tm love story contest

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
aj mujhe pata chala mera shgird to mujhse bhi agey nikal gaya :)
kasam se jab me ye perh raha tha jab shoiab ko hospital l ker gae k shoaib bach jaega..wo bach jae bas :(
or dono mil jain..per tumari story ne tumare ustad ki ankhein num kerdi dost :(
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,100
10,427
1,313
39
Karachi
@adi :Thank you so much ustad jee ki tareef he mera sub se bara inam hai :D such bataoun yeh story likhte waqt mere bhi bohat aansoo bahe hain :(

@noor bhai thanks so much

@RA : THANXX SISoo

@US jab mein yeh story likh raha tha tub sub manzer meri aankhon ke samne tha aur meri dua hai keh Allah kisi bhi pyar kerne wale ko juda naaa kare aur such to yeh hai keh mujhe lagta hai yeh zalim maut kisi ko nahi dekhti keh hum us se kitna pyar kerte hain bus hum se cheen leti hai :(
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Vaise Saba koi tha ,hai bhi ya buss awie name diya ?? :| anyways
hmmmm good effort and dreamy tha...
what should I say end was really sorrowful...
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
@adi :Thank you so much ustad jee ki tareef he mera sub se bara inam hai :D such bataoun yeh story likhte waqt mere bhi bohat aansoo bahe hain :(
hihi koi baat nai ansun ane ka matlab hai k hum insan hain dost,humare dil me bhi dard hai,:)but pata nai kuch logun ko allah tallah hidayat de jo din dihare kis ki jaan le lete hain or peshani per bal bhi nai ata....:(
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,100
10,427
1,313
39
Karachi
Thanks sabah sisoo aur saba koi bhi nahi hai woh character to mere mind ki creation hai busssss. . . .

---------- Post added at 09:46 PM ---------- Previous post was at 09:42 PM ----------

@ Adi bhai Aameen suma aameen her shaks ke sath bohat si life juri hoti hai isi lea to kaha gaya hai keh aik shaks ka khoon pori insaniat ka khoon hai aur aik baat bataoun jab bhi mera dil bohat udas hota hai to mein aisi he stories likhta hon in my diary. . . . :) aur ager woh diary koi perh le naa to us ka heart attack paka. . . . :D
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,205
24,155
1,313
Hi dosto meri kahani ka naam hai

Adhoori Muhabbat

Yeah kahani hai Shoaib aur Saba ke suche pyar ki yeh pyar adhoora kyon reh gaya is ke lea aap ko pori kahani sunata hon. Yeah

baat hai us waqt ki jab Shoaib 16 saal ka tha aur saba just 15 years ki. Shoaib aur saba aik he school mein perhte the aur

woh shoro he se bohat ache dost the per unhe kabhi feel nahi hua keh un ke dil mein pyar hai woh to bus itna jante ke woh ik

dosre ke bina naahi reh sakte. ager dono mein se koi aik chutti ker leta to dosra sham mein us ke ghar mein hota us ki tabeat

kharab hoti to us ke ghar waloun se zyada pareshan hota aur us ke lea sub kuch kerne ko tyar rehta tha.

Shoaib aur saba aik he class mein the lakin saba perhae mein kuch kamzoor the woh akser he disheart raha kerti the aur Shoaib

se kehti Shoaib is baar to mein fail ho jaoun gi mujhe fail hone ka der nahi per phir hamari classes bhi to alag ho jayen gi

naaa shoaib us ki masoomeat pe hansa kerta jis se woh naraz ho jati aur phir shoaib kisi na kisi tarah use mana he leta.

aur Shoaib us ki study mein her tarah ki help ke lea tyar rehta tha.

aik baar to us ne saba ke lea apna aap ko daaaooo pe laga dea tha woh english ka paper tha aur saba ki tyari achi naa the aur

teacher ne bhi kuch hard paper banaya tha per Shoaib ki tyari achi hone ki wajah se wo paper perh ke khush ho gaya per saba

ke chehre per dukh dekh ke us ki khushi pareshani mein badal gayi aur Saba us ke sath wali bench pe sir paker ke bethe the

aur Shoaib ne saba ko kaha ke apni copy mujhe de do aur saba se us ki copy li aur us ki copy mein sub answers likhne laga aur

apni copy saba ko de di. aur Saba heerani se dekh rahi the aur us ne Shoaib ko bohat mana kea per teacher ke der se ooncha

bol bhi nahi sakti the.... Shoaib ne two hours mein he Saba ki copy mein sub answer likh ke use wapis de dea. aur phir apni

copy le ke start kea per sare answer complete naaa hoe the keh teacher ne sub se copy wapis leni start ker di.... aur us se

bhi copy le li.... us din Saba ko feel hua keh Shoaib ki dosti sirf dosti nahi hai.... kuch berh ker hai aur Shoaib ko bhi

feel hua keh mein is larki ki pareshani dekh ke kyon sub kuch bhool jata hoon... aur pehli baar dono ko ehsaas hua keh shahyd

woh anjane mein ek dosre se beinteha pyar kerne lage hain.....

Saba us din ke baad se Shoaib se naraz ho gae kyon keh woh janti the keh us ke lea shoaib ne apna paper chor dea aur woh yeh

bhi janti the keh us ke ghar wale study ke mamle mein kitna strict hain. Woh nahi chahti keh Shoaib ko koi bhi kuch kahe. aur

wahan shoaib us ke lea bechain ho gaya tha keh akhir saba mujh se baat kyon nahi ker rahi aur is doran paper khatam ho gae aur aik din school se wapisi per Shoaib ne Saba ko ek letter dea keh tum mujh se baat naa kero lakin plzzzz isss perhe bagher mat pharnaa... Saba ne woh letter le lea per us ka dil bhi zooron se dharak raha tha. us ne ghar aate he apne room mein aa ke room ko lock kea aur us letter ko nikal ke perhne lagi. Us mein Shoaib ne apne dil ka sara hal likh dea tha aur akhir mein likha tha Saba mein tumhare bina nahi jee sakta mein tum se bohat pyar kerne laga hon aur mein tumhare lea sub kuch ker sakta hon kyon ke mein tumhe pareshan nahi dekh sakta....

bus Saba phir khud ko naa rok pae us ne phone uthaya aur Shoaib ka cell milaya to woh off ja raha tha phir us ne Shoaib ke ghar ka number milaya to us ki Aapi ne uthaya to unho ne bataya ke Shoaib to abhi tuk school se wapis he nahi aayaaa hai... aur woh log bohat pareshan hain aur Mummy Papa us ke school gaye hoe hain.... kyon ke un ke ghar se school just half an hour ke walking distance pe tha aur woh dono bhi pedal he jaya kerte the akser. aur us ne Shoaib ko khud School se nikalte hoe dekha tha... aur Saba ka sir chakrane laga. Us ko kuch samajh nahi aa raha tha kya kare woh apne room se bahir aae table pe us gari ki chabbi dikhi us ne woh chabbi uthae gari nikal ke school pohanch gae wahan pe use Shoaib ke Mom aur Dad bhi khare hoe mile. Per unho ne baataya keh chookidar keh raha hai ke Shoaib to kafi deer hoe yahan se chala gaya hai aur woh apne dost Ali ke sath bike pe gaya hai.

woh log ghar wapis aae aur Shoaib ke sub ko friends ko call ki aur Ali ka number bhi nahi mil raha tha phir Shoaib ke friend se Ali ke ghar ka number lea to aur ghar pe phone kea to pata chala Ali bhi ghar nahi pohancha to aub sub ke paoun ke neeche se zameen nikal gayi. Shoaib ki ami behosh ho gae aur Saba ko to jaisa sakta ho gaya woh kuch bhi nahi bol rahi the. Shoaib ke Dad aur Ali ke Papa police station gaye aur gumshudgi ki report likhwae. aur khud bhi pore town mein dhoondne lage....phir achanak un ke ghar pe phone aaya ke School se do kilometer door un ki bike mili hai aur un ka accident ho gaya hai aur dono ko Shiffa hospital le gaye hain....

woh sub log jaldi se hospital pohanchte hain to wahan bethe shoaib ke friend Ihtesham se un ko pata chalta hai keh Ali aur Shoaib apne dost se milne ke lea ja rahe the keh un ko aik over speed car ne taker mar di Ali aur Shoaib ke bohat gehri choote aae hain.... aur woh operation theater mein hain.... thori der baad doctor se pata chalta hai keh Ali ki tabeat aub out of danger hai per Shoaib ka bachna mushkil hai kyon ke Shoaib ke sir pe bohat gehri chot aae hai... aur after an hour Doctor bahir aa ke jawab de dete hain keh shoaib aub is dunya mein nahi rahaaaa............

aur sham tuk shoaib ki lash ghar aa jati hai aur wahan ghar mein qayamat ka sa saman hota hai aur her aankh mein aansoo hote hai per wahan he saba bhi hoti jis ki aankh mein aik bhi aansoo nahi hota hai aur woh to palak jhapkae bhager shoaib ka face dekh rahi hoti aur us ko to kuch bhi yaqeen nahi aa raha hota. use to yaqeen hota to shoaib ki is baat pe keh Saba mein tumhare bagher nahi jee sakta aur mein tumhare lea sub kuch ker sakta hon...aur mein tumhe pareshan nahi dekh sakta..... aur use to yaqeen hota hai keh aaj bhi shoaib uthe ga aur kahe ga arey yaar mein to mazak ker raha tha saba chalo hans ke dikhao.

per aisa kuch bhi nahi hota aur jab shoaib ko dafnane ke lea sub le ke jate hain to saba ko koi hosh nahi hota aur woh behosh ho jati hai aur use char din baad hosh aata hai to woh hospital mein hoti hai aur woh sub kuch kho chuki hoti apne dost ko apne pyar ko apne sathi ko jis ke sath he us ne apni sari zindagi ko socha tha bus aub us ke pass kuch nahi raha tha siwaeee yaadon ke yaaa aik Adhooori Muhabbat ke....

Usne zindagi mein jo mera saath na diya,
shayad uski bhi koi majboori theee...

Bewafa to woh ho he nahi sakta Saba,
shayad meri mohabbat hi adhoori theeee...​
masha Allah :)
bohot achi khoshish bro

waise ye to bas apne soch kar likha hai na
to ek naam apka khud ka diye hain aur wo dusra naam kiska hai
 
  • Like
Reactions: *SHB*

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,100
10,427
1,313
39
Karachi
Thanks saviou bhai woh naam bhi us waqt mere mind mein aa gaya aap ne woh novel perha hai meri zaat zara be nishan us novel mein main character saba ka he hota hai bus woh he mind mein aa gaya aur boy ka naam to mein ne apna he use ker lea. . . . :)
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
wow mairi zaata zarra_e_benishan my favourite novel

par bhaya abhi jaing is lie aap ki story aadhi parhi INSHAALLAH
kal poori parh k bataoongi :)
 
  • Like
Reactions: *SHB*

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,205
24,155
1,313
Thanks saviou bhai woh naam bhi us waqt mere mind mein aa gaya aap ne woh novel perha hai meri zaat zara be nishan us novel mein main character saba ka he hota hai bus woh he mind mein aa gaya aur boy ka naam to mein ne apna he use ker lea. . . . :)
acha masha Allah

nahi hamne to nahi padha wo novel

lekin aapne acha likha hai writer ban sakte hain aap balke bangaye :)

---------- Post added at 08:20 PM ---------- Previous post was at 08:19 PM ----------

wow mairi zaata zarra_e_benishan my favourite novel

par bhaya abhi jaing is lie aap ki story aadhi parhi INSHAALLAH
kal poori parh k bataoongi :)
itna buzy hain aap k adhi story padh kar ja rahe ho

pehle se uska topic hai adhuri mohabbat aap ne usko aur adhuri karke chor rahe ho :)
 
  • Like
Reactions: *SHB*

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,100
10,427
1,313
39
Karachi
wow mairi zaata zarra_e_benishan my favourite novel

par bhaya abhi jaing is lie aap ki story aadhi parhi INSHAALLAH
kal poori parh k bataoongi :)
ok behnaaaaa mein wait keron gaaaa...... Allah Nigheban.... :)
[/B][/I][/SIZE][/COLOR][/FONT]
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
Thanks sabah sisoo aur saba koi bhi nahi hai woh character to mere mind ki creation hai busssss. . . .

---------- Post added at 09:46 PM ---------- Previous post was at 09:42 PM ----------

@ Adi bhai Aameen suma aameen her shaks ke sath bohat si life juri hoti hai isi lea to kaha gaya hai keh aik shaks ka khoon pori insaniat ka khoon hai aur aik baat bataoun jab bhi mera dil bohat udas hota hai to mein aisi he stories likhta hon in my diary. . . . :) aur ager woh diary koi perh le naa to us ka heart attack paka. . . . :D
hihi SHB inna mat sad ho...ustad hia na no tens buddy :)
 
  • Like
Reactions: *SHB*

Sit@ra

Newbie
Jul 2, 2010
766
156
0
Me ne ap ki story parhe bohat acha likha hai ap ne sharara bhai and tariq bhai ne bhe bohat ache likhe hai mujhe ek pal ke liye apne kahani yaad agaye:(
 
  • Like
Reactions: *SHB*
Status
Not open for further replies.
Top