TM Debate Contest II - Mohdbinqasim vs Hans_Mukh

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
[SHADOW="1"]
Topic: Being A Single Child Is Good

Mohdbinqasim: Have to go against the topic ( Being a single child is NOT good )
Hans_Mukh: Have to go for the topic ( Being a single child is good )


Introduction:
Ap ka topic hai k kia Family may sirf ek bacha hona acha hai ya nahi. Akser family may sirf ek bacha hota hai jis k kuch faida or nuksaan bhi hain.. Is debate say hum ko yeh pata lagana hai k single bacha family may hona acha hota hai k nahi.

Hints and Tips for both contestant:



  • Being a single child is good
    • Apnay Parents ki zada attention mile gi
    • Parents ap ki almost sari khuwaish puri kar sakte hain easily.
    • you can be more close to your parents.
  • Being a single child is not good
    • Ap k sath khelnay wala koi nahi ho ga.
    • Ap apni batein kissi k sath share nai kar sakte
    • ap bahen bhai k pyar say mehroom raheingay
Please read and follow all CONTEST RULES AND INSTRUCTIONS

This Topic Will Close in 12 days ( December 17th 2010 )
[/SHADOW]
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
If you guys do not start in 24 hours, you both will disqualified... Remember u must need to answer in 24 hours.
and Do not type anything here unrelated to your topic.
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
alhamdulillah mujhe jis topic par baat karna hai.wo yeh k "being a single child is not good"inshaallah main is topic ki muqtasar wazahat karne ki har mumkin koshish karunga. aajke is maujuda daur me log apni zindagi me tarha tarha ki planning karte hue nazar aate hain.planning karna sahih hai laikin chund ek maamlaat aise hain jinme planning karna ghalat aur najayez hai.usi me se ek hai family planning log apni shaadi k baad apna first step jo lete hain wo hai family planning.aur chahte hain k unke kum se kum ya fir do ek aulad rahe.in logaon k aisa sonchne ki chund ek wajuhat hain.jo ye hain.

1. muflisi k darr se : aksar logaon ka ye khayal hota hai k jitne kum bacche rahenge utne hi masarif /akhrajat/expenditure bhi kum honge.aur unki zindagi aaram se guzre gi koi mushkil pareshani nahi hogi.

2. parwarish k naam par : aur is society me aise bhi log milenge jo paise se to maaldar aur rich person hote hain.laikin unka ye khayal hota hai k jitne kum bacche rahenge unki taaleem aur tarbiyat utne hi acche andaz me ki jasakti hai.agar ziada bacche rahenge to unpar walden ki tawajjah sahih taur par nahi rahegi.

3. fashion/apni khoobsurti keliye : aur chund log khaaskar ladkian apni shaadi k baad ye chahti hain k unke ek ya do hi bacche ho taake unki body aur figure fit rahe aur dekhne me wo khoobsurat nazar aaye.aur dosri ye k aaj k modern daur me har taraf maghribi culture ka bol bala hai.har koi usey apnane ki koshish me laga hua hai.aur is baat ko wo maayub samajhte hain k unki aulad ki tedad ziada hai.

ye chund ek wajuhat thin.jinhe maine yahan bayan kia.jo quran o sunnat ki raoshni me ghalat hai.
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
Hans_mukh failed to reply within 24 hours. For that reason, this debate is now closed. ( Unless hans_mukh and mohdbinqasim both agree to continue )
and ofcourse, Mohdbinqasim is the winner of this debate.
Good Job !!
 
Status
Not open for further replies.
Top