tm love story contest

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.
Jun 21, 2010
91
44
0
45
Sub se Sachchi Mohabbat


Us ki chahat me itni gahrai aur mazboti hai ke wo hamesha apne say tawajja na hatane de aur main kissy aur taraf dekhon to apni taraf bula le, meray gumaan mai bhi na tha ke Us ne mujhe apney liye chun liya, Us ke shukar ke liye main sari zindagi apna sar sajde mai rakhun ko kam hai, Us ki mohhabat ka ye asar ke meray doost aur dushman bhi asay hotay go us ki mohabbat barhane ka sabab bante, meri tamam mushkilaat merey liye asaan hojati b/c meri har mushkil main meri madad ke liye wo meray sath sath, meri har khushi main meri har kamyabi mai meri hasala afzai ke liye meray sath sath. aik dafa aik class fellow larki ne kareeb ane ki koshish ki to Us ki mohabbat ka asar ye howa ki us larki ka accident ho gaya aur us ney college ana hi choor diya, kuch larkiyan meri taraf ajjeb nazroon se dekhti to mere doost mujhe us mohool se door le jatay aur main un se bhach jata, aur main herat karta ke humesha main bach jata hun aur jab reallize hota ke ye Us ki mohabbat ka asar hai, Us ki mohabbat ka asar ye bhi hota ke Us ke barey main koi ghalat baat karta to marne maarne ke liye tayar ho jata
go ki ye samajh lean ke gab us ne yad kiya hummen bhi us ki yad aaye


Mohabbat kaheen jakar ye pukar aaye
jise yar ne chaha usey yade yar aaye


Ab aap loog ye janna chahte hon ge ke wo kuan hai jo mujh se itni mohabbat kare aur main bhi Us se mohabbat karta hoon


Wo hai Mera Greatest Greatest ALLAH


Humara ALLAH hummen pehle chahta hain baad mein hum Us se mohabbat ka dawa karte hain Mohabbat to leala majnoon ne bhi ki shireen farhaad ne bhi ke, wo loog sar takra kar mar gaey per unhen un ki manzil na mili per jis ne ALLAH se mohabbat ki usi ALLAH zarror mila hai Hazrat Ashraf Ali Thanvi Rahmat Ullah Alh ne Qasam uthai hai ke jis shaks ne ALLAH ko talash kiya hain ussey ALLAH Zarror mila hai
 

Babar-Azam

"Be serious" - "I am wild"
TM Star
Jun 27, 2010
4,089
1,482
1,013
Abbottabad
Kasoor kis ka saza kis ko........


Waqat ki kami ki wajah se main pori story nahe likh saka is liay ek short c summery likh de.......
Main Story writer nahe hun aur dosra masla jo k aksar pathan bhaion k sath hota hai Ka,K,Ki.......So plz ignore my mistakes..........
Yeh sache kahani hai..........................Please Pray for Them.........
and u can also suggest them after reading story........




Kasoor kis ka saza kis ko........



Aaj se 5 saal Pehlay Younas k bary bhai ki mangni Saira ki bari behen se hoye......Dono families Main buhat acha Taluq Shoro hoa.........Ek dosray k ghar ana jana aur saab buhat khush thy..............Magar Saab se zyada Khushe Younas ko he hote the qn k Jab us ne pehle bar Saira ko daikha Us ko wo buhat Pasand aye......Wo ek seedhi saadhe magar buhat khubsorat larki the.........Younas kisi tarha Us se Baat karna chahta tha laiken kabhe itne Himmat nahe hoe.Bas Sirf Salam dua....Phir us k zehen main ek idea aya us ne apni bhabi ko batun batun main bol diya..........K wo Saira ko pasand karta hai........aur wo Saira se he shadi kary ga........Younas k ghar waly b jab younas k liay larki ki baat kartay tu yahe kehtay Khas kar Us ki Ammi k Saira se achi koi larki hu he nahe sakte Younas k liay..............Younas Dil he dil main Khush hota tha jab yeh sunta...............Phir us ne apni bhabi ko bol he dya keh ek bar Saira se baat karwain bhabi ko kisi tarha se mana liya.........Magar jab baat karny ka waqat aya tu Saira ne baat karny se inkar kar diya....younas ko buhat dhuk hoa k Us ne reject qn kiya..Per Us ki bhabi ne usay samjhaya k Fikar maat karo Tum us k sath sincere hu tu wo tumhari hai......Laiken Younas chahta tha k kisi tarha Saira ko apny dil ka Haal suna dy aur us ka Dil jeet ly....

Younas ne buhat koshesh k bad apni bhabi k through Saira ko mana he liya ek bar baat karny k lia aur us ne Saira ko apny dil ka haal suna diya.Laiken us Waqat saira ne koi jawab nahe diya aur younas intizar karta raha.....


After 6 to 7 Months

Kehtay hain na k dil ko dil se rah hote hai........Wesa he hoa...........Younas ko ek unkown number se text mila....... ( HELLO ,Call me)
Jab us ne call kiya aur jab maloom hoa k Saira hai tu hairaan b hogya aur buhat zyada khush b qn k aaj tu us ka sapna pora hu gya tha.............Phir un dono k darmayan texts aur calls ka silsila shoro hoa........aur Saira ko b Younas Acha lagny laga....Jis ka Izhar us ne akher ek den kar he liya............

Aab tu Younas ko apni zindagi bilkul Complete lagny lagi...............

After 2 Years...........

Aab Younas aur Saira tu jaisay ek dosray k liay bany hu ek lamha b ek dosray ko yaad kiay bina nahe guzartay thy........Dono Ki jori Buhat khubsorat the aur Compromising b kabhe ek dosray ko shikayat ka moqa nahe diya dono buhat khush thy qn k unhain apny khwab sach hotay dekhayi de rahy thy............ Laiken shaid un dono k kismat mai kuch aur he likha tha.........Ya shaid kisi ki nazar lag gaye unhain............


Younas k bhai aur us ki Mangetar ki kisi baat per laraye hu gaye..........aur un dono main ana ka masla agya.......baat mangni thorny taak puhunch gaye..........laiken families k chand buzargun ne sulah karwaye..........laiken 1 ,2 months baad dobara un dono ki laraye hoye aur baat yahan taak bigar gaye k larki walun ne mangni thorny ki baat ki.......laiken chand buzargun ne dobara fesala kiya aur dono atraaf khamosh hu gai.........Laiken in saab k bawajood Younas aur saira ka contact raha..........
chand mahiny guzray tu younas k bhai ko kahien se pata chala k larki k ghar waly us ki kahien aur mangni ty kar rahy hain.....tu younas k bhai ne pata karna shoro kiya aur wo baat sach nikle...

Phir Dono families ki laraye shoro hu gaye.......Aur baat Dushmani taak puhunch gaye( Ek dosry ko marny k plan banny lagy)
Aur jab is sary situation ka pata us dosry larky ko chala tu us ne mangni se inkar kar diya.....Younas k bhai ne fesala kiya k aab na is larki ko chory ga na shadi kary ga bas us k intizar main sari zindage baithe rahy ge aur agar koi b us se mangni kary ga Wo osay maar dai ga...........
Laiken Sab se bara imtihaan Younas k liay tha ek taraf us ki family ek taraf Us ka pyar wo kuch samjh nahe pa raha tha k kiya kary.........Us ne khud ko is mamly se dour he rakh.......ek den usy larki k bhai ki call aye aur usay damkhian deny laga aur us k bhai ko marny ki baat ki.....Akher wo b khon ka rishta hai tu younas ko ghussa aya aur us ne b reaction dekha diya jab Saira ko is baat ka pata chala tu wo buhat pareshan hoye aur younas ko call ki aur dono ki laraye hu gaye..........Phir kafi Arsa taak dono ka ek dosry se contact na raha..........Laiken jab insan k dil main koi bas jai phir usy kabhi bholaya nahe ja sakta........Saira apny dil k hatun majbore hoye aur us ne dobara Younas se contact shoro kiya....

aaj b dono families k darmayn koi ana jana nahe.jaisay koi risha he na tha....Haan sirf ek rishta aaj b hai wo hai Younas aur saira k Muhabbat ka rishta..........Aaj b wo is intizaar mai bethy hain k ek den aye ga jab saab kuch theek hu jai ga aur wo dono hamesha k liay ek hu jain gai................................................................
Laiken Aisa qn hota hai k ghalti koi aur kary aur saza kisi aur ko milay.....Younas aur Saira ka kiya kasur tha k koi ghalti kiay bina aise saza mile ????
Aur agar halaat aisy he rahy jaisay aaj hain tu kiya wo ise tarha khamosh bethy intizaar he kartay rahain gai?

 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,100
10,427
1,313
39
Karachi
Waoooo baber great story Yaar per tumhari urdu to achi khasi hai Yaar aur tum ne kaha yeh real story hai per five six year ki story ko summarize kerna bhi ek kamal ki baat hai. . . . . . And you done great job bro. . . Best of luck. . . . :D
 
  • Like
Reactions: ~BaBaR-AzAm~

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
aur sham tuk shoaib ki lash ghar aa jati hai aur wahan ghar mein qayamat ka sa saman hota hai aur her aankh mein aansoo hote hai per wahan he saba bhi hoti jis ki aankh mein aik bhi aansoo nahi hota hai aur woh to palak jhapkae bhager shoaib ka face dekh rahi hoti aur us ko to kuch bhi yaqeen nahi aa raha hota. use to yaqeen hota to shoaib ki is baat pe keh Saba mein tumhare bagher nahi jee sakta aur mein tumhare lea sub kuch ker sakta hon...aur mein tumhe pareshan nahi dekh sakta..... aur use to yaqeen hota hai keh aaj bhi shoaib uthe ga aur kahe ga arey yaar mein to mazak ker raha tha saba chalo hans ke dikhao.

per aisa kuch bhi nahi hota aur jab shoaib ko dafnane ke lea sub le ke jate hain to saba ko koi hosh nahi hota aur woh behosh ho jati hai aur use char din baad hosh aata hai to woh hospital mein hoti hai aur woh sub kuch kho chuki hoti apne dost ko apne pyar ko apne sathi ko jis ke sath he us ne apni sari zindagi ko socha tha bus aub us ke pass kuch nahi raha tha siwaeee yaadon ke yaaa aik
Adhooori Muhabbat
ke....



awesome bhaya :-bd
last wala portion pe to speechless hoon
shb bhaya naam koi aur le laite apni jaga :((

---------- Post added at 09:24 AM ---------- Previous post was at 09:18 AM ----------

Sub se Sachchi Mohabbat


Us ki chahat me itni gahrai aur mazboti hai ke wo hamesha apne say tawajja na hatane de aur main kissy aur taraf dekhon to apni taraf bula le, meray gumaan mai bhi na tha ke Us ne mujhe apney liye chun liya, Us ke shukar ke liye main sari zindagi apna sar sajde mai rakhun ko kam hai, Us ki mohhabat ka ye asar ke meray doost aur dushman bhi asay hotay go us ki mohabbat barhane ka sabab bante, meri tamam mushkilaat merey liye asaan hojati b/c meri har mushkil main meri madad ke liye wo meray sath sath, meri har khushi main meri har kamyabi mai meri hasala afzai ke liye meray sath sath. aik dafa aik class fellow larki ne kareeb ane ki koshish ki to Us ki mohabbat ka asar ye howa ki us larki ka accident ho gaya aur us ney college ana hi choor diya, kuch larkiyan meri taraf ajjeb nazroon se dekhti to mere doost mujhe us mohool se door le jatay aur main un se bhach jata, aur main herat karta ke humesha main bach jata hun aur jab reallize hota ke ye Us ki mohabbat ka asar hai, Us ki mohabbat ka asar ye bhi hota ke Us ke barey main koi ghalat baat karta to marne maarne ke liye tayar ho jata
go ki ye samajh lean ke gab us ne yad kiya hummen bhi us ki yad aaye


Mohabbat kaheen jakar ye pukar aaye
jise yar ne chaha usey yade yar aaye


Ab aap loog ye janna chahte hon ge ke wo kuan hai jo mujh se itni mohabbat kare aur main bhi Us se mohabbat karta hoon


Wo hai Mera Greatest Greatest ALLAH


Humara ALLAH hummen pehle chahta hain baad mein hum Us se mohabbat ka dawa karte hain Mohabbat to leala majnoon ne bhi ki shireen farhaad ne bhi ke, wo loog sar takra kar mar gaey per unhen un ki manzil na mili per jis ne ALLAH se mohabbat ki usi ALLAH zarror mila hai Hazrat Ashraf Ali Thanvi Rahmat Ullah Alh ne Qasam uthai hai ke jis shaks ne ALLAH ko talash kiya hain ussey ALLAH Zarror mila hai



GR8 :-bdbohat zabardast
 
  • Like
Reactions: imranlibra1398

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,100
10,427
1,313
39
Karachi
Thanks Hoor woh actually yeh meri imagination the aur mein ne khud ko he assume ker ke likhi story . . . . :(
 

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
here is my own love story, have a look please, it does not matter i win or lose the contest

Assalam O Alaikum To All My Friendz
Mera Naam Mahi Hai Or Aap Log To Mujhe Jaante Hi Hain, Aaj Main Ap Sab Ke Liye Ek Story Le Ker Aye Hon Ek Love Story..


Rehan KSA Ke Capital Riyadh Main Job Karte Hain Aur Saal Main Ek Ya Do Baar Apne Ghar Lahore Aate Rehte Hain Vacations Per

Yeh Aj Se Taqreeban 9 Saal Pehle Ki Baat Hai Jab Woh Riyadh Se Lahore Vacations Pe Aye Hoye The Kyun Ke Unki Sis Ki Shaadi Thi Aur Ussi Din Hi Rehan Ki Pehli Mulaqat Diya Se Hoi Jo Rehan Ki Elder Sis Ki Friend Thi Or Unki Sis Ke Saath Hi Job Karti Thi Lahore Ke Ek Hi Hospital Main.Kehte Hain Ke Kuch Chehre Pehli Nazar Main Hi Dil Ko Bha Jaate Hain Rehan Ko Bhi Pehli Nazar Main Woh Chehra Dil Ko Bohot Manoos Sa Laga..
Phir Jab Sis Ki Shaadi Ke Baad Or Vacations Khatam HOne Ke Bad Rehan Wapis Ryadh Chale Gaye To Uske Takreeban 6 Month Baad Hi Diya Ko Bhi Ajayd General Hospital In Haram (Makkah Al Mukarrama) Main Job Ki Offer Ho Gaye Or Diya Bhi KSA Agaye JOb Ke Liye.

Yeh Takreeban 2003 Ki Baat Hai Jab Rehan Bhai Dobara Vacations Pe Lahore Aye To Unki Sister Ne Diya Ko Dene Ke Liye Kuch Gifts Dye Rehan Ko.Lekin Problem To Yeh Thi Ke Diya Makkah Main Rehti Thi Or Rehan Ryadh Main Or Na Hi Rehan Ke Pas Diya Ka Koi Contact Number Tha Bas Us Hospital Ka Name Hi Maloom Tha Jahan Diya Job Karti Thi Woh Bhi Sister Ke Reference Se Kyun Ke Us Waqt Tak Rehan To Diya Ko Nahi Jaante The Na Or Na Hi Diya Se Kabhi Baat Hoi Thi Rehan ki
Ab Ryadh Se Makkah Koi Gift Pohonchana Itna Asaan To Nahi Tha Kyun Ke Riyadh Se Makkah Tak Ka Distance Takreeban 1000 KM Tha Or Aisi Sorat Main Jab Aap Kisi Aisi Girl Ko Gifts Dene Jaa Rahe Ho Jo Apko Jaanti Bhi Nahi Thi
Yehi Baat Rehan Ko Thora Pareshan Kar Rahi Thi Lekin Bari Sister Ki Khatir Yeh Kaam Karna To Tha Na So Rehan Ne Woh Saare Gifts Le Lye Or Promise Bhi Karlya Ke Yeh Gifts Unki Friends Ko Mil Jain Gay..
Or Phir Rehan Wapis Riyadh Apni Job Pe Agaye Or Saath Saath Diya Ka Contact Number Lene Ki Bhi Koshish Karne Lage Ta Ke Woh Jo Amanaten Unke Paas Rakhi Hoi Thi Woh Diya Ko Luta Ker Apne Farz Se Subukdosh Ho Jain
So Rehan Ne Saudi Telecom Main Call Kar Ke Diya Ke Hospital Ka Contacts Number Hasil Kya Or Hospital Main Call Ki Jo Ke Kisi Operator Ne Receive Ki Or Phir AkhirKaar Phone Pe Diya Ki Awaz Suni,
Rehan Ne Pehle Unse Apna Tarruf Karwaya Ke Main Apki Friend Ka Bhai Hon Aur Unho Ne Apke Lye Kuch Gifts Dye The Mujhe Jo Main Bohot Jald Ap Tak Pohoncha Dunga Aur Uske Saath Hi Rehan Ne Diya Se Unka Contacts Number Bhi Le Lya Ta Ke Baad Main Koi Problem Na Ho Jai.

Phir Aik Din RehanApne Dost Ke Saath Makkah Aye Aur Pehli Dafa Diya Itne Qareeb Se Dekha Aur Sister Ke Diye Hoye Gifts Usko De Dye Aur Wapis Riyadh Agaye Lekin Kehte Haina Ke Muhabbat Pehli Nazar Main Hi Ho Jaati Hai.. Diya Ki Mulaqat Ne Thora To Asar Kya Tha Rehan Ke Dil Main Lekin Rehan Us Time Us Ehsaas Ko Samjh Na Sake..

Phir Us Duraan Rehan Ka Diya Se Rabta Zyada Tar Cell Per Hi Hota Tha Kyun Ke Rehan Or Dya Ek Hi Country Se Belong Karte The Or Aksar Hi Rehan Ke Sister Ko Dya Ko Gifts Dene Hote The Or Ussi Tarha Diya Ko Bhi Rehan Ki Sis Ko Kuch B Send Karna HOta To Uske Lye Rehan Ko Hi Batana Parta Yeh Silsila Isi Tarha Chalta Raha Or Rehan Or Diya Ki Bohot Achi Jaan Pehchan Ho Gaye Ya Aap Usse Friendship Ka Name Bhi De Sakte Hain

Kyun Ke Diya Makkah Main Akeli Thi Isliye Usko Koi Bhi Problm Hoti Ya Kuch Bhi Help Chaye Hoti To Woh Rehan Ko Call Kardeti Or Usko Bata Deti,Or Rehan Bhi Uski Har Problm Main Uski Help Karta Tha

Phir Aik Din Diya Ne Apni Ammi Ko Hajj Pe Bulane Ki Khuwahish Zahir Ki Aur Rehan Ko Kuch Paise Arrange Karne Ko Bhi Kaha Jo Rehan Ne Foren Hi Kar Dye Aur Unke Sponser Ka Cheque Bhi Diya Ko Dilwa Dya. Ittifaq Se Rehan Ne Bhi Ussi Saal Haj Kya Tha But Diya Or Unki Ammi Se Mulaqat Nahi Ho Saki Lekin Hajj Ke Baad Haram Main Rehan Us Se Aur Us Ki Ammi Se Mila.

Ab Rehan Or Diya Ke Talluqaat Itne Barh Chuke The Ke Woh Dono Apni Problems Aik Dosre Se Discuss Karte The Aur Phir Us Duran Phir Rehan Ki Vacations Agayee Aur Diya Ko Bhi Chutti Per Jana Tha. Lekin Rehan Riyadh Main The Aur Diya Makkah Main Thi Islye Reservation Ki Problem Thi Lekin Rehan Ne Reservation Kuch Aisi Banai Ke Diya Makkah Se Ryadh Aye Aur Phir Riyadh Se Rehan Or Diya Ne Ek Saath Lahore Tak Safar Kiya Aur Lahore Pohonch Kar Diya Apne Ghar Chali Gaye Or Rehan Apne Ghar Lekin Us Arse Ke Duran Rehan Or Diya Main Kabhi Aisi Baat Nahi HOi Ke Hum Dono Ek Dosre Ko Chahte Hain..

Or Phir Kuch Dino Baad Rehan Or Diya Vacations Se Wapis Agaye Lekin Aye Woh Dono Akele Akele The Kyun Ke Rehan Ki Vacations 30 Days Ke Liye Thi Jab Ke Diya Ki Vacations 55 Days Ke Liye Thi Islye Rehan Ko Pehle Aana Para. Lekin Us Arse Ke Duran Rehan Ko Uski Kami Ka Shiddat Se Ehsaas Hoa Or Pehli Baar Rehan Ko Aisa Mehsoos Hoa Ke Woh Diya Ko Chahne Lage Hain Kyun Ke Un Dono Ke Talluqat Apas Main Kuch Is Tarha Ho Gaye The Ke Woh Dono Rozana Phone Dair Tak Baaten Karte Rehte The Lekin Ab Jab Ke Woh Akaile The To Bohot Miss Kar Rahe The Diya Ko LekIn Diya Ke Wapis Ane Per Rehan Apne Jazbaat Ka Izhaar Bhi Na Kar Sake

Aur Phir Jab Diya Wapis Agaye Or Aate Diya Ne Rehan Ko Makkah Se Phone Kya Ke Woh Pohonch Gayee Hai.
Phir Pehle Ki Tarha Dono Ke Shab O Roz Guzarne Lage Or Rehan Yaktarfa Muhabbat Ki Aag Main Musalsal Jalte Rahe Rehan ROzana Soochte The Ke Aaj Diya Se Apni Feelings Ka Izhaar Kardunga Lekin Na Jane Konsi Baat Unhe Rok Deti Thi Ke Woh Diya Se Kabi Izhaar Hi Nahi Kar Paate The
Phir Kuch Yun Hoa Ke Raat Ke 02:00 Rehan Ne Diya Ko Call Ki Or Diya Se Apni Khuwahish Ka Izhaar Kardya Or Un Se Shaadi Karne Ki Khuwahish Zahir Kardi
Pehle To Diya Ko Rehan Ki Baat Sun Ker Shock Laga Kyun Ke Diya Ne Rehan Ke Bare Main Kabhi Us Tarha Se Soocha Hi Nahi Tha Lekin Usne Rehan Se Kaha Ke Mujhe Kuch Time Do Soochne Ke Lye Lekin Phir Ussi Raat Rehan Ke Pas Bhi Ek Call Aye Jo Green Signal Ki Thi Matlab Diya Ne Haan Kardi Thi
Phir Kuch Yun Hoa Ke Rehan Ke Dil Ko Sukoon Mil Gaya Aur Rehan Ko Zindagi Khobsorat Lagne Lagi Harr Cheez Haseen Lagne Lagi

Lekin Kahani Yahin Khatam Nahi HO Jaati Kehte Haina Muhabbat Karne Walen Kabhi Asaani Se Nhi Mil Paate Yehi Haal Rehan Or Diya Ka Tha Kyun Ke Rehan Ko Diya Se Pyaar To Hogaya Tha Lekin Wahan Pak Main Rehan Ke Parents Rehan Ke Liye Uski Cousin Ko Mang Chuke The Lekin Is Se Bhi Bari Jo Hairan Kun Baat Thi Rehan Ke Ghar Walon Ke Liye Bhi Aur Sab Parhne Walon Ke Liye Bhi Woh Baat Yeh Thi Ke Diya Divorced Thi...


Or Yahan Diya Bhi Kaafi Pareshan Thi Coz Anjane Main Hi Sahi Piyaar To Woh B Karne Lagi Thi Na Rehan Se Or Rehan Se Izhar e Muhabbat Karne Ke Bad Yeh Mumkin Nahi Tha Dono Ke Liye Ke Woh Ek Dosre Ke Bina Reh Saken..

Or Idher Rehan Ke Ghar Wale Razi Nahi Ho Rahe The Kyun Ke Woh Log Yeh Chahte The Ke Rehan Ki Shadi Ussi Taya Ki Larki Ke Sath Ho Jai Kyun Ke Ek Tarf To Rehan Ki Wajah Se Unke Taya Ki Narazgi Ka Khatra Tha To Dosri Tarf Rehan Ko Jis Larki Se Muhabbat Hoi Thi Woh Devorced Thi Isi Wajah Se Rehan Ke Ghar Wale Razi Nahi Ho Rahe The

Lekin Kehte Haina Niyyat Saaf Ho To Manzil Asaan Ho Jaati Hai Jab Rehan Ki Cousin Ko Rehan Ke Pyar Ka Pata Chala To Us Ne Khud Hi Rehan Se Shadi Karne Se Inkar Kardya Or Ghar Main Bhi Yehi Kaha Ke Jab Woh Pyaar Kisi Aur Se Karta Hai To Uski Shadi Mujhse Zabardasti Bhi Kardi Jaigi To Uske Dil Se Us Larki Ke Lye Pyar Khatam To Nahi Ho Jai Ga Na Agar Rehan Kahin Or Shadi Karna Chahta Hai To Usko Wahin Karne Den Shadi Aur BilAkhir Rehan Ki Cousin Ki Zidd Ki Wajah Se Yeh Rishta To Khatam Ho Gaya Lekin Ab Rehan Ke Liye Sab Se Bara Kaam Ghar Walon Ko Diya Ke Lye Razamand Karna Tha..

Lekin Yahan Bhi Allah Ne Rehan Ki Help Ki Or Rehan Ki Elder Sis Jo Diya Ki Bohot Achi Friend Bhi Thi Or Diya Ko Achi Tarha Se Jaanti Bhi Thi Islye Ammi Or Abbu Ko Diya Ke Lye Razamand Karne Lagin Lekin Rehan Ke Abbu Yehi Keh Rahe The Ke Woh Divorced Hai Khandan Wale Kiya Kahenge Or Muashra Mazaq Urai Ga Hum Logon Ka Lekin Rehan Ki Sis Ne Unko Samjhaya Ke Rehan Baligh Hai Acha Bura Janta Hai Or IsLaam Bhi Divorced Se Shadi Karne Se Mana Nahi Karta To Kiya Problem Hai Phir Agar Rehan Ek Devorced Larki Se Shadi Karna Chah Raha Hai Main Diya Ko Achi Tarha Jaanti Hon Woh Is Ghar Ko Bohot Ache Se Sanbhalegi Or Ap Dono Ka Bohot Khayal Rakhe Gi Lekin Agar Ap Log Hi Zidd Per Rahe To Woh Bhi Apka Hi Khon Hai Kahin Woh Bhi Zidd Main Aker Koi Ghalt Qadam Na Utha Le

Parents Ke Liye Apni Ulaad Ki Khushi Se Barh Kar Kuch Bhi Nahi HOta So Rehan Ki Sis Or Rehan Ke Samjhane Per Diya Ko APni Bahu Banane Per Razi Ho Gaye Or Aaj Rehan Or Diya Ki Shadi Ko Takreeban 9 Saal Ka Arsa Guzar Chuka Hai Or Unka Ek Baby Bhi Hai Jiska Name Sarim Hai

Rehan Ke Parents Diya Se Bohot Khush Hain Kyun Ke Diya Ne Ghar Aker Unke Liye Unki Bari Beti Or Rehan Ki Bari Sis Ki Jagah Le Li Hai Or Woh Bohot Khayal Rakhti Hai Rehan Ka Or Rehan Ke Ammi Abbu Ka Or Un Dono Ka Baby Ab 4rth Class Main Study Karta Hain Or Apne Dada Dadi Ki Ankhon Ka Tara Hai Woh Sab Ab Boht Khushaal Zindagi Guzaar Rahe Hain Or Meri Dua Hai Ke Allah Un Dono Ko Hamesha Khush Rakhe Kyun Duniya Main Aise Log Bohot Kam Hote Hain Jo Kisi Se Pyaar Kare Or Us Piyaar Ko Nibhain Bhi..

Meri Dua Hai Ke Allah Rehan Bhai Or Diya Bhabi Ko Hamesha Aise Hi Khush Rakhen Or Dono Hamesha Aise Hi Hanste Muskurate Rahen
Ameen
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
mashallah...aik mai hi baqi reh gaya ho story share karne ko..magar koi pasand hi nai karega..since its written in english...:(
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
This is the story i have written in my previous grade
A Priceless Gift

Growing up in a third world country; Pakistan, life taught me many hardships and difficulties. We were not so fortunate like many western teenagers or first world countries’ kids to have an excellent standard of education, health and living. Similar to 75% of the country’s population which relies on agriculture for a living, my dad was a farmer. It was a small village; everyone knew each other very well, to the extent that they fully knew about someone’s relatives and their occupations. Most of the people were very friendly, helpful, and great companions of each other in grief or in happiness. They were of one family in different houses.
Mahmood was my childhood friend. We lived on the same street not far from each other’s houses. Although, he was from a lower caste my father never restricted my friendship with him. His parents had to work very hard in the field to earn everyday necessities. His parents loved him more than anything in this world. He was the only child and very well cared for despite having financial difficulties. He used to go to the same school as me, unlike many other lower caste students. His parent’s hope was to see their intelligent and hardworking son become a doctor. Nobody could compete with Mahmood in his punctuality, organization and behavior; he also had a great sense of humor. On the other hand, he lacked one thing - not appreciating and listening to his caring parents. He was a prince in his home. Mom cooked his favorite dishes everyday. She also gave him nicely washed and ironed clothes to wear everyday. His parents also provided him with the best stationary tools to use.
A lot of the time, he would stay out late, and that was annoying to his parents. I remember one time when we were standing under a street light with some other friends and his mother called him “Mahmood, please come home now”. The way he answered vibrates in my head to this day, “Ahh mom, come on 5 more minutes”. His five minutes were typically longer than five centuries. Time always seemed to pass quickly, when he was telling us jokes. And when I think back I think, “Why not - as a seventeen year old, very loved and cared for boy, he didn’t have much to worry about, but his parents”. He could make the earth laugh, make the sky giggle, and make the stars smile. How could you tell, that why it was hard for such an intelligent guy to not realize, what his parents were suffering through. At many points of our friendship, I pointed out to him, “Mahmood, you need to give first priority to your parents. They are the ones who are sacrificing their days and nights, so you could live a better life”. He would reply in a careless tone, “Oh, don’t worry man, I know they love me, I will handle them”. He was right, but at the same time, he was wrong. It’s true that his parents loved him so much and they gave him endless freedom and choice, but he should not have abused that freedom and care.


At some point in our lives, we don’t realize how precious someone in our company or something in our possession is. We only admire what is in others’ baskets. As he reached 18, bad luck knocked at his door. He fell in love with a girl from our village. It was not bad that he was in love, but the worst part was that the girl was from a higher caste society. Getting married to her or attaining her would be almost impossible, like a sun landing on earth without causing any damage. Like always, his parents provided him everything in his life. He asked and urged them to get him the girl of his love. He started love and went too far with it, which meant that living without her would mean a dead Mahmood. He started demanding the girl from his parents, like not a big deal. Eventually, his parents lost in front of their only son and went to ask the girl’s parents, from the upper class family, to marry their son. Expectedly, the higher caste insulted his parents so much that they ordered their servants to throw his parents out of the house. His poor parents could do nothing, but cried for their fate.

At the next meeting, Mahmood asked the girl to run away from her house with him, but she refused. She said we would have to move on and he would have to forget her. It was not a simple thing for him. He sat quietly with burning eyes and started smoking too much to overcome his grief. The next morning I heard voices, crying and people running towards Mahmood’s house. I quickly ran, without my shoes, to his house and entered to find the dead body of my best friend. Early that morning, he had laid down on the train tracks and took his own life. When I think about him, I still cry and miss the old memories and wish I could have made a difference. That day I learned and my heart spoke to me that no matter how important things are to you, no matter how badly you want them, one must remember your parents are the most rewarding and priceless gift to you in this world. So treat them with obedience and respect and to follow their expectations because they will never choose that is not beneficial for you. In fact, they are the only one who loves you more than anyone else in this world.
 
Status
Not open for further replies.
Top