tm love story contest

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
Good going guyz
Allah the best
n keep it up!!!

---------- Post added at 01:22 AM ---------- Previous post was at 12:45 AM ----------




This is the story i have written in my previous grade
A Priceless Gift

Growing up in a third world country; Pakistan, life taught me many hardships and difficulties. We were not so fortunate like many western teenagers or first world countries’ kids to have an excellent standard of education, health and living. Similar to 75% of the country’s population which relies on agriculture for a living, my dad was a farmer. It was a small village; everyone knew each other very well, to the extent that they fully knew about someone’s relatives and their occupations. Most of the people were very friendly, helpful, and great companions of each other in grief or in happiness. They were of one family in different houses.
Mahmood was my childhood friend. We lived on the same street not far from each other’s houses. Although, he was from a lower caste my father never restricted my friendship with him. His parents had to work very hard in the field to earn everyday necessities. His parents loved him more than anything in this world. He was the only child and very well cared for despite having financial difficulties. He used to go to the same school as me, unlike many other lower caste students. His parent’s hope was to see their intelligent and hardworking son become a doctor. Nobody could compete with Mahmood in his punctuality, organization and behavior; he also had a great sense of humor. On the other hand, he lacked one thing - not appreciating and listening to his caring parents. He was a prince in his home. Mom cooked his favorite dishes everyday. She also gave him nicely washed and ironed clothes to wear everyday. His parents also provided him with the best stationary tools to use.
A lot of the time, he would stay out late, and that was annoying to his parents. I remember one time when we were standing under a street light with some other friends and his mother called him “Mahmood, please come home now”. The way he answered vibrates in my head to this day, “Ahh mom, come on 5 more minutes”. His five minutes were typically longer than five centuries. Time always seemed to pass quickly, when he was telling us jokes. And when I think back I think, “Why not - as a seventeen year old, very loved and cared for boy, he didn’t have much to worry about, but his parents”. He could make the earth laugh, make the sky giggle, and make the stars smile. How could you tell, that why it was hard for such an intelligent guy to not realize, what his parents were suffering through. At many points of our friendship, I pointed out to him, “Mahmood, you need to give first priority to your parents. They are the ones who are sacrificing their days and nights, so you could live a better life”. He would reply in a careless tone, “Oh, don’t worry man, I know they love me, I will handle them”. He was right, but at the same time, he was wrong. It’s true that his parents loved him so much and they gave him endless freedom and choice, but he should not have abused that freedom and care.


At some point in our lives, we don’t realize how precious someone in our company or something in our possession is. We only admire what is in others’ baskets. As he reached 18, bad luck knocked at his door. He fell in love with a girl from our village. It was not bad that he was in love, but the worst part was that the girl was from a higher caste society. Getting married to her or attaining her would be almost impossible, like a sun landing on earth without causing any damage. Like always, his parents provided him everything in his life. He asked and urged them to get him the girl of his love. He started love and went too far with it, which meant that living without her would mean a dead Mahmood. He started demanding the girl from his parents, like not a big deal. Eventually, his parents lost in front of their only son and went to ask the girl’s parents, from the upper class family, to marry their son. Expectedly, the higher caste insulted his parents so much that they ordered their servants to throw his parents out of the house. His poor parents could do nothing, but cried for their fate.

At the next meeting, Mahmood asked the girl to run away from her house with him, but she refused. She said we would have to move on and he would have to forget her. It was not a simple thing for him. He sat quietly with burning eyes and started smoking too much to overcome his grief. The next morning I heard voices, crying and people running towards Mahmood’s house. I quickly ran, without my shoes, to his house and entered to find the dead body of my best friend. Early that morning, he had laid down on the train tracks and took his own life. When I think about him, I still cry and miss the old memories and wish I could have made a difference. That day I learned and my heart spoke to me that no matter how important things are to you, no matter how badly you want them, one must remember your parents are the most rewarding and priceless gift to you in this world. So treat them with obedience and respect and to follow their expectations because they will never choose that is not beneficial for you. In fact, they are the only one who loves you more than anyone else in this world.
Awesome n sooo touching.....
HOpe all will read n get the moral n Advice of .....

(((((That day I learned and my heart spoke to me that no matter how important things are to you, no matter how badly you want them, one must remember your parents are the most rewarding and priceless gift to you in this world.))))

Extremely true....
thanks for sharing......






 

CoOoL

TM Star
Jul 1, 2009
1,267
804
413
Pakistan
sachay dil.jpg
Junaid : ek sada sa larka dunia se la taluq apni dunia main gum, jab wo three class main pohncha to os ki dosti ek apni class fellow Nabila se hoi jo osi ki trha sidhi sadhi thi dosti kia bs ek taluq jo ek class main ek sath prhnay ki waja se bna, janay aisi kia kahish thi dono main k jis din un main se koi ek choti pr hotta to dusray ka din bechayni k alam main guzrta, bs esi trha time guzrta gaya or un ki judai ka time aa gaya Q-K un ka school 5th tak tha un ab sab ne school change krna tha to Nabila or Junaid k parents ne mukhtlif schools ka intkhab kia or unh dono juda ho gaye pr Junaid ne Nabila k school ka ptta laga liya or kismat un k sath thi Junaid ko adhay ghanta pehle choti ho jati thi wo sidha Nabila k school k samnay ja kr khra ho jata jab wo school se niklti to wo os ko dekhta jab Nabila ka dihaan knhi or hota or Nabila os ko tab dekhti jab Junaid ka dihaan kanhi or hotta unhi 1 saal guzar gaya or qismat un pr mehrbaan hoi un dono k ghr k qreeb ek new school open hoa or dono k parents ne school greeb honay ki waja se un ko os school main dakhil krwa diya unh ek baar phir wo milay jab unho ne first day ek dosray ko ek class main dekha to un ki khushi dekhnay k qabil thi, ab un main dosti ho gai ek dusray se cheyr char shrartay ye sahyed un k zindgi k khubsoort din thay pr shayed qismat ko ye manzoor na tha or ek baar phir judai , Nabila k papa ka transfer Lahore k qreeb PATTOKI ho gaya, or wo wnha chli gai ab to dono pr jaise qayamat toot pri ho pr majboor , unhi 4 saal guzray or Junaid k papa ne FSC ki or C.A k liye ek collage main admissions liya , ajj b os k dil main Nabila k liye itni he jagha thi jitni k ajj se 4 sall pehle, ghnto os ki yaad main gum rehta ab os ko mehsoos ho raha tha k os ko pyar ho gaya hai or udhr Nabila ne FSC kr li wo chul bali nath khat larki bs ab katabi kira bn gai thi or din main Junaid ko yaad krti or raat main os k sapnay.
LINE.jpg
Ajj ka din Junaid k liye boht important tha Q-K ye es k collage ka first day tha wo excited b tha or confuse bhe. inhi socho main wo collage ponhcha , jab wo class k andr enter hoa to os ko apni ankhon pr yaqeen nahi ho raha tha , nazara he kuch aisa tha os k samnay kursi pr Glasses lagay masoon se chray wali jis k khyalon ne os ka kabhi sath nahi chora Nabila bethi thi, wo wnhi freeze ho gaya or unhi Nabila ki nazar Junaid pr pari to dono unh kho gaye jaise un ko kisi jadoogar ne pathr kr diya ho , ye un ko b nahi ptta tha k 4 saal baad unho ne ek dusray ko pehchana kaise, shayed dil ki nazar se, unhi din guzrtay gaye pr dono main himat na hoi ek dusray se baat krnay ki, phir ek din Junaid ko Nabila ka cell number knhi se mil gaya or Junaid ne Nabila ko msg kia or unho un main rabta shuru hoa pr face to face ab bhi wo baat na kr saktay thay , or 2 sall guzar gaye pr dono main himat paida na hoi iqraar krnay ki, pr ek din Junaid ne himat ki or Nabila ko propose kia, or Nabila shyed esi k intzaar main thi, unho dono main muhabbat ka silsla shuru hoa, pr shayed wo ye nahi jantay thay k un ka milaap boht he mushkil tha, wo to bs pyar ki dhon main gum thay, Nabila k papa ne os ka rishta os k chacha zaad se tay kr diya pr Nabila es baat se baykhbar thi os ko nahi ptta tha os pr kia qaiyamat totnay wali hai, Nabila k papa ne Nabila or os k chacha zaad ki sagai k liye din muntkhib kia jab ye baat Nabila or Junaid ko ptta chali to dono ki ankhno se ansu ph gaye wo ek dusray se baat b na kr sakay ab Nabila ek traf papa ki izat ek traf pyar jaye to jaye knha bs ab to Allah ki traf se he kisi mojzay ka intzar tha, dono Allah k agay din raat girgratay unhi dino main Junaid ne apnay parents se baat ki un ne wahi purna point uthaya k wo or zaat k hain un ki zuban or hai etc, pr Junaid un ka aklota betha tha unho ne os ki baat maan li pr un ko Junaid ne Nabila ki sagai k bare main b btaya, Junaid k parents ne Nabila k parents k pass janay ka faisla kia or osi din shaam ko wo Nabila k ghr pohnchay or un se rishta k liye request ki pr unho ne saaf inkaar kr diya unho ne betay ki khatir Nabila k parents ki boht min'ntain ki pr wo nahi man'nay Nabila k papa ne kaha main apnay bhai ko zuban day chuka hoon , Junaid k parents wapis aa gaye jab Junaid ko ptta chala k Nabila k parents ne inkar kr diya hai wo behosh ho gaya jab ose hosh aya to ose sakht bukhar tha zuban pr Nabila ka naam tha or ankhon se ansu nikal rahay thay os ko kuch samjh nahi aa raha tha kray to karay kia, raat ko Nabila se os ka rabta hoa os ka b ro ro k bura hall tha ose ne apni Mamma se baat ki pr os ki Mamma ne akaha tumhare papa nahi manay gay, Nabila ko Allah ne himat atta frmai os ne Junaid ko b tasli di k Allah pr bhrosa rakahy or Allah se dua kray wo koi na koi hall nikal day ga,
kal Nabila ki sagai thi Junaid Allah k agay gir gra raha tha phir wo utha or Nabila k chacha k ghr pohncha Nabila k chacha se mila or un ko sari baat btai, ptta nahi os ki ankhon main itnay ansu knha se aa gay thay bachay ki tarha bilak bilak k ro raha tha or apna pyar maag raha tha, Nabila k chacha ne os ko bura bhla kh kr ghr se nikal diya, os ne sari baat Nabila ko btai, or ghr ki traf bhra os k qadam sath nahi day rahay thay os k ek jannay wale ne os ko ghr pohanchay os ka rag pila ho gaya tha os ne 2 din se khana na khaya tha, raat os ne ro ro kr guzari ajj Nabila ki sagai thi, Junaid bistar pr pra tha os ko kisi cheez ka koi hosh na tha os k parents ki ankhain anson se bhari thi or os k liye dua go thay, phir achanak un k door dastak hoi os k papa ne door open kia to samanay kia daykhtay hain k Nabila os k parents or os k chacha g khray hain, wo sab andar dakhil howay Nabila ko dekha kr Junaid ki sari bemari door ho gai, Nabila k papa ne junaid k papa se kaha k hum Nabila ka app k betay se rishta krnay ain hai, jab junaid or os k parents ne ye suna to heraan ho gaye k ye namomkin momkin kaise ho gaya, wo hayrani se Nabila or os ki family ko tak rahay thay, tab Nabila k chacha ne btaya k kal raat jab junaid humare ghr se gaya os se kuch dair baad Nabila ka phone aya wo roye ja rahi thi jab Nabila k chacha ne waja pochi to Nabila ne sab kuch bta diya, os k baad Nabila k chacha ne apnay betay se baat ki to os ne kaha k Nabila jis ko chahti hai os ki shadi wnhi ho gi or sagai k din os k Chacha apni family k sath Nabila k ghr aye or apnay bhai ko Nabila ka rishta Junaid k sath krnay k liye razi kia, or junaid k ghr aa gaye
LINE.jpg
2 din baad Junaid or Nabila ki saqai ho gai, or 1 saal baad un dono ki shadi hoi, unha do sacha pyar krnay wale ek ho gaye.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
 

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
tm k tamam members ko mutla ker doon k kal contest main participate ker ne ki last date hai ager kisi ne participate kerna hai to jaldi kare.
thanks.
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,205
24,155
1,313
Here is mine love story


Note: yahan pr name farzi hain. Lekn story bilkul sachi hay.
or kahani bahot lambi thi pr yahan pr sirf khulasa diya giya hay.


Aik dafa ka ziker tha k aik larka jis ka naam Tahir tha vo 5 bhai or 2 sister thay. Tahir sab bhai behn may say bara tha. Or bahot hi sensitive or her waqt apnay bhai or behno k liye sochta tha. Vo bahot mushkil say gher ka guzara krtay thay. Chun kay vo ghr may sab say bara tha is liye ghr ka sara bhoj us pr tha. Tahir ka abu beron mulk may rehtay thay. Lekn halat ki waja say guzara bahot mushkil hota tha. Tahir nay intermediate kiya hua tha or her vaqt hr jaga job k liye apply kiya houa tha. Pr kaheen say b positive response nhi mila. Vo bahot ehsas-e-kamtri ka shikaar ho raha tha. Hata k vo khud kushi ki ghatiya herkat tak ponch giya. Unsay apnay ghr k baray m sochna chor diya or uski life bahot hi bad maza hogai. Vo apnay avara dosto k saath sara sara din ghoomta phirta.. nasha krta tha. Jis say vo apnay aapko bahot sakoon m mehsos krta tha..


Ini dino vo apnay kisi relatives k ghr giya vohan pr relatives ki aik prosan larki dekhi jo k usko bahot achai lagi.. vhi Tahir jo apni zindgi say itna tang aa chukka tha.. uski zindgi phr say aik naiye mor pr agai. Or esa lagta tha k vo phir zinda hogiya hay.. bhot hi khush khush rehnay laga.. us larki ko dekhnay k baad forn unsay ghr baat ki apni ami say kiyn k un k abu to beron mulk kaam krtay thay. To unki ami nay Tahir ki baat maan li.. or kaha beta may aap k liye us larki ka haath maangu gi. Abi Tahir nay us larki say koi baat tak na ki thee..


Tahir us larki k liye apnay relatives k haan jana shuru kr diya..Tahir dekhnay m bahot hi piyara larka tha. Vo larki ko chup chup kr dekta tha or larki us ko.. un don okay dekhnay say pata chalta tha k dono ko piyar hua hay..


Pr Tahir ko phir bhi yakeen nhi aa rha tha k pata nhi us larki ko piyar hay mujsay ya nhi.akhir kaar Tahr nay apnay relatives ko apnay ghr dawat di.. mean k kahanay pr bulaya. Or un relatives may Tahir ka aik bahot hi achaw dost tha.. tahir nay apnay dost say darkhawst ki k vo us larki k ghr valon ko bhi saath lay k rain.. hua youn k larki k ghr valay na aa skay lekn unho nay larki ko bhej diya tahir k sab relatives k saath.


Sab tahir k ghr ponch gaiye. Tahir bahot khush hua. Or tahir ki ami b tahir ko dekh kr bahot khush theen k mera beta jo itna sad rehta tha vo aaj bahot khush hay. Un sab logon nay khana khaya. Or phir chalnay ki tayari ki.. lekn Tahir ka dil nhi cha raha tha k ye sab log jain.. kiyn k Tahir ko to us larki ko dekhna tha…


Tahir or us k ghr valon k pur zor israr pr vo sab log thernay k liye raazi hogai. Raat ko sotay vaqt Tahir nay apni diary apnay room may bed pr rakh di.. or khud mehman khanay may chala giya.. vo larki jis ka naam Sakeena tha.. vo itaefaakan Tahir k room may hi sonay k liye tayar thi.. Tahir nay to apnay relatives k sath sona tha.. is k baad Tahir nay apni ami say kaha k ami mera blanket aap is larki ko dena. Ami nay kaha theek hay beta aap jao..


Sb log so gaiye pr Tahir ko neend nhi I vo saari raat us larki ko sochta raha.. pata nhi kis waqt us ki aankh lag gai..


Jab sobo hui to Tahir apnay room m giya or vohan say pani diary utha li.. usmay aik pen b rakah tah.. or larki naykuch likha b tha.. or vo ye…..


Dear Tahir.. duniya may tumhary liye sirf do hi tohfay rakhay hain.. ibteda k liye dil or inteha k liye jaan… yours sakeena.


Yun unka aapas may ikrar hogiya.
Tahir nay jab ye praha to vo khushi k maray hava may urnay laga..


Tahir ko ab zindgi say bahot piyar honay laga tha… vo hazarun bars jenay ki dua krta tha..


Tahir ko army join krnay ka bahot shok tha.. usnay apply kiya hua tha.. kuch dino baad Tahir ko army say call aagai. Vo khushi khushi army m join kr liya. Or training shuru hogai.. or larki k gifts usko parcel k tor pr miltay thay.. vo bahot khush rehnay laga.. unki kabi baat nhi hui thie aaps may.. bus khayalo hi khayalo may aik dosray say baat kiya krtay thay. Phir Tahir chuti ata to zarur usko dekhnay jata.. pr vo sirf aik dosray ko dekhtay hi thay..


Aik din jab Tahir apnay relatives k ghr may giya to us larki nay usko akhir kaar mukhatib kr diya.. or boli.. aap ko sirf army m hi jana tha kiya….??? Tahir k pas koi javab nhi tha.. Ye sun kr Tahir bahot preshan hua k shayad is ko Army pasnad nhi hay. . bus Tahir k zahn may ye baat beth gai k army ki nokri nhi krni.. chahay jo bhi hojiye….


Tahir nay training khatam kri or phir posting hogai. Or door.. ghr may Tahir roz apni ami say kehta k rishta k liye jao.. ami jaati theen.. kiyn k ami ko b Tahir ki khushi chahiye.. thiee vo Tahir ko hr waqt khush dekhna chati thee..


Pr us larki k ghr valo say koi b javab na milta tha.. haan or na hi inkaar.. kuch din baad Tahir nay army say resign day diya.. or ghr agiya.. phr vohi job ki tension shuru hogai.. or ooper say uslarki ka piyar us ko bilkul andah kr raha tha.. or vo ye b janta tha k job k begher uska kaam ni hoga.. or na hi vo larki usko milskti hay.


Army chornay k baad unsay socha k kiyn na or prha jaiye.. vo phir say prhnay laga.. or phir unsay mobile khareeda.. or yehi soch kr k agr larki ko piyar hoga to zarur raabta keraigi… aik din Tahir apnay dost k pas betha tha to kisi larki ka phone aya.. or us larki nay Tahir ka poocha.. to tahir nay kaha m tahir hi baat kr raha hoon.. to us larki nay kaha nhi aap Tahir nahi ho.. do teeen baar esa hua.. akhir larki nay kaha k vo army m tha or abi chor di hay.. to Tahir nay kaha han may hi tha army m or chor di hay..
Vo larki vohi thee jis k ekhnay pr Tahr nay army chor di the…


Phir unsay Tahir ko bataya k ye may hoon sakeena.. to tahir to khushi k amary uchalnay laga unsay foran apnay dost say ijazat li.. or nehr k kinaaray beth ker apni mohbata say baat krnay laga…


Tahir nay pooocha k kesay bhool gai ho muje phone krnay may. To javab mila kay me nay apni sehili say ko apka btaya tha to unsay kaha moka hay..agr baat krlo to ye na ho k vo kisi or say piyar shuri kr day.. pr may derti thee k aap bura naa manu.. is liye phone nhi krti thee. Is tarah tahir or sakeena ka apas may raabta shuru hogiya.. sari sari raat r sara sara din chup chup kr baatain krna..


Or us larki nay shayad tahir ko bahot kuch change kir diya.. vohi tahir jo hr vaqt dosto k sath ghomta or nasha me rehta tha.. vo bilkul hi badal giya..us nay apnay sab dosto say jaan chura di.. or apni mohbat k saath hr waqt khayalo kahaylo m rhta tha.. or ye sab us larki nay hi us pr kervaya .. sab buray kaam chura diye..


Tahir k ghr to sab ko pata tha.. us k behn bhai or ami sab jantay thay.. k tahir us say piyar krta hay.. or phir tahir nay us larki ko b bata diya k m ny rishta b bhijvaya tha pr aapki tarf say koi javab nhi mila.. vo bahot khush hiu unsay kaha k inshaAllah zarur javab milayga.. tahir nay us say baahot waday kiye or unsay b bahot vaday kiye.. tahir us larki ki apni ami say b baat kervata tha.. or tahir chup chup kr us larki ko milnay jata tha.. us k ghr may.. ye sisala 8 saal tak jaari raha.. is doran tahir ko aik or job mili.. vo bahot khushh hgoiya k abi baat ban jaiyegi..


Ab tak larki k saray khandan may tahir or us larki ki baat phel chuki thee. Pr undono ko ko prva na thee kisi ki bhe.. or khas tor per larki ki sister tahir k bahot khilaaf thee. Bahot khailaaf batain krti thee. Or us larki ko tahir k khilaaf vergalati thee.. ye sab batain tahir ko vo larki phone pr hi batati thee k aaj falan nay ye baat kahee or falan nay ye baat..


Kuch dino baad tahir k abu nay usko bahir bulanay ka bandobast kr diya.. k tahir ko bahir bula liya jaiye.. to tahir k abu nay Tahir say poocha to unsay kaha theek k abu jaesa aap chao..


Tahir nay us larki ko bataya k vo bahir jaa rha ahy or shayad is waja say aap k ghr valay reshta k liye b maan jaiyen.. larki pehlay to bahot udas hui k pata nhi kiya hoga baad may vo sehm gai.. k theek hay.. Allah behter kerayga..


Tahir ka visa lag giya or vo bahir mulk apnay abu k pas chala giya.. yahan ponch kr b vo apni mohbat say raat din baat krta tha.. kuch dino baad tahir k abu ko pata chal giya k koi larki is say baat krti hay.. tahir k abu nay us say poocha to. Tahir nay sab bata diya.. to abu nay kaha beta aap fkr na kroo.. inshaAllah may aapka kaam krunga..


Kuch hi dino may tahir nay larki ky bhai k number say msg receive kiya.. k may khalid hoon or muje sab pata hay aapka or meri behn k beech job hi hay.. lehaza aap fkr na kerain.. may jahan tak hoskay ga.. inshaAllah aap dono ki help krunga.. kiyn kay muje apni sister ki khushi bahot aziz hay..



Ye dekh kr tahir ko or ziada tasali hui..


Phir achanak say larki ka number band.. or 3 month tak kuch pata nhi tha.. tahir bahot preshan rehnay lag giya.. or ghr apni ami say poocha us larki k baray may kiyn k vo tahir ki ami say b baat krti rehti thee.. to tahir ki ami nay koi b javab na diya.. bal k ye kaha k kuch pata nhi.. us larki nay tahir ki waja say apnay sab khandan may ana jana choor idya tha.. tahir nay ami say kaha k aap jao.. us k ghr or pata to kro akhir uska number kiyn band hay..


Tahir ki ami chali gain to us k ghr valon say baat kri to us k ghr valon nay kaha k vo apnay ksi reshta dar k haan gahi hui hain.. phir esa hi tahir ki ami nay tahir ko bataya to tahir or b ziada preshan k us larki nay to apna sab khandan tahir ki waja say chor diya.. lekn phir vo kiyn gai hain.. kis reshtadar k paas… ?? is baat nay tahir ko bahot shak may daal diya….


Phir aik din tahir ki apnay chotay bhai say baat hui.. to chotay bhai nay bataya k vo aghva ho chuki hay…. Bus tahir nay ye baat suni.. or pagalo ki tarha sochna or chalana shuru ker diya.. unsay apnay bhai ko b bahot bura bhala kaha.. k esi khaber mueje kiyn suna rahay ho.. ? tahir k bhai ko b pata nhi tha. Usko kisi larki nay msg kr k bataya k sakeena hamary pas hay.. mera bhai is ko lay aya or kaha k ye aaj say hamaray ghr may rehaygi.. to tahir nay bhai say poocha us larki k baray m to.. us larki nay javab diya.. k muje ye sakeena hi nay kaha hay k aap tahir k bhai ko batao plz.. ho skay vo meri madad k liye aiye. Pr majboor thay.. dono.. tahir beron mulk.. phans kr rehgiya.. or uska bhai jo bahot chota tha kuch b nhi kerskta tha….


Or is k tahir nay direct larki k ghr raabta kiya to ksi nay kuch b nhi bataya… sab mukr gaiye.. or kaha k vo khud bhaag gaieye hay… ye sun kr tahir ko esa laga jesay uski duniya us say chin gai ho.. or vo bahot mayus hogiya..


Tahir vhi jis nay apni mohbat k liye bahot kuch kiya pr mohbat usko na mili.. or vo hamesha us k liye dua krta k Allah jahan b rakhay usko khush rakhay..


Aaj tak us larki ka kuch b pata nhi……. Usy zameen nigal gai ya asman……





The End.
[/CENTER]
Janab abhi hamne ye kahani padhi jo apne kaha hai k sachi hai

bohot hi gham hai isme lekin tahir ko chahiye tha k haqeeqat maloom kare khair usne koshish bhi ki hogi

Allah se dua hai k in dono k haq me jo behtar ho wo aata kare Aameen
 
Status
Not open for further replies.
Top