TM Debate Contest II - Zee-Leo vs Melody1000

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
[SHADOW="2"]Should Parents Limit Internet Access For their children under 18 years old.


Introduction:

Kia parents ko apnay bacho ki internet access ko limited karna chaiye k nahi ? sirf wo bachay jo 18 years say kaam k hon...

Melody: Should go against the topic: "Parents should not limit internet access to their teenage kids
Zee_leo: should go with the topic: "Parents should limit internet access to their teenage kids"


Hints and Tips for both contestants:


  • Parents should limit internet access for their kids:
    • may visit pornographic web pages
    • cant concentrate on their studies
    • may be bad for their health
  • Parents should not limit internet access for their kids
    • Can build self awareness/esteem
    • they socialize more and build skills
    • can learn new stuff on their own


[/SHADOW]
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Assalam Walaikum .. Thanks Don for chose this Topic for us .. First of All internet is a good and useful invent but ye under 18 age ke lye bilkul theek nahi hai . coz under 18 ke kids internet kisi study ke lye nahi balkey sirf fun aur games ke lye use kartey hain thats why un ki study mutasir hoti hai . is ke ilawa aur bhi is ke buhat se negative effect hain jo main time to time post karon ga
 

melody1000

TM Star
Nov 13, 2008
1,085
644
813
Bangalore,India
Hi Zee leo…I don’t agree with that internet is used by children for only fun & games & is a cause for not studying sufficiently. In fact I can say with absolute certainty that kids also use internet to research data for their school projects. I have noticed especially in schools in Bangalore, a lot of importance & marks is given to project work that needs to be done at home. For this purpose kid spend extensive amount of time in collating, reading & accordingly putting together their project from information found through the internet. If one guides the children & tells them the pros & cons of using the internet, the kids of today are intelligent & mature enough to follow their parent’s advice. They understand that sitting for hours together in front of the laptop/desktop has health hazards like affecting eyesight, RSI etc.
I strongly feel that internet is one of the best mediums of communication & helps children assimilate & evolve.
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
hmmm i am disagree .. coz jaisa aap ne kaha ke kids faida utha saktey hain apni study ke lye but woh practically bilkul dul ho jatey hain.. woh apni studies ke lye sirf internet ki searching ko follow kartey hain jis ki waja se us ka negative effect ye parta hai ke woh practically kuch nahi kar patey mean pehle ke zamaney main jaise notes waghera log khudh se tayar kartey thay aur apna skill khudh use kartey thay toe aap unki study skills dekh sakti hain . aur aap baat jo kar rahi hai woh teenage se oper atey hain so aap teenagers ki baat karen kindly . is ke ilawa aik baat aur ke yahan baat sirf banglore ya pecific kisi world ke part ki nahi ho rahi ye baat generally ki ja rahi hai . so is ke nuqsanat buhat hain . sub se bara nuqsan ke agar parents us ko internet facility provide karte karte achanak se internet facility provide na kar payen then woh kya karey ga ? us main toe itney skills he nahi honge ke woh khudh apni madad se kuch kar paye coz usko toe internet se free main sub ko just aik copy paste karney se mil raha tha in past . so ye zyada suitable hai ke kids ko practical life ke barey main samjhaya jaye . internet ka usage aik limit tak theek hai . is ke ilawa aur bhi buhat kuch hai kehne ko nows its ur turn .. Thanks
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
and one thing more ke aap kids ko kabhi mature nahi bol sakti hain so i denied ke kids aaj kal ke mature ho gaye hain . so teenagers mature nahi hotey unko har lamhe postive advive ki zaroorat hoti hai aur un main se 80% ko advices under 18 nahi balkey after 20 he samajh ati hain .. thats it till now
 

melody1000

TM Star
Nov 13, 2008
1,085
644
813
Bangalore,India
Aap ne galath samjaye jo maine kaha. I gave banaglore just as an example;Computer science has become a compulsory subject in schools practically world over. Today, we find computers in use everywhere, whether we go to reserve a train ticket or to a Bank. This is because it is faster and helps us complete our work without mistakes/errors. So Parents too have realized the need to help their children develop strong computer skills.
When I said kids are mature, it was in comparison of how we were as children at their age. I’m sure you would agree that kids nowadays are much smarter & mature than what we were when we were young. This is mainly due to information exposure that they receive.
One benefit of the computer age is that children are becoming smarter. They are growing up computer literate and will have that as a huge advantage. Computer literacy is becoming a huge job qualification and feeling comfortable with one will put them a step ahead

I think today kids know more than before. Children can use internet to get the information needed for their research that could take a month or so 10 years ago...so in effect its saving time. Having a multimedia library at your fingertips is the future. Those whose brains cannot adapt will fall behind. I tend to think that the internet is akin to having the world’s largest library at your fingertips; and nobody has ever slammed libraries for diminishing our cognitive abilities
The internet enables us to learn about so many things that we would never be able to learn about without it. Websites such as wikipedia.com are educating a whole generation of children about chemicals, the environment, history and more
A few decades ago, Reading hard copies of encyclopedias, which were proven to be dead wrong on many subjects, had no benefit to the quality of thought. There are just as many "deep thinkers" today as there were three decades ago - it is a human condition to question everything. Technology is simply a tool
The internet gives us the ability to access information very quickly and from a multitude of sources. It's not going to go away. Schools and parents should become proactive and teach students how to do good, solid research on the internet. Sure, most of it is junk, but, who better than us as the adults and our dedicated teachers to teach our kids how to use such a wonderful tool responsibly
We live in an increasingly technology-based society. Children need to be prepared to enter a workforce and a world in which computers are a focal point of everyday life. There are several benefits of children using computers both in the classroom and at home
 
  • Like
Reactions: Nelli

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Hey Melody how r u???.. well nice going but sorry to say aaj kal ke kids hum se sirf batoon main fast hain in practical life woh kuch nahi even ke they dont have good behaviour and they dont know how to speak wid elders aur na elders ki izzaat karna unko ati hai i know ke its depend on parents ke how they teach them but yahan main majority ki baat kar raha hon. i said here ke aaj kal ke kids internet ke usage ki waja se buhat si activities bhool chukey hain jo ke humarey zamaney mean past 10 to 15 years ago huwa karti thien mean out door games like cricket, foot ball etc .. ub aaj kal ke kids internet pe online games kheltey nazar atey hain .. jis ka sub se bara negative effect unki health pe par raha hai ..agar woh game na bhi khelen toe screen se nikalney wali rays ki waja se unki eye sight buhat effect hoti hain . sath main outdoor games na khelne ki waja se unkey stamina pe kitna bura effect hota hai unkey zyada bethe rehne ki waja se woh lower age main he body pains ka shikar ho rahe hain .. aap baat karti hain fingertips ki toe kya humare zamaney main students kabil nahi huwa kartey thay ? us waqt toe internet facility invent bhi nahi huwi thi? yes us waqt internet facility etc koi cheez unko ya humen available nahi thi. but they do everything with own minds .. woh mehnat kartey thay with his own hands n mind not with just fingers . agar internet under 18 kids ke lye itna he positive hai toe aaj ke daur main humen Mr Gandhi aur Mr. Muhammad Ali Jinnah jaise log kyon nazar nahi atey? so yahan aap ki baat clear hoti hai ke achi study ke lye internet out of limit zaroori nahi ye zaroori nahi ke woh har cheez just internet se he gain karen.. achi studies ke lye kids ko apni ability bhi show karna parti hai jo ke humarey zamaney ke students kya kartey thay .. just aap ye samajh len ke aaj kal ke kids ko paka pakaya halwa mil gaya hai khaney ke lye in a shape of internet thats why woh mehnat se dil churatey nazar atey. aap ne buhat si websites ke name bataye i agree ye sub buhat achi sites hain . but again ke in ka zyada usage kids main khudh se kuch karney aur especialy kuch samajh ke karney ki ability khatam kar deta hai aaj kal ke kids no doubt jantey sub hain but jab khudh se kuch karney ka time ata hai toe woh practicaly fail nazar atey hain because they want everything soon. i know ke hum jis time se guzar rahey hain its very fast time jis main terha terha ki invention samney aa chuki hain but i wanna repeat again ke everything suitable on suitable time so in invention ka theek usage after 18+ he ho sakta hai before 18 inka usage in limit he theek hai aur internet ka limits main usage he kids ko in future perfect bana sakta hai jis main is facility ke sath baki sub cheezon ka bhi samjhaya aur sikhaya jaye jaise aaj se 10 to 15 years ago humen samjhaya aur sikhaya gaya is terha kids har terha se perfect honge in every way aur agar woh sirf har waqt internet he use kartey rahey aur is aik he facility se faida uthatey rahey toe woh baki sub cheezon se daur ho jayen ge jo unko in future perfect bananey ke lye zaroori hain.. now kuch aur negative effect of excess of internet facily below 18 ages kids ke aaj kal ke kids real life main jitney friends nahi banatey us se zyada unkey net pe friends hotey hain jin ke sath woh just chill and fun kar ke time pass kar rahey hotey hain on different types ki social networking websites for example facebook jaisi site aap ke samney hai .. agar aap us pe survey kar chuki hain toe aap dekh sakti hain ke wohan under 18 kitney boys n girls maujood hain . they are doing studies there??? many sites not allowed kids under 18 for use social networking websites or else.. but phr bhi they are using this type website .. this is my personal experience . is ke ilawa bhi aap ko different chat sites and messengers pe majority teenagers ki he nazar aye gi .. is terha kar ke woh just time waste kartey hain nothing else. one big negative effect pornography aap ne example banglore ki di toe main bhi aik example de don ke in an international survey report abount pornography usage.. we are on Top list jo ke pornographics webs main interest letey hain.. and for ur kind information us main se majority in hee Teenagers ki hai.. we all Know ke ye kitna wrong hai for kids and everyone so ye bhi aik big reason hai jo aaj kal ke kids khudh ko mature zahir karney ki koshish kartey hain because today they know about this before right time jis ki waja se aaj kal ke 18 years old kids ko bhi ko kids nahi kehta. internet facility invent honey se pehle kabhi hum main ye burayan maujood thien? nooo... its just beacuse of non limit usage of internet in wrong age .. so thats why we need to teach our kids for use this useful facilty in proper way and in limit.. woh kya hai na ye humarey zamaney main he kisi ne quote kahi thi ke .. excess of everything is bad .. so i disagree still ke in under 18 ages kids ke lye no limit internet facility suitable nahi hai.. so its must ke parents un ko internet facility aik limit main he provide karen jitni un ke liye zarori hai for studies or etc coz out of limit koi cheez ya invention theek nahi. aur is ka sub se bara benifit ye hoga ke kids main confident aye ga and khudh se kuch karney ki ability jis ki aaj kal ke kids main buhat kami hai. in last now for tonight ke .. OLD IS GOLD ..
 

melody1000

TM Star
Nov 13, 2008
1,085
644
813
Bangalore,India
Hi Zeeleo..I’m doing good thank you.
Ek baat baataye aap bacchon ke buriyan kyon kar rahein hain…aap ki beginning paragraph se aise muje mehsoos ho raha hain.
Yahan per topic sirf internet ke favor or against hain with respect to children …aur kuch nahin.
Having said that…to respond to your points which I feel are debatable:
1. suitable time so in invention ka theek usage after 18+ he ho sakta hai before 18 inka usage in limit he theek hai aur internet ka limits main usage he kids ko in future perfect bana sakta hai jis main is facility ke sath baki sub cheezon ka bhi samjhaya aur sikhaya jaye jaise aaj…
Do you know the capacity to learn & absorb is far better when the child is young rather than when they become older. The ability to grasp is better when one is young. As a person grows older, it takes a bit longer to start from scratch & learn.
2. agar woh sirf har waqt internet he use kartey rahey aur is aik he facility se faida uthatey rahey toe woh baki sub cheezon se daur ho jayen ge jo unko in future perfect bananey ke lye zaroori hain…
I have already said, internet should be used but in moderation…anything in excess would have side effects
3. Pornographic web mein…. hain because today they know about this before right time jis ki waja se aaj kal ke 18 years old kids ko bhi ko kids nahi kehta. internet facility invent honey se pehle kabhi hum main ye burayan maujood thien? nooo... its just beacuse of non limit usage of internet in wrong age .. so that’s why we need to teach our kids for use this…..I don’t agree cause Even before web…pornography existed by way of magazines etc…children then were looking at such magazines and getting corrupted
I have already said that internet usage should be in moderation and we as parents must guide them on the ill effects so that they make the right choice to use the internet in the best manner possible.
Computers help children to be in control of their experience, to set their own pace, and to select the level of challenge with which they feel comfortable.
Computers help children to use all of their senses to extract information. Computers fascinate kids and can draw their full attention, which often results in a deeper focus and concentration.
Computers enable children to learn through creating, just as they gain hands-on knowledge and understanding when they build forts, make up stories, and paint, increase their skills
As they master computers, children build positive attitudes toward technology that will pay dividends for the rest of their lives.
The Internet is an unparalleled achievement in knowledge storage, and also grants that it may be making some parts of our thought processes stronger. "Probably our ability to shift our ... visual focus among lots of different things on a screen, can be improved by our use of the web,"
I think it’s all about balancing. We can enjoy the advantages of the internet but with self-control. If we can't limit ourselves to our plan, whose problem can it be? And we have to use the internet ONLY to the extent we have to ... being aware that the internet cannot finish our entire job that requires our own brain and not the computer's! WE HAVE TO CONTROL THE INTERNET NOT THE OTHER-WAY ROUND!
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
me also fine .. lolzz no melody i love kids . main unki nahi internet ke woh bad effects show kar raha jo internet ke out of limit usage ki waja se un main hain .. anyways aap ne khudh he accept kar lya ke limit main he sub cheez theek hai toe aap meri baat ub tak kyon accept nahi kar rahi hain???

We can enjoy the advantages of the internet but with self-control. If we can't limit ourselves to our plan,

and something more from ur own words

I have already said, internet should be used but in moderation…anything in excess would have side effects

so mera jo jawab tha woh toe aap khudh se bhi de rahi hain? mean ke u 100% agree wid me ke internet ka zyada usage theek nahi???

now aap baat karti hain about pornigraphy ke magazines se bhi hoti hai so internet humarey zamaney main nahi tha ub hai ,, but humarey zamaney main bhi aise magzine huwa kartey thay but us waqt aisi reports kyon samney nahi aaien?

khair main filhal itna he kahonga coz aap ne ub khudh he accept kar lya hai ke internet aik limit main use kya jaye toe theek hai . DON note this point plz . Thanks Melody :)
 

melody1000

TM Star
Nov 13, 2008
1,085
644
813
Bangalore,India
hello...aap galath samaj baiten ho....my topic is "Parents should not limit internet access to their teenage kids"

no where have i said that as parents we should limit internet access...which means limiting time and laying down strict rules on what they can access and what they cannot...pls read all my responses carefully.

all that i have said that we need to guide them on the ill effects so that they make the right choice to use the internet in the best manner possible..that does not mean we are limiting them..just giving our advice & then leavin them to take their own desicion.

with respect to your question...
now aap baat karti hain about pornigraphy ke magazines se bhi hoti hai so internet humarey zamaney main nahi tha ub hai ,, but humarey zamaney main bhi aise magzine huwa kartey thay but us waqt aisi reports kyon samney nahi aaien?

the answer is because now they depend on technology to conduct mass surveys which has reach to a far larger number of people than in the olden days where such technology/media was not available and they had to depend on manual surveys which was more difficult to do!!
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Assalam Walaikum Melody How r u?? ok i understand ur point of view shayad aap ko laga raha hai ke meri samajh main nahi araha but aisi koi baat nahi hai anyways .. aap under 18 kids ko Limit cross kar ke internet ki facilities use karney ke haq main hai sath main un ko strict bhi kar rahi hain ke woh ghalat activities main na paren thats good but what u say about this ke Jab Internet nahi invent huwa tha toe kids khudh apni mehnat ke saharey se sub kuch kya kartey thay but ub jaisa ke sub kuch buhat easy ho gaya hai toe Kids mehnat se Dil churatey nazar atey hain main majority ki baat kar raha hon so yahan tak baat clear now agey unki is terha hud se zyada internet usage ki waja se unki outdoor activities bilkul khatam ho gaien hain jaisa ke pehle main bata chuka hon games etc waghera.. jis ki waja se unki health pe kitna wrong effect huwa hai.. is ka hal kya ye nahi hai ke unko internet ke usage ke sath baki dosri activities ke lye bhi bola jaye aur aik time period bana ke de dya jaye aur routine ke itna kaam aap ne internet ki help se karna hai aur itna apni akal se ya khudh se ?? is terha se jab woh theories ratney ke sath sath practical bhi sath main karenge toe un main confidence peda hoga ke woh khudh se bhi kuch kar saktey hain aur zaroorat parney pe in limit main reh kar internet se bhi faida hasil kar saktey hain agar hum har kam ke lye unko finger tips ka sahara lene ka mashwara denge toe woh sirf utna he knowledge hasil kar saken ge jitna unko internet se hasil ho raha hai chahey zyada chahey kam ok is terha se woh har terha se perfect ho jayen ge . aisa har koi chahta hai ke unka kid jab 18+ ho toe us ke pass har terha ki knowledge ke sath practical life main khudh ko prove karney ka har woh kaam ata hon jo kisi bhi perfect person main hota hai. aap ne baat ki thi ke aaj kal ka zamana fast hai technology ka daur hai toe woh kid jo sara waqt internet pe surf karta hai us ko bahir nikal ke khudh apni ankhoon se dekhna chaye ke dunya main kya ho raha hai aur kaise ho raha hai aur kis terha se ho raha hai. internet ke zyada se zyada usage se woh knowledge zaroor hasil kar saktey hain magar woh knowledge kis kaam ka jab woh khudh us pe theek se amal na kar payen . aik example bhi dena chahta hon ke aik glass hai us main aik limit hoti hai jitna water etc us main aasakta hai us se zyada agar us main bharney ki koshish karenge toe woh chalak jaye ga aur zaya ho jaye ga same like kids un ko under 18 age main utni he knowledge ki zaroorat hai jitni un ke samajh main asakey aur phr jin pe woh amal kar saken . un main itna knowledge aney ka kya faida jis ka woh in future faida he na utha saken. so un ko behtar tareeke se samjhana chaye ke internet ke sath aur bhi buhat si activities hoti hain takey woh apni studies ya kisi bhi kism ke issue ka solution internet ke sath sath apne ass pass friends books etc se hasil karey. is terha un ki relationship aur coordination wid friends bhi achi hogi aur woh kisi bhi issue ko behtar tareekey se samjhey ga aur us ko solve karney ke kabil bhi ho jaye ga.

ub 2nd aap ne kaha ke in past technologies na hone ki waja se is terha ki mean pornographic etc type ki reports samney nahi ati thi. but is ka matlab ye toe nahi huwa ke jab internet nahi tha toe us waqt electronic media toe moujood tha magar us waqt aisi koi report kaheen nahi nazar aai. well ye nahi kehta ke past main aisa nahi hota tha. hota hoga but agar pehle ye sub 30% hota hoga toe ub ye sub internet ke misuse ki waja se 60% tak ho gaya hai jis ki sub se bari waja yahi hai ke kids apni internet usage ki limit cross kartey ja rahey hain aur jis report ki maine example di thi un main majority kids he hain. but maine ye example sirf explanation ke lye di hai 30 or 60% ok..maine ub tak jitni baten ki hai majority ko samney rakh kar ki hain ub bari ati hai diseases jis main eye side ka effective hona, body main pain rehna aur confidence main kami bhi aik bimari he hai etc in sub diseases pe us waqt he control kya ja sakta hai jab tak aap kids ko aik limit main reh kar internet ki facility use karney ka mashwara nahi denge. har kaam ke lye waqt hota hai so is waja se unko aik limit main internet provide kya jaye takey woh baki dosri problems ke sath sath in diseases se bach saken. agar aap un pe strickly apply karen ke chat na karoo, fazool webs pe na jao etc toe ye parents ka farz hai magar in diseases se interent ko limit main use karney ka mashwara de kar he kam kya ja sakta hai. so at now maine reply de dya ub aap ki turn hai thanks
 
  • Like
Reactions: Nelli

melody1000

TM Star
Nov 13, 2008
1,085
644
813
Bangalore,India
Hi Zee leo..maine wapas yeh stress karna chahati hoon ki kissie ko bhi zyada restrict karoge ya discipline enforce karoge, tho result ulta hi hoga…children are a bit rebellious nowadays & it’s best to advice & guide them & then leave it to them to arrive at what is right or wrong. In this was you are enabling them to be more responsible & understand the pros & cons. strict enforcement only results in defiance, a feeling that parents don’t trust them & a need to rebel. No child would be so foolish to sit in front on the internet all day long as if you were to try it as adult, would agree that it’s actually quite impossible to sit all day long. They are not solely dependent on internet but use it to facilitate & gather information in addition to what is available to them via their text books etc. They do play outside & enjoy the usual childhood activities. In fact more than the internet, I think people get attached to the TV programmes.
With respect to your point that they need to also experience life to be able to lead it in the best manner, that they are already doing so every moment of their lives. Children are like sponge & absorb all that is going around them be it at school, around their families or friends in their day to day lives.
Yes technology is here to stay…if we were to argue on your point whether people during our time or of our forefathers were less intelligent because they didn’t have the internet. I would say each age has its benefits & disadvantages. We have to move with time else we get left behind.
If inventors in the past had not invented the airplane we would be going by ship/boat which takes months to move from continent to continent. These are all evidence of inventions & progress…mankind is constantly looking for ways to better their lives & uses whatever tools available to facilitate this be it information gathered from internet or practical tests conducted whilst experimenting. All that I’m saying is use technology to your best advantage & have faith in your children who are the maker’s of the future to be able to make the right decisions to move ahead.
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Hey melody kaisa hai aap ka headache ?? hope u feel better inshallah anyways aap ne ub ye kaha ke

maine wapas yeh stress karna chahati hoon ki kissie ko bhi zyada restrict karoge ya discipline enforce karoge, tho result ulta hi hoga

aur is se pehle pichli posts main aap keh rahi thien

i said that as parents we should limit internet access...which means limiting time and laying down strict rules on what they can access and what they cannot

ok jab parents unki activities pe nazar rakh saktey hain toe jab bhi bachey aitraz kar saktey hain toe phr kyon na unki internet use karney ki timming pe bhi nazar rakhi jaye .. anyways aap ne mujhe ye nahi bataya ke jo internet usage ki waja se choti si age main kids main diseases peda ho rahi hain unka kya solution hai . is ke ilawa aur bhi buhat kuch pocha tha maine but aap ki taraf se ub tak kuch questions ke ilawa baki sub ka koi proper jawab nahi mila mujhe .. aap se ye bhi pocha tha ke agar unki aik routine bana di jaye ke kis time kya karna hai toe kya behtar nahi hoga kids ke lye . khair i have no more questions this time aap pichley questions ka answers aur jo maine solution bataye thay us pe kuch bol sakti hain toe bolen kyon ke phr woh baten peeche reh jati hain jo main bol ke jawab mangta hon Thanks and kindly come on time on this thread coz aap ne 24hours tak thread pe koi posting nahi ki thi .. i think u know the rules. take care . waiting for ur answers
 

melody1000

TM Star
Nov 13, 2008
1,085
644
813
Bangalore,India
zee..i think u should realise im in india...i posted yday nite and then again i will check in the eve....i cant be online during day coz im working. not sure which time zone you are in ???
anyways...i have responded to all your points in detail except for the health issues which normally happens with over use or doing things in excess. As stated in my earlier responses by telling them the harmful effects and consequences you are not only making them aware of the potential risks but also empowering them by allowing them to make the choice on how to use the internet effectively by avoiding potential dangers. I rest my case as i feel i have covered all the points & responded to your queries as well.
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
well not in days or night .. maine yahan kaha tha aap 24 hours guzzar janey ke baad reply kar rahi hain toe DON ko action lena chaye jaise dosrey debates main huwa . i have also many problem but main bhi time nikal ke ata hon yahan coz main rules follow kar raha hon and i think today DON waise bhi humara ye debate thread closed kar denge.. and i am still not agree mujhey kaheen bhi aap ki wazahat nahi mili jo pocha maine aap ne us ka 100% positive ans nahi dya mujhe well aisa mujhe laga . aur ye diseases se bachney ke lye internet limit main he use karna hoga is ka koi aur hal nahi kids ko bataney se ye problems daur nahi ho sakti hain jab tak us pe amal na kya jaye aik taraf aap ko har cheez aur baat ka solution net pe nazar ata hai aur dosri taraf aap sub kuch khudh he limits main karwaney ki baat kar rahi hain no idea which way u going ok thanks melody buhat acha laga aap se baat kar ke. in positive way main kahoon ga haar jeet toe har jagha hoti rehti hai but meri knowledge main bhi kafi izafa huwa aap ke sath is topic pe baat kar ke aur mere apney bhi buhat se views khul ke samney aye ... now waiting for result
 

melody1000

TM Star
Nov 13, 2008
1,085
644
813
Bangalore,India
sorry if you feel that i havent answered your queries zeeleo...i guess don would have to be the best judge of that.
yes i too felt that you shared a lot of points and it was a great sharing experience both ways. Now let's leave it for Don's desicion. my intent was to participate and i'm glad that i did.
 
  • Like
Reactions: Nelli and Zee Leo
Status
Not open for further replies.
Top