*TM Urdu Writing Competition Result*

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Assalm u alaikum wrwb..
Alhamdulillah TM Urdu Writer competition boht umdah rha tamam members ne boht umdah sharing ki.mashaAllah ap sb me likhne ki salahiyat badarja'atm mujood hai.ap sb ne boht mufeed or haq pe mabni tehreerain likhen,boht khushi huvi..
lekin winner to koi ek hi hota hai na..

chalen Result ki tarf chalte hain

the Winner is

*

*

*

*

*

*

*

*

*

*~Desi Ladhki~*

ye rahi winner sharing

Desi Lardhki said:
Sirat-e-Mustaqeem
Desi Lardhki said:

Sirat-e-Mustaqeem ka matlab hai seedha rasta ...wo rasta jo ALLAH k Pak Nabi kareem
ne dekhaya hai....jis ki manzil Akhrat ki wo namatien hai jiska ALLAH ne qur'an-e-pak me zikr fermaya hai....lafz mustaqeem lafz istikamat say nikla ha, iska matlab ha durust kerna, khench ker lay jana, sedha khara hona...

Ihdina s-siraata l-mustaqeem, Siraata l-ladheena anamta alaihim ghair al-maghdhoobi alaihim wa la dhaaleen

(al-Fatihah: 5) Iss ayat me Dua hai...jo hum ALLAH Rab-ul-izzat se mangty hain....key Ay ALLAH humien Seedha rasta dekha .. aur humien sedhy rasty per chala... takey hum tere nazdeek aasaky...iss ka matlab ye b ho sakta hai k hum ALLAH se mangty hain k ALLAH humien App
ki sunnatien ada kerne ki b toufeeq fermayien jab hum apne fard aada kerty hain... iss ka ek aur matlab ho sakta hai k ALLAH harame dillo ko sachai k rasty per laga dey...

Rasta kiya hai????
ye ek road hai jiss per humien safar kerna hai...woh rasta jo humien ek taraf se dusri taraf lay jayega.... ab srif yehi nhi k humien iss rasty per chalty rehna hai .balkey humien woh naik kaam kerne hai jo ALLAH ki taraf lay ayien...aur un kamun se dur rehna hai jo humien ALLAH se dur ker dien....misal k tor per.... ek darakh hai.... jo zameen se mazbooti se laga humwa hai...jab bht taiz hawa chalti hai to wo bhi ussy apni jagah se nhi hilla pata... jabky dusre tabah ho jaty hain...ussi tarah insaan ko b naiki k rasty per darakh ki tarah daty rehna hai.... chahy jitni b andhiyan (burayan) chaly.... Aj hamari dunya me ..jab hamare imtihan hoty hai..hum kitni fikr kerty hai....din raat kitni pardhayi kerty hain??? kiya paper me ayega kuch pata nhi hota...saari ki saari kitabien rat lety hain... aur hamari deen me dekho... Aqkhrat k imtehan k lye ....SubhaALLAH...ALLAH rab-ul-izzat ne sara ka sara paper de diya hai humien....
bas isko hal kerna hai.... Apne mehboob ko hamare pas bhejh diya hai humien seekhane ne k liye ....

Ek behtareen misal uss admi ki jo hamesha Sirat-ul-mustaqeem per daty rahy hain wo Hamare Nabi kareem
hain... ALLAH ne khud qur'an-e-pak me fermaya hai..surah yaseen (surah 36) me fermaya hai ...

Ala sitat-ul-mustaqeem (surah yaseen :4)
beshak tum (nabi kareem
) sahi rasty per ho....

srif yakeen kerna hi nhi balky amal bhi kerna hai un batun per jis per hum yakeen bhi kerty hain... aur apne amalun per daty rahien..jese 5 waqt ki namaz ... ye sirat-ul-mustaqeem hai jis ki hum me bht kami hai... inhi panch waqt ki namazun me hum pardhty hai .. pehly hum pardhty hain Iyaka Na'budu wa iyaka Nasta'een aur phir Ihdina alssirata al-mustaqeem ....
srif ek rab-ul-izzat ki zaat hai jo humien seedha rasta dekha sakti hai... ALLAH swt ki Ibadat kerna hamari zindagi ka maqsaad hai ...agar hum hamari zindagi ALLAH swt ki ibadat me waqaf ker dienty hain to hum Sirat Al-Mustaqeem per hai.... ALLAH ne do rasty dekhaye hain..ek siratul mustaqqem aur dusra siratuk jaheem... sirat-ul-mustaqeem wo rasta jo humien jannat ki taraf le jayega..aur dussra rasta siratul jaheem jo humien jehannum ki taraf le jayega...ASTAGFIRULLAH... aj hum kis rasty per hain??? hum kitni app SAW ki sunnatun ko sath leker chal rahy rhy hain??? kiya maqsaad hai hamari zindagi ka???
Allah Rub Ul Izzet sura al-inaam main farmatay hain ke ,'' aur yeh mera seedha rasta hai, tum issi per chalna, aur un raston per na chalna keh ( jin per chal kar tum) Allah kay rastay say alag ho jao ge. in baton ka Allah tumhain hukem deta hai takay tum perhaizgar bun jao.
Sirat-e-mustaqeem asaan alfaaz main seedha rasta hai, is ki behtareen tashreeh Allah kay nabi Kareem
ki hadees e mubarika say milta hai

Hazrat Nwaas bin sam-aan ® say marwi hai ke Nabi Kareem
nay farmaya ke ALlah subhaana hu wa taala nay sirat-e-mustaqeem ki misal aisay paish farmai hai ke is rastay kay dono taraf do deewarain hain in main khulay huay darwazay lagay huay hain. in darwazon per chotay parday hain, seedhay rastay kay darwazay per aik daa-e-il Allah baitha hua hai aur keh raha hai ke logo seedhay rastay say ander dakhil ho jao, idher udher bhatko gay nahin. aik daa-e darwazay kay ooper baitha bula raha hai, jub koi shaks in doosray darwazon main say koi kholta hai to kehtay hain ke ,'' tujh per afsos , isay na khol, agar isay kholay ga to is main dakhil ho jayay ga ''.

yeh seedha rasta Islam ka hai aur deewarain hudood Allah hain, khulay darwazay ,Muharam Allah , hain aur yeh rastay per baithnay wali cheeze Kitab Allah hai Quraan majeed.
darwazay kay ooper baitha shaks insan ka apna zameer hai, jo buray kamon say is kay dil main khalish paida karta hai, goya ke Allah ka waiz hai.
Rasool AllahKareem
nay farmaya koi hai jo mujh say in teen ayaton ( Al-Anaam 152, 153 & 154) kay baray main ahed karay, jis nay ayaton ka haq ada kia us ka ajer Allah subhaana hu wa taala per muqarrer ho chuka. aur jis nay is ki tameel main kotahi ki, duniya main hi is ko aqoobet mil gai, aur agar na milli to Akhirat main chahay to Allah saza day ga aur chay to muaaf kar day ga ....

Boht mubarik ho siso:)

ye raha apka Award:)

sOhNi_

Super Star
Sep 4, 2010
5,507
3,502
1,113
awww....mene first time kuch likha tha urdu me.... mujhy ni pata tha k me jeetungi .... :)
and mene first tym kuch jeeta hai TM per ... {(happy)}
agar app mujhy force na kerti shayad me na likhti..thanks to u ... {(hug)}
and thanks for such a beautifull award.... :x
Khush Rahien... {(heart)}
aur dua krain mere lye k ALLAH mujhy Deen ki samajh dien..takky me isse zyaada acha likh sakun ... :)
and ye b dua kerna k mujhy urdu seekha dien .... {(oh0(}

Thanks alooot....

nrbhayo

Newbie
Nov 23, 2009
111,082
9,732
0

waoooooooo....... tum to boht Qabil ho DL.....
Thats great achivment teacher jee..
Great
 
  • Like
Reactions: ƒℓαωℓєѕѕ

nrbhayo

Newbie
Nov 23, 2009
111,082
9,732
0
Assalm u alaikum wrwb..
Alhamdulillah TM Urdu Writer competition boht umdah rha tamam members ne boht umdah sharing ki.mashaAllah ap sb me likhne ki salahiyat badarja'atm mujood hai.ap sb ne boht mufeed or haq pe mabni tehreerain likhen,boht khushi huvi..
lekin winner to koi ek hi hota hai na..

chalen Result ki tarf chalte hain

the Winner is

*

*

*

*

*

*

*

*

*

*~Desi Ladhki~*

ye rahi winner sharing

Boht mubarik ho siso:)

ye raha apka Award:)

its Realy Impressive DL
 
  • Like
Reactions: ƒℓαωℓєѕѕ

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
awww....mene first time kuch likha tha urdu me.... mujhy ni pata tha k me jeetungi .... :)
and mene first tym kuch jeeta hai TM per ... {(happy)}
agar app mujhy force na kerti shayad me na likhti..thanks to u ... {(hug)}
and thanks for such a beautifull award.... :x
Khush Rahien... {(heart)}
aur dua krain mere lye k ALLAH mujhy Deen ki samajh dien..takky me isse zyaada acha likh sakun ... :)
and ye b dua kerna k mujhy urdu seekha dien .... {(oh0(}

Thanks alooot....

waqai me apne bohot acha likha hai mohtarma :)
pehle hi hamne apki tareef ki thi
bohot mubarakh ho aur aage bhi aise hi likhte rahen
Allah apke qalam me barkat de Aameen
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
awww....mene first time kuch likha tha urdu me.... mujhy ni pata tha k me jeetungi .... :)
and mene first tym kuch jeeta hai TM per ... {(happy)}
agar app mujhy force na kerti shayad me na likhti..thanks to u ... {(hug)}
and thanks for such a beautifull award.... :x
Khush Rahien... {(heart)}
aur dua krain mere lye k ALLAH mujhy Deen ki samajh dien..takky me isse zyaada acha likh sakun ... :)
and ye b dua kerna k mujhy urdu seekha dien .... {(oh0(}

Thanks alooot....

hmmmmmmm..
ab pata chal gya na desi..
aage b likhti rehna siso..:)
Allah ap k ilam me izafa kare or hum sb ko amal ki tufeeq day
Ameen
 
  • Like
Reactions: ƒℓαωℓєѕѕ
Top