi duniya ko kaise sambhalun.

Ab aakhri ummeed sirf isi baat par tiki thi ke ya toh Saanwli ke saman se kuchh naya surag haath lage ya Geetanjali ke ghar se kuchh mile.
Sochte sochte kab meri aankh lag gayi mujhe pata hi nahi chala.

Achanak baji phone ki ghanti se meri aankh khuli. Ghadi par nazar daali toh main ek ghante se so raha tha. Vo lodge wala ladka bhi ab tak nahi lauta tha.

Maine apne phone ki taraf dekha, number Chipku ka tha.

"Hello" Maine call receive it.

"Adi Bhai, thank god. Mujhe pata nahi tha ke aapka number hai ke nahi ye ya aapne kisi aur ke number se mujhe phone kiya tha"

"Kya hua?"

"Vo Bijli, use thok dala kisi ne"

"Kya?"

"Haan abhi. Idhar Bar mein hi"

"Kisne?"

"Pata nahi. Nachte nachte achanak gir padi. Uthaya toh sar pe goli maari thi kisi ne silencer lagake. Aawaz tak nahi aayi"
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Chapter 16 - When It All Made Sense [Last Chapter]


Chipku ki baat ne mera dimag ghuma diya tha. Samajh nahi aa raha tha ke kya karun aur kaise karun. Sab raaste ek ek karke band hote ja rahe the. Khud main ek murder case mein phasa hua tha, doosre ka ilzaam mere sar pe aane mein bas ek do din ki hi deri thi aur jis raaste main kadam badhata tha, vo rasta band kar diya jata tha. Jab bhi ummeed ki koi kiran nazar aati, vo mere us tak pahunchne se pehle hi bujha di jaati thi.

Chipku ke mutaabik us waqt Bar mein 100 se uper log the aur Bijli dance floor par khadi nach rahi thi. Har koi apne mein magan tha. Koi sharab ke ghoonth bhar raha tha, koi patte khelne mein busy tha aur koi betha nach rahi ladkiyon ke aadhe nange jism ghoor raha tha. Tabhi achanak Bijli nachti nachti gir padi. Kuchh pal ke liye toh kisi ko kuchh samajh nahi aaya. Saath khadi ladkiyon ne use uthane ki koshish ki toh tab sar se beh raha khoon nazar aaya aur unhone cheekh maar di. Paas khade bouncers fauran dance floor ki taraf badhe aur tab tak aas paas bethe kuchh log bhi Bijli ke shareer se beh rahe khoon ko dekh chuke the toh vo bhi uthkar dance floor ki taraf aaye.

Bar mein koi dhamake ki aawaz nahi goonji thi. Music baj raha tha par itna tez nahi tha ke goli ki aawaz ko daba jaaye. Aur vaise bhi vahan bethe aadhe se zyada aise the jo log goli bhi pehchante the aur goli ki aawaz bhi. Goli chale aur unke kaan us aawaz ko na pehchane ya kisi dhamake ki aawaz samajhkar nazar andaaz kar dein aisa ho nahi sakta tha. Aakhir mein nateeja yahi nikla tha ke goli jisne bhi chalayi thi, silencer laga kar chalayi thi.

Halanki is khoon se mera koi lena dena nahi tha par jo bhi ho raha tha, us kahani ki main ek bahut importane kadi tha. Ya yun keh lijiye ke jo bhi ho raha tha, bahut had tak meri vajah se hi ho raha tha.Bijli se meri jaan pehchan thi ye kaafi logon ko malum tha, uske marne se kuchh ghante pehle hi maine usse baat ki thi aur jahan tak meri soch ka parinda udaan bharta tha vahan tak mujhe yahi lag raha tha ke kaam ye bhi Raghuvanshi ka hi tha. Isliye koi hairat ki baat nahi hoti agar mere sar par ek teesre khoon ka ilzaam bhi dala jata, Bijli ke khoon ka ilzaam.

Soch soch kar jab sar dard ke maare phatne laga toh main phir bistar par ja gira aur ek cigarette sulgayi. Bijli ka maut ka mujhe kaafi afsos tha. Vaise toh main kabhi usse sidhe munh baat nahi karta tha par ye baat main dil se janta tha ke vo is dhandhe mein marzi se nahi, majboori se aayi hai. Aur phir is daldal mein phase hazaron logon ki tarah chah kar bhi yahan se nikal nahi paayi.

Mujhe achhi tarah yaad tha vo din jab vo mujhe dinner par mili thi. Kis qadar khoobsurat lag rahi thi, kis tarah ek aam si ladki aur kis qadar nafasat se pesh aa rahi thi.

Uski maut ke saath hi mere kayi aise sawal adhure reh gaye the jinke jawab sirf vahi de sakti thi.

Kuchh der baad hi mere kamre ke darwaze par dastak hui.

"Main hoon sahab" Darwaze se us lodge wale ladki ki aawaz aayi.

"Aa andar aaja. Khula hai darwaza" Main bistar se uthta hua bola.

Vo darwaza kholkar andar aa gaya. Haath mein ek kaale rang ki polythene thi jismein kuchh sabziyan rakhi thi.

"Kaam bana?" Maine ummeed ke saath puchha.

"Haan bana na" Vo daant dikhata hua bola aur sabziyon ka bag meri taraf badha diya "Ye lo"

"Sabzi laane bheja tha maine tujhe?" Maine uske haath se sabki ka bag lene ki koi koshish nahi ki.

"Arrey abhi main haath mein toh ghoda leke nahi aa sakta tha na. Vahi aapke ghar ke bahar ek sabzi wala khada tha toh usse kuchh sabziyan kharidi, aapke ghar mein ghusa aur ghoda isi mein dalkar le aaya"

Kehte hue usne us polybag mein haath ghusaya aur sabziyon ke beech se meri pocket pistol nikali.

"Full shana hai tu toh saale" Main uske haah se pistol lete hue bola.

"Abhi kya karega sahab. Waqt sala badi kutti cheez hai, kabhi waqt se pehle shana kar deta hai toh kabhi waqt aane par bhi akal nahi aati"

"Sahi bol raha hai" Maine kaha aur uski tarah ek 500 ka note badha diya "Chal tu nikal"

"Thank you sahab" Vo ek note aur dekh kar fauran khush ho utha aur note mere haath se lekar chala gaya. Uske jaane ke baad maine pistol check ki. Full loaded thi.

Phir poora din main bas yun hi kamre mein betha sochta raha ke ab kya karun. Shaam ho gayi toh khyaal aaya ke kyun na Geetanjali ke ghar aaj hi chakkar laga liya jaaye, kal par baat kyun taalni. Raat ka andhera halka halka phelne laga tha. maine Chipku ko phone karne ke liya apna cell uthaya hi tha ke vo khud hi baj utha. Call Nisha ke number se thi.

"Haan" Maine phone uthaya.

"Saanwli ke hostel ke saamne khadi hoon" Doosri taraf se uski aawaz aayi.

"Pahunch bhi gayi tu?" Maine ghadi ki taraf dekhte hue kaha.

"Haan ghar se thoda jaldi nikal aayi thi ke yahan ka kaam nipta kar dinner aur phir raat ko movie"

"Ok" Main bola "Saman mein mila kuchh"

"Abhi andar gayi nahi hoon, bas pahunchi hi hoon. Andar jakar saman le aaon, phir phone karti hoon aapko" Kehkar usne phone kaat diya.

Main betha phir uske phone ka wait karne laga. Koi 20 min baad ghanti baji.

"Itni der?" Maine call receive ki aur puchha.

"Arrey vo kaali bhains bethi hai na andar, saman dene mein na nukur kar rahi thi. Keh rahi thi ke Saanwli ke garwalon ko hi degi"

"Toh kya raha?"

"Le toh aayi main"

"Good. Mila kuchh?"

"Dekha nahi hai abhi. Ek bag hai bada sa. Gaadi ki taraf ja rahi hoon, andar beth kar dekhti hoon"

Gaadi ka darwaza khulne aur band hone aur ek bag ki zip khulne ki aawaz aayi.

"Kya hai bag mein?"

"Dekh rahi hoon" Doosri taraf se Nisha ki aawaz aayi "Uske kuchh kapde aur kuchh gifts vagerah hain. Aur kuchh purani photos vagerah hain. Ek kaam kariye, main zara saman dekh kar aapko phone karti hoon vaapis"

Is baar usne phone rakha toh phir vaapis call nahi aayi. Koi 15-20 minute wait karne ke baad maine hi uska number milaya toh ek aadmi ki aawaz aayi.

"Nisha?" Maine ek baar apne cell ki screen par nazar daalte hue puchha ke kahin maine number toh galat nahi dial kar diya.

"Main uska mangetar bol raha hoon. Vo zara gaadi ke bahar tak gayi hai ek shop mein. Aaye toh main phone karvata hoon vaapis"

"Ok" Mujhe kuchh samajh toh nahi aaya par maine baat maan li aur phone rakh diya.

Magar is baar bhi palat kar phone nahi aaya. Thak kar maine hi number milaya toh is baar number unreachable aaya.

Aur phir main der raat tak Nisha ka number dial karta raha par vo not-reachable hi rahi. Main yahi aankde lagata raha tha ke vo kahin network se bahar hai, ya uski cell ki battery khatam ho gayi ya kahin cinema theatre ke andar hai jahan number nahi lag raha. Lakh koshish ke baad bhi jab usse baat nahi ho paayi toh maine thak kar phone ek taraf rakh diya.

Subah darwaze par dastak se neend khuli. Maine uthkar darwaza khola toh vo ladka haath mein akhbaar liye khada tha.

"Haan bol"

"Aapke dost ki photo chhapi hai" Kehte hue usne newspaper meri taraf badha diya. Front page par hi Khan ki ek badi si photo lagi hui thi, jaisa ke newspapers ke Obituary section mein hoti hain. Uski photo ke neeche uski paidaish aur maut ki tareekh likhi hui thi aur ek shok samachar type message tha. Aur likha tha ke aaj shaam usko dafnaya ja raha tha.

Ladke ko maine ek cup chaai ke liye bola aur bhaari dil se paper lekar kamre mein aa gaya. Khan ka obituary message padhne ke baad maine paper palta aur page 3 par chhape news ko dekh kar meri aankhen khuli ki khuli reh gayi.

Likha tha ke VT Station ke paas ek car mein ek yuvak aur yuvati ki laashein mili hain. Dono ki goli markar hatya ki gayi thi. Yuvti ki pehchan Nisha Trivedi ke naam se ki gayi hai aur yuvak uska hone wala mangetar tha....continue #130
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Nisha ki maut ki khabar ne mujhe andar tak hila diya tha. Main achhi tarah janta tha ke uski aur uske mangetar ki maut ka zimmedar poori tarah se main hoon. Use sirf isliye mara gaya kyunki Saanwli ke saman mein use kuchh mila tha. Par sabse bada sawal ye tha ke vo Saanwli ke hostel jaane wali thi, ye baat sirf main aur vo jaante the, koi aur nahi. Phir bhi uska pichha kiya gaya aur agwa karke uska khoon kar diya gaya. Ye baat kisi aur tak kaise pahunchi ye meri samajh mein bilkul nahi aa raha tha. Vo itni bevakoof nahi thi ke khud kisi ko bataye aur vaise bhi is case se jude kisi aadmi ko vo nahi jaanti thi toh jisne bhi use mara, use ye khabar kaise hui ke vo kahan ja rahi hai aur kya karne ja rahi hai.

Poora din kis tarah se guzra mujhe kuchh khabar nahi. TV on karke main bevakoof ki tarah apne kamre mein betha TV screen ki aur ghoorta raha jabki mujhe kuchh pata nahi tha ke kaun sa programme chal raha hai aur TV par kya ho raha hai. Doston ke naam par mere liye is duniya mein sirf 2 hi log the, ek Khan aur ek Nisha aur dono hi ab duniya se chal base the. Akelapan kise kehte hain iska asal ehsaas mujhe ab ho raha tha. Lag raha tha ke main bheed ke beech khada hoon jahan koi mujhe nahi pehchanta, koi mera hamdard nahi.

Darwaze par kai baar dastak hui par maine uthkar khola nahi. Shayad vo lodge wala ladka hi hoga, din mein aksar khana lata tha. Vo beech mein kayi baar aaya, darwaza knock kiya aur jab maine khola nahi toh vaapis chala gaya.

Yun hi bethe bethe din chadha, utra, shaam hui aur phir se raat ka andhera phel gaya. Meri soch ka silsila ek baar shuru hua toh jaise khatam hone ka naam hi nahi le raha tha. Raat ke kareeb 10 baje mere phone ki ghanti baji, maine nazar ghuma kar dekha toh Chipku ki call thi.

"Bhai kitne baje milne ka hai?" Maine phone uthaya toh vo bola.

"Matlab?" Maine na samajhte hue kaha.

"Arrey vo aap bole the na Geetanjali Thakkar ke ghar ke paas milne ko?"

"Achha haan" Ek pal ke liye maine apna irada badalna chaha par aisa kiya nahi "Raat kareeb 12 baje mil mujhe vahan"

"Vahan kahan? Ghar ke age?"

"Nahi. Uske ghar se thoda sa aage ek grocery ki dukaan hai, is waqt toh band milegi. Usi ke saamne mil mujhe"

Usse baat karne ke baad main uthkar nahaya, kapde badle, apna chhota sa pocket pistol utha kar apne joote ke paas soch ke uper lagaya aur lodge se bahar nikla.

Aas paas nazar ghumayi toh koi auto ya taxi nahi dikhai di. Apni soch mein dooba main paidal hi Geetanjali ke ghar ki aur chal pada aur jaane kab tak aise hi chalta rehta agar ek auto wala mere paas ruk kar mujhe puchhta nahi ke mujhe auto chahiye kya?

Mumbai ka traffic us waqt bhi poore zor par tha. Geetanjali ke ghar pahunchte pahunchte mujhe takreeban 2 ghante hi lag gaye. Jis grocery store ke saamne maine Chipku ko rukne ko kaha tha, vo vahin khada mujhe mil gaya.

Usko lekar main Geetanjali ke ghar ke saamne pahuncha, aas paas ek nazar daudayi ke koi hai toh nahi aur phir ye tasalli karne ke baad ke koi hamein dekh nahi raha main us bade se lohe ke gate par chadh kar doosri taraf kood gaya.

"Tu yahin bahar hi ruk" Maine gate ke doosri taraf se usko kaha.

"Aise bahar khada rahunga toh kisi ko shak ho sakta hai" Usne kaha. Uski baat sahi thi.

"Toh ek kaam kar" Main gate se thoda pichhe hatkar bola "Kood kar is taraf aaja par yahin gate ke paas hi rehna. Koi agar aaye toh mujhe andar call kar dena"

"Theek hai" Kehkar vo meri tarah hi gate kood kar andar aa gaya.

Use gate ke paas khada chhod kar main lawn cross karta hua ghar ki taraf badha. Aakhri baar jab main is ghar mein aaya tha andar Geetanjali ki laash padi thi, aakhri baar jab maine ye gate kooda tha main poora uske khoon mein sana hua tha. Kitna kuchh badal gaya tha tabse ab tak.

Ghar ka door locked tha par mere liye use kholna koi badi baat nahi thi. 3 minute ki mashakkat ke baad main darwaza khol kar andar daakhil hua toh samajh nahi aaya ke exactly jaoon kahan aur kis cheez ki talash karun.

Agle ek ghante tak main uske ghar mein jhak marta raha. Kabhi uske drawing room ke drawers mein, kabhi uske bedroom mein toh kabhi kahin. Beech mein kam se kam 5 baar Chipku ne phone karke puchh liya ke sab theek toh hai na.

"Haan sab theek hai idhar yaar" Uske jab phir se phone kiya toh main jhunjhla utha "Tu gate ki taraf dhyaan de aur dekh ke koi aa toh nahi raha"

Uska phone rakh kar main phir se kisi aisi cheez ki talash mein jut gaya jisse mujhe ye pata chal sake ke Geetanjali kya batane wali thi par kuchh bhi haath nahi laga. Uske ghar mein bas uske istemaal ki cheezen thi jo ke har ghar mein hoti hain. Thak haar kar main vaapis lautne ki soch hi raha tha ke achanak mujhe Geetanjali ke bedroom mein usked bed ke paas rakhi table par ek photo album nazar aaya. Aur phir mujhe Nisha ki kahi ek baat yaad aayi jo usne mujhe tab kahi thi jab ke vo Saanwli ka bag lekar aayi thi.

"Bag mein kuchh khaas nahi hai, uske kuchh kapde vagerah hain aur kuchh purani photographs"

Aage badhkar maine vo photo album uthaya aur table par rakha ek lamp on karke photos ek ek karke dekhne laga. Zyadatar photos us album mein parties ke the jo shayad khud Geetanjali ki hongi ya jin parties ka vo kabhi hissa rahi hogi. Shayad usne apne albums photos ke hisaab se bana rakhe the aur is wale mein sirf parties ki pictures thi. Photos mein uske saath kayi badi badi hastiyan nazar aa rahi thi jinko main ek nazar dekhte hi pehchan gaya. Kuchh bade politicians, bade businessman, cricketers, filmstars vagerah vagerah.

Aur phir photos palat-te palat-te ek photo mein mujhe 2 aise chehre nazar aaye jo us party mein kahin fit nahi ho rahe the. Na toh vo dono ameer the, na mash-hoor aur na hi bade rasookh wale. Par jis baat ne mujhe sabse zyada hairan kiya vo ye thi ke vo dono saath khade the.

Photo ke saamne ki taraf Geetanjali 2 filmstars ke saath khadi muskura rahi thi aur pichhe background mein, party ke beecho beech bane Bar ke paas khade vo dono baat kar rahe the. Agar main un dono ka pehchanta na toh shayad nazar-andaaz karta hua aage nikal jata. Pichhe photo mein party ke bheed ke beech khade vo dono muskurate ek doosre se baat kar rahe the.

Par un chehron ko main kaise na pehchanta jabke un mein se ek chehra us ladki ka tha jise main dhoondhta phir raha tha, Saanwli Mitra ka.

Maine apna cell=phone nikala, gallery mein jakar vo pic kholi jo Mafatlal ne mujhe ye kehte hue di thi ke ye Raghuvanshi ki hai. Pic ko maine zoom kiya aur shakal ko gaur se dekha. Pic ab bhi kaafi dhundhli thi, zoom karne ki vajah se distort ho gayi thi aur shakal ke aage dhuan tha par ab kyunki main janta tha ke main us chehre mein kiska chehra talash raha hoon toh main hairat mein pad gaya ke ye mujhe pehle dikhai kyun nahi diya.

Ek hi lamhe mein sara majra meri aankhon ke saamne saaf hota chala gaya aur album band karte hue maine apna sar pakad liya. Sirf paheli ka ek hi sira tha jo ab bhi meri pakad mein nahi aa raha tha. Maine apna mobile nikala aur Saloni ka number dial kiya.

Kaafi der bajne ke baad usne call receive ki aur uski need mein doobi aawaz mujhe sunai di.

"Saloni main Aditya Sharma bol raha hoon"

"Aditya ji aap. Itni raat ko? Sab theek toh hai?"

"Vo sab chhodo aur meri ek baat ka sach sach jawab do"

"Haan puchhiye. Vaise main kal khud Mumbai aane wali thi. Ab tak maine ghar par bataya nahi hai ke Saanwli lapata hai"

"Kyun?"

"Kyunki ek ummeed thi ke vo shayad mil jaayegi aur phir ghar par batane ki zaroorat na pade. Mom Dad bahut umar-daraz hain, shayad us jhatke ko bardasht na kar saken. Par ab lagta hai ke batana hi behtar rahega, aur kitne din ye baat chhupa sakungi"

"Tum mere paas kyun aayi thi Saloni?"

"Bataya toh tha, mujhe ek private detective ki talash thi aur aapka profile internet par dekha"

"Jhooth" Kehta hua main utha aur usse baat karte karte walk karta drawing room mein aa gaya "Mere paas tumhara aana mehez-ittefaq nahi tha, tum mere paas aayi thi kyunki tum jaanti thi ke tumhein mere paas hi aana hai. Hai na?"

"Nahi aisa ....."

Usne kehna shuru hi kiya tha ke maine uski baat kaat di.

"Jhooth mat bolo Saloni. Ab sirf tumhari behen ki zindagi ka sawal nahi reh gaya, main khud bhi buri tarah is janjaal mein phas chuka hoon. Aur bhi kayi jaanen ja chuki hain. Please sach bolo ....."

"Mujhe aapke paas aane ke liye kaha gaya tha" Vo kuchh der chup rehne ke baad boli.

"Kisne kaha tha? Kisne bheja tha tumhein mere paas?"

"Khud Saanwli ne" Saloni ne meri baat ka jawab diya.

Theek usi waqt jaise mere sar mein ek bomb sa phata. Pichhe se kisi ne phir ek baar mere sar par theek usi jagah vaar kiya tha jahan us waqt kiya tha ja main Sharafat ki boat par tha aur Khan ko goli maari gayi thi. Ek baar phir main neeche gira aur hosh kho betha.

Next update will be the last one....#132
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Hosh aaya toh main ek kursi se bandha betha tha. Sar se khoon behkar mere gale ke aas paas sookh chuka tha aur shirt ke pichhle hisse mein mujhe chipchipahat mehsoos ho rahi thi. Bahar ab bhi andhera tha jisse maine andaza lagaya ke ya toh ek baar phir ek bahut lambe time tak behosh tha, din hokar phir se raat ho chuki thi ya mere sar par kiya gaya vaar abhi thodi der pehle ki hi baat thi aur subah abhi tak hui nahi thi.

Main us waqt ek chhote se kamre mein tha, chaaro taraf andhera tha aur kamre ke ek kone mein ek zero watt ka bulb jal raha tha jiski laal rang ki halki si roshni kamre mein pheli hui thi.

Kamra poori tarah khaali tha, ya us halki roshni mein jitna main dekh saka utna hissa toh khaali hi tha, sivaay bulb ke niche rakhi ek purani si table aur kamre ke beech rakhi us chair ke jis par main bandha betha tha. Mujhe kamre ka darwaza kahin nazar nahi aa raha tha toh maine andaza lagaya ke vo mere pichhe ki taraf tha. Maine gardan ghuma kar dekhna chaha par chair ka backrest kaafi ooncha tha aur main sar zyada ghuma nahi paya. Ulte aisa karne ki koshish mein mera sar chair ke backrest se halka sa laga aur chot ki vajah se dard ki ek lehar mere poore sar mein daud gayi.

"Aaah" Main dard ki vajah se karah utha aur theek usi waqt mujhe pichhe se ek aahat sunai di. Main samajh gaya ke kamre mein mere alawa koi aur bhi maujood tha jo mere pichhe darwaze ki taraf betha tha.

Main samajh gaya ke mere pichhe kaun hoga.

"Ye sab kuchh is tarah khatam hoga socha nahi tha" Maine bina ghoome hi apne pichhe khade shakhs se baat karni shuru ki "Par sawal ye hai ke ye sab hua kyun aur kaise?"

Mere pichhe se koi jawab nahi aaya.

"Aur doosra sawal ye hai ke Saanwli mujhe jaanti kaise thi?"

Phir ek khamoshi. Phir hui aahat se is baat ka toh mujhe yakeen ho gaya tha ke mere pichhe koi maujood hai par jawab koi nahi aaya.

"Bahar aa ja Khan, main janta hoon ke tu hi hai" Maine lambi saans chhodte hue kaha.

Uske baad thodi der tak koi aahat nahi hui, koi aawaz nahi aur phir kamre ke deewar par lagi tube-light jal uthi. Kamra roshni se naha utha, kisi ke uthkar chalne ki aawaz hui aur vo mere saamne aa khada hua.

Mera dost, mera sabse achha dost, mera eklauta dost, mere bachpan ka yaar, mera bhai.

"I mourned for you man" Maine uske chehre ki taraf dekhte hue kaha jispar ab halki halki daadhi ug aayi thi "Tera maut ka afsos manaya tha maine, apne bhai ki laash par aansoo bahaye the"

Vo ek baar phir chal kar mere pichhe ki taraf gaya, ek kursi utha kar laya aur mere saamne rakh kar beth gaya. Uske haath mein ek pistol thi jiska rookh meri taraf tha.

"Ab ye din aa gaye hain tere mere beech? Ek doosre par bandook taan rahe hain?" Maine pistol ki taraf dekha aur haste hue kaha.

Mere baat ka koi jawab diye bina vo kursi par aaram se tek laga kar beth gaya. Pistol ab bhi meri taraf taani hui thi.

"Kahan hain ham log?" Maine kamre mein dekhte hue kaha.

"Khandala ke paas, ye ek chhota sa rest house kharida hua hai mainem jungle ke beech mein hai, aas paas koi aur ghar nahi " Usne meri taraf dekhte hue jawab diya.

"Kabse behosh hoon main?"

"Kal raat se"

Maine chair ke hand-rest par bandhe hue apne haathon ki taraf dekha aur phir nazar utha kar Khan ki taraf.

"Batayega ya mujhe puchhna hi padega sab kuchh?"

"Puchh hi le yaar, main kya kya bataoonga" Vo thandi si aah bharta hua bola.

"Sab kuchh bata, sab kuchh" Maine apni aawaz sakhte karte hue bola "Shuru kar Saanwli se, kya kissa tha?"

"Pagal thi, pyaar karti thi mujhse aur shaadi karna chahti thi"

"Toh tune use maar diya?"

"Nahi, main bhi pyaar karta tha par phir use meri asliyat ka pata chal gaya"

"Pratap Raghuvanshi?"

"Haan"

"Walk me through it man, walk me through. Tu ye Raghuvanshi kaise ho gaya?"

"Lamba kissa hai yaar, bas yun samajh le ke police evidence room se chori ki gayi aur raids mein pakdi gayi drugs ko bechna shuru kar diya tha maine. Baat itni badh jaayegi socha nahi tha. Main toh bas thodi uper ki kamai karna chahta tha par phir dheere dheere mamla itna badh gaya ke aaj ki tareekh mein Mumbai ki aadhe se zyada drugs supply ko main control karta hoon"

"Aur koi nahi janta ke Pratap Raghuvanshi kaun hai?"

"Sivaay Sharafat ke"

"Saanwli is sab mein kahan fit hoti hai?"

"Us din Sharafat ke Bar mein betha tha main. Vo mere saamne hi aakar Sharafat se naukri chhodne ki baat karne lagi. Sharafat nashe mein tha, kehne laga ke waitress ki naukri chhudva kar use dhandha karvayega. Zabardasti uske saath khincha taani karne laga aur phir mujhe pata nahi kya hua ke main beech mein aa gaya. Us waqt main Sharafat ke liye sirf ek mamuli policewala tha jo usko drugs supply karta tha isliye usne meri bhi nahi suni"

"Aur tab tune Sharafat ke sar par bandook laga kar Saanwli ko vahan se nikaal liya"

"Haan aur phir ham milne lage, ishq vishq ho gaya aur phir ek din use pata chal gaya ke main asal mein ek policewala hoon"

"Tera naam bhi?"

"Nahi asli naam toh use mera bahut baad mein pata chala. Us waqt toh sirf ye pata chala tha ke main police mein hoon"

"Phir kya kahani sunayi tune?"

"Yahi ke main asal mein undercover hoon aur drugs racket ko khatam karne ki koshish kar raha hoon"
 

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Yeah right" Maine tana maarne wale andaaz mein hasa "Aur vo maan gayi?"

"Khush bhi bahut hui ke uska boyfriend ek bahadur policewala hai, jasoos type"

"Phir?"

"Phir ham milte rahe. Ek jhooth ko chhupane ke liye maine hazaar jhooth bole. Main janta tha ke meri asliyat ka vo sabse bada loop hole hai isliye hamesha use fake IDs par registered number hi deta jin par vo mujhe call karti par aakhir asliyat kab tak chhupti. Zamane se chhupa sakta tha par us aurat se kaise chhupata jo mere saath so rahi thi. Ek din use sab pata chal gaya"

"Ke tu drug mafia hai?"

"Haan ke mera asli naam Khan hai aur Raghuvanshi ke naam se drug racket chala raha hoon"

"Phir?"

"Phir mujhe laga tha ke samajh jaayegi par bahut hi sachi sharafat ki moorti nikli. Mujhe dhamki dene lagi ke main sab chhod doon varna mujhe pakadva degi. Shayad vo ye ummeed kar rahi thi ke mujhe darayegi toh main is sabse bahar nikal jaoonga aur use phir se apna hero boyfriend vaapis mil jaayega"

"Yeah i can understand. Jisko vo bhagwan maan rahi thi vahi shaitan nikla toh samajh sakta hoon ke use kaisa laga hoga. Toh kya uski ye bhagwan phir se vaapis paane ki koshish rang laayi?"

"Nahi, tab tak main bahut aage nikal chuka tha aur shayad use bhi ye ehsaas hone laga tha ke main badloonga nahi"

"Mara kyun use?"

"Vo eklauti thi jo meri asliyat jaanti thi aur us waqt vo mujhe chhodne ki soch rahi thi. Main itna bada chance nahi le sakta tha aur shayad use bhi apni jaan ka khatra mehsoos hone laga tha"

"Is sab mein main kahan fit hota hoon?"

"Mil chuka tha tu usse" Khan ne kaha.

"Seriously, kab? I dont remember at all"

"Ek baar party mein mila tha, nashe mein dhut tha tu us waqt. Main Saanwli ke saath ek pub mein gaya aur vahan tu akela betha pi raha tha. Tu mujhe dekhte hi mere gale pad gaya. Ye us waqt ki baat hai jab vo meri asliyat nahi jaanti thi. Kahin tu mera asli naam uske aage na bol de is darr se main vahan se to uske saath jaldi nikal aaya par phir mujhe use tere baare mein batana pada"

"Aisa kya bataya tune use ke usne apni behan ko mere paas bhej diya?"

"Usne bheja tha?"

"Haan Saloni ne mujhe bataya ke usne khud phone karke apni behan ko mere paas aane ko kaha tha"

"Aur kya bataya?"

"Aur baat kar hi rahe the ke tune mere sar pe vaar kar diya"

"Maine sirf ye kaha tha ke tu ek jasoos hai, private detective. Jab main vahan se aise jaldi jaldi tujhse bachkar nikla toh vo puchhne lagi ke ham aise bhaag kyun aaye. Toh maine baat taalne ke liye keh diya ke tu ek jasoos hai aur bada imandaar aadmi hai , kaafi pehchan hai teri aur agar mujhe yun tere saath dekha jata toh mera undercover hone ka bhada phoot jata. Uske baad tune koi bahut bada haath mara tha, koi case resolve karne mein aur newspapers mein teri kaafi badha chadha kar tareef ki gayi thi. Aur yahin shayad mujhse bhi galti ho gayi thi. Usne newspaper mujhe dikhaya toh maine haste hue keh diya tha ke agar tu toh aisa hai ke agar waqt pada toh mujhe bhi pakadva dega, agar maine kuchh galat kiya toh"

"Aur isi bharose usne marnse se pehle apni behan ko shayad keh diya tha ke agar use kuchh ho jaaye toh vo sidhi mere paas aa jaaye. Vaise laash ka kya kiya uski?"

"Yahin bahar dafan hai" Khan ne khidki se bahar ki taraf ishara kiya.

"Joshi ko bhi tune mara tha?"

"Haan"

"Kyun?"

"Shak ho gaya tha use mujhpar. Usne bhi vahi trail pakad li thi jo tune padki thi. Shuru shuru ke dino mein Saanwli ne mere asli number par calls ki thi, vo call records Joshi ne pull karva liye the"

"Aur jinke baare mein vo mujhse bhi baat karna chah raha tha?"

"Haan"

"Toh tune usko mara par case phir tere paas kaise aa gaya?"

"Itni toh pehchan hai meri bhi yaar. Use chalta kiya, ek do phones kiye aur uski jagah par apna transfer kara liya"

"Aur itna panic kisliye?"

"Kyunki mere hazaar baar kehne par bhi tu ye case se haath khinchne ko taiyyar nahi tha"

"Geetanjali?"

"Vahi photo jo tu dekh raha tha. Usne mujhe Saanwli ke saath dekh liya tha"

"Ye usne tujhe kyun bataya?"

"Nahi bataya tha, pehle tujhe phone kiya tha par tune uthaya nahi. Phir usne mujhe phone kiya ye batane ke liye tu meri girlfriend ko dhoondhta phir raha hai"

"Toh tu uske ghar ja pahuncha aur use chalta kar diya?"

"Haan"

"Kyun?"

"Risk nahi le sakta tha, use pata kuchh nahi tha par main loose end chhodna nahi chahta tha"

"Bijli?"

"Sharafat ki vajah se vo jaanti thi ke main Raghuvanshi hoon. Der sawer use toh marna hi tha par filhal mere kaam aa rahi thi isliye maine zinda chhod rakha tha. Par phir jab tune usse phone karke mere baare mein puchha toh uska number bhi lag gaya"

"Nisha aur uska mangetar?"

"Chahta nahi tha ke maar doon par us din hostel ke bahar main uska pichha kar raha tha aur usne mujhe dekh liya"

"Phir?"

"Phir use bhi vahi kahani sunayi jo Saanwli ko sunayi thi ke main undercover hoon aur ye sara maut ek natak hai jiske baare mein tujhe bhi nahi pata. Behla phusla kar apne saath le gaya aur phir ....." Usne baat adhuri chhod di.

"Use nahi marna chahiye tha tujhe, use nahi marna chahiye tha" Main gusse mein daant piste hue bola.

"Meri galti nahi hai, mere uper mat daal. Tere haath jod raha tha shuru se ke ye case chhod de, agar tune meri baat maan li hoti toh aisa kuchh nahi hota"

"Sahi hai. Sala drugs beche tu, gundagardi kare tu, khoon kare tu aur galti meri nikal raha hai? Ye jo phone tune mujhe diya tha ismein tracking on kar rakhi thi na? Meri calls sun raha tha? Tabhi tujhe pata chala ke maine Bijli se kya baat ki, Nisha se kya kaha?" Maine us phone ke baare mein puchha jo Khan ne mujhe dekar purana phone mujhse le liya tha.

"Haan"

"Ab? Ab kya karna hai?"

"Tere uper hai"

"Matlab?"

"Matlab ke bhool ja sab kuchh, apna munh band rakh"

"Aur acting karun ke kuchh hua hi nahi, koi mara hi nahi?"

"Haan"

"Aur mere uper jo khoon ke ilzaam hain vo?"

"Main sambhal loonga"

"Kaise? Tu toh khud mar chuka hai? Vaise ek baat bata, apni maut ka natak kaise kiya?"

"Simple tha yaar, us din sab acting chal rahi thi tujhe ye yakeen dilvane ke liye ke maine Sharafat ko uksaya aur usne mujhe goli maar di"

"Marne ka natak kyun?"

"Dohri zindagi jeete jeete pareshan ho gaya tha aur uper se tu bhi pichha nahi chhod raha tha"

"To apni asli pehchan chhodkar tune Raghuvanshi banna behtar samjha?"

"Fayda zyada Raghuvanshi bankar jeene mein tha"

"Vo laash jo samundar se mili?"

"Meri kad kaathi ka tha ek aadmi, shakal buri tarah se bigaad di thi aur post-mortem reports mein thodi hera pheri karva kar saabit kara diya ke vo laash meri hi thi"

"Tere boodhe maan baap?"

Is baat ka Khan ne koi jawab nahi diya.

"Chipku kahan hai?" Maine puchha toh usne uper ki taraf anguli uthayi ke vo bhi mar chuka hai.

"Use kyun mara?"

"Bahar khada hua tha vo gate par, aur mujhe tujhe utha kar bahar le jana tha. Use marta nahi toh kya karta?"

Kamre mein phir kuchh pal ke liye khamoshi chha gayi.

"Ab tu bol ke tune kya decide kiya hai" Thodi der baad usne mujhse puchha.

"Karna kya hai, bandook tere haath mein hai. Tu bata ke kya karna hai"

"Vahi jo maine kaha, munh band rakh apna"

"Theek hai" Maine jhooth bolte hue kaha. Is waqt agar main usse behas karta toh vo mujhe bhi maar sakta tha "Haath khol mere"

"Koshish mat karna kuchh" Kehkar vo utha aur mere haath kholne laga. Maine kamre mein chaaro taraf nazar daudayi, kuchh aisa dhoondhne ke liye jise main hathyaar ke taur par istemaal kar sakun. Vo mera dost sahi par jo usne kiya tha uske liye main use maaf nahi kar sakta tha, apna munh band nahi rakh sakta tha.

Usne rassiyan khol kar mere haath chhuda diya. Main apni kalaiyan malta hua uth khada hua aur uski aankhon mein aankhen dalkar dekha.

"Tu mera bhai nahi hai, tu vo hai hi nahi jo mera eklauta dost tha. Tu toh koi aur hai jise main maaf nahi kar sakta"

Ye kehkar maine ek saath se uska vo haath pakad liya jismein pistol thi aur doosre haath se uski gardan. Vo ek pal ke liye chaunka par phir sambhal kar mujhse bhid pada. Kad kaathi mein ham dono hi barabar the isliye kisi ek ka doosre par kaabu pana mushkil tha.

Thodi der tak ham yun hi ek doosre se bhide rahe. Vo apne pistol wala haath chhudane ki koshish kar raha tha aur main uske haath se pistol chhudane ki koshish. Ham dono ka poora dhyaan us pistol ki taraf tha aur isi khincha-taani mein vahi hua jo hona tha aur jaisa ke aksar hamari hindi movies mein hota hai, goli chal gayi.

Aur mere pet mein ja dhansi. Khan par meri pakad dheeli pad gayi aur ladkhada kar main neeche gir pada.

Main ummeed kar raha tha ke vo shayad mujhse sambhalne ki koshish karega ya kam se kam mujhe goli lagne par thoda pareshan hoga par aisa hua nahi. Maine bejaan sa neeche ja gira aur vo khada mujhe dekhta raha. Vo shayad is baat ke liye taiyyar hokar aaya tha ke agar maine uski baat nahi maani toh vo mujhe maar dega isliye mera yun goli kha kar girna uske liye koi achambhe ki baat nahi thi.

"You should have listened to me man" Kehte hue uske apni gardan inkaar karne ke andaaz mein hilayi aur palat kar kamre ki khidki se bahar dekhne laga, shayad ye pakka karne ke liye ke goli ki aawaz sunkar koi bahar is taraf aa toh nahi raha.

Maine apne haath neeche ki taraf le jakar apne joote mein phasi hui pocket pistol nikali jo ab tak vahin thi aur jo ke shayad Khan ki nazar se bach gayi thi.

"Khan" Maine himmat karke thodi oonchi aawaz mein kaha.

Vo palta, mere haath mein pistol dekhi jo uski taraf uthi hui thi aur isse pehle ke vo kuchh kar pata, maine ghoda khinch diya. Goli sidhe uske maathe se thoda neeche uski naak ke paas jakar lagi. Uska shareer jhatka kha kar pichhe deewar se takraya aur neeche ja gira.

Aur ab mein yahan pada uski laash ki taraf dekh raha hoon. Jab usne marne ka natak kiya tha tab bhi goli yun hi uske sar par lagi thi, farq sirf itna tha ke tab vo natak kar raha tha, beh raha khoon nakli tha aur uska chehra theek tha par ab maut asli hai, khoon asli hai aur uska chehra bigad chuka hai. Jo ke shayad uske zinda rehte hi bigad gaya tha, Khan se badal kar Pratap Raghuvanshi ka ho gaya tha.

Goli mere pet mein lagi hai aur black blood behkar shareer se bahar aa raha hai jiska matlab ye hai ke mere paas zyada waqt nahi hai.
 

Ashwani

Newbie
May 15, 2013
22
6
3
h3art
bhai iska pura end to likho ki wo bacha yaa mar gaya ...

agar nahi mara toh usne aage kya kiya means wo khoon usne nahi kiye kaise shabit kiya usne ,... ? aage kya hua wo bhi likho yr
 

Ashwani

Newbie
May 15, 2013
22
6
3
h3art
aree bhai mai yeh puch rha tha ki kya aditya mar gya tha yaa usne aage wo sab prove kr dia ki wo sab khan kar rha tha , agar haan toh kaise kiya yeh sab usne phir .
 

Silent_lyf

Heart's Raaz
TM Star
Sep 20, 2013
4,932
2,021
713
are sachi ek dum sachi kahani lag rahi hai...sach mein bahut achi kahani lagi...awesome writer and awesome story...
 

Silent_lyf

Heart's Raaz
TM Star
Sep 20, 2013
4,932
2,021
713
: What does a vampire fear most?
A: Tooth decay
Q: How do vampires get around on Halloween night?
A: By blood vessels.
Q: What’s the part of a restaurant where vampires don’t suck blood?
A: The non-Suckers section
Q: Why doesn’t anyone like Count Dracula?
A: He’s a pain in the neck.
Q: What does Dracula say when introduced to someone?
A: “Hello, pleased to eat you!”
Q: How do vampires drive around?
A: In their bloodmobiles.
Q: What is Dracula’s position in baseball?
A: Batboy
Q: Who is the Dracula’s super hero girl friend?
A: Bat Ghoul.
Q: What is the largest building in Transylvania?
A: The Vampire State Building.
Q: Why did Dracula go to jail?
A: Because he robbed the blood bank.
Q: What’s a vampire’s favorite feast?
A: Fangsgiving Day dinner.
Q: Why did the vampire’s lunch give him heartburn?
A: It was a stake sandwich.
Q: What do you call a dog owned by Dracula?
A: A blood hound.
 
Top